Anda di halaman 1dari 2

Jaao ke na ab deyr karo Qafela lutgaya amma mera lashkar na raha, amma nana ki nishaani Ali Akbar na rah

a, rehgaya dard-e-kamar haaye baradar na raha. Ab khabar aapne li ghar ki ke jab ghar na raha. Aur ab dam-e-zibha ye pure mere armaa(n) karna. Arsh ke niche na baalo(n) ko parishaa(n) karna (Jaao ke na ab deyr karo, dekho na amma, ab laal tera zeen pe hai aur na zamee(n ) par) x3 Aap aayi hai amma mei salaami ko na uttha Hai dard kaleje mei jo uthna nahi deta Hasrat se tere pehle mei dam mera nikalta Mei cheyn se sojata tere god mei madar Ab laal tera zeen pe hai aur na zamee(n) par, Jaao ke na ab deyr karo, dekho na amma, ab laal tera zeen pe hai aur na zamee(n) par Are kuch deyr mei neze pe rakha honga mera sar Na dekhna us waqt mujhe madar-e-muztar Chaljayenga us waqt tere qalb pe khanjar Gore abhi dorenge meri laash ke uppar Ab laal tera zeen pe hai aur na zamee(n) par, Jaao ke na ab deyr karo, dekho na amma, ab laal tera zeen pe hai aur na zamee(n) par Mei subh se ta asr uthata raha lashe Daman mei chune qasim-e-nawshaah ke tukre Lipta Ali Akbar ka kaleja tha sina se Amma mere chehre pe hai khun-e-Ali Asghar Ab laal tera zeen pe hai aur na zamee(n) par, Jaao ke na ab deyr karo, dekho na amma, ab laal tera zeen pe hai aur na zamee(n) par Is haal mei amma hai teri god ka pala Maqtal mei mera khogaya har eik ujaala Hai kon Sakina ko meri poochne wala Soeyngi mere sine pe kaise meri dukhtar Ab laal tera zeen pe hai aur na zamee(n) par, Jaao ke na ab deyr karo, dekho na amma, ab laal tera zeen pe hai aur na zamee(n) par Dekho to qayamt hai bapa ehl-e-haram mei Khayme se nikal aayi hai Zainab mere gham mei Ab ane ko hai bibiya(n) bahar koi dam mei Samjaawo unhe amma rahe khayme ke andar Ab laal tera zeen pe hai aur na zamee(n) par, Jaao ke na ab deyr karo, dekho na amma, ab laal tera zeen pe hai aur na zamee(n) par

Lo saans ubharne lagi dil doob raha hai Nazro(n) mei meri Zainab-e-muztar ki rida hai Abid se thi umeed so wo ghash mei para hai Kya honga mere baad Sakina ka muqaddar Ab laal tera zeen pe hai aur na zamee(n) par, Jaao ke na ab deyr karo, dekho na amma, ab laal tera zeen pe hai aur na zamee(n) par Ay "Sarwar-o-Rehan" bayaan kaise ho manzar Sheh kehte the amma ye kara waqt hai mujpar Kistarha kaleje se lagu aapke uth kar Kyu munga qadam aapke ab mei lab-e-quasar Ke ab laal tera zeen pe hai aur na zamee(n) par, Jaao ke na ab deyr karo, dekho na amma, ab laal tera zeen pe hai aur na zamee(n) par

Anda mungkin juga menyukai