Anda di halaman 1dari 4

Internet Se Paise Kaise Kamaye (How to

Earn Money From Home)

Hello dosto aaj is post mein hum yeh janege ki ghar baithe online paise kaise
kamaye. Aaj kal internet ne hamari life bhut aasan kar di hai, hum bhut se
kaam ghar baithe internet par online hi kar lete hai jese ki mobile recharge
karna, online shoping karna, online fees pay karna ya fir online bill bharna in
sab ke ilaava hum ghar bethe online paise bhi kama sakte hai bas hame
jankari honi chahiye ki hame kya aur kaise karna hai. Aaj kal bhut se log yahi
search karte hai ki Ghar baithe internet se paise kaise kamaye?

Kuch Jaruri Baaten

Aaj kal esi bhut si websites chal rahi hai jo aapse promise karti hai ki
aap unke liye 2 se 3 ghante kaam kare aur vo aapko paise denge, dosto

mai aapko phle hi saavdhaan karna chahta hu ki esi website se door rhe
jo aap ko 2 se 3 ghante kaam karne par hazaro rupaye dene ka wada
kare esi jadatar sites apni puri conditions nhi btati aur fir baad mein log
cheated mehsus karte hai. Aisi websites online paise kmane ke naam par
registration fees le leti hai. Magar dosto internet par earning karni ho to
aapko koi bhi fees nhi deni padti aap bina kisi investment ke online
earning start kar sakte hai.
Aap kitna paisa kma sakte hai ye baat nirbhar karti hai ki aap kitna time
kaam karte hai aur kitni mehnat karte hai agar aap part time kaam kar
ke apna jeeb kharch nikalna chahte hai ya fir full time kaam kar ke jada
paisa earn karna chahte hai ye dono cheeje internet par possible hai.

Ghar Baithe Online Paise Kamane Ke Tarike


(Earn Money Online Without Investment)
1. Blog aur Website Ke Jariye Rupaye Kaise Kare

Agar aap padhne likhne ka shaunk rakhte hai to aap apne blog ya
website ke jariye achhi kamayi kar sakte hai lekin kamayi ke liye kewal
blog ya website banana hi kaafi nahi hai. Blog par dala gya leekh(posts),
blog par vigyapano ka sathaan aur blog ke paathako(visitors) ki taadaad
jaisi cheeje blog se hone wali earning par asar daalti hai.
Blog ke jariye kamayi karne ka sabse bada maadhyam vigyaapan(ads)
hai. Google Adsense, Bidvertiser, Adbrite aur Revenue Pilot jaisi kai
online agency hain jo blog par vigyaapan deti hain.
Inme se google ki adsense sabse popular ad agency hai, in agency ke
vigyaapan apne blog par lagane ke liye pahle in ka member banna jaruri
hai. Aisi jyadaatar agencies ki membership free hoti hai. Member banne
ke baad ye kuchh code(scrypt) dete hai, jise blog par lgana hota hai.

2. Freelancing Websites Par Account Bana Kar

Kai aisi websites internet par online chal rahi hai jo content likhne ka
kaam deti hain. Yahaan aap kaam dekh kar uske liye boli(bid) laga sakte
hai, yaani aap bta sakte hai ki aap vah kaam kitne rupye mein
karenge. Agar kaam dene wale ko aapki bid thik lagti hai to vah kaam
kuch sharto par aapko de diya jaata hai.
Elance.com, Odesk.com, Guru.com aur Freelancer.com freelancing ki
aisi hi kuch website hai yahaa aap bina kuch kharch kiye kaam kar
sakte hai.

3. Youtube Se Paise Kaise Kamaye

Youtube par aap apne video upload kar sakte hai, yahaa aap apne video
ko monetise bhi kar sakte hai, yaani aap chaahe to youtube aapke video
par vigyapaan(ads) dikhaye ga aur iss se hone wali kamayi ka ek hissa
aapke khaate mei bhi jayega. Agar video achi hai to vigyaapano se
aap Youtube se paise kama sakte hai.

4. Android Mobile Se Paise Kaise Kamaye

Aajkal smart phone ka chaln badha hai aur sath hi mobile ke jariye
paise kamane ke tarike bhi khule hai. Haa dosto aap apne mobile se
paise kama sakte hai.
Mobile se kamayi ke 2 tarike hai. - Mobile Apps aur E-Book
Agar aap ko mobile application banane ki knowledge hai to aap android
aur iphone ke liye mobile apps bana sakte hai aur aap apne apps mein
vigyaapan lga kar kamayi kar sakate hain. Admob mobile ki sabse badi
ad agency hai.
Bahut se log ab chhapi hui kitaabe padhne ke bajaay mobile par e-books
padhna pasand karte hai. Agar aap kuch acha likh sakte hai jo paathko
ko baandhe rakh sakti hai to aap e-books ke maadhyam se achi kamayi
kar sakte hai.

www.KyaKyuKaise.com

Anda mungkin juga menyukai