Anda di halaman 1dari 115

Sheikhain ki Haqeeqat .

Hamd o sana khuda-e-buzurgawaar k leay k wohi sirf layek-e-ibadat hai or wahid o yakta hai, durood o salam ho uskey Nabi-e-Mustafa Muhammad(saw) per or unki All-eTayyib o Tahir per,guzishta article k behtareen natayej haasil honay per aik martaba phir hum apki khidmat main deeni islah ka parcham lekar haazir hain or iss mozoo k sath k kya sheikhain yani Hazrat Abubakar or umer waqai layek e tabarrah hain ya Ahle-sunnat k moakaf k mutaabiq behtareen insan hain iss silsiley main hum mukhtalif pehluon or waqiyaat ko ahl-e-sunnat ki kutub main se sahi riwayaat ki maddad se manzar-e-aam per laayengey jinse in 2 hazraat ki haqeeqat wazey hojayegi or haq ki raah main Allah he se hum maddad maangengey.

Fasal awal Ehed-e-Risalat(saw) main.. Un waaqiyaat or riwayaat per mabni hai jo in afraad se ehed-e-Risalat(saw) main ronuma hotey rahey or in main pehli qism un riwayaat se mutalliq hai jo ikhlaqiyaat kay zumrey main aati hain or adaab-e-islami se mutalliq hain

Surah e mubarika hujraat main Allah ne irshad farmaya: Aye emaan walo agey na barha karo Allah or uskey Rasool se or dartey raha karo Allah talla se beshuk Allah sub kuch sunney wala janney wala hai [Surah-e-Hujraat Ayat No#1] Sayyuti ne apne tafseer-e-dur-e-Mansoor main Bokhari or deegar ulama k hawaley se Abdullah ibn-e-zubair ka ye qol naqal kiya hai k Qabeela-e-Bani tameem k ghur sawaron ki aik jamaat Rasool(saw) ki khidmat main haazir hui tou hazrat abubakar ne aik shakhs ka naam lekar kaha issey ameer muqarrar kiya jaaey or hazrat umer ne kaha nahi balkey falaan ko muqarrar kiya jaaey tou abubakar ne kaha tum ne faqat mujh se ikhtilaaf ka irada kiya hai tou umer ne kaha nahi mene apki mukhalifat ka irada nahi kiya pus issi baat per dono main takraar shuru hogai or dono ki awazain buland hogayeen(ye bhi na khayal kiya k hum Rasool(saw) ki mehfal main hain) tou Allah ne ye ayat naazil farma di Ref: 1-[Sahi bokhari jild#2 safa#951 kitaab ul tafseer hadis#1955(mutarjam urdu] 2-[Tafseer-e-Dur-e-Mansoor Jild#6 Page#151(urdu edition mutarjam]

Iss ayat se saabit hota hai k sheikhain adab k dairey se itna bahir chaley gaey thay k khud ko khuda or Rasool(saw) per muqaddam samajhney lagey issi leay farmaya Allah or ussky Rasool(saw) se aagey na barho ager ye baat kisi hadis ki kitaab main likhi hoti tou mumkin hai sunni hazraat usski sanad per kuch aiteraaz waghera kar k usey zaeef,mozoo,marfoo qarar dekar apni jaan churaa dete magar aisa nahi hai ye baat khuda ki mohkam tareen kitab main darj hai jiskey barey main wo khuda fermata hai laraiba fi ismey kisi qism k shak ki gunjaish nahi haior issi mohkam kitaab main khuda ne wazey tor per farma dia k khuda or usky Rasool(saw) ki muqarira hudood se tajawwuz na karo sheikhain ne akhir kisi muaamley main Allah or Rasool(saw) ki baat ki mukhaliffat ki hogi or apni baat ko Allah or Rasool(saw) ki baat per muqaddam jana hoga jub he tou khuda ne ye irshad farmaya kyunke wo tou sirf haq kehta hai sirf such batata hai or such kehney main wo kisi qism ka sharm nahi karta or ye baat bhi wo khud apni kitaab main irshad fermata hai..or tum abubakar or umer ko un logon per bartari detey ho jinki poori poori raat ruku o sujood main guzr jaati jinkey badan khof-e-Elahi se kaamptey rehtey kya ajeeb nahi k wo log jo Allah or Rasool(saw) k muqaabiley main khud per fakhr kartey hon wo un logon se afzal hojayen jo poori poori raat sajda raiz rehte hon surah e fatah ki jis ayat ko ap aksar bator e hujjat pesh kartey hain or usmey jo lafz aya hai k jub inhain dekhogey ya ruku main ya sujood main dekhogey tou issper aapka apna he ijma hai iss se muraad Mola Ali(as) hain kyunke Ap(as) bohot kasrat se ruku o sujood kartey thay mohaal hai samajhna k khuda k muqaabiley main apne per fakhr karney waley uss shakhs se behter hojayen jo her waqt itaat-e-parwardigaar main ruku o sujood main sargarm rehta hai InshAllah isska zikr munaasib moqey per tafseel se honay wala hai or uss lamhey k leay hum khuda he se maddad talab karaingey.

