Anda di halaman 1dari 33

Hazrat Ghuos ul Azam Dastageer R.

A
Allah ka Darwaza
Ghaib Haqeeqi Allah Tala ke paas hai . pas Tu Allah Tala se qurb
haasil kar. Taake Tu un Cheezo ko dekh le jo iske paas hai .
Apne Aihl o maal apne shehar aur apne biwi bacho se alehda ho
ja aur unko apne Dil se nikaal de sab ko chor de aur Allah Tala
ke darwaza par pohanch ja iske Ghulaamo aur Saltanat aur Mulk
ki taraf mashgool na ho agar woh tere saamney tabaaq paish
kare to us se na kha. Agar woh tujhe kisi hujre me tehraaye to is
me na tehar . agar woh tera nikah karna chaye to na kar in me se
Tu kisi cheez ko qabool na kar. Jab tak Tu apne safar ke kapro
aur jootio aur ghubaar safar aur bhikre hue baalo ke saath Allah
Tala se mulaqaat na kar le kisi ki taraf tawwaja na kar. Pas is
halat par Allah Tala teri haalat badalne wala , tujhe khushi dene
wala , teri thakaan ko rahat se badalne wala aur tere khof ko
aman se badalne wala hojaaye ga . is ka qurb tere liye ghana aur
uska deedar tera khana peena aur tera libaas ban jaaye ga.
Makhloooq se dosti rakhne ke kiya maani hai in se darna , in se
umeede rakhna , inki taraf jhukna aur in par bharosa karna hai
Makhlooq se dosti rakhne ka yehi matlab hai ke jis se mumanat
ka hukum diya gaya hai .
Hazrat Ghuos ul Azam Dastageer R.A
Talib ka Ikhlaas
Auliah Karam ne Duniya aur Akhrat aur Makhlooq ke
relation ko baatil kardiya aur Allah Tala ki Zaat Paak se
relation peda karliya . Tum apne khotey Darham pesh na
karo kionke parakhne wala bara hoshiyaar hai who
bagher kasoti par parkhey tum se na le ga . Jo khot
tumhaare paas hai tum is ko phenk do aur usko koi
cheez bhi na samjho . Tum se wohi maal liya jaaye ga jo
bhatti me daakhil ho kar mail kuchail se saaf hojaaye ga.
Pas tum yeh khayaal na karo ke mamla asaan hai . Tum
me se aksar ikhlaas ka dawa karte hai magar hotey
munaafiq hai . Agar imtihaan ka mamla na hota to boht
Log daawe daar ban jaatey . Jo Shaksh burdbaari ka
muddayi hoga ham ghussa dila kar uska imtihaan lenge
aur jo Shaksh sakhawat ka muddayi hoga ham maang
maang kar uska imtihaan lenge aur har who shakhs jo
kisi cheez ka dawa kare me uska iski zidd se imtihaan
leta hoo. Tum apne hawwis ko chor do aur apni tamam
haalto me taqwa akhtiyaar karo . Rab Tala ki Zaat inhi ke
liye hai jo taqwa akhtiyaar kartey hai .
Hazrat Ghuos ul Azam Dastageer R.A
Shirk:
“Tu Zahir o Batin se Shirk ko chor de aur Parhez gaaro
me se hoja . Buto ki pooja Zaahiri Shirk hai aur
makhlooq par aitimaad karna unko nafa aur nuqsaan ka
maalik samjhna baatni shirk hai. Shaazo o Naadir hi
duniya me who Log bhi hai ke jin ke haath duniya hoti
hai aur woh is se mohabbat nahi karte who duniya ke
maalik hotey hai aur duniya inki maalik nahi hoti .
Duniya in se mohabbat karti hai lekin woh Duniya se
mohabbat nahi karte . Duniya inke peechey dorti hai aur
who duniya ke peechye nehai dortey . who Duniya ko
khaadim bana dete hai . Duniya inko khidmat gaar nahi
banati . Woh duniya se judaayi karte hai lekin duniya in
se juda nahi hoti , unho ne apne dilo ko Allah Tala ke
liye durust kar liya hai aur duniya inke fasaad karne par
qudrat nahi rakhti. woh Duniya me tassarruf kartey hai
aur duniya in me tassaruf nahi karti .
Tum Duniya ko sirf makhlooq ko nafa pohnchaney ke
liye apne haatho me aur isko apne dil se nikaal do phir
woh yaqeenaan tumhe koi nuqsaan na pohncha sake gi
aur na iski naimat aur zeenat tumhe dhoka de sake gi .
Pas anqareeb tum bhi duniya se chale jaaoge aur who
bhi tumhaare baad fana ho jaaye gi.”
Hazrat Ghuos ul Azam Dastageer R.A
Nafs ki Islah :
Ae Allah ke bande ! apne Imaan ki kamzori ke waqt sirf apne
Nafs ki islah me mashghool reh Dusro ki fikar na kar. Tere
zimma tere aihl aur parosi aur tere shehar aur tere mulk waalo ki
islah ka haq nahi. Haa albata jab tera Imaan qawi hojaye tab
apne Aihl o Ayaal ki islah ki taraf tawwaja kar. Iske baad aam
makhlooq ki taraf nikal . makhlooq ki taraf is waqt tawwaja ho
jabke taqwa ki zareh pehn le aur apne Dil ke sar par emaan ka
kood aur apne Haatho me Toheed ki Talwaar aur apne Tarkash
me qabooliat dua ke teer le le aur Tofiq ke tez raftaar Ghorey par
sawaar ho jaye aur bhaag dor aur talwar zani aur Teer andaazi
seekh le iske baad Allah Tala ke dushmano par hamla kar . Pas
is waqt Nusrat aur madad Khudawandi tere 6 jaanibo se aayi gi
aur tu Makhlooq ko Shaitaan Laeen ke haatho se churaa le ga
aur unko Astaana e Khudawandi tak pohnchaa de ga aur unko
jannat ke amaal ki targheeb de ga aur Aihl e Dozakh ke amaal se
daraaey ga aur aisa kioo na ho ke tu Jannat o Jahannum ko
pehchaan chuka hai aur in dono ke amaal se agaah ho chuka hai
. jo Shaksh is maqaam par pohanch jata hai is ki dil ki Aankho se
parde door kardiye jataey hai . yeh 6 jaanibo me jidhar tawajja
karta hai apni nazar ko is ke paar pohncha deta hai aur koi
Cheez is se hijaab me nahi rehti aur apne dil ke sar ko utha kar
Arsh o Asmaan sab dekh leta hai aur sar ko neechey jhukata hai
to tamam Zameen ke Tabqaat aur inke rehne waalo ko dekh leta
hai . in sab amoor ka sabab Imaan aur Marfat e Khudawandi hai.
Jis ke saath Ilam o Hikmat dono ho . jab tu is maqaam par
pohanch jaaye ga pas us waqt Makhlooq ko Astaaana e
Khudawandi ki taraf dawat de is se pehle tujh se kuch na hoga .
jab tu makhlooq ko dawat de ga aur bulaaye ga aur khud
Darwaza e Khudawandi par na hoga to yeh tera dawat dena aur
bulana ulta tujh par wabaal hoga jab tu harkat kare ga gir jaaye
ga , jab tu bulandi chaye ga past hoga . tujhey Salaheen ke
halaat ki kuch khabar nahi hai tu mehaz zabaan daraaz aur Qalb
ke khayaali zabaan hai . tu bagher baatin ke zaahir aur bagher
khalwat ke jalwat aur bagher quwwat ke bahdur bana hua hai .
Teri Talwaar Lakri ki hai aur tera Teer Gandhak ka hai tu bagher
shujaat ke bara Bahdur bana hua hai halka sa teer tujhe qatal
karde ga aur aik chota sa macchhar tujh par Qaymat qaaim
karde ga.
HAZRAT SULTAN SULTAN BAHU (R.A)

