Anda di halaman 1dari 38

Timeline : 2007-2009

Character : Inspector Steel (Raj Comics)


Genres Action, Adventure, Crime, Sci-Fi
Writer : Mohit Sharma (Trendster/Trendy Baba)
Artist Sourabh (Andha Raksha)

1.

....

..
....
.. ??
" " .
..

.
. -, , ,
....


.

.


. ,
.

.




.....



.....

.


.

.

.

..... .

""


.
.

.....


.



.
.

-

....

- ....
....

....

.
.

....

- ....



.... ...

....


....


..
.


.

- .... .
- -

.

.
.
- ....?
-

....

-
.

-
.. .


.
.

- ....
.

...

....

....

-
.

450 .

....


..
..

..

....
. ....

..

..
....

.... ....




..... ....
....

.



.
.

....


"" .


......


- .

.....

.

.
-
.

.....


.

.

- "
."

-
.

.

.

.
.....

....

.

.

.

- 500 .
- .... ....

..


....-

....

-
?
- ? ?
-


....
- ,

-
.... .... 9

2 .... .

- .
.

.... .
.

- , - ....
....
- ....

-
.
- , , -,
.

-
....
....

- .....

.... .

- , , ....

.
.

- ?
....


.

- .

.

.


.

.

" "
.
....

.
. -, , ,

....

.


.

.


. ,
.

.


.

.


.
..... .

. -

....
.


.
-

.....

..... -

..... ....
....
,

... ....
...
.

- ....
?

- ...
.....

....


.

.
T.V.
.

.

....


....


.


.

.....


.
.... ....

- .... .

....



.... .

.....

.

.... 15-20 .


.....
.

..... ?

.



.


. .


.


.......
.

....
.

.

.

- . .

......


.
"
,
."


.
", ... .
.... ?"

- ,


. fuctions .


.... ?




, ,

legal information
.

. -


.



.

- ...
....... .

, , ....

.

-
. ... .



...
.

-

. 450

kilo 4500 .



.
.

10 80-90

. Activate

.

,
.

,
. ...

.


.

- ... !

....
.

- ....
.

- ! . ... ... ,


...
...

.


.

....
.
S.U.V.
.

. ...

- !

....
10
.
....

- ! ...

.

-
, ....


.

'' . ...



...
.

.
.

- ... ....
-



.


. (0 * = 0)


....

- .....sssssss...... ...

...
. Multiple

Destruction Mode .... 10



.

.

. 15
...
.

- ...
- ,

.
.

"




. - - .

!
."

2 57

.
.

"Multiple Destruction Mode"



.

.... ,

.

...
.

!!!!!!!!

2. Steel Reloaded / Inspector Defender

Aaj to jaise saari duniya ki nazarein aakash ki aur jami hui thi kyoki
Antriksh mey ek anokhi khagoliye ghatna ho rahi thi. Achanak se ek
bahut bada ulka pinnd antriksh mey prakat hua jo ab tez gati se dharti ki
taraf badh raha tha.
Kuch hi ghanto baad wo pinnd Prithvi se takrane waala tha. Sabhi desho
kay pratinidhiyon ki aapatkaalin baithak hoti hai jisme sab milkar uss
ulka pinnd ko antriksh mey hi nasht karne ki yojna banate hai.
Uss ulka pinnd par bahut se desh apne aadhunik astra chhodte hai. Par
har Computer Guided Weapon aur missiles ki disha apne aap hi uss Ulka
Pinnd se kuch kilometers ki doori par waapas dharti ki taraf mudd rahi
thi. Matlab saaf tha ki uss ulka pinnd se koi ya kuch prani unki taraf