Or iskey baad agli ayat main irshad-e-Qudrat hai Aye emaan walo na buland kiya karo apni awazon ko Nabi ki awaz se or na zor se Ap se baat kiya karo jistarah zor se tum aik doosrey se baat kiya kartey ho kaheen tumharey amaal zaya na hojayen or tumhey iski khabar tak na ho [Hujraat ayat no#2] Mazkoora riwayet mukhtalif alfaz k sath ibn e abi maleka k zareeay ibn e zubair se riwayet hai.k qareeb tha k dono azeem hazraat halaak kardeay jaatey hazrat abubakar or hazrat umer ki awazain Nabi(saw) k pas uswaqt buland hueen jub bani tameem ki aik jamaat ap(saw) k pas haazir hui tou in dono main se aik ne aqra bin habis kay baarey main or doosrey ne aik or admi k baarey main ishara kiya tou abubakar ne umer se kaha tum ne faqat mujh se ikhtilaaf kiya hai tou unhon ne jawab diya mene tumse ikhtilaaf ka qasd nahi kiya pus issi behes mubahisa main dono ki awaz buland hogai or mazkoora ayat nazil hui ibn-e-zubair kehte hain k iss ayat k baad umer itni aahista awaz se guftugu kartey k kisi ko sunaai na deti or ap se isky baarey main poocha jata Ref:1-[Sahi Bokhari Jild# safa# 950 kitab ul tafseer hadis#1953 mutarjum urdu] [Dur-e-Mansoor Jild#6 safa#153 mutarjum urdu]

Iss ayat per ghor karo or ahl-e-sunnat k qadeem ulama ki chalaakiyaan dekho k ayat k andr jo ehem tareen khitaab hai Ap(saw) se zor se baat na kiya karo jese apas main kartey ho usey khaa he gaey na uskey baarey main koi tafseer biyaan hui ager ayat main Allah ne kaha hai tou isska matlab tou yeh nikalta hai k in afraad ne Nabi(saw) k sath bhi sakht lehjey main oonchi awaz se baat ki hogi or ager asaan alfaz main kahain tou Nabi(saw) se badtameezi ki hogi warna Khuda ko kya zaroorat hai k aisi baat kahey jo kisi ne anjaam he na di ho? Or ismey doosrey shumaar per iss amar ki wazahat hoti hai k in hazraat main adaab-eislami kay dastoor k tehet paas o lehaaz na thi or baghair ijazat-e-Rasool(saw) bol partey thay halankey Nabi(saw) ne inhain ye hukm dia he nahi tha k tum iss amarat main apni koi raaey pesh karo Ager ye waqiya awayel-e-islam main hota tou hum sheikhain ko mazoor samajhtey or inkey leay taveel kartey lekin riwayaat se saabit hai k ye waqiya Rasool(saw) ki zindagi k akhri ayaam main waqiya hua jubkey log jok dar jok deen main daakhil horahey thay or issi zaman main quran ki akhri suraton main irshad hua Jub Allah ki nusrat ajayegi tou ap dekhengey k log apky deen main foj dar foj shamil horahey hain [Surah e Nasr] Or yaqeenun ravi ibn-e-zubair ne awam un naas ko mutamaen karney ki koshish ki iss gharz se k kaheen logon per sheikhain ka muammla kasheedgi ikhtiyar na kar jaaey issi leay unhain aik jhoot nisbat dena parha k isky baad hazrat umer dheemi awaz main guftugu kiya kartey inshaAllah hum aisi riwayaat zair-e-behes laayengey jinsey ibn-ezubair kay jhoot ki taeed hojayegi or Allah he se maddad talab karaingey.or ye arz kartey chalain kay faaash batain karna oonchi awaz main batain karna sheikhain ki koi nai adat nahi thi in hazraat ka her jagha yahi pesha raha hai or aik khabar sulah-ehudaibiya se mutallik hai jahan hazrat abubakar or urwa ki talkh kalami hui or isey tabari or deegar moarikheen ne riwayet kiya hai k urwa ye kehta hua RasoolAllah(saw) k pas aya k mujhey aisi sooratain nazr arahi hain in main aisey he log hain jinki fitrat ye hai k bhaag jaayen or Tum(saw) ko dushman k narghey main chor jaayen iss baat ko sun kar hazrat abubakar ne kaha Too laat(pooja jaaney wala but) ki sharam gaah choos [Tareekh-e-Tabari Jild#2 safa#250 hisa awal matboa nafees academy Karachi]

herat kada baat humarey leay ye hai k ibn-e-hijr shaafi ne apni kitab sawaiq ul muharikka main ye waqiya riwayet kiya or issey hazrat abubakar ki jurrat or shujaat ki