Faqeer ka martaba:
Har Sukhan Faqeer ka man janib Hazoor aur har
Tawwaja Faqeer ki sara sar Noor aur Wajood Faqeer ka
Maghfoor aur Qalb uska Bait ul Mamoor aur Rooh
Faqeer ki ba farhat shoq o masroor hoti hai. Batin
Faqeer ka daaim qaaim dawaam e hayat aur uska
martaba Fana fi ALLAH Zaat hai.
is kisam ka martaba Faqeer ko ba rafaqat HAZRAT
SARWARE KAINAAT ( p.b.u.h ) hasil hota hai. yeh hai
baatni mairaaj aur martaba e mairaaj Quran se haasil
hota hai . jis shaksh ko bagher Talawat e Quran urooj
aur mairaaj haasil ho woh na mairaaj hai balke istidraaj
hai.

Aqal Bedar
HAZRAT SULTAN SULTAN BAHU (R.A)
Inssani Wajood
"Ae Adam A.s ke bete sun ! ke Insaani Wajood Napaak
aur paleed kapre ki taarh Aloodah hai aur Ism Allah
Paani ki mannind hai aur Daimi Zikar Fikar Sabun ki
tarah aur Murshid Dhone wale aur rang karne wale ki
tarah. jab Talib par ism Allah Zaat ki taseer hoti hai aur
Marifat ke rang se uski yak rangi Badaraja kamal
pohanch jati hai aur Dooyi uske wajood se uth jati hai ,
to Muraqiba ke waqt jab woh sar se kadam tak Dil ki
taraf Nigah karta hai, to Chashme Dil se dekhta hai ke
uske tamam wajood me har har baal tale ism Allah Zaat
Naqsh hai. uswaqt uske badan ka har aik baal , Gosht
Post , Ragey , Hadiya , maghaz o Dil sab kuch ba
manzila hojata hai, aur daro deewar , Shaher aur bazaar
aur jo kuch Darakhto ke darmiyan Meve waghera hai ,
gharzeeka jis cheez ki taraf dekhta hai , use Ism Allah hi
Zahir nazar ata hai. jidhar dekhta hai , jo kuch sunta hai
ya kehta hai, Ism Allah hi Dekhta h, sunta , aur kehta hai.

Kasrat e Shoq se sab daro deewar Aina ho gaye


HAZRAT SULTAN SULTAN BAHU (R.A)

Ism ALLAH Zaat ki kun:


Jo Faqeer Kamil Ism Allah Zaat ki kun ko janta hai. woh
tassawur ki madad se Talib Allah ko aik lamhe me
Bargah e Khudawandi me pohncha deta hai aur woh
hamesha Gharq fi Toheed, anwwar e dawaaim aur
Deedar Ellahi se Musharraf rehta hai.

