Anda di halaman 1dari 3

Bismillah Hirahman Nir Raheem

Asalatu Wasalamu Alika Ya Rasool Allah (s.a.w.w)


Qist No. 6
Qist dair se shaya karney ki wajah se ap se maazarat chahtay hain kiunke
Peshawar main jo qayamat e sughra guzri us ney har zee rooh ko saktey
main daal diya tha, Hamari dua hai ke Allah Islam, Musalman aur Mulk-ePakistan ki hifazat karey aur shaheed bachon ke darajat buland karey. Pechli
qist main hum ney aqa kareem s.a.w.w ki ahadees se ilm ki fazeelat sabit
karney ki koshish ki thi aur kuch sawalat ke jawabat diye they, is qist main
hum aslaaf ke aqwaal ki madad se Islam main ilm ki ahmiyat ko wazih karney
ki koshish karien gey.
Asal main sahaba-e-karam se ley key aulia Allah tak aqwaal itney ziada hain
ke un per hi khaas poora silsila shuru kiya ja sakta hai lekin hum ney kuch
makhsoos aqwaal apni qist main shamil kiye hain, in ki tafseel yeh hai:
1. Hazrat Syedina Abdullah bin Abbas r.a ney farmaya: Hazrat Suleman a.s. ko
ilm, maal aur badshahat main ikhteyar dia gaya tu unhon ney ilm ko ikhteyar
kiya lehaza ilm ke sath unhain maal aur hakoomat bhi ata kar di gai (Tareekh
damishq ab ibne asakir)
2. Hazrat Ali r.a. sey barh kar ilm wala kon ho sakta hai jin ko Nabi s.a.w.w ney
khudh farmaya ke main ilm ka shehar hon aur Ali r.a. us ka darwaza hain, aur
ap ney Hazrat Ali r.a. ke ilm se mutaliq waqiaat parhtey aaye hain. Hazrat Ali
r.a. ney Hazrat Kameel bin ziyad r.a. se farmaya ke aye Kameel! Ilm maal se
behter hai key ilm teri hifazat karta hai jabkey maal ki tujhe hifazat karna
parti hai, ilm hakim hai aur maal mahkoom, maal kharch karney se ghatta
hai jabke ilm kharch karney se barhta hai.
3. Hazrat Ali ney farmaya key raat bhar ibadat karney walay, din bhar rozay
rakhney walay mujahid sey aalim afzal hai aur aalim ki mout se Islam main
aisa shigaaf parta hai ke usey us ke nayab ke ilawa koi pur nahi kar sakta.
(qowat ul qaloob)
4. Hazrat Abdullah bin mubarik se poocha gaya ke insaan kon hain? Farmaya
ulma, phir poocha gaya baadshah kon hain? Farmaya: parhaizgar, phir
poocha gaya ghatiya loag kon hain? Farmaya: jo deen ke badlay dunia haasil
kartey hain. Zara ghoor karien ke Hazrat ney baghair ilm ke shaks ko
insaan mananey se hi inkaar kar dia hai aur jo badshah parhaizgar nahi us ko
hakoomat karney ki bilkul ijazat nahi, kiunke ilm hi woh sifat hai jis se insaan
janwaron se mumtaz hai.
5. Hazrat Fatah Moosli r.a. ney farmaya ke agar mareez ko khanay peeney aur
dawa se rook dia jaye tu woh mar nahi jaye ga? Logon ney kaha kiun nahi.
Farmaya dil ka bhi yehi mamla hai ke agar 3 din se ziada ilm o hikmat is se
door rakhi jaye tu yeh murda ho jata hai. (Tazkarah fil waaz al-ibne joozi)