alamat qaraar dia k abubakar itne bahadur thay k kufaar ko sakht tareen jawaab dete thay,magar humain tou ye haq haasil hai k hum sawal karain k kya janasheen-eRasool(saw) ki seerat aisi hoti hai quran tou kehta hai buton ko bhi gaali mat dou kya hazrat abubakar ne khuda k iss farman per amal kiya ya mukhalifat ki?or humarey sunni bhai jinhain bohot barey mudabbir ashiq e Rasool(saw) tasawur kartey hain or ye bhi kehte hain k Rasool(saw) ka bohot ehtiraam tha unkey dil main unhain itna bhi khayal na aya k Rasool(saw) kharey hain lehaza main aisi behooda baat na karoon ager ibn e hijr ki baat maan kar isey jurrat o shujaat ki alamat samjha jaaey tou wo hadis-eRasool(saw) kis zumrey main shaamil hoti hai k afzal tareen jehaad jehaad bin nafs hai asal bahadur wo hai jo ghussey per qaboo paaey or yaqeenun urwa ki baat per hazrat abubakar ko ghusa aya tou uswaqt unhon ne RasoolAllah(saw) ki hadis ki mukhaalifat kyun ki?hadis k muwaafiq amal kyun nahi kiya?janasheen e Rasool(saw) k leay Nabi(saw) ki hadis se ziyada konsi cheez ehmiyat rakhti hai jo abubakar ko aisi ghattia tareen zubaan istemaal karni parhi or iss zaman main unhon ne Rasool(saw) ki zaat e pak se bhi haya kyun na khaai or dekho riwayet ko ghor se urwa ne tou ye kaha tha k ye chehrey faraar karney waley hain kyunke kufaar bhi jaantey thay k ye hazraat jung e ohad main faraar kar chukey hain lehaza hazrat abubakar ka rad-e-amal ghussey ki wajha se tha kamal hai k janasheen-e-Rasool(saw) ko itna bhi nahi pata k Rasool(saw) se jub aik shakhs dast-e-giribaan hua tou tab bhi Ap(saw) ne usey bhai keh kar pukara tha or Allah ne ye ayat naazil kardi k beshuk ap ikhlaaq k alla darjey per hain humain ye poochney ka haq hai janasheen-e-Rasool(saw) main aisi khaslatain kyun nahi paai jaati afsos k apky nazdeek janasheen e Rasool(saw) k wo khasaal saabit nahi hotey jo RasoolAllah(saw) main paaey jaatey hain iss baat main hum aap se sabqat rakhtey hain kyunke hum jisey janasheen-e-Rasool(saw) maantey hain uss hasti main Rasool(saw) jese khasayel paaey jatey hain or ye riwayet her khas o aam k nazdeek mashoor hai k khandaq main amr ne Ali ibn-e-Abi Talib(asws) k sath badtareen gustakhi ki magar Ap(as) ne usey chor dia or jub ghusa thanda hogaya tou usey filnaar kiya or her aaqil ye baat samjhega k aisa hona chaheay janasheen-eRasool(saw).. Ab atey hain ibn-e-zubair k qol umer uss waqiya k baad dheemi guftugu kartey thay per hum ibn-e-zubair se sawal kartey hain k waqiya e qalam o qirtaas jo bokhari main 2 mutafarriq asnaad se mojood hai wahan shor kisney barpa kiya kisney kaha k Rasool(saw) beemaari ki shiddat ki wajha se maazallah haziyaan keh rahey hain kisney Rasool(saw) ki akhri khuwaish poori na honay di kiski wajha se Rasool(saw) ne farmaya k bahir chaley jao or mere saamney shor barpa mat kisney dum-e-akhir bhi Rasool(saw) ko sukoon se na jeeney dia or kisney Hazrat(saw) ko ezaa dia? Iss silsiley main humarey mukhalifeen jo aitirazaat kartey hain k ibn e abbas ki umer kum thi itne barey majmey main koi unkey elawa doosra ravi kyun nahi isska jawaab hum InshAllah dengey or Allah he se maddad talab karaingey.munaasib hai shibli nomaani ne jo iski sanad per aitirazaat keay unhain mad-e-nazr rakh kar hum gufutgu ko agey le

jayenchunaanchey iss riwayet ko bokhari ne apni sahih kitaab ul maghaazi urdu tarjuma jild 2 main ibn-e-Abbas(r.a) se 2 mukhtalif asnaad se biyaan kiya hai yaani dono asnaad ka khaatima ibn-e-Abbas(r.a) per hota hai k RasoolAllah(saw) ne farmaya mujhey qalam or dawaat laa dou taa kay tumhain aik aisi tehreer likh doon k jiskey baad tum gumrah na hogey magar issper hazrat umer ne kaha k Rasool(saw) bukhaar k ghalbey ki wajha se hiziyaan keh rahey hain(ASTAGHFIRULLAH) or humaarey leay tou Allah ki kitaab he kaafi hai issper logon main nazaah shuroo hogaya or Rasool(saw) ne farmaya mujhey akela chor dou ye theek nahi k tum mere saamney apas main nazaah karo or obaidullah kehte hain kay ibn-e-Abbas(r.a) akser farmaya kartey thay k in logon kay shor o sharabey kay baais Rasool(saw) itni ehem tehreer na likh sakey.or shibli nomani ne apni kitaab al farooq main iss riwayet ko likh kar iski sanad per aitiraaz keay hain k ibn-e-Abbas(r.a) ki umr kum thi tou ye hua nukta-e-awal or itne barey majmey main sirf ibn-e-Abbas(r.a) he isky raavi hain tou ye hua nukta-e-doem

