Anda di halaman 1dari 6

Bismillah

Hirahman
Niraheem
Asalatu Wasalamu Alaika Ya Sayedi Ya Rasool

)Allah (s.a.w.w

Baab
No
1:
Ilm
ki
Fazeelat
!



Ap Musalmaano ke ilmi arooj ke sunehri

adwaar ki dosri qist pardh rahey hain. Baab



:


ilm ki fazeelat ziada se ziada 3 qiston per

muheet aik mazmoon hai jis ki pehli qist ap

ke samney paish ki ja rahi hai. Hamare

nazdeek taaruf ke baad jo sab se aham cheez






) (3 thi woh yeh ke hum ilm ki fazeelat ko bayan

karien, is ki babat qurani ayat, hadith-e



rasool(s.a.w.w) aur buzurgaan-e-deen (r.a.) ke

aqwal se madad li gai hai. Lekin fazeelat ke

baray main baat karney se pehley aik buhat




hi aham nuqta yahan bayan karna lazmi hai


aur woh yeh hai key ilm aur insaan ka apas




main kiya rishta hai? Aur Kiun insaan ashraful


makhlooqat hai? Agar taqat ki baat ki jaye tu





zameen per is se hazar gunah taqatwar

makhlooq zinda hai, agar jisamat ki baat ki



jaye tu is se bari jisamat waley janwar


zameen per moujood hain tu phir kis chez ki



bunyad per insaan afzal hai? Is sawal ka



jawab Quran ki aik buhat hi khubsurat ayat



main dia gaya hai lekin us ayat ko quote


karney se pehley us ka pass-e-manzar bayan




kartey hain: Baat Hazrat Adam (a.s.) ki

takhleeq ke waqt ki hai, Allah ney fariston se

farmaya ke main zameen main khaleefa



muqarar karney wala hon, farishtay hikmat-e-

elahi maloom karney ke liye bolay: Aye Allah


" tu us Insaan ko naib bananey wala hai jo


"
zameen main fasad aur khoon raizi karey ga,

:
hum tu subah shaam teri tasbeeh kartey hain

) (30:

teri ibadat kartey hain teri paaki bayan kartey


hain, Allah ney farmaya: tum nahi jantay jo


main janta hon. (Surat baqara:30) Is ke baad

Allah ney Adam(a.s.) ko tamam un chezon ke


) (31:





) : (32


(33

) :




)

( ) (

) ( !

) (9:


:

:

)
(

naam, sifaat, afaal, khawahis aur asool-ealoom sikha diye jo kisi ko maloom na they
yaani Hazrat Adam (a.s.) ka ilm us waqt ki
tamaam makhlooqat se afzal kar dia phir
malaika ko bulaya un per woh chezain paish
ki gaien aur Allah ney farmaya zara in chezon
ke naam tu batao (Surat Baqara: 31) Kisi
faristay ka jawab na aya, kaise ata kisi ko
pata hi nahi tha ke yeh kon si chezain hain,
Fariston ney kaha hum nahi jantay magar
jitna tune ilm dia (Baqara: 32) Aur jab Adam
(a.s.) ko Allah ney mukhatib kiya tu
Adam(a.s.) ney sab naam suna diye
(Baqara:33) Hazraat is se saabit hota hai ke
insaan ko jis cheez ki badoolat tamaam
makhlooqat per fazeelat haasil hui woh ilm ke
sabab hi haasil hui aur yahan yeh baat bhi
wazih ho gai ke tamam anbiya farishton se
afzal o aala hain aur takreeban tamam
mufasirieen-e-quran is ayat ki babat is baat
per mutafiq hain ke yahan Allah ney farishton
ki hazar-ha saal ki ibadaat se ilm ko afzal
tareen shumar kiya. Dosri baat jo tawajah
talab hai ke zameen per Allah ka nayib insaan
muntakhib huwa, kiun huwa? apney ilm ki
bina per, aur jo shaks jahil hai us ke baray
main ap ka kiya khayal hai? Kiya woh zameen
!!per nayab honey ke qabil hai, hargiz nahi
Kiunke Allah ke nazdeeq aik pardha likha aur
)aik jahil shaks barabar nahi (surat zumar:9
Is ka ishara humain aik hadees main bhi milta
hai
jis
ka
mafhoom
yeh
hai
ke
Huzoor(s.a.w.w) se arz ki gai ya rasool Allah
(s.a.w.w) qayamat kab qaim ho gi tu
ap(s.a.w.w) ney farmaya ke jab amanat zaya
ki jaye tu qayamat ka intezaar karna, poocha
gaya ya rasool allah (s.a.w.w.) amanat kaise
zaya hogi? Farmaya: jab kaam na-ahal logon
ke supard kiya jaye tu qayamat ka intezaar
karna (Shahih bukhari, kitab-ul-ilm, ba