Jo Murshid Kaamil Jis kisi ko Tassawur Ism Allah Zaat


Ki Talqeen se nawazta hai , Woh apne wajood ko Talib
ke wajood se Fana Fi Shaikh karke Naim ul Badal ke tor
par use apne martabe ke barabar kardeta hai.
HAZRAT SULTAN SULTAN BAHU (R.A)

Nigah e Mard e Momin:


Murshid Ki Nigah se Toheed haasil karna

"Kaamil Qadri Murshid jab Taalib par aik nigah dalta hai
to use Noor e Toheed mei gum kardeta hai aur iski
dastgeeri karke ise majlis e Muhammadi me pohnacha
deta hai "
HAZRAT SULTAN SULTAN BAHU (R.A)

Murshid Teen Tarah ke hotey hai:


MURSHID teen tarah ke hote hai . aik MURSHID adna
kaamil, dom Mutawasit Mukammil, som ALA O AKMAL.
MURSHID ADNA KAMIL mutwatir aik hafte Talib ko apni
tawwaju me rakhta hai aur har roz new tawwaju se
musharraf karke satwe roz talib ko manzil e maqsood
par pohancha deta hai.yani musharraf deedar
parwardigar aur hazoori Bazam AHMED MUKHTAR
P.B.U.H bana deta hai.
lekin murshid mutawasit aik shabanA roz yani ath 8
pehar mei talib ke kaam se farigh hojata hai. aur ise
wasil BIALLAH aur dakhil Majlis Nabvi p.b.u.h banadeta
hai.
aur Murshid ALA AKMAL aik dam aur aik hi nigah se
talib ko us mqam muntah tak pohancha deta hai.
is ki misal yu samjhni chaye ke Murshid Talib ke reham
e dil ke ander apna lateef noori nutfa dal deta hai jis se
talib ka batni hamal tehar jata hai. so is norie batni
hamal ke tehrane mei ALA MURSHID ko aik dam ,
Mutawasit ko ath 8 pehar aur adna ko aik hafta yani
saath roz darkaar hote hai.
bad woh lateef noorie Tifal manwi apne Muqarara waqt
kam az kam aik saal ya bara 12 saal ya tees 30 saal ke
arse me batan e batin se bahar ata hai. aur phir apne
waqt par baaligh ho kar maqaam e talqeen o irshad par
pohanchta hai.

"Maqam Ishq mei sabit kadam wohi rehta hai jo Sahib e


Istiqamat ho.
HAZRAT SULTAN SULTAN BAHU (R.A)

Fana fi Shaikh:
wazeh rahey ke Talib aur mureed me yeh saat cheezey
hoti hai .

1.Aitiqaad
2.Yaqeen
3.Ikhlaas
4.Sidq
5.Aitibar
6.Talb
7.Mohabbat

yeh saat cheeze Taalib ki koshish se haasil nahi hoti


balke Murshid ki tawwaja aur kashish se is me peda hoti
hai.
jab Peer o Murshid ki ata se yeh saat cheeze Taalib ke
wajood me jama hojati hai to uske wajood me Yaqeen ke
sabab aik noorani soorat ajaati hai.
jis ke waseele Peero o Mureed Taalib o Murshid ke
darmiaan arz o marooz aur hukum aihkaam ka silsila
shuru hojata hai.
agar Taalib fana fi shaikh aur aur fana fil peer na hota .
to Zahir o baatin me koi shakhs matlab o maqsad haasil
na karsakta .
HAZRAT SULTAN SULTAN BAHU (R.A)

Toheed Fana fi ALLAH baqa bi ALLAH:


Jo koi ism Allah Zaat me gum hojata hai uska Nafs Murda
aur qalb zinda hojata hai aur uski Rooh is
Nafsaani wajood ke bajaaye Qalbi Noorani wajood ko bator
jisam ya Libaas akhtiyaar kar leti hai jis se baqa bi ALLAH ka
mqaam aur daaimi hayaat naseeb hojati hai.

Allah Tala ka irshad hai

"aur ham ne in ke Quloob me (Noor) Emaan sabt kardiya hai


aur isko ROOH se madad de di hai"
(almajadla 22)
(Sulook e Sufia)
HAZRAT SULTAN SULTAN BAHU (R.A)
Shaitani Ilam:
Shaitan ke paas aik makhsoos shaitnai ilam hai jis ke
zaree is ne tamam jehan ko jakra aur Qed rakha hai .
Hazaro mei se koi aik aadh Talib Shaitan ke panje se
bach nikalta hai.
Shaitan Jumla Asmaani Kutub Maslan Toreet, Injeel,
Zaboor aur Quran Majeed ke uloom aur khaas kar ilam e
hidayat se be behra aur be naseeb hai. Siwae Ulma
Amleen aur Fuqra kamleen ya aihl e Allah Ghos o Qutub
waghera Aihl e Takveen ke jumla Farzandan e Adam par
Ghalib aur Qawi hai .
Chunacha baaz Oliah Allah ko bhi Qurb e Hazoori se
moo Mor kar apni Qed me le ata hai . woh shaitani Ilam
kiya hai . woh Ilam Tama aur Hirs hai. Shaitan Insaan ke
seene me Hirs aur Tama ki aag bharka kar is ke nafs ko
nafarman aur be deen bana deta hai. so maloom hua ke
Tama uar Hirs duniya ki Zaib o Zeenat aur Lazzat duniya
Jumla Shaitnai Maal o mata hai . jo Shaksh Shaitan ke
Maal o mata ko haath lagata hai Goya Shaitan ke haath
par Qaol kawi aur aihd mosaq bandhta hai.
Talib jab duniya se be niaz aur mustahgni hokar iska
khayal dil se nikal dalta hai aisa Talib waqai Sidq e Dil se
apne Mola ka Sacha Talb hojata hai aur dono Jehan se
Ghani hokar Nafs Shaitan aur hawa par ghalib hojata hai
Fuqra Ilm Tassarruf me aamil aur ilm Tassawwur me
kaamil hai aur nez tamam jehan ko faiz bakhshne wale
aur jumla Alam ke dastagir hai aur unki nazar me Duniya
Faani, dolat napaidaar aur iska samaan haqeer hai.
HAZRAT SULTAN SULTAN BAHU (R.A)
Allah ka Talib:
Aey Talib Jaan Lay Keh

