Anda di halaman 1dari 4

Har haal mein apnay liyay aik hifazati plan banana zaruri hai, beshak ap ney apnay shohur ko

chornay ka faisla kiya ho yaa us ko aik aur moqa denay ka. In steps par amal karnay say shayad
ap ko zehni sukoon haasil ho sakay.
Ghar par:
1. Kissi aisey dost ya rishteydar ko jis par ap bharosa kartay hain, apnay halat say agah
karain. Agar ap nay chornay ka faisla kiya hai to pehley unhey thori information dain,
takey yeh andaza kar sakain ka ap un par bharosa kar sakti hain ya nahi. Agar ap nay
rehnay ka faisla kiya hai to unhey jitni ho sakay utni detail main batayen takay wo
mushkil key waqt ap ko aa kay ley jayen chahay thori dair key liyay hi.
2. Emergency ki halat main apni options sey waqif hoon. Aisey logon ki list banayen jin kay
saath ap ja ker reh sakti hain.
Agar chornay ka faisla kiya hai/ Agar rehney ka faisla kiya hai:
- Rishtaydaar: Agar ap kay maan baap/behen bhai ap ka saath day rahain hain to kya woh
ap ki hifazat kar saktay hain kyunkey ap kay susral waley/shohur sub say pehley ap ko
yahin dhoondey gay.
-Dost: Kya un kay paas gari hai? Kya woh ap ko dair raat mein pick kar saktay hain?
- Idaray/shelters: Kya aisey idaray hain jo ap ki madad kar saktay hain? Woh kis kisam ki
services provide kar saktay hain? Is tarah ki baaton ka andaza laganey kay liyay ap
humara resource page bhi use kar saktay hain.
3. Apnay shohur ko chorney kay fawaid aur nuqsanat ki list banayen.
4. Agar ap ko sirf maa baap say milnay ki ijazat hai to kisi dost ko kahain ap say wahan milay
aur us kay saath chornay ka plan banaiye.
5. Agar ap ko apnay dost, rishteydar ya shelter tak pohunchney kay liye kisi aur sheher jana
paray ga to andaza lagayen key ap din key kisi bhi waqt wahan tak kaisey pohunch sakti hain.
6. Aik emergency bag pack karain jis main zarurat ka saman ho: kapray, toothbrush, khana, cash,
cheque book, bank/credit cards, zaruri phone numbers aur documents. Emergency bag ghar main
chupa kar rakhain ya kisi qareebi dost/rishtaydar kay ghar.
7. Zaruri medicine apnay sath lay jana yaad rakhye ga.
8. Apni koi bhi qeemti cheez apnay saath lay kar jayen kyunkey phir wapis ana shayad ap kay
liye safe na ho.
9. Is baray mein sochen kay ap baghair shak paida kiye ghar sey kaisey nikal sakti hain. Kam az
kam aik bar practice kar key deken key ap ko kitni dair lagti hai aur konsi mushkilat ka samna
hota hai.
10. Ap kahan jayen gi is baray main maalomat research karain.
11. Agar dar hai kay gari block hojaye gi to usey street main park karain aur gari main daakhil
hotay hoye dhyaan rakhain kay baqi darwazey lock hain ya nahi. Gari main petrol hamesha full
rakhain.
12. Apnay shohur/susraal walon ki abuse ka saboot awaaz, photo ya video ki shakal main record
karnay ki koshish karain. Yeh talaaq ya bachon ki custody ki surat-e-haal main bohut mufeed
sabit ho sakta hai. Lekin yeh tabih karain jab safe ho.
13. Sub dhamki amez aur tung karnay wali phone calls ya mulaqaton ka record rakhain. Texts
aur email ki digital copies rakhain. Apni choton ka saboot document karain.
14. Agar ap kay bachay baray aur samajhdar hain to unhain sikhayen takay woh mushkil kay
waqt kisi ko madad key liye bula sakain. Emergency kay liye unhain koi code word sikha dain.
15. Un logon kay phone numbers jo ap ki madad kar saktay hon yaad kar lain, ya hamesha apnay
wallet main rakhain.
16. Apnay emergency bag main extra chabiyon (keys) ka set rakhain takay ap ka shohur/susraal
walay ap ko kamray ya ghar main qaid na kar sakain.