(Alexander
the Great

) (Aristotle



(
Homer
)




10


)
(Chandragupta
Mourya

Chanakya(
)

)RSS

( )BJP (


"

..... qaim

ho ) (


! ....

:



:




)


(

riwayat hazrat abu huraira (r.a.)). Zameen ki


khilafat ko chorain, sirf yeh ghoor karien ke
mulk ki bhag door sambhalna kitni bari
amanat hai jo us mulk ke loag us shaks ke
hawalay kartey hain, badqismati se agar aj ke
scenario main yeh batien ap sochain tu saari
kahani ap ke samney wazih ho jaye gi ke
masala kidher hai aur is mulk ka haal kiun
aisa hai. Jitney bhi baray leaders dunia main
guzrey hain jin ki wajah se un ki saltanat wasi
tareen hoti chali gai, ya yeh kahien ke us ke
anay ke baad us mulk ke waray niyarey ho
gaye woh zaroor apney zamaney ke baray
intellectuals they, aisa ho hi nahi sakta ke kisi
anpardh jahil ko mulk ki bhag door
sambhalney ka kaam day dia ho, agar aisa
koi nikal bhi aya tu yeh baat tu lazim hai ke
woh jang ka commander buhat acha tha,
lekin commander bazaat-e-khud mulk ka
nizaam nahi chala sakta us ko apney sath kisi
parhey likhey, kisi intellectual ka hona zaroori
hai, sikandar-e-azam (alexander the great) ki
misaal hamarey samney hai ke kitna bara
commander tha, kitni bari saltanat thi lekin
phir hum yeh bhi daikhtey hain ke us ki
tarbiyat arasto (Aristotle) ney ki, Arasto ney
sikandar-e-azam ko itna parhako bana dia ke
us ko aik Greek falsafi shayar Homer ki
kitaab di, jise sikandar-e-azam har jang shuru
karney se pehley pardhta tha jis ka nateeja
yeh huwa ke ke sirf 10 saal ke arsay main
woh tehzeebain fatah karta huwa india tak a
gya tha. Dosri taraf humain chandargupt
moray (Chandragupta Maurya) ki misaal milti
hai, us ke anay se pehley India mukhtalif
soobon main bata huwa tha, har sobay ka aik
alehda hukmaran tha, har hukmaran ney
apna apna qibla seedha qiya huwa tha, Jab
chandargupt morya ko pata chala key india
per tu Younaani hamla awar honey lagaye



May be they would
become
the supporting staf

that leader of




He would be the top most
intellect of the country, just
Quaid-e-Azam was

.like

((.







" :


( ) (
)






) (

hain aur yeh hukmaran hain ke kisi ko fikar hi


nahi tu us ney hindu falsafi Chanakaya ki
hidayaat ke saharey poorey india ko mutahid
kiya aur younaanio ko shikast di, aj bhi jab
india ki tareekh likhi jaati hai tu Chandargupt
ka naam sunehri haroof main likha jata hai
aur aj bhi hindu extremists RSS aur BJP se
taaluq rakhney waley hindu isi chanakaya ki
policies per amal kartey hain jab woh akhand
bharat ka nara lagatay hain, lekin dosri taraf
jab hum daikhtey hain ke humain Abraham
Lincoln ke sath koi philosopher nahi nazar
ata, Churchill ke sath koi top intellectual
nazar nahi ata, kiunke un ka apna feham-ofirasat itna ziada tha ke unhon ney apney
apney mulkon ko tabahi se nikal kar dunia ki
sab se taraqi yafta qoumain bana dia.
)Aisi hi aik aur hadees Allah ke rasool(s.a.w.w
ney bayan ki, farmaya: Qayamat qaim ho
gi.. jab ilm uth jaye ga aur juhal qaim ho
)jaye ga(Shahih Bukhari
Aj aik aur baat hum ap ko bari aham batatay
hain, yeh tu sab hi kehtey hain ke kaash
Pakistan ko aik acha leader mil jaye tu is ki
qismat hi badal jaye gi, lekin kuch
sarmayadaar, jageerdaar, capitalists aur
mouroosi hukomot ke paiso per palney waley
tajziya nigar kehtey hain ke tum pagal ho
gaye ho? Kaise miley ga leader? Kahan se
aye ga leader? Koi Imam Mehdi nahi aney
wala, Khawab mat daikho!! Lekin jo in ko
nahi pata woh baat aj se sainkaro saal pehley
aik buzurg farmaya gaye they, farmaya gaya:
Jo hikmat ko lagam laga laita hai loag usey
apna imam bana laity hain, aur jo hikmat ko
samjh leta hai loag usey izat ki nigah se
daikhtey hain.(Jamia-ul Bayan, Baab fazal-eilm) Mashallah kiya khubsurat baat farmai hai
zara ghor karien tu yahan qudrat ka aik buhat
hi aham qanoon poosheeda hai, yaani jo loag

