Anda di halaman 1dari 19

Mir Hasan Mir Manqabat 2013

Contents
1. Jang e Khyber ...................................................................................................................................... 3 2. Aie Zair e Husain (A.s.) ......................................................................................................................... 6 3. Jab Khuda Ko Pukara Ali (A.s.) Aagaie................................................................................................... 9 4. Manqabat - Mola Reza (A.s.) .............................................................................................................. 11 5. Jab Ayaa e Baligh........................................................................................................................... 12 6. Ishq E Haider Jeet Gaya...................................................................................................................... 13 7. Mai Howa Sajda Howa ....................................................................................................................... 15 8. Fazeelat E Namaz............................................................................................................................... 16 9. Hussain (A.s) Tere Liye ....................................................................................................................... 17 10. Sar Dar E Aale Muhammed (S.a.w.w.) .............................................................................................. 19

1. Jang e Khyber
Shahibe Nade Ali (A.s.) , Gair Re Farrar Ali (A.s.).....3 Suno Suno Suno Suno Khaibar Ka Majra Suno.....2 Khaibar Ki Karzar Ka Manzar Sunata Hun Jibril Sath Do Mera Khaibar Sunata Hun Suno Suno Suno Suno Khaibar Ka Majra Suno..... Khaibar Ki Jung Abh Bhi Hai Duni Me Yadgar Chalis Din Taveel Hui Hai Yeh Karzar Khud Sakhta Rasool Ke The Jitne Jaan Nisar Maidan Chod Chod Ke Hote Rahe Farar Lashkar Me Muslimon Ke Ajeeb Inteshar Tha Har Ek Ke Dimag Me Marhab Sawar Tha Suno Suno Suno Suno Khaibar Ka Majra Suno..... Hasti Thi Maut Dekh Ke Har Roz Marka Masroof Bhag Daud Me The Sare Surma Woh Jung Thi Ke Jung Bhi Sharmai Zar Zar Chalis Din Me Ek Bhi Zakhmi Nahi Hua Marhab Jo Puchta Tha Ladonge Abhi Yanhin Tege Chupa Ke Kehte The Sare Nahi Nahi Suno Suno Suno Suno Khaibar Ka Majra Suno..... Lashkar Ke Abtri Pe Yeh Kehne Lage Nabi Ghabrao Mat Ladai Ke Yeh Shab Hai Aakhri Ab Kal Jo Mard Hoga Alam Paienga Wahi Dar Parda Tha Nabi Ke Labon Par Ali (A.s.) Ali (A.s.) Yani Alam Alif Se Yeh Lashkar Uthaienga Jo Gaib Se Alam Hai Woh Haidar Uthaienga Suno Suno Suno Suno Khaibar Ka Majra Suno..... Mazi Se Apna Peecha Chudate Hai Isliye Apna Hadaf Alam Ko Banate Hai Kis Liye Panje Ke Samt Ungli Uthate Hai Kisliye Ab Samje Hum Alam Woh Jalate Hai Kis Liye Unke Badon Ko Hakk Se Yeh Mansab Mila Nahi
3

Khaibar Ka Zakhm Hai Jo Abhi Tak Bhara Nahi Suno Suno Suno Suno Khaibar Ka Majra Suno..... Har Ke Ko Shak Tha Mera Hi Lenge Rasool Naam Jaage Hue The Raat Ke Aankhen Thi Surkh Saam Jo Chote Kad The Panjon Ke Bal The Khade Tamam Itne Me Laaie Arash Se Jibrail Yeh Payam Lashkar Na Kar Sakenga Tumhari Koi Madad Allah (S.w.t.) Keh Raha Hai Kaho Ya Ali (A.s.) Madad Suno Suno Suno Suno Khaibar Ka Majra Suno..... Nade Ali (A.s.) Zaban E Mohammad (S.a.w.w)Pe Aa Gai Aur Ustaraf Madine Me Kehne Lage Ali (A.s.) Kambar Chalo Pukar Rahe Hai Humne Nabi Dul Dul Ko Pyar Karke Yeh Farmaya Us Ghadi Aaj Is Tarha Se Chal Ke Falak Kaap Ne Lage Daude To Tere Sath Hawa Hanp Ne Lage Suno Suno Suno Suno Khaibar Ka Majra Suno..... Jaisa Kaha Tha Badshah E Khas O Aam Ne Waisa Kiya Hai Dul Dul E Mehshar Khiyam Ne Hairat Se Dekha Lashkar E Khairul Anam Ne Sher E Khuda Khade The Mohammad (S.a.w.w.) Ke Saam Ne Har Chehre Pe Sawal Tha Hazrat Kahan Se Aai Salman Bole Aaj Ali (A.s.) Aasman Se Aaie Suno Suno Suno Suno Khaibar Ka Majra Suno..... Haq Se Alam Mila Sue Khaibar Ali (A.s.) Chale Chumi Rakab Fatha Ne Aakar Ali (A.s.) Chale Deen E Khuda Ka Banke Mukaddar Ali (A.s.) Chale Lashkar Chala Zameen Pe Hawa Par Ali (A.s.) Chale Aaya Hai Phir Jalal Imam E Mubeen Ko Jibrail Jaldi Tham Lo Aakar Zameen Ko Suno Suno Suno Suno Khaibar Ka Majra Suno..... Hujjat Mariz E Maut Pe Hujjat Ne Ki Tamam Ek Fikre Me Samet Diya Maqsad E Kalam Haidar Hamari Maan Ne Rakha Hai Hamara Naam
4