"Talib e Duniya Mukhannas(Heejra) Hay.Talib e Ukhraa


Maanind e Aurat Hay.Mard Wohi Hay Jo Allah Say Allah
Ko Talab Karta Hay....
HAZRAT SULTAN SULTAN BAHU (R.A)
Marfat ka Ghussal:
"Talib murshid ke haath me aisa hota hai jese nehlane
wale ke haath me Murda hota hai"

"Ae Talib agar tu talib Saadiq hai to khud ko mere hiwale


karde Murda ki tarah ban ja aur dam na maar Taake mai
tujhe Marfat ka Ghussal de kar tamam Alaaisho se alag
kardoo"
Hazrat Chan Sultan (R.A)

Akwal e Zareen

1) ALLAH TALA ki yaad ke siwa jo kuch hai sab


barbad aur faani hai.
2) Jis ke Dil me hawwis hoti hai usko kabhi araam
naseeb nahi hota.
3) Buro se neko ko faiz pohanchey , yeh na mumkin
hai.
4) Faqeer me tama , hirs , hawwis aur takkabbur nahi
hotey.
5) Faqeer , Sarwar e Kainaat (p.b.u.h) ki ijazat aur
hukum ke bagher koi kaam nahi karta .
6) Taalib e Mola ke liye farz ain hai ke Murshid kaamil
se abdi Rah e Haq ki talaash kare.
7) Maal o Jins aur Ghar baar Rah e Khuda me de de.
8) Allah Tala ka qurb haasil karne ke liye qareeb
tareen raasta Logo ki dildaari karna hai.
9) Murshid Kaamil , Taalib ko aik nazar ke saath
manzil e maqsood tak pohancha deta hai.
10) Ae Taalib tu subah o shaam Murshid ke darwaza
par jaa taake tery Deen o Duniya ke tamam mataalib
haasil ho.
Hazrat Faqeer Noor Muhammad (R.A)
Yaqeen aur Talqeen:
Yaqeen aur Talqeen Saalik ke liye har do laazim o
malzoom hai . Yaqeen Saalik ke liye Ba manzila Noor e
basarat aur aankho ki mannind hai aur talkeen Roshni ki
tarah hai . Roshni ke bagher aankhe bekaar hai . aur
andhe be basar ke liye Roz e Roshan bhi Shab (raat) hai
.
jis shakhsh ke ander Allah Tala ne Roz e azal se Noor e
Yaqeen aur Tofiq hidayat bator wadiat nahi rakhi aise
logo ke liye Auliah Allah ki talqeen to kiya peghambro ke
moajze bhi kargar aur moassar sabit nahi hue. jesa ke
Aboo Jehal aur Aboo Lehab waghera tamam umer
Makka Mukarama me rahye . Quraan sunte rahey aur
moajjze o ayaat dekhte rahey lekin choonke Noor e
Yaqeen se mehroom aur azali andhey they . is liye dawat
e Nabvi ke noor aur roshni se unhe kuch faida nahi hua.

lekin baraks uske jin logo me Roz e azal se basarat


yaqeen aur istidad hidayat mojood ho lekin peghambaro
ki noor e dawat talekeen aur tawwaja na ho to inki woh
istidad aur kabliat is tarh zaia ho jatai hai jis tarah
takhum aur beech bagher paani zaia hojata hai. maslan
arab ke ilake par agar aftaab e risalat na chamakta to
yeh mumkin na tha ke arab ke jahil aur sarkash log
Sahaba karam R.Z ban kar Asmaan e kamal aur oaj e
Tarraqi par Darikhshinda sitaro ki tarah chamakte.
Hazrat Faqeer Noor Muhammad (R.A)
Ilam e Ludni

Hazrat Faqeer Noor Muhammad R.A farmatey hai.