ilm seekhain gey, apni fields main specialists


hon gey woh logon ki nigah main izat waley
ban jain gey, May be they would become the
supporting staf of that leader, aur agar pehli
baat per ghoor kiya jaye tu loag us shaks ko
apna imam bana laitey hain jo hikmat ko
lagaam daal ley, he would be the top most
intellect of the country, just like Quaid-eAzam was. Lekin is se pehley aik shart Allah
pak ney rakhi hai, woh shart yeh hai ke Allah
us qoum ki halat nahi badalta jo apni halat
tum ilm haasil karo, apni apni fields main
specialist ban jao, haan west aur us ke palto
tumhain taleem yafta nahi daikhna chahtey,
ke kahien yeh loag pardh likh gaye tu hamara
kiya baney ga? Kon humain vote daley ga?
Yeh nizaam rahey ga bhi nahi? Yeh nakli
jamhooriyat rahey gi bhi ke nahi? Allah ney
kah dia hai banday tu badal ja zamana tere
qadmon main kar don ga, tujhe kamaal day
don ga, haan tujhe dobara khaleefa bana don
ga jaise tere pehlon ko banaya. Hazraat yeh
baat yaad rakhien ke har nabi apney daur ka
sab se bara intellectual hota hai aur aur
tamam anbiya ke imam Rasool (s.a.w.w) hain
jin ki zaat hamarey liye qayamat tak ke liye
rahnumai hai.
Ab sawal karney walay sawal karien gey ke
bhai aj kal ke zamanay main tu buhat baray
baray sheikh hain, buhat baray baray
intellectuals hain, tu humain kiya pata ke kon
shahi hai kon ghalat, is sawal ke jawab main
hum ap ke samney Rasool paak (sa.w.w.) ki
hadith choray ja rahey hain aur hum faisala
ap per chortay hain ke apney ird gird
daikhain aur jo nishani Rasool (s.a.w.w) ney
batai hai us ko logon main talaash karien,
Inshallah Haq ki talab jis ko ho Allah us per
haq ka ghalba ata kar daita hai. Hadees kuch
yun hai: Rasool s.w.w. ney farmaya: Beshak

tum aisey zamaney main ho jis main ulmae


ziada,
qurra(qirat
karney
walay)
aur
khutba(khateeb) kam hain, dainey waley
ziada aur mangney waley kam hain, anqareeb logon per aik aisa zamana bhi aye ga
ke jis main ulma kam aur kutba ziada hon
gey, dainey waley kam aur bhikaari ziada hon
gey. Is zamaney main ilm, amal se afzal
hoga. (Mowajim Al-kabeer)
Khulasa yeh huwa ke ilm se hi insaan tamam
makhlooqat se afzal hai aur ilm hi ki badolat
woh zameen per khilafat karney ka ahal hai.
Ilm se hi insaan ki dunia o akhrat main izat
hai aur Inshallah agli qist main hum seedha
qurani hawalon aur rasool paak(s.a.w.w) ki
hadeeson ki taraf ruju karien gey jis main ilm
ki fazeelat bayan ki gai hai. Asalatu
Wasalamu Alaika Ya Sayedi Ya Rasool Allah
(s.a.w.w)

Anda mungkin juga menyukai