Nukta-e-awal ka jawaab
Ahl-e-sunnat k mojooda dor k sheikh-ul-islam dr ghulaam Rasool saeedi ne apni kitaab Tazkira-tul-Muhadiseen k muqaddima safa no#31 matboa Lahore per tabaqaat ibn e saad kay hawaley se likha hai kay Abdullah-ibn-eAbbas(ra) se 1660 aik hazaar chay so saath ahadees marwi hain jinhain inkey doosrey shagirdon kay elawa kareeb ne mehfooz karlia tha phir safa no#71,72 pe likhtey hain.saanian ye qaida tou khud khilaaf-e-hadess hai kyunke bokhari ne sahi bokhari main khud mataa yashaa samaa ul sagheer ka baab qayem kiya hai or isky tehet zikr kiya hai kay Mehmood bin rabee ne Huzoor(saw) se paanch saal ki umer main suni hui ahadees ko riwayet kiya hai isskey elawa Hasnain-e-Kareemain(asws) ki umer RasoolAllah(saw) ki wafaat k waqt 6 or 7 saal thi or Abdullah ibn e Abbas(ra) ki umer RasoolAllah(saw) kay wisaal k waqt 13 saal thi or ye hazraat Huzoor(saw) kay wisaal se kai saal pehle ki sunni hui ahadees ko riwayet kartey thay pus riwayet e hadees per 20 saal ki umr ki shart lagana tareeka-e-

sahaba k khilaaf hai.yahan Doctor sahib ki guftugu manqata hojaati hai or jo qaabil-eGhor umoor saamney atey hain wo ye hain kay ibn-e-Abbas(ra) ki iss riwayet per aitiraaz ka matlab apki riwayet karda 1660 ahadees per aitiraaz karna hai kyunke hadis e qirtaas ka waqiya tou kher Nabi(saw) ki zindagi k akhir main pesh aya lekin ibn e Abbas(ra) ne iss se qabl khabar-e-wahid se or bagher kisi waastey k Huzoor(saw) se ahadees riwayet ki hain jinhain sunni hazraat jhoom jhoom kar parhtey hain or unhain hujjat maantey hain jub guzishta umoor main Ap ibn-e-Abbas(ra) ki sagheer sani ko issue nahi banaatey tou waqiya e qalam o qirtaas he main kyun ap ne waah wela macha rakha hai akhir isski wajha kya hai sirf yahi wajha hai kay aik ehem tareen inkishaaf horaha hai lehaza ap issper aitiraaz keay baghair kese reh saktey hain magar issky aitiraaz per apky pas koi thos wajha nahi siwaey iblees jese inkar kay wo bhi qiyaas kay tehet na tou ye khabr-e-wahid se aai.

Nukta-e-doem ka jawaab
Nukta-e-doem yeh hai kay itne barey ijtimaa main sirf ibn-e-Abbas(ra) he ne ye riwayet sunni muwatta malik bin anas safa no 385 kitaab ul nikaah matboa lahore main waheed uz zaman khan ne likha hai k mutta bar bar haram hota rha akhir kaar hujjat tul wida per haraam hua phir Kisi ne isski mumaaniyat nahi ki yahan tak k hazrat umer ne iski mumaaniat kardi jub se logon ne mutta karna chor dia magar baaz sahaba jese Abdullah ibn e Masood,Jabir ibn e Abdullah ansari,Abu saeed khudri,Abdullah ibn e Abbas waghera issky jawaz k qayel rahey hum ye sawal kartey hain kay mutta ko ap haram maantey hain tou humain ye bataeeay kay waqiya e qalam o qirtaas tou aik aam sa majma he sahih magar hujjat tul wida tou itna bara ijtimaa tha aik umer bin khataab he tha wahan sunney wala?baaki akaabir sahaba kahan thay?or muawiya ka daman bachaaney k leay Imam Hassan(asws) kay hawaley se jo hadees bokhari main aai hai kay anqareeb dou azeem grohon main mere iss bte ki wajha se sulah hogi ye bhi sirf abubakar se khabr-e-wahid se riwayet hai tou aap kis chakar main qalam o qirtaas waley waqiya ko rad kartey hain jo dou khabaron se aai hai wo bhi apki itni mohtaber kitaab sahih bokhari mainor zara ye tou farmaaeay kay jisey ap ne inte barey majmey ka naam de diya zara aqal se sochain tou aik kamrey main kitney admi sama saktey hain hud maar dou tab bhi 20 se ziyada admion ka aik kamrey main rehna na mumkin haior hadees ki kin sharayet main likha hai kay mukhaatib 20 hon or riwayet aik he ne ki ho tou hadis sahih nahi hogi???ya chalain ap hud maar kay 30 admi qarar dey dain aik kamrey main phir bhi ye kahan likha hai kay 30 admion ne sunni ho or riwayet aik he karey wo bhi 2 mutafarriq asnaad se tou hadees sahih na hogi???ye aik be buniyaad aiteraaz hai jo isski sannad per aap kartey hain.najaaney kyun ap Abdullah ibn e Abbas(ra) ka bughz yahan per mol rahey hain halankey wo tou mufasir e quran o muallim e quran hain humain itna yaqeen hai k Abdullah ibn e Abbas(ra) kbhi kisi baat main jhoot nisbat nahi de saktey kyunke bokhari ki hadees kay mutaabik RasoolAllah(saw) ne ibn e Abbas(ra) k baarey main khud Allah se dua ki k khudaya issey hikmat atta kar tou kese in baton ko issue banaya jasakta hai kay unkey elawa kisi or ne kyun nahi riwayet ki kitney he aisey thay jo kehte thay k umer dheemi awaz main boltey thay aisey logon ki aksariyat hotey huey ye bhi ghaneemat hui k kam az kam ibn e Abbas(ra) becharey ki baat sun k kisi ne bokhari tak pohanchi di shuru main hum ne jis ayat ki tafseer pesh ki wo bhi sirf ibn e zubair he se marwi hai or bilkul qirtaas ki riwayet k muwaafiq 2 akhbaar se riwayet hai magar bil itteffaq bil ijma ye ayat sheikhain k muttalliq naazil hui thi hum ye poochtey hain qabeela e bani tameem k wafd ki amad k waqt kitna bara majma tha per kya un main sirf ibn e zubair he aik ravi tha?or dekh lain wo hadees jo ibn e Abbas(ra) k mutalliq waarid hui isey bokhari ne apni sahih jild 2 kitaab ul manaqib main riwayet kiya hai kay ibn e Abbas(r.a) ne farmaya K