17. Is bat ka andaza karain kay ap ko khud say rehney kay liye kitnay paison ki zarurat hai. Is
tarah agar ap khud paisey kama rahi hain, ya kisi say borrow karnay ka soch rahi hain donon
halaat main ap ko faida hoga.
18. Bachat kay zariye yeh raqam jama karnay ki koshish karain. Hamesha apnay saath itni raqam
rakhye jis sey bus/taxi ka karaya day sakain ya kisi hotel main kuch din reh sakain. Apnay naam
par aik credit card lain, aur aik savings account bhi kholain.
19. Itni raqam jama karnay ki koshish karain jis say security deposit or 3 mahiney ka rent day
sakain.
20. Apnay kamray ko har qism kay hathyar (weapon) say khali kar lain. Un ko kisi safe jaga par
chupa dain. Agar ghar main koi dangerous chemicals hain to us kamray main har giz na jayen.
Agar ap ko shak hai kay koi ap ko aag laga day ga to forun police to call karain.
21. Agar ap alag kamron main so rahay hain to raat ko karma lock kar key soyen. Aik khufiya
(secret) phone apni bra main ya us kamray main chupa kar rakhain jahan ap ko dar hai ap ka
shohur ya susral walay ap ko qaid karnay ki koshish karain gay.
22. Agar ap ki larai hoyi hai to aisey kamray main janay ki koshish karain jahan ap ko bund na
kiya ja sakay aur jahan par koi gun/acid/oil na ho. Agar ap kay susral walay abusive nahin to
larai un kay pas ley janay ki koshish karain aur un kay kamray main sonay par israr karain.
23. Apnay dafaa ya bachao ki kuch bunyadi techniques seekhnay ki koshish karain. Is say ap ki
khud aitamadi main izafa hoga. Lekin apnay shohur say larnay ki koshish na karain. Is say ap ki
jaan bhi khatray main par sakti hai.
24. Apna mobile phone hamesha charged rakhain aur zaruri numbers speed dial par rakhain.
25. Agar ap kay pas smart phone hai to PFO ya Circle of 6 jaisi koi personal safety app download
kar lain.
26. Apnay ap ko hamesha logon sey gheray rakhain. Agar ap ka shohur chutti par hai to
rishtaydaaron ko ghar bula lain ya khud un kay pas rehnay chali jayen. Jitna kam waqt ap akelay
us kay saath guzarain gi utna hi abuse ka kam chance ho ga.
Larai kay doraan aur baad main:
1. Apnay ap ko pur-sakoon rakhain aur shohur ka ghussa kam karnay ki koshish karain.
Usey yaqeen dilayen kay ap us ki baat sun rahi hain.
2. Us kay saath behes na karain agar us ko is baat say ghussa charhta hai.
3. Agar awaaz say bachay jaag jayen ya agar woh kamray main ap kay saath hain to unhain
bachanay ke liye apnay ap ko un say dur rakhain. Agar ap nay code word rakha hua hai to
woh bolain takay woh madad kay liye kisi ko bula sakain.
4. Agar ap ko shadeed zakhmi honay ka khadsha hai to apnay susral walon kay pas bhag
jayen ya ghar walon/doston ko forun call karain. Agar ap kay shohur ki tawaja kahin aur
hai to bachay, emergency bag, purse, chabiyan lain aur gari lay kay chali jayen.
5. Agar ap forun bhaag nahi sakteen to shohur kay sonay ka intizaar kijiye, ya bachon ko
check karnay ka bahana banaye.
6. Agar ap ko chot lagi hai to abuser kay so janay ya kisi kaam main masroof honay ka
intezar kijiye aur phir kisi ko madad kay liye call karain ya apnay susral walon kay pas
jayen. Bathroom main hamesha bandages aur antiseptic medicine rakhain.
7. Agar ap shohur kay haath main koi bhi hathyar dekhain, to forun wahan say nikal jayen.
Uska ghussa thanda karnay ki koshish na karain.
8. Hamesha apnay saath aik extra phone rakhain kyunke ap ka shohur larai kay doraan ap
say ap ka phone lenay ki koshish kar sakta hai. Agar ap dost ya rishtaydar ko madad kay
liye bula rahi hain to wahan say phone karain jahan shohur tak ap ki awaz na jaye. Agar
ap kay qareeb koi nahi rehta to police ko call karain.
