Anda di halaman 1dari 1

Roke sajjad se karti thi sakina ye kalam Kya abhi dur hai shaam x2 Mere bhai mere bekas

mere mazloom imam Roke sajjad se karti thi sakina ye kalam Kya abhi dur hai shaam x2 1) Hoke hum kaid yuhi chalte rahenge kab tak gum sahenge kab tak x2 kab khulegi ye rasan kab ye safar ho ga tamam Kya abhi dur hai shaam x2 2) Zapt karne ke lie kaunsa dli laaon mai kash mar jaaon mai x2 aurate dekhti hai aake tamasha labe baam Kya abhi dur hai shaam x2 3) Roo oon baba ko to inaam me durre paaon aur tamache khaaon x2 mai wo beti hu le sakti nahi baap ka naam Kya abhi dur hai shaam x2 4) Sadke kar kar ke khajoore jo ye sab fekte hai hum ye kya dekhte hai x2 hum to saadat hai saadat pe sadkaa hai haram Kya abhi dur hai shaam x2 5) Kisi manzil pe taras khaenge hum par ye lai koi umeed nahi x2 hum garibon ke muqadar me kaha ab araam Kya abhi dur hai shaam x2 6) Gairate nafs meri khoon rulaati hai muje sharam aati hai muje x2 baal chote hai to chupta nahi chehra bhi tamam Kya abhi dur hai shaam x2 7) Abhi zinda ke andheron se guzarnaa hai muje wahi marna hai muje x2 qaidkhane ke andhere hi likhe hai mere naam Kya abhi dur hai shaam x2 8) Binte shabbir ye naiar hai tera fariyaadi tu meri shehzaadi x2 teri turbat pe bhala pohchega tera gulam Kya abhi dur hai shaam x2 Roke sajjad se karti thi sakina ye kalam Kya abhi dur hai shaam x2

Anda mungkin juga menyukai