RasoolAllah(saw) ne mujhey apne seeney se lagaya or dua ki khudaya issey hikmat sikha de..or tirmazi ne isey mukhtalif alfaz se riwayet kiya hai Or hazrat umer aksar qurani ayaat ki tafsir ibn e Abbas(ra) se poochtey thay or ap(ra) sahih tafseer biyaan farmatey thay or iss riwayet se RasoolAllah(saw) ki hadees ki taeed hoti hai.

Or ilm-e-rijaal rakhney waley iss baat se bakhoobi waaqif hain kay sanad per aitiraaz usswaqt kiya jata hai jub koi ravi gher-e-siqa ho ussper koi rammi ho koi ilzaam ho or ya hadees khabr-e-wahid se aai ho or ye riwayet mazkoora teeno shubhaat se barri hai isski pehli khabar mandarja bala asnaad se mutalliq hai Qutaiba,Sufiyaan soori,Suleman ehwal,saeed bin jubair an ibn-e-Abbas(ra) or doosri khabar mandarja asnaad se mutalliq hai Ali bin Abdullah,Abdul Razzaq,moamer,zohri,Obaidullah an ibne-Abbas(r.a) wo konsa sheikh ul hadees hai ahl-e-sunnat ka jo mazkoora bala asnaad per aitiraaz karsakey????ye riwayet sahih hai yahi saabit hai takhreej k baad.

Issper mazeed waazey guftugu karney se qabl ahl-e-sunnat k dor e qadeem k ulama ki aik or khabaasat saamney laatey jaayen jo unhon ne Mola Ali(as) k barey main apnaai or qalam qirtaas waali riwayet ko kisi tarah Mola Ali(as) ki taraf mansoob karney ki koshish ki gai or issey ahmed ne apni masnad jild 1 main riwayet kiya or ahmed ne khud kaha hai k isski sanad zaeef hai Or ye riwayet banai he isleay gai thi kay taa kay umer sahib ka jurm kisi tarah chup sakey or logon per aam na hosakey magar Allhumdulillah apki ye ghattia kaawish kamyaab na hosaki or apky apne he imam sahib ne ussey zaeef kehdia ..

Kya Quran kaafi hai?


