Anda di halaman 1dari 1

ZIKR KE FAZIAL

MERE BHAIOON YEH ALLAH KA BADA HI FAZAL HUA KE ALLAH NEY HUM SAB KO
DEEN KI NISBAT PAR JAMA FARMAYA AUR ALLAH NEY HUM SAB KI KAMIYABI APNEY DEEN MEIN RAKHI HAI

MEREY BHAIOON MUQAAMO ME SAB SE AFZAL MUQAAM KAABA TULLAH KA HAI


MAHINOON MEIN SEY SE AFZAL MAHINA RAMZAN KA HAI
AUR RATON MEIN SEY SUB SE MUQADDAM RAAT SHABBE-QADR KI RAAT HAI
DINO MEIN SEY SUB SE AFZAL DIN JUMA KA HAI

USSI TARAH WAQT MEIN SUB SE AFZAL WAQT FAJR AUR ASAR KA WAQT HAI IS MEIN HUM SAB ZIKR KARNE
WALAY BANE KYONKI IS WAQT MEIN FARISHTAY TABDEEL HOTEY HAI, FAJR MEIN JO FARISHTEIN ATAY HAI
WO ASAR MEIN WAPIS HOTE HAI AUR JO ASAR ME AATEIN HAI FAJR MEIN WAPIS HOTEY HAI AUR ALLAH KAY
YAHAAN ARZ KARTE HAI KAY HUMNE AAPKE BANDAY KO ZIKR KI HALAT MEIN DEEKHA HAI.
MERAY BHAION AAJ HUM SAY JO GUNAAH HO RAHAY HAI WHO GHAFLAT KI WAJHAY SAY HO RAHE HAI AUR IS
GHAFLAT KO DOOR KARNAY HUM SUB ZIKR KARNE WALAY BANAY TAKAY GHAFLAT HUM SAY DOOR HO
JAAYE AUR YEH TASSAWUR DIL MEIN AAJAYE KE ALLAH MUJHE DEKH RAHE HAI.

HADEES :- ALLAH KAY ZIKR SAY BADKAR KISI AADMI KA KOI AMAL AZAAB-E- QABR SAY NAJAAT DILA NAHI
SAKTA.

EK HADEES KA MAFHOOM HAI KI JANNAT WALON KO JANNAT MAIN JANEY KE BAAD DUNIYA KI KISI CHEEZ KA
AFSOOS NAHI HOGA SIWAE US GHADI KE JO GHADI ALLAH KE ZIKR KE BAGHAIR DUNIYA MEIN GUZAR GAYI HO

AUR EK HADEES KA MAFHOOM HAI KI JO SHAKS ALLAH KA ZIKR KARSRAT SE KARTA HAI WO NIFAQ SE BARI
HAI

AUR EK HADEES KA MAFHOOM HAI JO BANDA ALLAH KA ZIKR KARTA HAI WO ZINDA HAI AUR JO BANDA ZIKR
NAHI KARTA WO MURDA HAI

EK HADEES KA MAFHOOM HAI KI EK SHAKS KE PASS MAAL HO AUR USSAY TAQSEEM KAR RAHA HO AUR EK
SHAKS ALLAH KA ZIKR KAR RAHA HO DONO MEIN ALLAH KA ZIKR KARNE WALA AFZAL HAI

ROZANA SUBAH-O-SHAAM HUM SUB 3 TASBEEHAT KA EHTEMAM KARE

1)ISTIGHFAR (100 BAAR) -ISLIYE PADHE KYONKI HUM SE SUBAH O SHAAM GUNAAH HOTE HAI UNKO YAAD
KARKE HUM ALLAH SE NADAMAT KE SAATH ISTIGHFAR KE ZARIYE TAUBA KAREIN.
EK HADEES KA MAFOOM HAI KE KHATA(GUNAAH) TO HAR SHAKS KARTA HAI MAGAR BEHTAREIN KHATA
KARNE WALA WOH HAI JO ISTAGHFAR KARAY.

2)TEESRA KALIMA (100 BAAR)- ISLIYE PADHE IS MEIN ALLAH KI BADAYI HAI ALLAH KI AZMAT AUR UNKI BADAYI
HAMARE DILO ME AJAYE AUR DUNIYA KI MOHABBAT DIL SE NIKAL JAYE.
EK HADEES KA MAFHOOM HAI JAB BANDA SUBHANALLAH KEHTA HAI USKE BADLE ME JANNAT ME EK
DARAQT LAGA DIYA JATA HAI

3)DAROOD-E-SHARIF (100 BAAR) - ISLIYE PADHE KYONKI HUZOOR (SAWS) KE KARODO AHSANAAH HUM PAR
HAI JIN KA HAQ HUM NAHI ADA KAR SAKTE ISLIYE ROZ SUBAH-O-SHAAM DAROOD-E-SHARIF BHEJAY.

EK HADEES KA MAFOOM HAI KE HUZOOR SAW NE FARMAYA JO MUJH PAR EK PAAR DUROOD BHEJAY ALLAH
US PAR DUS RAHMATEIN NAZIL KARTA HAI.

EK HADEES MEIN HUZOOR (SAWS) NE FARMAYA QIYAMAT KE DIN MERE QAREEB WO SHAKS HOGA JO MUJH
PAR ZYADA DAROOD BHEJEGA.

Anda mungkin juga menyukai