Anda di halaman 1dari 9

Yah Dehshat'gard hain ?!

Azafay ke sath By: Maqsood Hassani Presented by: Prof. Syed Mohammad Raza Madni Principal, Govt College, Minchan'abad Pakistan

osama ho kah obama ya koe aur; ya donya ka koe harami tarein baad'sha, eak aam admi ko os say kiya matlab kiya wasta. siyasi madarioun aur maedodoun aur mazhabi fatwa sazoun say bhi, eak aam admi koee dilcaspi nahain rakhta. Woh jiein marain jannat jaein ya jahanum,

oon ka baira gharaq ho ya baira taiarta rahay, kisi kamzour aur moflis shakhas ko es say kiya gharaz ho sakti hai?! Eak aam admi ki zarourat seraf itni hai kah ossay aur os kay bivi bachoun ko sokh ki aur paiat bhar roti milti rahay. Os ka koe sakoun barbad na karay. Likin donya kay her baadsha ki rouz-e-azal say pori pori koshesh aur dili khaesh rahi hai kah awam sokh ka sanas na hi lain to sab acha hai ba'surat-edigar os kay mouj mailay main kami ya khalal aa sakta hai. Oon ki kamae aur tamam wasael apnay khisay kar liay jaein. Es zimun main koe choun charaan karay to ossay forun say pehlay tha kar dou. Faraoun shadad namroud yazeed mar gay likin apnay ganday aur baad'bo'dar anday bachay apni yaad main chour gay ta'kah woh donyan kay sakoun amun aur awam ki zindgioun ko awami bahboud aur asuli tour par baad'tar say baad'tar kartay rahain aur khud mouj masti ki gozarain. Woh aur os kay gamashtay aur dalal adaray roshni main nahaein khaein piain aur kamao awam andhairoun main bhuki piyasi zindgi basar karay. Mein eak ostad houn mujhy kisi bhi harami ya halali baad'sha say koe dilchaspi nahain. Dozakh ya bahesht main sha aur os ki shahi kay din raat gozrain, mujhy es say kiya gharaz ho sakti hai. Mein seraf aur seraf yah khaesh rakhta houn kah mairay bachay aatay waqtoun main dou waqt ki roti kha sakain aur insanyana zindgi gozarain. Woh kisi ko dokh na dain aur oon say koe jinay ka haq na chinay. Jahanum main ja'ay osama ya obama, kamzour logoun ka oon say ya oon kay baad'moash chori khoroun say kiya reshta, kiya nata ya kiya laina aur daina. Insan koe bhi mar diya ja'ay kisi bhi hath say qatl kar diya ja'ay, es say bhar

kar koe ghalt kaam ho hi nahain sakta. Insan ko marnay ya qatl karnay ki baja'ay os ki soni to ja'ay, os kay jaez motalbaat aur masael haal kar diay jaein to kisi bhi sata par garbari paida nahai hoti. Garbari ossi waqt paida hoti hai jab insan kay masael hal nahain kiay jatay, os ki kamae par na'jaez (tex) daka dala jata hai ya woh zulm ka shakar hota. Aaj donya kay kamzour log qatl ho rahay hain. Monsab aur Gora'house nawaz es kaam ko darust qarar day raha hain. Donya kay tamam chamchay shah bai'his, khud'gharz, aish'parast, bai'haya, bai'zameer bai'gairat, bai'sharam waghera waghera ho gay hain. Ghairoun ki kiya baat karni, Hajaz-e-Moqadas (naam'nihad saudi yahudi royal khan'dan) kay hukam'ran jo pori insani baradri ki bhouk piyas mita saktay hain aur yah oon ki Islami zima'dari bhi hai, aankhain band kiay ya phir Sura Baqar kay motabiq Allah nay oon kay diloun par mohar sabt kar di hai, kay masdaq apnay hal aur bai'mehnat maal (aish-o-eshrat) main mast hain. Pori donya ki bhouk na'sahi apni Islami Baradri ko to sahara day hi saktay hain. amrika ya kisi aur faraoun ki aisi ki taisi jo donya kay kisi kamzour ki taraf aankh otha kar bhi daikh lay. Hum khud itnay bai'zameer aur bai'ghairat ho gay hain jo in mothi bhar logoun ko chout dikha rahay hain. Yahhi nahain hum oon kay bai'zameer chamchay karchay aur gomashtay hain. Bai'zameer hukam'ran baat cheet ko la'yaeni samjh kar goli kay hath main aman ki lagam day rahay hain to es bhuki piyasi aur gher'yaqini zindgi karnay ka kiya faeda. Humain chahiay kah cholu bhar pishab main naak dabo kar mar jaein. Bai'ghairat zindgi say yah kahein behtar rasta hai.