6. Hazrat Hassan Basri r.a. ka tasawuf main buhat ouncha martaba aur maqam
hai, ap ney Hazrat Usman Ghani r.a. ka zamana paya aur hazrat Imam
Hussain r.a. se billa wasta faiz haasil kiya, ap farmatay hain ke (qayamat ke
din) ulma ki siyahi ka shuhda ke khoon se wazan kiya jaye ga tu ulma ki
siyahi shuhda ke khoon se bhari ho jaye gi.
7. Hazrat Imam Ghazali r.a farmatay hain ke khuda ki kasam rah-e-khuda main
marey janay waley shuhda jab ulma ka rutba daikhain gey tu tamana karien
gey ke kaash unhain bhi aalim ho ke uthaya jata, koi bhi aalim paida hotey hi
aalim nahi ban jata ilm seekhney se ata hai.
8. Hazrat Abu Huraira r.a., Hazrat Abdullah bin abbas aur hazrat imam ahmad
bin hanbal r.a. se yeh baat manqool hai ke: raat thori dair ilm se takraar
karna mujhe saari raat shab baidari se ziada mehboob hai.
9. Ameer ul momineen hazrat Umar farooq r.a. ney irshad farmaya: aye logon!
Tum per ilm haasil karna laazim hai. Beshak Allah ki aik chadar-e-mohabbat
hai, jo koi ilm ka aik baab haasil kar laita hai Allah usey woh chadar pehna
daita hai, phir agar us se koi gunah sarzad ho jaye tu usey apni raza waley
kamon main laga daita hai taakey us se yeh chadar salab na ki jaye yahan
tak ke isey mout aa jaye.
10.Imam Shaafi r.a. farmatay hain ke: Ilm ki azmat ka andaza is baat se lagaya ja
sakta hai key jis ki taraf yeh mansoob ho khuwah choti si baat main, tu woh
khush hota hai aur jis se isey utha liya jata hai woh ranjeedah ho jata hai.
11.Hazrat Saalim bin abu jaad farmatay hain key: mujhe mere aqa ney 300
darham main khareed kar azad kar dia tu ab soocha ke kon sa paisha
ikhteyar karon bil akhir hosool-e-ilm main mashghool ho gaya, abhi saal hi na
guzra tha ke hakim-e-sheher mujhe se milney aa gaya lekin maine usey ijazat
nahi di.
12.Syedina Abu darda r.a. ka khubsurat qoul hai ke: jo yeh samjhay key subah ke
waqt ilm ki talab main jana jihad nahi hai, us ki raye aur aqal naaqis hai
13.Syedina Maaz ka jamia qoul yahan pesh kar rahey hain, is ko pardh ke zaror
ap per wazih ho jaye ga ke musalman ke liye ilm ki justajo karna har amal se
afzal hai aur khudh sahaba-e-karam r.a.a ilm ko kitni ahmiyat daitey they, ap
ney farmaya: ilm seekho kiunke Allah ki raza ke liye ilm seekhna khashiyat,
is ki justajo ibadat, is ki takrar tasbeeh, is ke mutaliq behas karna jihad, jo
nahi janta usey ilm sikhana sadqa aur usey us ke ahal per kharch karna naiki
hai. Ilm tanhai main moonas, khalwat main rafeeq, deen per rehnuma, tangi
main sabar dainey wala, doston ke haan nayab, ajnabiyon ke pass rishtaydar
aur rah-e-janat ka roashan minaar hai. Ilm ke zariye Allah qoumon ko bulandi
ata farma kar inhain naiki main paishwa aur rehnuma bana daita hai. Un ki
pairawi ki jaati hai unhain naiki ki rah dikhaney wala bana dia jata hai. In ke
naqash-e-qadam per chala jata hai, in ke afaat ko baghor daikha jata hai.
Farishtay in ki dosti main raghbat rakhtey hain aur apney paron se inhain
chutay hain. Har khushk o tar hatakey sumandar ki machliyan, keeray
makoray, khushki ke darinday, janwar, asmaan aur us ke sitaray ilm
seekhney waley ke liye astaghfaar kartey hain. Kiunke ilm dilon ko andhay
pan se nijad dilata hai. Ankhon se andhairey door kar key inhain roshni daita

hai. Badnon ki kamzori door kar key inhain taaqat bakhshta hai. Is ke zariye
banda naik logon ke buland darjaat tak puhanch jata hai. Is main ghoor o
fikar karna rozon ke barabar aur is ki takraar raat ki ibadat ke barabar hai. Isi
ke zariye Allah ki ibadat o ataat ki jati hai. Isi se khoof e khuda aur Allah ki
wahdaniyat ka shaoor hasil hota hai, parhaizgari milti hai, silah rehmi ka
jazba milta hai. Yehi Halaal o haraam ki pehchan ka zariya hai. Ilm imam hai
aur amal is ke taabai. Ilm khush naseebo ko ata hota hai jabkey Badbakht is
se mehroom rehta hai.
14.Akhir main Imam Ghazali r.a. ki aik ajeeb si baat yahan pesh karien gey ke
hum se jab bhi poocha jaye ke farz kifaya kiya hai, tu hmarey zehnon main
aik hi jawab ata hai namaz e janazah farz kifaya hai, agar pori basti main se
aik ada kar day tu tamam basti per se yeh farz uth jata hai warna poori basti
gunahgar hoti hai, Imam Ghazali farmatay hain ke farz kifaya khali ibadaat hi
nahi balkey ilm seekhna bhi farz kifaya hai, woh tib ki misaal daitey hain ke
poori basti per farz hai ke us ka koi aik shaks doctor bane jo logon ka ilaaj kar
sakey kiunke is se us basti walo ko faida hai agar kisi ney bhi tib ka ilm haasil
nahi kiya ya koshish nahi ki tu poori basti gunahgar hogi. Ap andaza karien ke
Islam ka kitna khobsurat nizam hai, Khilafat-e-rashida main aur baad main
aney wali saltanat-e-usmania o abbasiya main humain free kitchen aur free
hospital ke tasawur miltey hain, free kitchen musafiron aur rah guzaron ke
liye hukoomat ney kholey huwe they ke har anay janay wala wahan se kha
pee sakta tha, free hospital se muft main ilaaj hota tha aj haal yeh hai ke ap
ko sar dard ki dawai ka pata bhi free nahi milta, hukomat ghair zarori chezon
per subsidy daiti hai taakey zaida se zaida paise zaya hon, hamara kaam bhi
ho jaye aur koi gila shikwa bhi na karey, kitna hi acha ho ke hukmaran bajaye
gariyon ki CNG aur Petrol sasta karney ki bajaye taleem sasti karien, ilaaj
mualja sasta karien. Beshak yeh sab Islam se, Allah aur us ke Rasool s.a.w.w
ke qanoon se doori ka hi nateeja hai, Jab hamarey pas itna shandaar nizam
moujood hai tu hum kiun left aur right ke chakron main partey hain?, Iqbal
ney sach farmaya tha:
Nazar ko kheera karti hai chamak tehzeeb-e-hazir ki
Yeh sannai magar jhotay nagon ki reza kari hai
Inshallah agli dafa hum kuch science per baat karien gey ke science ke bunyadi
asool kiya hain, hamarey samney ap logon ka shok o justajo bhi hai ke jald az jald
musalman scientists se agahi faraham ki jaye lekin yeh kuch iqsaat bunyadi hasiyat
rakhti hain in ke baghair koi baat karna bay sood sabit ho ga. Apni aara se humain
zaroor agah kijiye ga.

Anda mungkin juga menyukai