Ilam Ludani aur ilam ghaib ki misaal Quraan Kareem ki


Surah Kehaf ke ander Khizer A.S aur Moosa A.S ke
wakey me mazkoor hai ke Moosa A.S ne Khizer A.s ki
sohabat me rehne aur un se baatni Ilam Ludani seekhne
ki istida ki . jo is shart par manzoor ki gayi ke Moosa A.s
Khizer A.s ke kisi feal par aitriaz nahi karenge. Rafaqt
me jab Hazrat Khizer A.s ne kishti me soraakh karke use
mayoob kardiya . aur aik masoom bachey ko katal kar
dala aur aik tooti hui deewar ko dubara bana dala .yeh
teeno kaam bazahir Moosa A.S ko na makool aur
namunasib nazar aye. woh aitriaz karte rahey . jis par
khizer A.S ne in teeno kaam ki batni muslahete samjha
kar inhe apni sohabat aur rafaqat se alehda kar diya. so
Khizer A.s ko in kaamo ke anjaam aur ghaibi nateejye
apne Khudadad Ilam Ludani aur Ghaibi ilam se maloom
they. aur yeh uloom aaj tak Duniya me Allah Tala apne
khaas khaas bando ko ata karta rehta hai. yeh silsila
qayamt tak seena ba seena chalt rahega . Awaam Zahir
been logo ka is ilam ke wajood par aitriaaz lazmi amar
hai . kionke woh is ilam se bilkul be khabar aur na wakif
hai.
ham yah Khizer A.s ke teeno kaam ki batni taweel bayan
karte hai.
1) awwal Murshid kaamil baaz talibo ko is tarah Allah
Tala ki taraf latey hai ke uske tan ki kashti ko is tarah
mayoob kar detet hai ke woh duniya ke kaam ka nahi
rehta aur har sakhs use duniyawi karobaar me na aihl
samjh kar apne kaam me shareek nahi karna chata is
liye woh chaar o nachaar duniyawi Sultan yani Shaitan
ki begaar se choot jata hai .
2). Shaikh Kaamil Talib ke tifal Maanwi yani Nafs ko
taigh e tawaaja Ism Allah Zaat se katal kar dalta hai .
taake kalb aur arwah ko jo ke tifal(baccha) nafs ke liye
ba manzila walden(parents) ke hotey hai Nafs ke akhlaq
e zamema se aziat aur takleef na pohanchey
3)Shaikh Talib Mubtadi ke ganj Kashf o karamat ko
chupaney ke liye is par ainda salook ki aik mazboot
deewar kahari kardeta hai . taaake jis waqt Talib kaamil
salik hokar Batin me Had baloghat aur inthiyae maksood
ko pohanch jaye . aur ganj kashf o karamat ko
sanbhalne ke kaabil ban jaye to us waqt woh use haasil
karle warna kamaal e salook se pehle agar Talib ka batni
Khazana Makshoof hojaye to woh kashf o karmat ki waja
se Rujooat e Khalq mei griftaar ho jata hai aur us ka
batni khazana Lut jata hai.
Hazrat Faqeer Noor Muhammad (R.A)
Ilam Zaahiri:
Ilm Zahiri se Nafs e Ammara har giz maghloob nahi hota
aur na hi marta hai balke ziada sarkash aur maghroor
aur mota taza hojata hai. jab tak Rah e Salook me Salik
Nafs se khalasi aur nijaat haasil na kare Allah Tala se
har giz wasil nahi hosakta kionke khuda aur khudi
akhatte nahi hosakte. Hazrat Bayazeed Bustami R.A ne
Allah Tala se sawal kiya ke "tere wasal ka ko konsa rasta
hai?" jawab aya ke "ke nafs ko chor kar aa ja wasil
hojayega."
Khudi ke mitane me Khuda milta hai. isi waste Kalma
Tayyab me pehle nafi yaani LA ILAHA ILLALLAH hai jis
se tamam Afaaq aur anfaas ke ghair maboodo aur
maqsoodo ki nafi aur fana matloob hai. anfaas me sab
se bara sanam e akbar insaan ka apna nafs aur uski
hawa(khwaish) hai. jesa ke Allah Tala Farmatey hai " aya
tu ne nahi dekha us shakhs ko jis ne apni khwaish e
nafsani ko apna mabood banaya" jo shash Allah Tala ki
Rah me apne aapko mita deta hai Allah Tala use apne
Noor se abadi Zindagi aur daimi baqa bakhsh deta hai
" jo shaksh Allah Tala ki rah me koi cheez talaf aur zaia
kardeta hai Allah Tala par uska awez aur haq Laazim
ajata hai aur woh zaroor iska mawaza ata farmata hai"
Hazrat Faqeer Noor Muhammad (R.A)
Shaitan ka chakkar :
Jis waqt saalik zikar o fikar ataat ya ibadat ya tassawur Ism Allah
Zaat ki riazat shuru karta hai . aur iske zaree manazil salook aur
darajaat tey karta hai to shaitan baatin me Arsh o kursi aur
behshat o hoor o kasoor tayyar karke saalik ke samney lata hai
aur saalik ghalti se inhe asali maqamaat samajh kar is se khush
waqt ho jata hai . to shaitaan use kehta hai ke bas ab tera
inthiyai makam aur manzil maksood yehi hai aur tu martaba
yaqeen ko pohanch gaya aur Allah Tala ka farman hai ke " tu
apne Rab ki ibadat kar yah tak ke tu martaba yaqeen ko pohanch
jaye" aur shaitaan kheta hai ab tujh par zahiri ibadat namaaz
Roza waghera sab takkaluffat sharaee maaf hai. gharz jab woh
aihkaam sharaee se rogardan hojata hai to shaitaan ki qed me
ajata hai. shaitaan use khwaab ya muraqbe me apne shaitaani
makamaat ki ter ser kara kar khush rakhta hai aur jab kabhi koi
sharaee aihkaam maslan namaaz Roza ki taraf rujoo karta hai to
woh tere ser shaitaani band honey lagte hai . lehaza woh bilkul
sharaee aihkaam ka tarik hojata hai aur usi ko faqeeri aur
buzurugi samjh kar us par moat tak kaaim rehta hai . aisa Faqeer
apne gumrah cheele chanto ko bhi isi tarah istidraaj ki talkeen
aur irshaad karta hai . hatta ke aik achi khaasi shaitani dukaan
kaaim hojati hai . is faqeer ne is tarah ke kai gumrah faqeer aur
un ke baatil firqe dekhe hai aur un ke istdiraaj maloom kiye hai.
agar Talib is shaitaani ter sair ke waqt baatin me Durood Shareef
ya kalma Tamjeed aur kalma Lahol Parhey to yeh shaitaani
mamla aur Nazara foran darham bharam ho jata hai . lekin baaz
kamozr saalik awwal to kalma tayyab Durood Shareef aur kalma
Tamjeed nahi parh sakte agar parhne ki koshish kare to gala
band hojata hai. us waqt zaban e dil se agar yeh kalamat
tayyabat nikle to shaitaan baazi haar kar bhaag jata hai warna
gardan par swaar rehta hai.
HAZRAT FAQEER NOOR MUHAMMAD (R.A)
Taqdeer ka masla:
"Buzargan e Deen likhtey hai ke taqdeer do kisam ki hai , aik
Taqdeer Mutaliq jo kisi tarah nahi badalti . Taqdeer Mutaliq ke
liye Zahir o Batin me koi soorat yah koi sabab tabdeel ke imkaan
ka nahi chora jata. dusri Taqdeer Muallaq jo agarcha amar e
Ellahi ho chuka hota hai aur Lohe Mehfooz par ijra ke liye sabt
ho jata hai lekin Ilam ki Ghaalib aur Qahir Qudrat iske mitane par
parda e Ghaib me mamoor hoti hai. kionke ilam se amar badal
jata hai . lekin ilam amar se nahi badalta . jesa ke paani dhalwan
ki taraf behta hai lekin ilam e fawaare aur pump (motor) use
ooper ki jaanib le jata hai . Buzurgaan e Deen ne is ki yun
tamseel likhi hai ke tarjuma "jo kuch duniya me honey wala tha
qalam ne loohe mehfooz par likh dala aur woh likhaai se faarigh
ho kar khushk ho gayi hai"
yeh apni jaga sahi hai lekin qalam ne jab Looh e mehfooz par
jumla muqaddarat e aalim tehreer kar diye to is qalm par kuch
sihaai baaqi reh gai thi . ALLAH TALA ne woh baqaya sihaayi
Anbia aur Auliah Allah ki zaban par mal di . aur is tarah qalam ko
khushk kar diya gaya. is liye aya hai! tarjuma "Fuqra ki zaban
ALLAH TALA ki qudrat ki talwaar hai " is liye Anbia aur Auliah
Allah ka farma ALLAH TALA ke farman kun ki shaan se numaya
hota hai. isrshad e BARI TALA hai "mera Nabi apni hawa aur
khwaish se nahi bolta balke iska kalam sara sar wahi aur ilqa e
Elahi hota hai "
jesa ke Hakoomat waktan wa fawaktan zaroorat ke liye apne
Qanoon ke barkhilaaf ordinance jaari karti hai is tarah ANBIA aur
AULIAH ALLAH me se baaz Taqdeer muallaq ko badalne ke
mujaaz hotey hai .
Hazrat Ghuos ul Azam Dastageer R.A

