Anda di halaman 1dari 7

Weight Loss Tips for Men in

Hindi: Purusho ki Fitness Ke


Liye

HRELATE.COM

Aksar purush badhte hue vajan se pareshan hote hai. Vajan badhne ke sath
sath pet bhi badh jata hai aur chinta ka vishay ban jata hai. Motape ya adhik
vajan ki samasya Bharat hi nhi balki puri duniya mai hai. Aamtour par kayi
purush shuruwat mai motape par gaur nahi karte hai.
Parantu, jab motapa adhik badhne lagta hai to use kam karne ke liye bahut
se tareeke dhundhne lagte hai aur gym aadi ka sahara lete hai.
Gym jane se aapke sharir ki kasarat hoti hai to jahir si baat hai ki aap vajan
ghata lenge lekin jaise hi aap ise chhodte hai hamara vajan fir gati se badhne
lagta hai. Aur har koi jindagi bhar gym jate hi rahe yeh mumkin to nahi. Isliye
motape ko ghatane ke liye kuch aur bhi tarike hote hai jin par gaur karna
jaruri hai.
Unn tariko ko apnane se vajan badhne ki pareshani hoti hi nahi hai aur yadi
aapka vajan pehle se hi badha hua hai to yeh tarike aapke vajan ko kam
karne mai aapki madad karte hai. To aaiye aaj ke lekh mai vistar se jante
haiWeight Loss Tips for Men in Hindi.
hrelate.com

Weight Loss Tips for Men in Hindi: Apna Vajan


Ghataye

Yadi aap ne vajan ghatane ka soch hi liya hai to aaj se hi


diyetop-10 weight loss tipsko shuru kar sakte hai.
hrelate.com

Man ko Kare Taiyar


Sabse pehle aapkoweight losskarne ke liye mansik roop se taiyar hone
ki jarurat hai. Chahe koi kuch bhi kahe, aapko vajan kam karne ke liye
puri tarah samarpit hona hoga. Sath hi, aapko apne swasth, jeevan sheli
aur yaha tak ki mukhya khane ko bhi badalna padega. Parantu, ek
charam star par aahar mai parivartan karne se pehle chikitsak se
paramarsh le.
Jyada Pani Piye
Jyada se jyada pani pina bhi aapko vajan ghatane mai madad kar sakta
hai. Yeh weigh loss karne ka sabse aasan tarika hai. Aap rojana ek glass
pani mai ek can soda ki dalkar piye. Nishcit hi aap ko swad achha na
lage, par yeh duvidha aapke liye strength sabit ho sakti hai. Iss prakriya
ko apnakar aap 40 gram hanikarak vasa ko kam kar deta hai jo ki chini ko
yogdan karta hai aur 150 calories ko bhi kam kar deta hai. Sirf ek hafte is
niyam ka sakht roop se palan karke aap kam se kam 1000 calories to
kam kar hi lenge.
hrelate.com

Nutrition Ko Prathmikta De
Weight loss karne ke baare mai logo ki yeh galat dharna hai ki bhukhe rehna
vajan ghatane mai madadgar hai. Aksar log ye sochte hain ki agar hum bhukhe
rehte hai to hamare sharir ka vajan badhega hi nahi. Yeh puri tarah galat hai. Ek
achha sharir poshak tatvo se nirmit hota hai na ki bhukhe rehne se. Bus aapko
itna karna hai ki pizza, burgers ko chhodkar phal aur sabji roti ka sevan karna
hai.
Lift Weight
Swasth aahar ke sath weight lift karna aapke vajan kam karne ke lakshya mai
karagar sabit ho sakta hai. Isse aapki muscle banegi aur workout ke dauran
adhik muscle banne ka matlab hai adhik vasa (fat) jalna. Yeh apaki sharir ko
nishchit ki madad karega.
Lekin haa Aapko apni shamta ke upar ka weight lift karne ki jarurat nahi hai.
Balki, ek esa weight chune jo bhaari ho aur aap use uthane ki koshish bhi kar
paye. Aur yadi aap trainer ki madad se yeh karya kar rahe hai to bhari weigh lift
kar
sakte hai. Bhari weight ko kam samay mai lift karke aap apni muscle ko
hrelate.com
gain kar sakte hain. Bhari weight jyada calories ko kam karta hai.

Raat mai Nashta Na Kare


Nasamjhi se kiya jaane wala bhojan vajan badhne ka kaaran ban sakta hai.
Adhiktar log raat mai TV dekhte dekhte nashta karte hain. Yeh calories badha
sakta hai. To, agar aap yeh niyam bana le ki dinner ke bad aap nashta nahi
karenge ya fir agar kare bhi to koihealthy nashtakarenge, to isse ek bada fark
pad sakta hai.
Sounf ka Sevan Kare
Sounf ek esi chiz hai, jise prayog se aap apne vajan ko niyantrit kar sakte hai.
Aur, yeh har ghar mai kitchen mai uplabdh hoti hai. Iska roz sevan karne se
aapke system mai sudhar bhi hota hai aur liver ki achhe se safai bhi ho jati hai.

Papita se Charbi Kam Kare


Papitalose weight fastkarne ke liye sabse achha aur behatrin tarika hai. Yeh
aasani se bazaar mai mil jata hai. Agar aap adhik weight se pareshan hai, to
rozana papite ka sevan karna shuru karen, kyunki lambe samay tak papita
khane se charbi kam ho jati hai.
hrelate.com

Mirch Vajan Niyantran Ke Liye


Mirchkhane se motape mai fark padta hai. Mirch ek aesi chiz hai jo har
rasoighar mai uplabdh hoti hai. Agar aap lunch aur dinner karte samay kati hui
hari mirchi khane lage to apne motape par kaabu pa sakte hain. Isse sharir mai
urja ka sanchar badhta hai aur vajan bhi control mai rahta hai.

Har Fat Bura Nahi Hota


Yeh ek galat dharna hai ki vasa (Fat) aapke liye bura hai. Vasa 3-mukhya
macronutrients mese ek hai, jiska matlab hota hai ki yeh apke sharir ke liye
avashyak hai. Isliye, kabhi bhi puri tarah se vasa-mukt aahar na le. Ek achha
swasth aahar 20 se 35% tak calories pradan karta hai. Ek achha niyam yeh ho
sakta hai ki aap amtour par bad-saturated vasa na grahan kare. Yeh aapke
vajan ko badha sakta hai aur hriday ki samsyaon ko bhi janm de sakta hai.

Upar apne janaWeight Loss Tips for Men in Hindi. Agar aap vakayi me apna
wajan kam karna chahte hai to jyada na soche aur jitna jaldi ho sake in tips ka
niyamit
roop se palan karna shuru kar de.
hrelate.com

Anda mungkin juga menyukai