badhte sabhi weapons ki Computer Programming badal rahe thay. Jis


wajah se wo weapons waapas prithvi ki taraf mudd rahe thay.
Kisi aise weapon ki zaroorat thi jo itni doori par nirantar speed aur disha
badalte huey uss ulka pinnd se takra sake. Koi insaani dimaag hi unn tak
hamla kar sakta tha jispar wo door se prabhaav naa daal sake. Tab ek
khaas antriksh yaan ko banaya jaata hai jo antriksh mey jaakar uss ulka
pinnd ko pehle to apne hamlo se kamzor kare aur phir uss ulka pinnd se
takra kar usse khatm kar de. Lekin koi sadharan insaan itna sab nahi kar
sakta tha. Uss yaan kay controls sambhalne kay liye Inspector Steel ko
chuna jaata hai kyoki uska mastiksh insaani tha. Ye ek aatmghati
mission tha yaani iski safalta ya asafalta dono mey hi Steel ki jaan jaani
thi. Lekin Inspector Steel duniya par aaye iss khatre ko mitaane kay liye
tayyar ho gaya.
Steel antriksh mey uss Ulka Pinnd par zordaar hamla karta hai aur phir
yaan kay saath uss se takra jaata hai. Ek zordaar dhamake kay saath wo
Ulka Pinnd nasht ho jaata hai aur Steel bhi yaan samet gayab ho jaata
hai. Duniya par mandrata khatra khatm ho jaata hai aur Sabhi desh Steel
ko shaheed ka darja dete hai.
Kich dino baad antriksh mey ek baar phir se waisa hi Ulka Pinnd dikhta
hai aur duniya bhar mey hadkamp mach jaata hai. Wo Ulka pinnd tezi
se dharti ki taraf badh raha tha. Ek baar phir se usse rookne kay saare
prayaas asafal ho gaye. Wo dharti kay kaafi paas aa gaya tha lekin
achanak usme ek dhamaka hua aur wo Ulka Pinnd tukdo mey bikhar kar
samapt ho gaya.
Kuch samay baad, Anees kay ghar par dastak hoti hai.
Anees - Kaun hai ?
"Anees mai hun."
Anees darwaza kholta hai.

Anees - A...Amar mere dost tum....tum zinda ho. Aur tumhara to roop hi
badal gaya....tum to insaan ban gaye.
Amar - Insaan nahi...insaan jaisa....mai ab bhi cyborg hun.
Phir Inspector Steel yaani Amar, Anees ko Ulka Pinnd se takrane ki aur
uske baad ki kahani sunata hai.
Amar batata hai ki jab iss Ulka Pinnd se pehle usse yaan kay saath
antriksh mey bheja gaya tha to usne apne hamlo se uss Ulka Pinnd ko
kamzor kar diya tha aur annt mey apna yaan lekar uss se takra gaya tha
jiske baad huey dhamake kay baad wo ek anjaan jagah hosh mey
aaya jahan wo bahut saare manav jaise lagne waale 2 Inches kay
praniyon se ghira hua tha. Inspector Steel ko apne zinda honay par
hairaani thi. Wo prani Inspector Steel kay dimaag mey saari jaankari
bhar dete hai. Tab usse pata chalta hai ki ye chhote buddhijeevi prani
apne grah 'Xontrax' se apradhik tatvo dwara bach kar aaye hai aur
Brahmand mey apne liye anukool doosra thhikana dhoondte huey prithvi
ki taraf badh rahe hotay hai. Ye dharti vaasiyon kay saare prayaas asafal
kar dete hai lekin Inspector Steel inke asthaai nivas Ulka Pinnd ko nasht
kar deta hai tab ye apne aapatkaalin yaano se Mangal Grah yaani Mars
kay jeevan kay liye kuch anukool elako par sharan lete hai. Inko rook
sakne waale akele prani se prabhavit ho kar ye Steel kay lagbhag marre
huey dimaag aur shatigrast shareer ko bhi ye surakshit apne saath le aate
hai. Tab ye Steel kay dimaag ka vishleshan karte hai aur uski memory
kay hisaab se apne planet kay wonder metal aur elements se ye Amar aur
Inspector Steel ka mila jula roop dobara viksit kar dete hai jisme ye
Amar ka dimaag transplant kar dete hai. Ab Cyborg Amar/Steel kay
paas apne hathiyaaro kay saath saath nayi shaktiyan bhi hai jaise.
1) - Apne lagbhag 7 feet lambe shareer ko 2 inches waale chhote roopo
mey badalne ki shamta. Yaani 42 chhote Inspector Steel.
2) - Paristhiti anusaar 'Liquid metal' mey badalne ki shamta.

