Anda di halaman 1dari 14

Shayari Ghalib Shayari Ghalib Na tha kuchch to KHuda tha, kuchch na hota to KHuda hota duboya mujhko hone

ne, na hota maiN to kya hota ? huaa jab GHam se yooN behis to GHam kya sar ke kaTne ka na hota ... Views:1196 Rating: Shayari Ghalib Kahu kis se ki kya kiya hai shabe gam buri bala hai mujhe kya bura tha marna gar ek baar hota Views:1234 Rating: Shayari Ghalib Na tha main to khuda tha, kuch na hota to khuda hota mitaya mujh ko hone ne, na hota main to kya hota Views:848 Rating: Shayari Ghalib Nukta chii hai gam e dil,ke sunaya na bane kya baat bane wahan,jahan baat banye na bane. ishq par zor nahi hai yeh woh attish galib jo lagaye na lage bhujhaye na bane... Views:864 Rating: Shayari Ghalib Har baat par kehte ho tum ke tu kya hai Tumhi batao yeh andaz-e-guftgu kya hai ragon mai daudane ke ham nahi kayal jo aankh hi se na tapka woh lahu kya hai Views:956 Rating: Ghalib Shayari Na tha kuchch to KHuda tha, kuchch na hota to KHuda hota duboya mujhko hone ne, na hota maiN to kya hota ? huaa jab GHam se yooN behis to GHam kya sar ke kaTne ka na hota ... Views:831 Rating: Ghalib Shayari Har baat par kehte ho tum ke tu kya hai Tumhi batao yeh andaz-e-guftgu kya hai ragon mai daudane ke ham nahi kayal jo aankh hi se na tapka woh lahu kya hai

More

More

More

More

More

More

Nukta ch... Views:942 Rating: Ghalib Shayari aaiinaa kyuu.N na duu.N ke tamaashaa kahe.n jise aisaa kahaa.N se laauu.N ke tujhasaa kahe.n jise hasarat ne laa rakhaa terii bazm-e-Khayaal me.n guladastaa-e-nigaah s... Rating: Ghalib Shayari koi ummid bar nahin aati koi surat nazar nahin aati. aage aati thi haale dil par hasi ab kisi baat par nahin aati hum wahan hain, jahan se humko bhi kucch ha... Views:1840 Rating: More Ghalib Shayari dil-e-naadaaN tujhe huaa kya hai ?aaKHir is dard kee dawa kya hai ham haiN mushtaaq aur woh bezaarya ilaahee ! yeh maajra kya hai ? -------------------maiN bhee muNh mei... More

Views:937

More

Shayari Ghalib Sharab Ghalib Hazaaron khwahishain aisee ke har khwahish pe dam nikle bahut niklay meray armaan laikin phir bhee kam niklay Views:506 Rating: More Sharab Ghalib No flicker enlivens my grasp My eyes are still alive Let the glass remain Leave the wine alone. Views:375 Rating: More Sharab Ghalib Myriad and yet each solitary wish One that I could die for Unnumbered the desires I possessed Innumerable those I yearn for.

Views:333

Rating: Sharab Ghalib Hazaron khwahishen aisi ki har khwahish pe dum nikle, Bahot nikle mere armaan, lekin phir bhi kam nikle. Rating: Student Shayari Larkay Ka Haath Dekh Ker Bola: Beta Tum Bohat Parhoge Larka: Abay Parh To Main 5 Saal Se Rha Hoon Ye Bata Pass Kab Honga..?

