Anda di halaman 1dari 1

Jab jab dard ka baadal chaaya, jab gham ka saya lahraya jab aansu palko tak aaya,jab ye tanha

dil ghabraya hum ne dil ko ye samjhya dil aakhir tu kyun rota hai, duniya mien yuhi hota hai. ye jo gahrey sannate hai, waqt ne sabko he batein hai thoda gham hai sabka kissa, thodi dhup hai sabka hissa aankh teri bekar he nam hai, har pal ek naya mausam hai kyun tu aise pal khota hai, dil akhir tu kyun rota hai...

Pighlay neelam sa behta hua yeh samaan Neeli neeli si khamoshiyaan Na kahin hai zameen Na kahin aasmaan Sarsaraati huyi tehniyaan, pattiyaan Keh rahi hain ki bas ek tum ho yahaan Sirf main hoon meri saansein hain aur meri dhadkanein Aisi gehraiyaan Aisi tanhaiyaan Aur main sirf main Apne honay pe mujhko yaqeen aa gaya

Ik baat honton tak hai jo ayi nahin,Bas ankhon say hai jhankti Tmse kabhi, mujhse kabhi,Kuch lafz hain woh mangti Jinko pehanke honton tk aa jaaye woh,Awaaz ki baahon mein baahein daalke ithlaye woh, Lekin jo yeh ik baat hai,Ahsas hi ahsas hai Khushboo si hai jaise hawa mein tairti,Khushboo jo be-awaaz hai Jiska pata tumko bhi hai,Jiski khabar mujhko bhi hai Duniya se bhi chupta nahin,Yeh jaane kaisa raaz hai

Dilon mein tum apni betaabiyan leke chal rahe ho, toh zinda ho tum Nazar mein khwaabon ki bijliyan leke chal rahe ho, toh zinda ho tum Hawa ke jhokon ke jaise aazad rehna seekho Tum ek dariya ke jaise lehron mein behna seekho Har ek lamhe se tum milo khole apni baahein Har ek pal ek naya samaa dekhiye Jo apni aankhon mein hayraniyan leke chal rahe ho, toh zinda ho tum Dilon mein tum apni betaabiyan leke chal rahe ho, toh zinda ho tum

Anda mungkin juga menyukai