Aaj dehshat'gardi ka kiya khoub paimana aur miar banaya giya hai:
Jo sach baat karay woh dehshat'gard. Jo sarkari goli say mara ja'ay woh dehshat'gard. Jo roti mangay woh dehshat'gard. Jo kamzor aur ghareeb jaga (tex) dainay say inkaar karay woh dehshat'gard. Jo ziyada sawal jawab karay ya zulm kay khalaf aawaz otha'ay ya tanqeed karay woh dehshat'gard. Jo insaf mangay woh dehshat'gard. Jo merit ki baat karay woh dehshat'gard.

Jo marzi aur aazadi ki zindgi karnay ki baat karay ya khaab daikhay woh dehshat'gard. Jo in ki jhuti tareef na karay ya in ki haan main haan na milaay woh dehshatgard. Jo chamchagiri ka monkar ho woh dehshatgard. Jo chughalkhori say parhaiz karay woh dehshatgard. Jo in ka qasidakha na ho woh dehshatgard. Waghera waghera

Sokraat nay bohat pehlay kaha tha: Riyasat maan ki tara hoti hai laikin na'khalaf hukam'ran aur garnail ossay apni mankoha bana kar rakhtay hain. Arasto ka kaha os ehad main kiya aaj bhi otna hi darust aur sachae par mabni hai.
Ghear to, gher tehartay hain likin yah apnay say ghear, gheroun say kahein baad'tarein sabat howay hain. Paisay lay kar apni izzat amrika ko day daitay hain aur essay mokhtalif tara say justify bhi kartay hain: 1. Agar hum na daitay to poray molak ko nashana banaya ja sakta tha. Bakri ki zindgi gozarna thi to aitam bamb bananay ki kiya zarourat thi. Molak ka sara bajat fouj par kharch karnay ka kiya jawaz hai. Fouj rouz-e-awal say apnay ya apni marzi kay sha kay liay motaharrak rahi. Awaam ki behtari kay liay kiya howa hai. Jang ki surat main bholi awam hi kottay ki mout mari hai aur la'ab yah othatay rahay hain. Koe sha, sadar, jarnaiel karnaiel bhi kabhi kisi nay jang main martay daikha hai?! 2. Qoam ki essi main behtari thi. 3. Dehshat gardi kay khatmay kay liay yah bohat zarori tha. 4. Hum amrika kay ithadi hain es liay batour ithadi yah kaam zarori tha. sarkari goli ka nishana bachay bhi ban rahay rahay hain. Es zimun main shaed yah socha ja raha ho ga kah yah baray ho kar dehshat'gardi phalaain gay lihaza aaj hi in ka makko thap dou. Na rahay ga banas na bajay gi bansri. Masoum fareshtay bhi ab dehshat'gard khahay ja rahay hain. Kis say faryad ki ja'ay,

faryad sonnay walay essay jaez aur dehshat'koshi ka naam day rahay hain. Ab chand dehshat'gard malahza houn:

child_killed_by_us.jpg

children_killed_by_us.jpg

children_killed_in_us-nato_strike_may_29_2011.jpg

doctorbaby1.jpg

khost_infant_killed_by_us_troops_apr_9_09.jpg

mar15ish3.jpg

murdered-civilians-2.jpg

Burning-Man-Iraq.jpg

Pic.jpg

r3003657664.jpg

Pict27.jpg

Afgha.jpg

NoWArIraqiChild.jpg

iraq12yearold.jpg

AFG_dead_children_55.jpg

gaza_mother_dead_children.jpg

Israel-Continues-Attacks--001.jpg

dead-child-killed-by-us-nato.jpg

ghazni_civilins_killed_by_nato_oct16_09.jpg

Pict153.jpg

Reg03.jpg

three_children_killed_by_us_israel.jpg

two_dead_children.jpg

821370fee24658ceb6d019970fdf_grande.jpg

aa-Vietnam-War-kids-fleeing-agent-orange.jpg

body_of_child_killed_by_us_attack.jpg

c686105b5e5e4f65b08633e9e365890e.jpg

child_injured_us_illegal_invasion_iraq.jpg

child_stands_beside_dead_children.jpg

Injured-child-600-pix.jpg

Somalia%20Fighting_Kapl.jpg

two_dead_bodies_children.jpg

murdered-afghan-kids.jpg

4868540.jpg

3144946177_58480fc008_o.jpg

azizabad_video.jpg

baby_killed_by_us_is_buried.jpg

bala_baluk_wounded.jpg

Children.jpg

gazaR_468x560.jpg

Irag_photo_Wikileaks.jpg

us_attack_on_fallujah_baby_killed.jpg

toddler_killed_us_attack.jpg

Pict112.jpg

Pic.jpg

ittihad_news-4_XOQoE_19672.jpg

iraq_child_victim_us_war_attack_.jpg

gi-and-dying-iraqi-girl-0_22_450_baby.jpg

four_children_morgue.jpg

children_killed_by_us.jpg

child_killed_by_us.jpg

carries_body_of_child_killed_by_us_shell.jpg

baby-injured-by-nato.jpg

afghankids.jpg

afghan-300x200.jpg

3654775509.jpg

6.jpg

five-killed-in-bahrain-protests-pic-ap-423825595.jpg

ittihad_news-4_XOQoE_19672.jpg

Pic.jpg

Pict112.jpg

toddler_killed_us_attack.jpg

us_attack_on_fallujah_baby_killed.jpg

Helmand.jpg

iraq_child_victim_us_war_attack.jpg

iraq-children.jpg

iraqigirl.jpg

kunar_feb20_2011_us_crime-300x212.jpg

Law8694.jpg

school-boys-killed-2010.jpg

skynews_619133.jpg

AFG_afghan_dead_children.jpg

afghan_child_killed_by_americans.jpg

afghan-civilian-casualties-by-rawa1.jpg

afghanistan.png

child_burnt.jpg

children_dead.jpg

eight_year_old.jpg

girl_wounded_in_iraq.jpg

homeless_boy_sleeps_on_street.jpg

markosian_Abzulit_Shauxalov_04feb11_480.jpg

Pak2.jpg

photo_1306728023427-1-0.jpg

Red-Cross-assists-landmine-victims-in-Afghanistan_1.jpg

Opar kuch tasaveer paish ki gae hain sadri aur jarnaili karnaili aur dalal'dil hasab-e-mamoul dharkata rahay ga Laikin insani dil apna tasalsal aur hawas yaqinun kho day ga.

Ay masoum Fareshto! Mein bara kamzour moflis kangal kalash aur borah admi houn. Mein tumain kuch bhi nahain day sakta aur nahi tumharay liay kuch kar sakta houn. Tumharay khanzeer qatloun say badla nahain lay sakta likin tumhari mout par mairi aankhoun nay un'gint ashkoun kay moti tumhari nazar kiay hain aur karti rahain gi. Kamzour borah aur bakri'dil shakas aur kar bhi kiya sakta hai. Haan mairay bohray kamzour baibas baikas aur kamptay larztay hath dua kay liay zarour oththay rain gay: Ay Mosa israeli bachoun ko tum nay bachanay kay liay Allah ki madad say her qadam othaya. Yah bhi bachay hain, kahan ho tum,, aatay kayounn nahain? khuda kay liay aao aur jo bachay zinda bach gay hain oon ko bacha lo warna faroun-e-asr oon ko mar dalay ga. Ay Allah in bai'rehim khanzeer qataloun ko lambi magar baad'tarein, baad'naseeb aur intahae khouf'nak umr ata farma aur yah her lamha

sisak sisak kar gozarain. Ay Allah in kay abdan main namrodi kiray paida kar day jo in ka chain aur sakoun chain lain. Ay Allah yah marna chahain likin in ko mout na aa'ay. Ay Allah eak insanoun jinoun aur fareshtoun ki aisi nasal paida farma jo qiyamat tak in bai'reham darindoun par lanatain baijti rahay. Ay Allah inhain aisi bhouk ata farma jis ki taskein aag aur taizab say hoti ho. Ay Allah en par toba aur moafi ki qaboliat kay tamam darwazay band farma day. Ay Allah in kay khanzeer say bhi baad'tar chehray bana day. Ay Allah in khanzeer qataloun ki nasloun ko naiki ki hadaet ata farmana aur oon kay diloun main insan ki izzat aur mohabat ko ojagar farmana. Yah bhi kah woh bachoun say dili olfat mohabat aur shafqat karain. Ay Allah in masoum Fareshtoun kay qatloun ko kabhi bhi moaf na karna aur in ka thikana haviay ki barkati hoe baad'tarein aag banana.

Qatlo! Tum par: Qiyamat tak aur os kay ba'ad bhi Allah, Os kay saray Rasoloun, Os kay saray Fareshtoun, Os ki sari Nari makhlouq, Tamam Insanoun, aur Os ki sari ki sari makhlouq ki, bai'shumar lanat ho lanat ho

lanat ho Dard-e-Dil rakhnay walo kaho, Amein.

Anda mungkin juga menyukai