3) - Ichchha anusaar kisi bhi doosre metal se apne shareer kay wonder
metal se alloy banana aur uska isteymaal hathiyaar banane ya dushmano
par karna.
4) - Ejectable explosives with limited range within his body. Wo isse last
option kay taur par dushmano se bachne kay liye isteymaal kar sakta hai.
(Changes, and modifications in powers are welcome. Please visit
Inspector Steel's Forum.)
Phir Steel inn saathiyon kay saath 'Xontrax' ki upadravi sarkaar se yuddh
karta hai aur unhe hara deta hai. Lekin kuch upadravi 'Xontrax' se bach
kar bhaag nikalte hai jo phir se ek Ulka Pinnd se prithvi par basne kay
liye uski aur badh rahe thay jinka peecha kar raha Steel uss Ulka Pinnd
ko nasht to kar deta hai lekin kuch upadravi 'Xontrax' vaasi prithvi kay
vayu mandal mey pravesh karne mey kaamyab ho jaate hai. Ab Prithvi
ko mil chuka hai ek naya rakshak Super-Cop Amar jiska naam rakha
gaya Inspector Defender. Jo ab sirf Rajnagar ki hi nahi balki duniya ki
bhi raksha karega aur saath hi duniya bhar mey unn dushman 'Xontrax'
kay apradhiyon ko dhoond kar khatm karega.

The End.

3. Badhti Tabahi

Bharat mey Nuclear energy ek bahut badi alternative energy source kay
roop mey ubhar rahi thi. Desh bhar mey Nuclear Reactors kay liye
durlabh Nuclear Fuel (Uranium, Plutonium, Thorium, etc) ki zaroorat ko
Rajnagar kaafi hadd tak poora kar raha tha. Rajnagar mey maujood
Nuclear fuel kay bhandaar par ek jaise manavo ka hamla ho gaya. Jo
bhaari maatra mey wahan se wo Nuclear fuel churana chahte thay.
Par unhe rookta hai Inspector Steel. Apni memory mey maujood Police
records mey Inspector Steel uss huliye waale lutero ki pehchaan
Gunakar urf Professor Richmond kay roop mey karta hai. Inspector Steel
ko pata chalta hai ki Gunakar kay partiroopo ko shakti dene waali
batteries ko nasht kar dene se uske partiroop apne aap nishkriye ho jaate
hai. Parmanu nay pehle aisa karke hi Gunakar par kaabu paaya tha.
Inspector Steel aisa hi karta hai aur Gunakar kay lagbhag sabhi

partiroopo ko khatm kar deta hai.


Lekin phir bhi bhaari sankhya mey honay ki wajah se kuch bache huey
roop Nuclear fuel ki thodi maatra le jaane mey safal ho jaate hai. Apne
gupt addey par Gunakar apne gundo kay shareero mey Nuclear Fuel ko
parishkrit karke pahunchata hai. Kuch dino baad shehar mey ek jaise
bahut se partiroop waale insaano (Gunakar kay saathiyo) ka hamla ho
jaata hai. Iss baar unn pratiroopo ki sankhya badhti hi jaa rahi thi aur
unhe power kay liye alag se kisi battery ki zaroorat nahi thi yaani battery
khatm ho jaane se roopo kay khatm ho jaane waali unki kami ab nahi thi.
Kyoki aise har pratiroop ko aseemit shakti dene kay liye Nuclear Fuel
kay kuch atoms ki zaroorat thi.
Rajnagar mey arajakta fhail jaati hai tab Police ko aise unmaadi
pratiroopo ko 'Shoot at Sight' kay orders mil jaate hai. Inspector Steel
aur Police jald hi inn pratiroopo ko khatm kar dete hai. Tab Police aur
Inspector Steel ko pata chalta hai ki jis vyakti se pratiroop nikal rahe hai
agar usse maar diya jaaye to uske baaki pratiroop bhi apne aap nishkriye
ho jaate hai.
Idhar Gunakar apni iss haar se tilmila jaata hai par ab uske paas bahut
kum maatra mey Nuclear Fuel bacha tha. Gunakar ko darr tha ki agar
usne ye parishkrit Nuclear Fuel khud par aazmaya to wo kabhi naa kabhi
maara jaayega......saath hi kisi aur sadharan insaan par iska prayog bhi
vyarth hai. Bahut sochne kay baad wo Nuclear Fuel ki wo maatra lekar
Inspector Steel se akela ladne pahunch jaata hai aur ek baar phir se apne
kuch battery waale roopo se shehar mey tabahi machane lagta hai.
Inspector Steel usse rookne kay liye pahunchta hai. Tab Steel se
mutbhed kay dauraan Gunakar uss Nuclear Fuel ko Inspector Steel kay
dimaag mey pahuncha deta hai.
Achanak, Inspector Steel kay dimaag kay D.N.A. kay anusaar Inspector
Amar waale manav partiroop uske shareer se apne aap nikalna shuru ho
jaate hai jo turant hi Gunakar kay isharo par shehar mey tabahi machane