Hushiyar Zulfikar Hui Meri Beniyam Shamshir (a)buturab Ki San Se Pohuch Gai Marhab Ke Sar Pe Maut Se Pehle Pohuch Gai Suno Suno Suno Suno Khaibar Ka Majra Suno..... Sar Se Chalis To Seene Pe Aakar Thahar Gai Seene Pe Saans Leke Jigar Me Utar Gai Nikli Jigar Ko Kaat Ke Taba Kamar Gai Thi Muth Peeche Peeche Yeh Bijili Jidhar Gai Katkar Adu E Deen E Khuda Khak Pe Gira Aadha Idhar Zameen Pe Aadha Udhar Gira Suno Suno Suno Suno Khaibar Ka Majra Suno..... Jaata Hai Kis Shikoh Se Allah (S.w.t.)Ka Asad Khaibar Ka Dar Ukhad Ne Tana Bashad Do Madh Pohucha Kareeb E Dar Jo Woh Banda E Ahad Besakhta Ali (A.s.) Ne Kaha Ya Ali (A.s.) Madad Aaise Ukhada Lamhe Me Khaibar Ke Baab Ko Jis Tarha Shakh Se Koi Tode Gulab Ko Suno Suno Suno Suno Khaibar Ka Majra Suno..... Takseem Sub Me Maal E Ganimat Kiya Gaya Haidar Ko Hissa Sub Se Ziyada Diya Gaya Is Amr Par Sawal Nabi Se Kiya Gaya Kyun Adl Se Na Kaam Yahan Par Liya Gaya Bole Rasool Dakhl Nahi Tujh Jaise Fard Ko Dete Hai Hissa Dugna Shariat Me Mard Ko Suno Suno Suno Suno Khaibar Ka Majra Suno..... Allah (S.w.t.) Re Sakhawat E Mushkil Kusha Ali (A.s.) Aaisa Kahan Hai Meer Takallum Koi Sakhi Daulat Baname Male Ganimat Jo Thi Mili Khairat Kardi Rahe Khuda Me Khushi Khushi Dehliz E Dar Pe Pohuche To Salman To Sath The Lab Par Khuda Ka Shukr Tha Aur KhAli (A.s.) Hath The Suno Suno Suno Suno Khaibar Ka Majra Suno.....