Allah ki Zaat par nazool e Taqdeer ke waqt aitiraaz karna Deen ki


moat hai:

Allah ki Zaat par bande ka aitiraaz karna jo ke Izaat o Jalal wala


hai Nazool Taqdeer ke waqt Deen aur Toheed ki moat hai aur
tawwakal o ikhlaas ki moat hai aur Yaqeen aur Rooh ki moat hai .
Momin banda Choo Chara ko nahi janta balke woh sirf haa kehta
hai aur sar ko jhukata hai woh nafs se jehad karta hai. yah tak ke
nafs ka shar khatam hojaaaey nafs to bilkul shar hi shar hai . jab
isko mujahida aur mushaqqat me dala jaaye ga aur uski
mukhalfat ki jaaye gi to Mutmain ban jaayega aur khair hi khair
wala ho jaayega aur tamam ibadato ke baja laane aur tamam
gunaaho ko chor dene me mawafqat karne lagta hai pas is waqt
kah jata hai ke.

"Ae itminaan waali jaan ' apne Rab ki taraf wapis ho" (Surah
fajar)
Hazrat Ghuos ul Azam Dastageer R.A
Wilayat aur Azmaaish:

Bagher Azmaaish ke koi chara nahi khusoosan daawa karne walo ke


liye agar azmaaish ka mamla na hota to Makhlooq me boht se Log
wilayat ke muddayi hotey is liye ke

Aik Buzrug (R.A) ne farmaya ke:


"Wilayat par bala aur azmaaish ko mussallat kiya gaya hai taake har
shaksh wilyaat ka dawa na kare aur mujmila Wali ki alamaat me se
aik ilamaat yeh bhi hai ke makhlooq ki aziat par sabar akhtiyaar kare
aur in se darguzar kare."

Auliah Karam Makhlooq me jo kuch halaat dekhtey hai is se andhey


aur jo kuch in se suntey hai is se behre ban jaatey hai. Auliah karaam
ne apni aabroow ko inke liye habba kar rakha hai . misal mashoor hai
ke tera kisi cheez ko mehboob rakhna andha aur behra bana diya
karta hai. Auliah Karam ne Allah Tala ko hi apna mehboob bana liya
hai pas woh log Ghair Allah se Andhey aur behre ho gaye hai. Woh
Makhlooq se khush ikhlaaqi aur narmi o madarat ke saath miltyey hai
aur kabhi Allah Tala ki gherat ke sabab gahzab e Elahi ki mawfqat
me makhlooq par ghussa bhi karte hai. Aulia karam Roohaani tabib
hai unho ne har marz ki dawa ko pehchaan liya hai.

aik Buzrug (r.a) se manqool hai ke


" Tu makhlooq ke mutaliq Allah Tala ki mawafqat karo aur Allah Tala
ke muttaliq makhlooq ki mawafqat na kar. Toot jaaye jise tootna hai
aur jura rahey jise jura rehna hai Tu kisi ki parwa na kar."

Tera Shaitan aur teri Khwaasih aur teri tabiat aur tere bure ham
nasheen tamam ke tamam tere dushman hai tu in se bacha reh taake
tujhe hilakat me na daal de. Tu ilam ko haasil kar taake Tu in se
dushmani aur bachaao ka tareeqa seekh le iske baad tu yeh maloom
kar sake ke Allah Tala ki ibadat kis tarah kartey hai aur tujhe kese
Allah Tala ki ibadat karni chaaye . Jaahil Shaksh ki ibadat bargaah e
Khudawandi me qabool nahi hoti.
Hazrat Ghuos ul Azam Dastageer R.A
Taqdeer ki mawafqat:
Ae Sahibzade!

meri Taqdeer ke parnaale ke neechey sabar ka takkiya rakh kar


mawafqat ka haar daal kar panah mangta hua kushadgi o rahat ke
intizaar me so ja . Jab teri yeh halat ho jaye gi to Maalik e taqdeer
tujh par apne fazal o aihsanaat ki aisi baarish barsaaye ga ke jis ki
talab aur tammana tu achey tareeqe se na karsakta.