Ab hum roshni daaltey hain hazrat umer k qol Allah ki kitaab kaafi hai per ye iss shakhs ka badtareen jhoot tha kyunke hadis-e-Rasool(saw) issky bilkul mukhaalif hai or hum Nabi(saw) k qol ko tarjee dengey na kay umer k qol ko or sahaba ka bhi yai aqeeda tha anqareeb iss zaman main sahih riwayaat layengeypehle aatey hain Nabi(saw) ki hadees ki taraf or isey Daarmi jo k bokhari ka bhi ustaad tha ne apni sunan main abu amama se riwayet kiya hai k ilm k rukhsat hojaaney se qabl he isey haasil karlo Ap(saw) se arz ki gai Ya RasoolAllah(saw) ilm humarey darmiyaan se kese rukhsat hosakta hai jubkey Ap(saw) humaarey beech Allah ki kitaab chorey jarahey hain issper Nabi(saw) naraz huey or farmaya tumhari maayen tumhain royen kya bani Israel k pas toraat or injeel nahi thieen wo unkey kis kaam asaki thieen?ilm ka rukhsat hona ye hai k issky mahireen rukhsat hojayen [Sunan Al Daarmi jild#1 safa#135 muqadimma hadis#246 matboa shabbir brothers Lahore] Ibn-e-zubair k qol k rad per itni daleel kaafi hai kyunke ayat main aik lafz yeh bhi tha k Allah or Rasool(saw) se aagey na barho or Nabi(saw) ne yaqeenun farmaya k kitaab kaafi nahi magar umer ka qol Rasool(saw) k qol k bilkul mukhaalif hai or umer ne apne qol ko Nabi(saw) k qol per muqaddam jana umer ka ye qol RasoolAllah(saw) ki khulum khula mukhaliffat thi Allah ne beshumar jaghon per farmaya hai jisney Rasool ki itaat ki usney meri itaat ki ya ye bhi farmaya Jo kuch Rasool tumhain dain usey ley lo or jis se mana kardain uss se ruk jao tou kya umer bin khataab ne Quran ki in ayaat per amal kiya?saabit tou yeh horaha hai kay janab ne quran ki nafarmaani ki or quran main ye ayat bhi bohot dafa takraar hui hai k jisney humari ayaat ko jhutlaya wo jahanumi hai or usmey humesha k leay rahega pus umer uss waqiya k baad bhi khabardaar na hoa or ussky baad phir Allah k Rasool(saw) se aagey barha.tumhain kya hogaya hai????or hum ne zikr kiya k Rasool(saw) k mukhlis doston ka ye he tareeka hai k wo Nabi(saw) ki baat per na apni baat ko muqaddam kartey hain na kisi doosrey khalifah ki balkey Nabi(saw) k hukm per qayem rehtey hain or issky mutalliq aik khabar hajj-e-tumatta se mutalliq hai jisey bokhari,ahmed waghera ne riwayet kiya haiMarwan bin hukm se riwayet hai kay aik martaba hum usman bin afaan kay saath chaley jarahey thay kay aik shakhs hajj or umra dono ka talbia kartey huey nazr aya usman ne poocha ye kon hai logon ne bataya ye Hazrat Ali(as) hain usman ne Ali(as) se kaha kya apky ilm main nahi kay mene isski mumaaniat ka hukm jaari kardiya hai?Hazrat Ali(as) ne farmaya kyun nahi magar main apki baat per Nabi(saw) ki baat ko nahin chor sakta [Ahmed ibn-e-hambal al musnad jild 1 safa 368 hadis 733(maktaba e rehmania Lahore)] [Sahih bokhari jild 2 safa 570 hadis#1563 matboa dehli]

Yaqeenun ye usman ki taraf se qawaneen-e-Deen main aik tarmeem thi jisey sirf wohi log maan saktey hain jo kabhi sunnat-e-nabwi(saw) k muhib he na huey hon or aisa kaam sirf wohi karega jo sunnat ka dushman ho magar Mola Ali(as) Rasool(saw) ki baat per kisi ko tarjee kyun dain or tumhain kya hogaya tum un logon ko Ali(as) per bartari detey ho jinhon ne sunnat-e-Rasool(saw) he chor di????or phir yaad karo aik dafa Allah ka qol kay Allah or ussky Rasool(saw) se aagey na barho tou jo cheez Nabi(saw) ne halal qarar di hai usey usman apni marzi se haram nahi keh sakta..guzishta akhbaar main se aik or khabar sulah hudaibiya he se mutalliq hai jahan hazrat umer ne emaan k baad kufr ikhtiyar karliya or Huzoor Sarwar-e-Kainaat(saw) ki naboowat main khulum khulla shak kar dala or hazrat abubakar kay pas jakar kaha k Ap(saw) Allah k Rasool(saw) nahi hain! Unhon ne kaha Muhammad(saw) Allah k Rasool(saw) he hain issky baad umer ne RasoolAllah(saw) se jakar ye he batain kien phir kaha kya hum musalmaan nahi waghera waghera koi fard-e-wahid apni jaan churaaney kay leay ye keh sakta hai hazrat umer ne shak tou nahi kiya tha wo tou Rasool(saw) ko unka rutba yaad dilaaney or gherat dilaaney kay leay keh rahey thay or yaqeenun mujh se aik sahib ne ye sawal kiya tha isleay mene yahan darj kardiya tou isska jawab ye hai k hazrat umer ka apna qol hai kay main usskey baad baraber roza namaz karta rha yahan tak kay mujhey itmenaan hogaya SubhanAllah hazrat umer k leay deen anokha he hai k unhain shayed Jibrael e Ameen(as) ne akar wahii kardi thi k bus tumhey maaf kardiya gaya hai or shayed umer ka ye qol bhi na ho jese ulama e ahl e sunnat ne or itni riwayaat gharry hui hain unkey leay aisi 2 ya 4 riwayaat banana koi mushkil kaam nahi or hudebiya ki ye riwayet tabari ne apni tareekh main naqal ki hai.darasal umer ne RasulALLAH(saw) k hukm ki mukhaaliffat ki thi jis per abubakar ne usey samjhaya tha k umer nakhrey na karo or Rasool(saw) k saath raho yaani unki itaat karo wo jo kuch bhi kahain. [Tareekh-e-Tabari Jild#2 safa#254,255 hissa awal nafees academy Karachi]