2. Aie Zair e Husain (A.s.)


Abad Wallah Ya Zehra (s.a.) Manind Sa Hussaina (a.s.).....3 As Salam....3 Aai Zair E Hussain Assalam Labbaik Ya Hussain (A.s)....4 Aai Zair E Hussain (A.s) Assalam.....2 Allah (S.w.t.) ki Bahisht Ke Haqdar Assalam Aai Turbate Hussain (A.s.) Ke Zawwar Assalam Aai Zair E Hussain (A.s) Assalam.....4 Tujhpar Salam Shaam O Sahar Zair E Hussain (A.s.) Zair Hai Tere Shams O Kamar Zair E Hussain (A.s.) Khud Keh Rahe Hai Ahle Khabar Zair E Hussain (A.s.) Tu Tha Gunagar Magar Zair E Hussain (A.s.) Tera Thikana Barsare Aflak Ho Gaya Zam Zam Sada e Deta Hai Tu Paak Ho Gaya Aai Zair E Hussain (A.s) Assalam.....4 Haj Ka Sawab Lekar Utha Tera Har Kadam Rakha Kadam Zameen Pe To Umrah Hua Rakam Aawaz Aa Rahi Hai Yeh Nabion Ki Dam Ba Dam Tu Zair E Hussain (A.s.) Tere Zaireen Hai Hum Deedar Kar Ke Rauzae Sarwar Ka Farsh Par Tu Ne Khuda Ko Dekhliya Jaake Arsh Par Aai Zair E Hussain (A.s) Assalam.....4 Khola Hai Rab Ne Bab E Fazilat Tere Liye Kudsi bhi Kar Rahe Hai Ibadat Tere Liye Kausar Hai Tere Waaste Jannat Tere Liye Arfe Ke Roz Hai Yeh Saadat Tere Liye Mumtaz Kar Diya Tere Masjood Ne Tujhe Haji se Pehle Deha Hai Mabood Ne Tujhe Aai Zair E Hussain (A.s) Assalam.....4 Tujhko Dua E Binte Payambar Naaseeb Hai Kismat Ko Naaz Hai Woh Mukaddar Naseeb Hai
6

Tera Malaika Se Bhi Badh Kar Naseeb Hai Kya Martaba Tujhe Share Mhehshar Naseeb Hai Jub Naseeran e Shah Ko Khalik Bulaienga Mhehshar Me Tu Bhi Sath Bahattar Ke Jaienga Aai Zair E Hussain (A.s) Assalam.....4 Haj Ke Bagair Haj Ka Fariza Ada Kiya Mausam Ki Koi Fikr Na Khaufe Kaza Kiya Chalo Se Apne Marhame Zakhme Ana Kiya Tune Barahna Pa Safar E Karbala Kiya Katre Tere Pasine Ke Kya Kaam Aaie Hai Allah (S.w.t.) Ne Unhi Se Farishte Banaie Hai Aai Zair E Hussain (A.s) Assalam.....4 Kis tarha Se Bayan Ho Manzar Woh Ish Ke Paidal Jo Karbala Ko Nikalte Hai Kaafle Koi Najaf Se Aur Koi Basrah Ki Rah Se Hathon Me Ya Hussain (A.s.) Ke Parcham Liye Hue Zair Jo Karbala Ki Taraf Daude Jaate Hai Abbas (A.s.) Chal Ke Khud Unhe Lene Ko Aate Hai Aai Zair E Hussain (A.s) Assalam.....4 Hoti Hai Ek Katar E Mawkib Wahan Saji Khidmat Me Zaieereen Ki Rehta Hai Har Koi Pani Liye Koi To Koi Ban Ke Malishi Un Khadimon Ke Ishk Pe Kehta Hai Dil Yahi Karte Hai Saaf Aa Ke Pasina Jabeen Se Mil Ne Hussain (A.s.) Aate Hai Jub Khadmeen Se Aai Zair E Hussain (A.s) Assalam.....4 Dulhan Ki Tarha Rah Sajate Hai Aashikeen Khaime Mohabbaton Ke Lagate Hai Aashikeen Jo Saal Bhar Me Risk Kamate Hai Aashikeen Daulat Woh Zairon Pe Lutate Hai Aashikeen Kehte Hai Phir Bhi Kalb Hamare Na Bhar Sake Hum Zair E Hussain (A.s.) Ki Khidmat Na Kar Sake Aai Zair E Hussain (A.s) Assalam.....4 Jo Raste Me Karbobal Ke Guzaar Gai
7

Kaise Kahu Ke Mir Takallum Woh Mar Gaie Pardes Me The Laut Ke Woh Apne Ghar Gaie Aaie Ajal Bataun Woh Zair Kidhar Gaie Dare Fana Se Mulk E Baka Legaie Hussain (A.s.) Khud Aake Unko Karbobala Le Gaie Hussain (A.s.) Aai Zair E Hussain (A.s) Assalam.....4 Abad Wallah Ya Zehra (s.a.) Manind Sa Hussaina (A.s.).....2 As Salam .....3