Ae Meri Qaom !
Taqdeer ki mawafqat karo Allah Tala ki raza par raazi raho . aur
Syed Abdul Qadir ki baat maano jo ke Taqdeer ki mawafqat me
kosha hai. meri mawafqat hi mujh ko Malik Haqeeqi ki taraf aagey
barha rahi hai.

Ae Meri Qaom!
Aao barho aur ham sab Allah Tala aur iski Taqdeer o feal ki taraf
jhuke . aur Zahir aur Batin aur saro ko is ki tarf jhuka de. aur Taqdeer
ki mawafqat kare aur is ke ham rakaab ban kar chale. kionke woh
Badshah ki taraf se Qaasid hai pas taqdeer ki izzat o buzurgi iske
bhejne wale ki taraf se hai. jab ham is ke saath aisa bartaao karenge
to woh hame apne hamrah Badshah Haqeeqi tak le jaaye gi . is jaga
haqeeqi wilyat o saltatnt Allah hi ke liye hai. Tu is ke daraye ilam se
seraab ho. aur iske khwaan fazal se khana aur iski sohbat se uns
haasil karna aur iski rehmat me chup jana Mubarak aur khushgawar
hoga aur yeh martaba o makaam Khandano aur Qabeelo ke laakho
insaano me kisi kisi ko hi naseeb hota hai.
Hazrat Ghuos ul Azam Dastageer R.A
Dil Ki zindagi :

Allah Tala ke aihkaam par amal karna aur uski mana karda baato se
baaz rehna Balao par sabar karna qaza o qadar ke saamney sar
jhuka dena dil ki zindagi hai.

Muqaddar :

Jo teri kismat me likha hua hai aur jo nahi likha hua isko talab karna
chor de . is liye jo tera muqaddar ho usko talab karna aur
musshaqqat me parna bekaar hai aur jo tera muqaddar nahi iski talab
azaab aur ruswaai hai is liye ke

Nabi Kareem (p.b.u.h) ne farmaya .


“bande ka asii cheez talab karna jo iski kismat me nahi liki gayi yeh
bhi Allah ka azaab hai.”
Hazrat Ghuos ul Azam Dastageer R.A
Allah Makhlooqat ka tadbeer karne wala hai:

Allah ke bande Tu Allah Tala se apne Nafs apne Aih o maal o


Zamana ke baarey me jhagra na kar.Kiya Tujhe Sharam nahi aati ke
Tu Allah Tala par hukum chalata hai ke iski halat ko badal de. kiya Tu
is se bara Haakim aur ziada ilam wala aur ziada rehmat wala hai. Tu
khud bhi aur tamam makhlooq uske bande hai aur Allah Tala tera aur
tamam makhlooqat ka tadbeer karne wala hai. agar Tu Duniya aur
Akhrat me iske saath rehna chata hai to chup hoja , khamosh aur
goonga ban ja. Auliah Karam iske saamney adab karne wale hai aur
na woh koi iske saamney kisi kisam ki harkat kartey hai aur na hi koi
iqdaam uthatey hai. aur jab tak inke dilo ko Allah Tala ki taraf se ijzat
na mile woh kisi mubah cheez ko na khatey hai aur na koi cheez
peetey hai. aur na hi nikah kartey hai aur na apne asbab me kisi
cheez ke ander tassarruf karte hai aur jab tak inke dilo ko Allah Tala
ki taraf se sareeh ijazat nahi milti to woh qaaim hai aur Allah ke
hazoor kharey rehtey hai jo ke dilo aur aankho ka lot pot karne wala
hai aur inko Allah Tala ki Zaat ke bagher Qarar hi nahi ata aur Duniya
me apne Dilo se Allah Tala se mulaqat kartey hai aur akhrat me apne
ijsaam ke saath mulaqaat karenge.

Dua.

Tarjuma

"Ae Allah hame Duniya aur Akhrat me apni Mulaqaat Naseeb farma
aur apne Qurb aur Deedar Paak se lazzat ata farma. aur un Logo se
farmade jo tere ma siwa chor kar tujh se raazi hotey hai aur hame
Duniya me bhi bhalaayi de aur hame akhrat me bhalaayi de aur
hame dozakh ke azaab se bacha."
Hazrat Ghuos ul Azam Dastageer R.A
Makhlooq Ya Khaliq ka Banda:

Ae Allah ke bande !
Yah Makhlooq aur Khaliq ke siwa aur koi nahi. Agar Tu Khaliq ke
saath rah to uska banda hai. Agar Tu Makhlooq ke saath rah to bas
Tu makhlooq ka banda hai, aur tere kalam ka koi faida nahi ke jab tak
tu apne Dil ke aitibaar se medaano aur janglo ko qata na kare aur ba
hesiat baatin har cheez ko na chor de is waqt tak tu qaabil aitibaar
aur qabool nahi. Kiya tu nahi janta ke Allah Tala ka talib iski rafaqat
akhtiyaar karta hai aur har chez ko turk kar deta hai . aur yeh yaqeeni
baat hai ke Makhlooqat me se har cheez iske aur Allah Tala ke
darmiyan aik parda hai aur who jis cheez ke saath bhi thehre ga who
iske liye Allah Tala se hijaab ka baasi hogi.
HAZRAT SULTAN SULTAN BAHU (R.A)
Hijab e be Niaz:

Bande aur Parwardigaar ke darmiyan niaz ka parda hai. Aur is aihwal


aur wardaat se agar koi ana chaye to iske liye darwaza khula aur
agar koi na aaye to Allah Tala is se be niaz hai.”