More

Views:373

More

Views:335

Views:425

Views:364

Views:353

Views:385

Rating: Zindagi kisiki mohataz nahi hoti Zindagi kisiki mohataz nahi hoti, Dosti sirf jazbaat nahi hoti, Kuch to khayal aaya hoga khuda ko, Warna yuhi aapki humse mulaqat nahi hoti Rating: Jindagi kisi ki amanat nahi hoti Jindagi kisi ki amanat nahi hoti, Amanat main kabhi kayamat nahi hoti, Dil ko sambhal kar rakhna, Meri dosti ki kaid main jamanat nahi hoti. Rating: Nanhe se dil me armaan koi rakhna Nanhe se dil me armaan koi rakhna, Duniya ki bhid main pehchan koi rakhna. Ache nahi lagte jab rahte ho udas, In hoto pe sada muskaan vahi rakhna. Rating: Aapne dushman se hi dil laga baithe Aapne dushman se hi dil laga baithe Unki Saadgi se fareb kha baithe Pattharon se tha Apna rishtaa.. Phir bhi Shishe ka Ghar bana baithe Rating: Aapke shahar ka har mausam suhana lage Aapke shahar ka har mausam suhana lage, Ek shaam chura loon aapki agar bura na lage, Aap chahe bhula de hume ek pal me hi, Aapko bhulane me shayad hume jamana lage.

More

More

More

More

More

. Hui muddat ki Ghalib mar gaya par yaad aata hai.... Woh har ek baat pe kehna ke yoon hota to kya hota.....

Ghalib sahab ki ek gazal arz hai... mujhe pata hai shayad bohot se logon ko yeh samajh nahi aayegi...Umeed hai ke jisko samajh aayi wo shadaab hojayega... Har ek baat peh kehtay ho tum ke " tu kya hai?"... Tumhi kaho ke yeh andaaz-e-guftugu kya hai... Na sholey main yeh karishma na barq main yeh ada... Koi batao ke woh shokh-e-thund o khu kya hai... Yeh rashk hai ke woh hota hai hum-sukhan tumse... Warna khauf-e-bad'aamozi-e-udu kya hai.... Chipak raha hai badan par lahoo say pairahan... Hamari jaib ko ab haajat-e-rafu kya hai.... Jala hai jism jahan dil bhee jal gaya ho gaa.... Khuredtay ho jo ab rakh, justuju kya hai... Ragon main daudtay phirnay ke hum nahi qaa'el... Jab aankh hi say na tapka to phir lahu kya hai... Woh cheez jis kay liye ho hamain bahisht azeez... Siwaey baada-e-gulfaam-e-mushkabu kya hai... Piyoon sharab agar kam bhee to dekh loon do chaar... Yeh sheesha-o-qadah-o-kooza-o-subu kya hai... Rahee na taaqat-e-guftaar aur agar ho bhi... To kis umeed pe kahiye keh aarzu kya hai.... Bana hai sheh ka masahib, phiray hai itraata... Warna shehar main 'Ghalib' ki aabru kya hai.... __________________

Humko to duniya main koi bewafa na mila.. kami jo paayi to apni mohobbat main paayi..

arz-e-niyaaz-e-ishq ke qaabil nahii.n rahaa jis dil pe naaz thaa mujhe vo dil nahii.n rahaa [niyaaz = offering] jaataa huu.N daaG-e-hasarat-e-hastii liye hue huu.N shammaa-e-kushtaa daraKhur-e-mahafil nahii.n rahaa [shammaa-e-kushtaa = extinguished lamp; daraKhur = worthy] marane kii ai dil aur hii tadabiir kar ki mai.n shaayaan-e-dast-o-baazuu-e-qaatil nahii.n rahaa [tadabiir = solution/remedy; shaayaan = worthy; dast = hand] ba-ruu-e-shash jihat dar-e-aa_iinaabaaz hai yaa.N imtiaaz-e-naakis-o-qaamil nahii.n rahaaa [ba-ruu = in front; shash = six; jihat = direction] [imtiaz = distinction, naakis = incomplete, qaamil = complete] vaa kar diye hai.n shauq ne band-e-naqaab-e-husn Gair az nigaah ab ko_ii haa_il nahii.n rahaa [vaa = open; Gair az = other than; haa_il = obstacle] go mai.n rahaa rahiin-e-sitam haaye rozagaar lekin tere Khayaal se Gaafil nahii.n rahaa [rahiin-e-sitam = burdened; Gaafil = careless] dil se havaa-e-kisht-e-vafaa miT ke vaa.N

haasil sivaaye hasrat-e-haasil nahii.n rahaa bedaad-e-ishq se nahii.n Darata magar 'Asad' jis dil pe naaz thaa mujhe vo dil nahii.n rahaa [bedaad = injustice]