3. Jab Khuda Ko Pukara Ali (A.s.) Aagaie


Ali (A.s.) Aa Gaie.....4 Jub Khuda Ko Pukara Ali (A.s.) Aagaie, Jub Ali (A.s.) Aagaie Zindagi Aagaie.....3 Zindagi Bandagi Raushni Aagai, Raushni Aagai Aagai Aagai Jub Khuda Ko Pukara Ali (A.s.) Aagaie, Jub Ali (A.s.) Aagaie Zindagi Aagaie Maut Inke Muhibbhon Ko Aati Nahi, Aa Bhi Jaaie To Phir Bach Ke Jaati Nahi Maut Ka Khatar Maut Se Kya Hai Dar, Is Se Bach Na Bhi Kya Aagai Aagai Jub Khuda Ko Pukara Ali (A.s.) Aagaie, Jub Ali (A.s.) Aagaie Zindagi Aagaie Teri Masnad Pe Gairon Ko Bithla diya, Warise Mustafa Mazhar E Kibriya Tu Ali (A.s.) O Wasi O Wali (A.s.) Hi Raha, Manzilat Me Teri Kya Kami Aagaie Jub Khuda Ko Pukara Ali (A.s.) Aagaie, Jub Ali (A.s.) Aagaie Zindagi Aagaie Hum Ke Sarsar Ishk O Tawalla Me The, Jaante Hi Na The Nafraton Dushmani Yeh Tabarrah Bhi Wallah Kya Cheez Hai, Hum Ko Agiyar Se Dushmani Aagaie Jub Khuda Ko Pukara Ali (A.s.) Aagaie, Jub Ali (A.s.) Aagaie Zindagi Aagaie Maslak E Ishk Me Maangna Aaib Hai, Mai Bhi Khamoosh Hun Woh Bhi Khamosh Hai Unko Sub Hai Khabar Isliye Chup Hun Mai, Kya Hua Aankh Me Gar Nami Aagaie Jub Khuda Ko Pukara Ali (A.s.) Aagaie,
9

Jub Ali (A.s.) Aagaie Zindagi Aagaie Khums Dena Mawaddat Ki Ek Shart Hai, Aur Na Dena Bhi Misle Fidak Hai Gunah Hak Ke Saadat Zehra (S.a.) Ke Makrrooz Se, Jub Tabarra Suna To Hasi Aagai Jub Khuda Ko Pukara Ali (A.s.) Aagaie, Jub Ali (A.s.) Aagaie Zindagi Aagaie Kyun Na Roie Woh Kismat Ko Apni Sada, Jin Ka Pura Mukddar Hai Lanat Zada Jin Ki Kismat Me Apne Hi Aamal Se Binte Ahmad (S.a.w.w.) Ki Naarazgi Aa Gai Jub Khuda Ko Pukara Ali (A.s.) Aagaie, Jub Ali (A.s.) Aagaie Zindagi Aagaie Sura E Aale Imran Bhi Hai Gawah, Misle Kausar Hui Aal Unko Ata Woh Jo Kehte The Abtar Nabi Ko Mere Unki Kismat Me Hi Abtari Aagai Jub Khuda Ko Pukara Ali (A.s.) Aagaie, Jub Ali (A.s.) Aagaie Zindagi Aagaie Ishk E Haidar Me Phirte The Shaam O Sahar, Unke Maddah Hai Sare Jin O Bashar Unki Aawargi Ka Safar Dekh Kar, Zahn Me Fikr E Aawargi Aagai Jub Khuda Ko Pukara Ali (A.s.) Aagaie, Jub Ali (A.s.) Aagaie Zindagi Aagaie Shairi Ki Sharait Bata Bhi Gaie Aur Mai E Ishk E Haidar Pila Bhi Gaie Sibte Jafar Mai Kurban E Ishk Ke Ibne Jaafar Ko Bhi Shairi Aagai Jub Khuda Ko Pukara Ali (A.s.) Aagaie, Jub Ali (A.s.) Aagaie Zindagi Aagaie

