Anda di halaman 1dari 1

MUSHWARAY KAY ADAAB

1. MUSHWARA ALLAH KA PASANDEEDA AMAL HAI


2. HUZOOR (SAW) KI SUNNAT HAI AUR SAHABA (RA) KI SEERAT HAI AUR
HAMARI ZAROORAT HAI
3. MUSHWARA 3 CHEEZON KA HO
 24 GHANTAY KAY UMOOR TAY KARLEIN
 HUM JAISA ALLAH KAY RASTAY MEIN NIKALEIN HAI USSI TARHA
YAHAN KAY LOGON KO BHI NIKALEIN
 AGAR IS MASJID MEIN MASJID WAR JAMAAT BAITEY HO TO
USSAY MAZBOOT KARNAY KI FIKR KAREIN AUR NA BAITEY HO
TO BITHANAY KI FIKR KAREIN.
4. MUSHWARA MEIN SAARAY ALAM KI FIKR LAY KAR BAITHAY
5. DEEN KA FAIDAH DEKH KAR RAI DEIN
6. MUSHWARA MEIN MAANAY KAY JAZBAY SAY BAITHAY , MANWANAY
KAY JAZBAY SAY NA BAITAY
7. APNI RAI KO AMANAT SAMAJH KER DEIN
8. KISI SATHI KI RAI KO NA KAATEIN
9. QIDMAT AUR ELAAN MEIN KHUD KO PESH KAREIN DOOSRAY UMOOR
MAIN RAI DEIN
10. APNI RAI PAR ISRAAR NA KAREIN
11. MUSHWARA DILON KA JOARD HAI
12. MUSHWARA SAY PEHLAY MUSHWARA NA KAREIN AUR MUSHWARA
KAY BAAD TABSAYRAH NA KAREIN
13. MUSHWARA MEIN AKSARIYAT AUR AKHILIYAT KI KOI AHEMIYAT NAHI
14. MUSHWARA SAY PEHLAY SUB KI RAI ALAG-ALAG HOTI HAI MAGAR
MUSHWARA KAY BAAD SUB EK RAI EK HOJATI HAI
15. HAR AHEM KAAM CHAHAY DEEN KA HO YA DUNIYA KA US MEIN
MUSHWARA KAREIN, MAGAR AURAT KO AMEER NA-BANAYEIN
16. MUSHWARA KARKAY JO KAAM MEIN NUQSAAN HO US PAR AFSOOS
NAHI HOTA

TALEEM KAY ADAAB


1. TALEEM MEIN HALQA BANA KAR BAITHAY
2. BA ADAB – BA WUZU BAITHAY
3. HO SAKAY TO 2 RAKAT NAFIL PADHKAR –ALLAH SAY HIDAYAT KI DUA
KAREIN
4. TALEEM MEIN 3 HISAY HAI
 KITAAB KI TALEEM
 QURAAN KAY HALQAY
 6 (CHE) NUMBER KA MUZAAKIRAH

5. ALLAH AUR USKAY RASOOL KI DIL MEIN MOHABBAT LAY KAR BAITHAY
6. DHIYAAN AUR TAWAJJUH SAY SUNAY
7. TALEEM KARNE WALAY KU YA KITAAB KO DEKHEIN
8. TALEEM SAY DIL TASUUR LAYNAY WALA BANAY (YANI ASAR LANAY
WALA)
9. AMAL KI NIYAT SAY TALEEM SUNAY AUR DUSOORON TAK
PAHONCHANAY KI NIYAT SAY SUNAY
10. HUZOOR SAW KA NAAM AYE TO DUROOD PADHEIN
11. JANNAT KA TAZKERAH HO TO DIL KHUS HO AUR JAHANNUM KA
TAZKIRAH HO TO DIL MEIN KHUFF HO.

Anda mungkin juga menyukai