Woh dil main hai, Dharkan main hai, Rooh main hai___!!! " GhaL " ... Sirf kismat main nahi hai to KHUDA se gila kaisa_ Shayari Hindi Shayari www.shayariquote.com Chand ke liye sitare anek han, lekin sitaron ke liye chand ek hai. Aapke liye to hazaron honge, lekin hamare liye aap hi ek hain........ Haale dil tumko sunate jo tum pass hote, Ashk tumhare saath bahate jo hum tum pass hote, Chandni raat ki un haseen yaadon ko ek baar phir doharate jo tum pass hote.... Log kehte hai hamein adat hai muskurane ki, magar woh kya jaane yeh ada hai gam chupane ki. phool kushboo se pooche hum aapke hai kaun, dil dhadkan se pooche hum aapke hai kaun, hum to hai nadaan... aap hi bataye hum aapke hai kaun http://www.shayariquote.com

Hazaaron khwahishen aisi ke har khwahish pe dam nikle Bohat niklay mere armaan, lekin phir bhi kam nikle Daray kyon mera qaatil? kya rahega us ki gardan par? Voh khoon, jo chashm-e-tar se umr bhar yoon dam-ba-dam nikle Daray kyon mera qaatil? kya rahega us ki gardan par? Voh khoon, jo chashm-e-tar se umr bhar yoon dam-ba-dam nikle

Nikalna khuld se aadam ka soonte aaye hain lekin Bahot be-aabru hokar tere kooche se hum nikle

Bharam khul jaaye zaalim! teri qaamat ki daraazi ka Agar is tarahe par pech-o-kham ka pech-o-kham nikle Magar likhvaaye koi usko khat, to hum se likhvaaye Hui subaha, aur ghar se kaan par rakh kar qalam nikle Hui is daur mein mansoob mujh se baada aashaami Phir aaya voh zamaana, jo jahaan mein jaam-e-jaam nikle

Hui jin se tavaqqa khastagi ki daad paane ki Voh ham se bhi zyaada khasta e tegh e sitam nikle Mohabbat mein nahin hai farq jeenay aur marnay ka Usi ko dekh kar jeetay hain, jis kaafir pe dam nikle

Zara kar jor seene par ki teer-e-pursitam niklejo Wo nikle to dil nikle, jo dil nikle to dam nikle

Khuda ke waaste parda na kaabe se uthaa zaalim Kaheen aisa na ho yaan bhi wahi kaafir sanam nikle

Kahaan maikhane ka darwaaza Ghalib aur kahaan vaaiz Par itna jaantay hain kal voh jaata tha ke ham nikle Hazaaron khwahishen aisi ke har khwahish pe dam nikle Bohat niklay mere armaan, lekin phir bhi kam nikle...

Koi Ummeed Bar Nahin Aatee

koi ummeed bar naheen aatee koee soorat nazar naheen aatee maut ka ek din muayyan hai neehd kyon raat bhar naheeh aatee? aage aatee thee haal-e-dil pe hansee ab kisee baat par naheen aatee jaanta hoon sawaab-e-taaat-o-zahad par tabeeyat idhar naheen aatee hai kuchch eisee hee baat jo chup hoon warna kya baat kar naheen aatee? kyon na cheekhoon ki yaad karate hain Meri awaaz gar nahin aati. daagh-e-dil gar nazar naheen aata boo bhee ei chaaraagar ! naheen aatee ham wahaan hain jahaan se hamko bhee kuchch hamaaree khabar naheen aatee marte hain aarzoo mein marne ki maut aatee hai par naheen aatee kaabaa kis munh se jaaoge Ghalib