10

4. Manqabat - Mola Reza (A.s.)


Aaisa Dunia Me Koi Banda E Rehman (S.w.t) Nahi.....2 Jis Pe Sultan E Khurashn (A.s.) Ka Ehsan Nahi Aaisa Dunia Me Koi Banda E Rehman (S.w.t) Nahi Is Tarha Teri Karimi Pe Yakin Hai Mujhko.....2 Jaise Tawheed Me Shak Ka Koi Imkan Nahi Aaisa Dunia Me Koi Banda E Rehman (S.w.t) Nahi Wahan Gai Fikr Meri Madh E Raza (A.s.) Ke Khatri.....2 Jahan Jibril Ke Jane Ka Bhi Imkan Nahi Aaisa Dunia Me Koi Banda E Rehman (S.w.t) Nahi Shaikh Ji Madh E Raza (A.s.) Sun Ke Yeh Hairat Kaisi.....2 Kya Kabhi Tum Ne Sui Sura E Rahman Nahi Aaisa Dunia Me Koi Banda E Rehman (S.w.t) Nahi Tere Darbar Me Bajti Hui Nobat Ki Kasam.....2 Kam Azanon Se Teri Jeet Ka Elan Nahi Aaisa Dunia Me Koi Banda E Rehman (S.w.t) Nahi Har Ghadi Lab Pe Meri Name Ali (A.s.) Rehta Hai.....2 Kaun Kehta Hai Ke Mai Hafiz E Quran Nahi Aaisa Dunia Me Koi Banda E Rehman (S.w.t) Nahi Milgaya Jub Teri Khuddami Ka Tamha Isko.....2 Ab Tere Mir Hasan Ko Koi Arman Nahi Aaisa Dunia Me Koi Banda E Rehman (S.w.t) Nahi

11

5. Jab Ayaa e Baligh


Jub Aaiyae Baligh Tere Tewar Nazar Aaie.....3 Dunia Me Ali (A.s.) Sub Se Kadawar Nazar Aaie Jub Ayaa E Ballig Tere Tewar Nazar Aaie Suraj Ki Kahin Dhoop Kahin Ishk Ka Saaya.....2 Ek Wakht Me Do Tarha Ke Manzar Nazar Aaie Jub Ayaa E Ballig Tere Tewar Nazar Aaie Ek Noor Ke Do Tukde The Aania E Khum Me.....2 Jis Rukh Se Bhi Dekha Woh Barabar Nazar Aaie Jub Ayaa E Ballig Tere Tewar Nazar Aaie Elan Wilayat Ka Hazaron Ne Suna Tha.....2 Mangi Jo Shahadat To Bahattar Nazar Aaie Jub Ayaa e Ballig Tere Tewar Nazar Aaie Hathon Se Mere Chut Gaya Sagar E Kausar.....2 Kausar Pe Jo Khud Saki E Kausar Nazar Aaie Jub Ayaa E Ballig Tere Tewar Nazar Aaie Allah (S.w.t.) Re Yeh Mojiz E Noor E Wilayat.....2 Andhon Ko Bhi Maidan Me Haidar Nazar Aaie Jub Ayaa E Ballig Tere Tewar Nazar Aaie Nabion Ko Jahan Dhoond Raha Tha Mai Wahan Par.....2 Fizza Nazar Aaie Kabhi Kambar Nazar Aaie Jub Ayaa E Ballig Tere Tewar Nazar Aaie Kehdena Yeh Behlol Hai Yeh Mir Hasan Bhi.....2 Dunia Jo Uthaie Hue Patthar Nazar Aaie Jub Ayaa E Ballig Tere Tewar Nazar Aaie