lagte hai. Inspector Steel unse ladta hai par tab bhi lagataar uske shareer
se Amar kay roop nikalte jaa rahe thay.
Ab ek hi tareeka tha Inspector Steel ka apne dimaag kay saath poori
tarah nasht ho jaana tabhi uske saheer se Amar kay partiroop nikalna
bandh ho jaate. Steel ashayay nazar aa raha tha.......par tabhi Steel kay
pratiroop apne aap usme se nikalna bandh ho jaate hai. Inspector Steel
Gunakar ko adhmara karke giraaftaar karta hai. Gunakar jaan na chahta
tha ki aakhir kaise Steel nay khud mey se Amar kay pratiroopo ko
nikalne se bandh kiya. Tab Inspector Steel nay usse bataya ki usne apne
shareer kay andar hi special jammer rays ki madad se khud kay dimaag
kay unn hisso ko kuch dair kay liye nishkriye kar diya tha jo uske kisi
movement ko control karte thay. Yaani kuch dair kay liye Steel nay
khud ko Paralyze (Lakva grast) kar liya tha. Lekin uspar koi asar isliye
nahi pada kyoki uska baaki shareer insaani nahi machine ka tha. Phir
uske shareer nay uss parishkrit Nuclear Fuel ko locate karke uske
shareer se eject kar diya.
The End.

4. Galti Kiski

RAJNAGAR KI SADKO PAR DHRUV KI MOTORCYCLE TEZ RAFTAAR PAR DAUD


RAHI THI KI TABHI ACHANAK SAAMNE SE AARAHI AK AUR MOTORCYCLE SE
DHRUV KI BIKE TAKRA GAYI.
DHRUV-Dekh kar nahi chala sakte.........ooh Ins. Steel tum.
INS. STEEL-Sorry,Dhruv galti meri thi.....

DHRUV-(Formality nibhatey hue) Arre nahi-nahi galti to meri thi.....mai hi


dhyaan se nahi chala raha tha.
INS. STEEL-Mujhe maaf.........
DHRUV-Kaisi baatey kar rahe ho.....Maine kaha naa galti meri hi hai....mera
dhyaan bhatak gaya tha.
INS. STEEL-Haa,ab tum maan hi rahe ho ki galti tumhari hai to tumhaa chalaan
katega.
DHRUV-Arre lekin......chalaan.
INS. STEEL-Rs. 150 chalaan aur Rs.2000 meri bike ko hua nuksaan,ye lo receipt.
DHRUV-Ye sab policewaale ak jaise hotay hai.......ye lo.
KUCH DINO BAAD, DHRUV PHIR TEZ RAFTAAR PAR BIKE CHALA RAHA THA AUR
USNE AK CAR KO PEECHEY SE TAKKAR MAAR DI.
DHRUV-Ooh...no......Galti meri thi.
INS. STEEL CAR SE BAHAR NIKALTA HAI.
INS. STEEL-Tumne kuch kaha,Dhruv
DHRUV-OOh............mai keh raha tha ki galti tumhari thi.
INS. STEEL-Meri car mai cameras lage hai.......tum jhoot bol rahe ho.....
WAHA BHEED IKKHATI HO GAYI,INS. STEEL BHEED KO SUNANEY KAY LIYE AUR
TEZ CHILAANE LAGA.

INS. STEEL-.......aur tum ak zimmedaar nagrik ho...aur tumhe dekhkar chalani


chahiye......aur....aur......
DHRUV BHEED KO DEKHKAR NERVOUS HO GAYA.
DHRUV-Accha-accha Kitney ka nuksaan hua hai.
INS. STEEL-5000 Ka bas.....
DHRUV-Keede pade tere.....ye le.
INS. STEEL-.....Chalaan alag se.
KUCH DINO BAAD DHRUV APNE BETE RISHI KAY SAATH APNE SPECIAL
HELICOPTER, "STARCOPTER" MAI JAA RAHA THA.
DHRUV-Beta thode sincere bano apne papa ki tarah, tumhare exams
hai,revision jaldi kar liya karo.......dekho itni dair ho gayi ki tumhe Starcopter se
school chhodne jaana pad raha hai.Aage se mai ye bilkul bhi tolerate nahi
karunga.
RISHI-Papa.....please....give me a break....zyada nakhre mat dikhaiye.....Nana
kay helicopters har waqt tayaar rehte hai.
TABHI AK AAWAZ HUI...........
"GARAD....BHARANT......TRERSFARDDDD"
DHRUV-Ooh lagta hai humara starcopter kisi helicopter se takra gaya hai.
INS. STEEL TABHI UNKE HELICOPTER MAI KUDDA.
DHRUV-TUM YAHA KAISE.........