HAZRAT SULTAN SULTAN BAHU (R.A)


Wasil aur Aarif:

Poore Yaqeen ke saath yeh jaan lena chaye ke Rab Kareem har haal
me be misal aur be misaal hai. aur who Rab ul Qudrat fil inaam “al
hayyu al qayyum” aur Ahad hai. woh gher makhlooq heyyat(shakal)
aur soorat me hai lekin Allah ki who surat khwaab ya muraqbe ki
kefiat aur haalat me Rooyat me aati hai who Rooyat mehboob ke
dekhne se hai. agar banda jaagta hai to hoshiyaar ho aur Noor
Toheed se iske wajood me aisi garmi aur hiddat peda ho kar mar
jaaye.
Lekin is haalat me bhi iski zabaan par mehar khaamoshi hi rahe aur
phir agar din raat sar ba sajood rahe shariat ka libaas zeb e tan rakhe
aur jehad aur koshish me rahy aur be misaal soorat me qaaim rehne
se dastbardaar ho to ise phir mushaida hazoori ki is qadar naimat
milti hai ke is ka had o shumaar mushkil hota hai wohi asal me waasil
aur aarif hota hai yeh maratib aur azmatey ism Zaati haazraat aur
kalma ki barkat o rehmat ke aijaaz aur kirishmat hai aur kalma tayyab
ka asar aijaaz barkat aur tareeqa sab tehqeeq ke darja par hai.
HAZRAT SULTAN SULTAN BAHU (R.A)
Marfat e Elahi:
Marfat e Ellahi aur maqam fana fi Allah yeh hai ke jo aik baal barabar
bhi marfat e Elahi ko dekh leta hai iski sarshaari me woh is qadar
makhmoor hota hai ke who kisi se iska bayan bhi nahi karta. Jahilo
ke saamney who goonga aur behra ho jata hai. is sarshaari me woh
josh o kharosh me nahi ata aur laaf zani se kabhi kaam nahi leta.

Aise Sahib e Dil Logo ka shewa yeh ho jata hai ke “who jah tak
mumkin hota hai apne aapko apni bisaat bhar koshish chupaaye hi
rehte hai . Yeh Arif aur marfat ke maqaam par mutmakin Log
Namood o Numaaish aur izhaar o charcha ko kab pasand karte hai.
Hazrat Sultan Ul Arfeen Sultan Bahu (R.A)
Majlis e Muhammadi (p.b.u.h)

Majlis e Muhammadi (p.b.u.h) me Hazoori paane wale hama waqt


ism e Zaat par nazar rakhtey hai . Hazoori ke Bais aise Logo ke liye
kuch bhi amar muhaal nahi rehta . koi Mushkil Sadd e rah nahi banti
balke har mushkil mehaz khayaal karne se hi khatam ho jaati hai. har
tarah ka zaahir aur baatin in par ashkaar ho rah hai. Khayal me
ajanaey wala amar bhi unke saamne ho kar rehta hai.
Aihl e Hazoor ka dil sada Noor ke fikar me gharq rehta hai. yehi is ki
pehchaan hai. Baatin wala Arif Bi Allah Hazoori hi me har waqt kefiat
e istighraaq me hota hai . is par Allah ka zikar jaari rehta hai . Is ka
Shoq e farwa ise hamesha khushi aur mussarrat se hamkinaar rakhta
hai . iska ibtidaayi martaba Momin hota hai kionke Momnieen ka har
martaba Momin hi hai.
Hazrat Ghuos ul Azam Dastageer R.A
Zaahiri aur Batni Fiqqa:

Ae Allah ke bande ! kiya tu ne nahi suna ke Fiqqa Haasil kar phir iske
baad gosha nasheen ho ja. pehle zahiri Fiqqa hasil kar phir baatni
Fiqqa ki taraf muttawaja ho ja.
pehle zahir Fiqqa par amal kar yah tak ke yeh tujh ko Ilam e Batin ki
taraf se jis se tu waqif nahi hai pohncha de.
yeh Zaahiri ilam Zaahir ki Roshni hai . aur baatni Ilam Batin ki roshni
hai. To yeh terey aur terey khaaliq ke darmiyaan aik noor hai.
aur woh darwaza jo tere aur Rab Tala ke darmiyan hai isko wasee
kar. aur is darwaze ke baazoo buland kar jo tujhe khaas banade.
Hazrat Sultan Ul Arfeen Sultan Bahu (R.A)
Zulumaat

Tassawuf ki Duniya me yah par zulumaat se murad Azal , Abad , aur


Duniya aur Aqba(akhrat) hai . agarcha is zulumaat me aaab e hayaat
bhi hai lekin Zaat e Haq ki marfat is se wara(door) hai . Arif to woh
hota hai jo zulumat ke jhamelo aur lazaaiz ko turk karke marfat e
Elaahi ki lazzat ka haamil ho jaaye.aur phir gharq e Toheed ho kar
waasil rahey. Yeh maqam o martaba khwas ka hai jo marfat e Elahi
ke noor ki roshni tak pohanch jaatey hai is maqam par in khwaas ke
liye is se barh kar na koi lazzat hai aur na koi behtar cheez . who
sarapa Allah Tala ki shinwaai ke saamney apna chehra liye hue
haazir rehtey hai . aur who apne har tarah ke deeni aur duniyavi
kaam aur amoor Allah hi ke supusrd kar detey hai . goya banda kehta
hai (aur me apne tamam amoor Allah Tala hi ke supurd karta hoo . be
shak Allah Kareem bando par behtreen muhafiz aur negehbaan hai.)

Anda mungkin juga menyukai