12

6. Ishq E Haider Jeet Gaya


Haider (A.s.)..... Ishk E Haider (A.s.).....Haider (A.s.).....Haider (A.s.) Bekhatar Toot Pada Atish E Namrood (l.a.) Me Ishk Zer E Khanjar Bhi Raha Sajda E Mabood Me Ishk Ishk Chalta Hai Dahak Te Hue Angaron Par Ishk Khudbon Kalam Karta Hai Angaron Par Ishk Ki Aag Me Namrood Jhulaz Jaate Hai Khak Ho Jaate Hai Jo Ishk Se Takrate Hai Har Gai..... Har Gai Sub Teer O Khanjar,ishk E Haider (A.s.) Jeet Gaya Ishk E Haider (A.s.) Jeet Gaya.....4 Wah Re Kya Sardari Hai, Shahi Hamesh Hari Hai Takht Shahi Ka Ho Gaya Pasta, Zikr Ali (a.s.) Ka Jari Hai Ahle Sakifa..... Ahle Sakifa Haar Gai Aur Khum Ka Mimbar Jeet Gaya Ishk E Haider (A.s.) Jeet Gaya.....4 Kitne Dhamake Tumne Kiye, Phir Bhi Kahan Masoom Dare Hasti Hai Khud Maut Bhi Tumpar, Bacchon Se Tum Har Gaie Nade Ali (A.s.) Jo..... Nade Ali (A.s.) Jo Sun Ke Piya Woh Sheer E Madar Jeet Gaya Ishk E Haider (A.s.) Jeet Gaya.....4 Kismat Nasle Ummaiya Ki, Jeet Gaya Phir Ibne Adi Rauza Jub Mismar Kiya To Lash Salamat Hi Nikli Aao Mubarak..... Aao Mubarak Baad De Usko, Phir Wahi Naukar Jeet Gaya Ishk E Haider (A.s.) Jeet Gaya.....4 Sath Ali (A.s.) Ke Jaienga, Sue Jannat Matwala Roienge Humpar Hasne Wale Jub Yeh Kahenga Unse Khuda Shia Kafar..... Shia Kafar Kehnewalon, Dekh Le Kafar Jeet Gaya Ishk E Haider (A.s.) Jeet Gaya.....4 Nazim E Nazm E Mehfil Hai, Kurb E Meesam Hasil hai Zikr Ali (A.s.) Ka Karta Tha, Ab Zikr E Ali (A.s.) Me Shamil Hai
13

Har Gaie..... Har Gai Sub Dushman E Haider (A.s.), Sibt E Jaafar Jeet Gaya Ishk E Haider (A.s.) Jeet Gaya.....4 Ahle Sitam Ke Hosh Ude Usne Ki Tableegh Aaise Haider (A.s.) Haider (A.s.) Haider (A.s.) Haider (A.s.) Mit Nahi Paaya Dunia Se Kehti Hai Yeh..... Kehti Hai Yeh Sindh Ki Dharti Lal Qalandar Jeet Gaya Ishk E Haider (A.s.) Jeet Gaya.....4 Shukr Ata Kar Madar Ka, Naukar Hai Tu Haider (A.s.) Ka Tere Aqaide Ne Aai Takallum Kaam Kiya Hai Khanjar Ka Jub Bhi Munafiq..... Jub Bhi Munafiq Aaie Mukabil, Banda E Qambar Jeet Gaya Ishk E Haider (A.s.) Jeet Gaya.....4

14

7. Mai Howa Sajda Howa


Maula Ya Maula, Al Ajal Ya Maula.....2 Mai Hua Sajda Hua Masjid Hui Kaaba Hua.....2 Har Koi Hai Aap Ke Dee Dar Ko Tarsa Hua Mai Hua Sajda Hua Masjid Hui Kaaba Hua.....2 Dekhta Rehta Hun Hathon Ki Lakeerain Raat Din.....2 Aap Ka Deedar Ho Shayed Kahin Likha Hua Mai Hua Sajda Hua Masjid Hui Kaaba Hua.....2 Aaiyea Aur Kum Ba Izni Kehke Zinda Kijiye.....2 Muntazir Hun Zindagi Ki Kabr Me Soya Hua Mai Hua Sajda Hua Masjid Hui Kaaba Hua.....2 Woh Mujassam Muntazar Aur Mai Adhura Intazar.....2 Al Ajal Kehte Hue Mai Yun Bhi Sharminda Hua Mai Hua Sajda Hua Masjid Hui Kaaba Hua.....2 Sunta Raha Hun Aaienge Abbas (A.s.) Bhi Sath Aap Ke.....2 Kab Se Hai Mera Tasawwur Bas Yahin Thehra Hua Mai Hua Sajda Hua Masjid Hui Kaaba Hua.....2 Toor E Kaba Par Tera Deedar Karne Ke Liye.....2 Sar Ke Bal Aaunga Maul Mai Agar Zinda Hua Mai Hua Sajda Hua Masjid Hui Kaaba Hua.....2 Az Mohammad (s.a.w.w.) Ta Mohammad (a.t.f.s.) Dastakhat Sub Ne Kiye.....2 Sare Ghar Ke Faisle Se Faisla Hur (A.s.) Ka Hua Mai Hua Sajda Hua Masjid Hui Kaaba Hua.....2 Hal Ata Ki Aaiyatein Padh Kar Kiya Hai Khud Ko Sair.....2 Jub Kabhi Akbar Aliwalon Ke Ghar Faka Hua Mai Hua Sajda Hua Masjid Hui Kaaba Hua.....2 Maula Ya Maula, Al Ajal Ya Maula.....2