Kamaal hai ye baat humaari samajh se bahir hai kay wo log bhi deen main Ali ibn-e-Abi Talib(as) jese azeem insan se sabqat rakhtey hain jinhain emaan kay baad bhi nabuwat main shak hota rahaapki aqal pe tou aafreen hai aisey aisey waaqiyaat tareekh main miltey hain jinsey barey barey inkishaaf hotey hain magar sunni hazraat ussey aisey rang se pesh kartey hain kay taa kay shak ki gunjaish baaki na rahey phir bhi hum kahaingey kay humaarey leay itni he batain kaafi hain jo ap log likh chukey hain un azeem tareen inkishafaat ko apky saamney pesh karney kay leay ab InshAllah un waaqiyaat per nazr kartey hain jo RasoolAllah(saw) ki zindagi k baad ronama huey

Fasal Doem.
Or ismey pehli khabar abubakar ki bait se mutalliq hai jiskey zaman main abubakar k hukm se umer ne Ali(as) o Fatima(as) ka ghar khulwaya or badtareen qisam ki

dhamkiyaan deen halankey khana-e-Ali o Batool(sa) per umer ka ye rawiyya Quran o Hadees kay khilaaf tha kyunke Quran ne RasoolAllah(saw) k aqaribba ki muwaddat ko wajib qarar diya iss muhabbat kay qurani wujoob k baad kisi sahabi ko ye haq nahi pohanchta kay wo Rasool(saw) kay kisi bhi aqarib ko iss tarah se lalkaarey or unky ghar ki behurmatti karey ye saraser Quran kay khilaaf hai or yaqeenun ap Mola kay maani dost or mehboob kay lete hain tou iss hadees ki roo se bhi umer ka ye iqdaam khilaaf e hadees e Rasool(saw) tha kyunke Mola,mehboob or dost kay jiski muhabbat o dosti deen main wajib hojaey tou ye ijazat kisi ko nahi kay ussey iss tareekey se lalkarey anqareeb All-e-Muhammad(sa) ki muwaddat ka wajoob quran ki roo se zair-e-behes laaney waley hain magar uss se qabl uss riwayet ko pesh kartey hain jo abubakar ki bait kay silsiley main pesh aaitabari he ne biyaan kiya hai umer Hazrat Ali(as) k makaan per gaya or kaha nikal aao baahir warna main tum sabko aag laga kar jala doonga.. [Tareekh e tabari jild 2 safa 405,406 hissa awal matboa Karachi] Bayyat vse mutalliq sunni hazraat kehte hain kay Khyber shikan Ali ibn e Abi Talib(asws) Asadullah hain ager khilafat apka haq thi tou Ap(saw) ne talwar kyun nahi uthaai?

Jawaab..
10 saal Nabi(saw) ne makka main tableegh ki log ap per tarah tarah ki gandagiaan phenktey rehte sab o shittam kartey rehtey namaz parhtey waqt apky galoo e mubaarik main rassiaan daaltey or aziatain dete pathar maartey yahan tak kay Nabi(saw) ka jisme-Mubaarik lahoo se tar hojata or yeh riwayaat khas o aam kay nazdeek mashoor hain..or tarah tarah ki takzeeb kartey ap(saw) ko jhutlaatey bhala kis Nabi(saw) ko jhutlaatey?jisney aik ishaarey se sooraj o chand ko harkat de di jiskey haath main khuda ne kainaat ka ikhtiyaar diya hua hai jiski khaatir khuda ne kainaat ko khalq kiya jo aik dafa asman ki taraf dekh ley tou khuda qad naraa ki wahii naazil kardeta hai tou ager Rasool(saw) chahtey tou kya aik baddua kar kay unhain nest o nabood na karwa saktey thay?magar haqeeqat ye hai Nabi(saw) ne apni nabuwat ko jabr se nahi manwaya jub Nabi(saw) ne apni nabuwat ko jabr se nahi manwaya tou wasi-eNabi(saw) kese apni khilafat,imamat o wilayet ko jabr se manwa sakta hai InshAllah agley article main issper tafseel se behes hogi.

Zabardasti bayyat li gai

Or yahan shibli nomani ne khud aitraaf kiya hai umer or abubakar ne RasoolAllah(saw) kay janazey ko bhi chor diya or saqeefa bani saad chaley gaey or khilafat ki maarika araiaan shuru kardieen or bani hashim se khilafat ko bazor manwaya (Al farooq)

yahan shibli ne iss sannad ko bhi qubool kiya hai or khud aitraaf kiya hai bani hashim ne in hazraat ki khilafat ko asaani se tasleem nahi kiya Mola Ali(as) ka RasoolAllah(saw) ko ghussal dena apko lehed main utaarna or abubakar or umer ki wahan se gher haazri bhi iss amar ki taeed karti hai or ye baat her khas o aam k nazdeek mashoor hai Mola Ali(as) he ne Rasool(saw) ko ghussal diya or lehed main utaara ab sochney ki baat ye hai irshad e elahi hai Kehdo Main tum se kisi qism ka ajr-e-risalat talab nahi karta magar ye kay mere aqariba main muwaddat karo [Surah-e-Shoora ayat 23] Or sayyuti ne apni tafseer main mukhtalif ulama k hawaley se riwayet ki hai.