Shohur kay ya khud ghar chornay kay baad lenay walay hifazati intizamat:
1. Agar woh ap ka ghar chor chuka hai to sab darwazon aur khirkiyon (windows) kay locks
tabdeel karwayen. Agar ap kisi kay ghar reh rahi hain to wahan bhi yay karnay ki koshish
karain. Apni mojodgi ko raaz rakhain.
2. Agar ap ghar chor kay aisay ilaqay main jayen jahan woh/us kay rishtaydar ya ap kay
rishtaydar rehtay hain to bachon kay saath ghar say na niklain, aur zarurat paray to shakal
chupanay kay liye burqa pehen lain.
3. Kisi bhi halat main apnay shohur ko bachon say us jaga na milnay dain jahan ap ko panah
mili hai. Kisi public place main milnay par israr karain.
4. Aik nya phone lain aur sab app ki location settings/ GPS off kar dain. In apps kay zariye
ap ka number trace karwana zyada mushkil nahi. Jis ko bhi apna number dain usay ap
kay shohur ko number denay say mana karain.
5. Darwaza tab tak na kholain jab tak pata na chal jaye bahir kon hai. Apnay parosiyon ko
apna sahi naam aur halaat na batayen jab tak yaqeen nahi hojata keh ap un par bharosa
kar sakti hain.
6. Agar ap ko koi mashkook package milay jo ap nay order nahi kiya to usay har giz na
kholain aur phaink dain.
7. Agar ap kay bachay hain to unhay sikhaiye kay woh ap ko kis tarah call kar saktay hain
agar ap ka shohur unhay kidnap kar lay. Unhay yay samjhaiye kay ap ko kyun ghar
chorna para.
8. Sub dhamki amez aur tung karnay wali phone calls ya mulaqaton ka record rakhain. Texts
aur email ki digital copies rakhain. Apni choton ka saboot document karain.
Gari main hifazati intizamat
1. Apni gari hamesha roshun jaga par park karain. Agar lagay kay koi ap ko dekh raha hai
ya paas araha hai to gari say na niklain. Gari say woh sab personal cheezain nikal dain jis
say gari pehchani ja sakay.
2. Mechanic say gari main locking gas cap lagwayen jo sirf gari kay andar say unlock ho
sakti hai.
3. Gari main tab tak na baithain jab tak yaqeen na karlain kay gari khali hai.
4. Drive ya intezar kartay hoye hamesha darwazay lock rakhain.
5. Agar ap ko lagay kay koi ap ka peecha kar raha hai to usko traffic main peechay chornay
ki koshish karain. Agar yay nahi hosakta to kisi rush wali jaga par chali jayen jahan ap
asani say logon main ghayeb hosakti hain.
6. Gari main hamesha mobile ki spare battery aur burqa rakhain.
7. Agar gari tak akelay jana ap ko safe na lagay to kisi ko kahain kay ap kay saath gari tak
aye.
8. Agar ap ka kabhi public place main apnay abuser say samna hojaye to cheekh kar logon
ki tawaja (attention) hasil karain ya rush main gum hojanay ki koshish karain.
9. Agar ap ka abuser gari main ap kay sath ghus jaye to chabiyan (keys) lay kar gari say
nikalnay ki koshish karain. Agar woh ap ko rokay to horn bajayen aur madad kay liye
cheekain.
10. Agar ap ka shohur gari kay qareeb aye aur rasta rokay to gari say na niklain. Usey gari
maray baghair gari nikalnay ki koshish karain, warna gari lock kar kay andar baithi
rahain.
Kaam ki jaga hifazati intezamat:
1. Apnay boss aur colleagues ko apnay halaat say agah kar dain takay agar ap ka shohur
ap say wahan milnay ya call karnay ki koshish karay to woh tayyar hon.
2. Koi bhi aisay mashkook packages qabool na karain jo ap nay order nahi kiye.
3. Apni car kisi safe jaga park karnay ki ijazat mangiye aur kisi kay saath intezam kijiye
takay woh gari say office tak aur office say gari tak ap kay saath chal sakay.
4. Apnay colleagues kay saath wahan say nikalnay ka koi plan banaiye kisi aisi surat-e-
hal kay liye jab ap ka shohur office tak pohunch jaye.
5. Apnay office main kisi ko kehye kay agar ap kisi bhi din office aik fixed time tak nahi
pohunchi to ap ko ya kisi dost/rishtaydar ko phone kar kay pooch lay.

Anda mungkin juga menyukai