15

8. Fazeelat E Namaz
Haiya Alas Sala.....2 Haiya Ala Khairil Aal Ali (A.s.) Se Pooche Fazilat Namaz Padh Ne Ki.....4 Jo Kar Raha Hai Mazamat Namaz Padh Ne Ki Ali (A.s.) Se Pooche Fazilat Namaz Padh Ne Ki Namaz Padni Hai Agar Waris E Namaz Ke Sath.....2 Abhi Se Daal Lo Aadat Namaz Padh Ne Ki Ali (A.s.) Se Pooche Fazilat Namaz Padh Ne Ki Mai Chahta Hun Ali (A.s.) Ke Ali (A.s.) Se Baat Karu.....2 Mujhe Yun Rehti Hai Ujlat Namaz Padh Ne Ki Ali (A.s.) Se Pooche Fazilat Namaz Padh Ne Ki Mai Jab Musalle Pe Aaun To Dil Yeh Kehta Hai.....2 Hai Karbala Se Ijazat Namaz Padh Ne Ki Ali (A.s.) Se Pooche Fazilat Namaz Padh Ne Ki Hai Muinkirane Nabi O Ali (A.s.) Jo Kehte Hai Nahi Hai Koi Zarurat Namaz Padh Ne Ki Agar Bagair Wilayat Ho Phir To Theek Hai Yeh.....2 Nahi Hai Koi Zarurat Namaz Padh Ne Ki Ali (A.s.) Se Pooche Fazilat Namaz Padh Ne Ki Mai Kibla Ru Tha Zaree E Hussain (A.s.) Saam Ne Thi.....2 Do Bala Ho Gai Lazzat Namaz Padh Ne Ki Ali (A.s.) Se Pooche Fazilat Namaz Padh Ne Ki Safe Namaz Pe Aau Ke Farsh E Matam Par.....2 Mai Kar Ke Aata Hun Niyat Namaz Pad Ne Ki Ali (A.s.) Se Pooche Fazilat Namaz Padh Ne Ki Namaz Padhti Rahi Karbala Me Unki Namaz.....2 Jo Kar Rahe The Hifazat Namaz Padh Ne Ki Ali (A.s.) Se Pooche Fazilat Namaz Padh Ne Ki Khuda Se Maang Takallum Ali (A.s.) Ali (A.s.) Ka Silah Ali (A.s.) Se Maang Le Ujrat Namaz Padh Ne Ki Ali (A.s.) Se Pooche Fazilat Namaz Padh Ne Ki
16

9. Hussain (A.s) Tere Liye


Hussain (A.s.) Tere Liye.....8 Hussain (A.s.) Wale Hai Zinda, Hussain (A.s.) Tere Liye.....3 Hussain (A.s.) Tere Liye.....2 Inhe Batool (S.a) Ne Bheja, Hussain (A.s.) Tere Liye.....2 Hussain (A.s.) Wale Hai Zinda, Hussain (A.s.) Tere Liye Hussain (A.s.) Tere Liye.....2 Duaen Raton Ko Karte The Kisliye Haider (A.s.) Yeh Raz Karbobala Me Aiyan Hua Sab Par Ali (A.s.) Ne Maanga Tha Beta..... Hussain (A.s.) Tere Liye.....2 Hussain (A.s.) Wale Hai Zinda, Hussain (A.s.) Tere Liye Hussain (A.s.) Tere Liye.....2 Fakat Zaban Se Ya Laitani Nahi Kehte Subut Dete Hai Halke Yeh Pursa Daron Ke Lahu Badan Ka Hai Sara..... Hussain (A.s.) Tere Liye.....2 Hussain (A.s.) Wale Hai Zinda, Hussain (A.s.) Tere Liye Hussain (A.s.) Tere Liye.....2 Tere Bagair Nahi Lagta Dil Payambar Ka Bata Raha Hai Hum Ko Zuhoor Akbar (A.s.) Ka Rasool (S.a.w.w.) Aaie Dubara..... Hussain (A.s.) Tere Liye.....2 Hussain (A.s.) Wale Hai Zinda, Hussain (A.s.) Tere Liye Hussain (A.s.) Tere Liye.....2 Na Rashk Aaie Mujhe Apne Laal Par Kyunkar, Abhi To Roza Bhi Wajib Nahi Hua Uspar Magar Woh Rakhta Hai Faka..... Hussain (A.s.) Tere Liye.....2 Hussain (A.s.) Wale Hai Zinda, Hussain (A.s.) Tere Liye Hussain (A.s.) Tere Liye.....2 Uthenge Tazie walah yeh Sar Rahe Na Rahe Game Hussain (A.s.) Rahe Ga Pisar Rahe Na Rahe Julus Chalta Rahenga.....
17