INS. STEEL-Mere hi Special Helicopter se tumhara Starcopter takraya....sorry


galti meri thi....mera helicopter to crash ho gaya par mai tumhare helicopter
mai koodne mai safal raha.
DHRUV-Ak...minute....Commando Kareem......Starcopter ki baatey record karte
rehna mai iss baar ak helicopter ko crash kane ka harzana nahi de paunga.Iska
tramsmission kisi regional television par bhi kar dena sabko pata chalna chahiye
ki galti meri nahi thi.
DHRUV-Ooh no Kareem,Autopilot kharab ho gaya hai,mummy....darr lag rahi
hai.
KAREEM-Captain,to aap khud chala lijiye.
DHRUV-Mujhe.....chalana kaha aata hai....wo to mai chalane ka natak karta
tha,sabpar style maarne kay liye.
RISHI-Papa,shame-shame.
INS. STEEL-Dhruv,shame-shame.
KAREEM-Hello,Captain,kya tum mujhe sun rahe ho
DHRUV-Haa,Kareem,Bolo
KAREEM-Shame-shame.
DHRUV-Aur koi chautha hai to wo bhi bol le.
KAREEM-Captain....starcopter wasie bhi kuch hi dair mai crash ho jaayega.
RISHI-Papa....mujhe..koodna hai....parachute dijiye....MERA SCHOOL AA GAYA.

DHRUV-Bilkul apni Mummy par gaya hai.Ye le parachute kood jaa.


RISHI-Papa...magar......
DHRUV-Mujhe kuch nahi sunna....door ho jaa meri nazaro se.....tu fail ho jaaye.
INS. STEEL-Tum kyu nai kood rahe,Dhruv.
Dhruv-Mujhe su-su lagi hai,neeche jaakar behosh ho gaya to...........yahi
starcopter mai kar leta hu.
INS. STEEL BHI PARACHUTE LEKAR KUDD GAYE............AK INSAAN KAY LIYE
BANE PARACHUTE PAR 450 KGS KA WEIGHT PADNE SE PARACHUTE PHAT GAYA
AUR INS. STEEL RISHI KAY SCHOOL KI BUILDING PAR JAKAR DWAST HO GAYE
AUR PHIR BUILDING KA DWAST HONA TO LAZMI THA.
RISHI-Yahooooo.....Thankyou uncle.......exam cancel.
DHRUV BHI PARACUTE LEKAR KOOD GAYE AUR KUCH GHANTO BAAD DHRUV
KO HOSPITAL MAI HOSH AAYA.
DHRUV-Mai kaha hu
DOCTOR- Ooho,ginti bhulva di ab phir se ginna padega ki tumhari kitni haadiya
tuti hai.
RISHI-Papa,ab kaisa lag raha hai
DHRUV-Beta,ye parachute hi kharaab thay......Steel bhi kuddte hi neeche chala
gaya aur mera parachute to khula hi nahi.
RISHI-Papa.....wahi to koodne se pehle mai aapko samjha raha tha.....mera
School bag wahi chhut gaya tha....aur aap mera school bag pehan kar kood gaye

thay.
INS. STEEL-Hello,Dhruv.
DHRUV-He.....llo.........tum itne chhotey kaise ho gaye
INS. STEEL- Ye to Anees nay mera temporary intezaam kiya hai ab
wo harzaane ki 5 crore ki rakam se hi mujhe poora karega.
DHRUV-Arre wah......kaun de raha hai harzaana.
INS. STEEL-Tum
DHRUV-Mai....par meri galti...nahi thi.....
INS. STEEL-Tumhari saari baatey regional channel aur phir national channel par
bhi telecast hui hai....tumhe helicopter chalana nahi aata phir bhi tum chala
rahe thay.
DHRUV-Aaj se mai paidal crime-fighting karunga!!!
The End!

Anda mungkin juga menyukai