sharm tumko magar naheen aatee TRANSLATIONNo hope comes my way No visage shows itself to me That death will come one day is definite Then why does sleep evade me all night? I used to laugh at the state of my heart Now no one thing brings a smile Though I know the reward of religious devotion My attention does not settle in that direction It is for these reasons that I am quiet If not, would I not converse with you? Why should I not remember you? Even if you cannot hear my lament You dont see the anguish in my heart O healer, the scent of my pain eludes you I am now at that point That even I dont know myself I die in the hope of dying Death arrives and then never arrives How will you face Mecca, Ghalib When shame doesnt come to you

Urdu Script

Devnagiri Script ` ` ` -

English Transcript

Naqsh faryaadi hai kiski shaukhi-e tehreer ka Kagazi hai pairahan har paikar-e tasveer ka Kaay-kaay-e-sakht-janeeha-e tanhai na poochh Subha karna shaam ka lana hai juu-e-sheer ka Jazbah-e-bey-ikhtiyaar-e shouk deykha chahiye Sinah-e shamseer sey baahar hai dum shamsheer ka Aagahee daam-e shunidan jis qadar chaahey bichhaaye Mudad aa anka hai apney aalam-e takreer ka Baski hoon Ghalib aseeri mein bhi aatish zer-e pa Muu-e aatish-deedah hai halkah meri zanjeer ka

dard minnat_kash-e-dawa na huaa

dard minnat_kash-e-dawa na huaa maiN na achchaa huaa, bura na huaa jama'a karate ho kyoN raqeeboN ka ? ik tamaasha huaa gila na huaa ham kahaaN qismat aazmaane jaayaiN ? too hee jab KHanjar aazma na huaa kitne sheereeN haiN tere lab ! ki raqeeb gaaliyaaN khaake be_maza na huaa

hai KHabar garm unke aane kee aaj hee ghar meiN boriya na huaa ! kya woh namrood kee KHudaaee thee bandagee meiN tera bhala na huaa jaan dee, dee huee usee ki thee haq to ye hai ke haq adaa na huaa zaKHm gar dab gaya, lahoo na thama kaam gar ruk gaya rawanah huaa rahzanee hai ki dil_sitaanee hai ? leke dil, dil_sitaaN rawanah huaa kuchch to paDhiye ki log kehte haiN 'aaj 'GHalib' GHazalsara na huaa'

pain did not become grateful to medicine I didn't get well; [but it] wasn't bad either why are you gathering the Rivals? [It was just] a mere spectacle [that] took place, no complaint was made where would we go to test our fate/ destiny? when you yourself did not put your dagger to test How sweet are your lips, that the rival [after] receiving abuse, did not lack pleasure Recent/ hot news is that she is coming Only today, in the house there was not a straw mat! Does the divinity belonged to Namrood'? [cause] in your servitude, my wellbeing did not happen

[God] gave life-- the given [life] was His alone the truth is; that the responsibility was not fulfilled [by us] if the wound was pressed, the blood did not stop [though] the task was halted, [but the bleeding still] set out Is it highway robbery, or is it heart-theft? having taken the heart, the heart-thief set out [to depart] recite something, for people are saying today Ghalib was not a ghazal-reciter

Mushqil hai zabs kalaam mera ai dil sun sun ke usey sukhvanvaraane kaamil Aasaan kehne ki kartey hain farmaaish goyam mushqil vargna goyam mushqil

Share| Rahm Kar Zaalim

Roman Scriptra m kar zaalim kih ky b d-e chir h-e kushtah hai nab -e bm r-e vaf d d-e chir h-e kushtah hai dil-lag k rz be-chain rakht hai hame varnah y be-raunaq s d-e chir h-e kushtah hai Devanagari Script-

-Urdu Script

Anda mungkin juga menyukai