Hussain (A.s.) Tere Liye.....2 Hussain (A.s.) Wale Hai Zinda, Hussain (A.s.) Tere Liye Hussain (A.s.) Tere Liye.....2 Har Ek Shaheed Ke Lab Pe Yahi Tarana Hai Qaza To Tujhse Mulakat Ka Bahana Hai Mai Bar Marunga..... Hussain (A.s.) Tere Liye.....2 Hussain (A.s.) Wale Hai Zinda, Hussain (A.s.) Tere Liye Hussain (A.s.) Tere Liye.....2 Bashar Woh Saccha Nahi Dava e Mohabbat Me Woh Sar Kataienga Kya Khaak Teri Nusrat Me Jo Sar Jhuka Nahi Sakta..... Hussain (A.s.) Tere Liye.....2 Hussain (A.s.) Wale Hai Zinda, Hussain (A.s.) Tere Liye Hussain (A.s.) Tere Liye.....2 Hayat Matam E Sarwar (A.s.) Me Wakf Ki Tune Kiya Hamesha Takallum Ali (A.s.) , Ali (A.s.) Tune Tu Dekh Karte Hai Kya Kya..... Hussain (A.s.) Tere Liye.....2 Hussain (A.s.) Wale Hai Zinda, Hussain (A.s.) Tere Liye Hussain (A.s.) Tere Liye.....2

18

10. Sar Dar E Aale Muhammed (S.a.w.w.)


Maula (A.s.) Ya Maula (A.s.).....2 Assalam Aai Mustafa (S.a.w.w.) Assalam Aai Murtaza (S.a.) As Salam Aai Saiyada (S.a.) As Salam Aai Mujtaba (A.s.) Ya Shaheed E Karbala (A.s.) Sar Dare Aale Mohammed (A.s.) Par Jhukana Chahiye Apni Naslon Ko Wafadari Sikha Na Chahiye Sar Dare Aale Mohammed (A.s.) Par Jhukana Chahiye Aai Khud Jannat Kisi Mohtaj Ko Karde Ata.....2 Mujhko Jannat Ki Jagah Aashur Khana Chahiye Sar Dare Aale Mohammed (A.s.) Par Jhukana Chahiye.....2 Koi Namus E Risalat Par Agar Hamla Kare.....2 Aaise Murda Shaks Ko Zinda Jalana Chahiye Sar Dare Aale Mohammed (A.s.) Par Jhukana Chahiye.....2 Aadmi Ko Saheb e Eman Hone Ke Liye.....2 Dhoom Se Jashn e Abutalib (a.s.) Manana Chahiye Sar Dare Aale Mohammed (A.s.) Par Jhukana Chahiye.....2 Baap Ki Jagir Par Bete Ka Haq Hai Isliye.....2 Ek Alam Kabe Ki Chat Par Bhi Lagana Chahiye Sar Dare Aale Mohammed (A.s.) Par Jhukana Chahiye.....2 Jinke Dil Me Jal Raha Hai Bugz E Haider (A.s.) Ka Dia.....2 Unko Kabron Me Nahi Samshan Jaana Chahiye Sar Dare Aale Mohammed (A.s.) Par Jhukana Chahiye.....2 Jo Arize Jism Par Likhta Hun Mai Zanjeer Se.....2 Fan Yehi Maula Meri Naslonme Aana Chahiye Sar Dare Aale Mohammed (A.s.) Par Jhukana Chahiye Yeh Sabab Akbar Diya Hai Hum Ko Meesam Ne Sada.....2 Kutch Bhi Ho Jaai Aqeede Ko Bachana Chahiye Sar Dare Aale Mohammed (A.s.) Par Jhukana Chahiye Maula (A.s.) Ya Maula (A.s.)..... Ya Shahe Karbobala (A.s.)..
19

Anda mungkin juga menyukai