Anda di halaman 1dari 2

"Dil ka huzra saaf kar..

"
Baba Ji ne satsang k shuru mein Diwali ko symbolize kiya, tulsi sahib k likhe hue "Ghat Ramayan" ka hawala de kar. Unhone kaha k asli Diwali wo hai jab hamari soul hamare mann k panje se azad ho kar apne ghar vaapis pahunch jaati hai.. us parm pita parmatma mein mil jaati hai... Baba ji ne huzur maharaj ji ki example dete hue kaha k unki jubaan par hamesha bade maharaj ji ka hi naam rehta tha.. unhone kabhi bhi kisi kaam ka credit nahi liya.. hamesha yehi kehte the k sab bade maharaj ji ka hi partap hai.. unhi ki daya mehar se ho raha hai sab..FIR HAM LOGON KO KAHA .. k ham log kuch chota sa kaam bhi kar de to yehi kehte firte hain.. maine yeh kiya.. maine wo kiya... hamare andhar kitni main bhari hui hai... Baba ji ne Satsang mein Alexander ki example de kar samjhaya k usne apni jindagi mein kitna zulm kiya..kitni tabahi machai... duniya ki daulat paane k liye..lekin jaate waqt wo kuch bhi saath nahi le ja saka.. fir Baba ji ne.. Alexander ki wo example di.. jisme wo kisi river k kinare ek mahatama ko bhajan mein baitha dekhta hai... aur us mahatama se kehta hai k wo kyon apni jindagi kharab kar raha hai aise river k kinare baith kar.. wo saadhu Alexander se poochta hai k wo kaun hai.. Alexander apni introduction deta hai.. Saadu poochta hai.. k wo kya karna chahta hai.. Alexander kehta hai k wo India jeetna chahta hai...Saadhu poochta hai uske baad wo kya karega.. Alexander kehta hai fir main poora world jeetonga...aur fir main chain se baith kar araam karoonga.. Saadhu kehta hai.. jo araam tum itna zulm karne k baad, tabhahi machane k baad karoge.. wo to main abhi kar raha hoon.. Iske baad Baba ji ne... hum logon ko apni objectivity ko theek karne k liye samjhaya.. unhone kaha hame samjhana hoga k hamari jaroorat kya hai aur hamari chahte kya hain.. unhone kaha k hamari almirahs kapdon se bhari rahti hain.. hame apni objectivity ko theek karna hai...kapda hamari jaroorat hai hamare tan ko dhakne k liye.. aur yeh jaroorat 2 jodi kapdon se poori ho jaayegi.. 2 jodi garmi k kapde aur 2 jodi sardi k kapde... lekin ham kapda pehnate hain doosron ko dikhane k liye...isi tarah unhone kaha k dekho mandiron mein aur gurudwaron mein kitna chadawa chadta hai...murtiyan sone se aur heere jawaraton se ladi hoti hain.. is cheez ka kya fayda hai... isi paise ko jaroorat mand ki sewa mein bhi lagaya ja sakta hai... Baba ji ne kaha k hazur maharaj ji satsang mein kaha karte the k agar ham 1 kadam uthate hain uski taraf to wo 100 kadam uthata hai hamari tarf... Baba ji ne maa aur bache ki example bhi di...jab tak bacha maa ko bhool kar khelne mein mast hai.. maa bhi apne kaam mein lagi hui hai... lekin jab bacha har tarf se dhyan hata kar maa k liye rona shuru kar deta hai.. tab maa se bhi raha nahi jaata..wo bhag kar bache ko utha leti hai aur use apni chaati se laga leti hai... yeh nahi dekhti k bacha saaf hai yaa ganda...naa hi yeh dekhti hai k bache ko kichad laga hua hai.. bas wo to use utha kar apni chaati se laga leti hai.. aur bache ko bhi sachi khushi maa ki chaati se lag kar hi milti hai... (JAB BABA JI YEH SAB KEH RAHE THE to sangat mein baithi ek bibi baba ji k pyaar mein bheeg kar rote hue... BABA JI.. BABA JI.. BABA JI... bolne lagi...) Lakhon ki sangat mein shayad hi koi aankh aisi hogi.. jo baba ji ki is baat ko sun kar roi nahi hogi... Fir Baba ji ne ham sabh ko bhajan simran ki takid ki..... Kaha jaise bhi ho.. hame baithna hai.. Unhone kaha "Kam se kam assin jhoote taan na payiye us de agge" unhone satsang mein 2 baar repeat kiya is sentence ko...fir kaha k huzur maharaj ji kehte the k "mann lagge yaa na lagge, farz samjh k baitho, duty samjh k baitho" aur kaha k hame result ki umeed nahi rakhni chahiye...kyonki apni karni se to ham ek janam to kya kayi janam bhi bhajan karte rahe... hamare karm khatam nahi ho sakte... hum to sirf faryad kar sakte hai.. uske aage..."assin bhullan-haar haan te oh bakshan-haar hai"

Poore satsang mein aisa lag raha tha.. k jaise ek baap apni nalayak aulad ko dekh kar dukhi hota hai.. waise hi Baba ji mere jaise nalaykon ko dekh kar dukhi ho rahe hain... samjha rahein hai k abhi bhi waqt hai sambhal jao...hame yeh samjhana hai k yeh insaan ka janam hame kis liye mila hai?? Hamara yahan aane ka asli maksad kya hai?? uppar jaa kar ham kya jawab denge??? Itne bache paida kar k aaye hain!!! ya itna dhan daulat jod kar aaye hai!!!! hame samjhana hoga...aur jaise Baba ji aksar kehte hain "KUCH KAR K DIKHAYO KUCH BAN K DIKHAYO" hame aaj se hi bhajan simran shuru karna hoga taki reality mein hum EK SACHE INSAAN BAN SAKE.. EK SACHE SATSANGI BAN SAKE Radha Soami Ji

Anda mungkin juga menyukai