Or RasoolAllah(saw) ne farmaya tha k main tum main quran o ahl e bait chorey jata hun inhain pakrey rakhogey tou gumrah na hogey or ayat-e-tatheer k shaan e nazool k baad umer ki khataa mazeed waazey hojaati hai issey yun tou bht se ulama e ahl-esunnat ne riwayet kiya magar hum yahan tirmazi ki riwayet pesh kar rahey hainor tirmazi ne issey kaseer sahaba-e-karaam se riwayet kiya hai [Tirmazi abwab ul manaqib jild 2 safa 578 rakam al hadees 3555 mutarjum urdu] RasoolAllah(saw) kay saath wafadari tou ye thi unki Ahl-e-bait(asws) ki itaat or ehtiraam kiya jata jese quran ka or umer ko Quran tou kaafi dikhaai deta hai magar kya umer bhool gaya tha k Rasool(saw) in main 2 cheezon ko chor kar gaey hain or wo bhi quran k mutaabiq tayyib o tahir ye RasoolAllah(saw) ki khaas wasiyyat thi apni Ahl-e-bait kay mutalliq iss per umer ne koi amal kiya?or ye arz kartey chalain kay ye tamaam waqiya abubakar kay kehney per anjaam diya gaya tha maslan Bibi Fatima(sa) ka ghar khulwana or Ahl-e-Bait(asws) per tashaddud karna waghera waghera kyunke jub abubakar jahanum ki taraf jaaney lagey tou uswaqt unhon ne hasrat ki thi k kaash main Fatima(sa) kay ghar ko na khulwata agerchey wo jung kay leay he kyun na bethey hotey. [Tareekh-e-Tabari jild 2 safa 205 hissa 2 matboa Karachi] Magar afsos k abubakar ko ye hasrat uswaqt hui Jub Janab-e-Sayeda(s.a) iss dunia se rehlat farma gai thieen or humaarey leay abubakar k jahanum waasil honay per itni daleel kaafi hai Syeda(sa) abubakar se akhri waqt tak naraz raheen anqareeb fidak kay masley main issper guftugu karney waley hainor guzishta riwayaat in umoor per wazahat kay saath dalallat kartey hain abubakar o umer ka iqdaam khulum khula quran o hadees ki mukhaliffat ki bina per tha humain yaqeen hai kay Inshallah her aaqil in umoor per zaroor tawajju karega or humari ye kawish zaroor kamyaab hogi or Allah kitna behtareen madadgar hai or ussi se hum maddad talab karaingey..

Manaeen-e-zakaat kay khilaaf jung Or iss baab main hum sahih riwayaat ko mad-e-nazar rakh kar wazahat karney waley
hain kay manaeen e zakaat kay khilaaf jung unka qitaal aik gher shari iqdaam tha or sarasar sunnat-e-Rasool(saw) kay khilaaf tha or iss silsiley main uthaey jaaney waley aitirazaat or sawalaat kay Inshallah quran o hadees kay mutaabiq jawabaat daingey..or inshAllah fidak kay muaamley per issky baad behes karaingeyor Allah se maddad talab karaingey..

Ahl-e-sunnat kay ulama abubakar ki khilafat ko saabit karney kay leay manaeen e zakat se abubakar ki jung ko bator-e-hujjat pesh kartey hain or iss silsiley main quran ki aik ayat se bhi hujjat pakartey hain jo kay Hassan basri ka qol hai or jesa kay hum ne ooper zikr kiya qiyaas se bharpoor.chunaanchey issper daleel dena koi ehmiyyat nahi rakhta kay ahl-e-sunnat ki mohtaber tareen kutub main ye riwayet hai k Rasool(saw) ki wafat kay baad abubakar kay dor-e-khilafat main Hazrat Maalik bin nuwera(ra) or unka qabeela murtad hogaya or zakaat kay munkir hogaey lehaza abubakar ne unper khurooj ka qasd karlia magar hazrat umer ne kaha kay ap insey kese jung karsaktey hain kyunke Rasool(saw) ne kalma gohon kay khilaaf jung se mana kiya hai magar abubakar ne kaha kay khuda ki qasam jo koi zakaat ka munkir hoga main unse jung karoonga or issey ibn e hijr ne apni sawaiq ul muharikka main likh kar abubakar kay sab sahaba se ilm main afzal honay per hujjat qaraar diya hai issper zara baad main guftugu kartey hain pehle wo riwayaat ahl-e-sunnat ki kutub se pesh kartey hain jin main jung ki hudood ka zikr hai or iss zaman main pehli riwayet tirmazi ne Abuhuraira se ki hai kay RasoolAllah(saw) ne irshad farmaya kay mujhey hukm diya gaya hai kay logon se qitaal karoon yahan tak kay wo log La illaha ilallah k qayel hojayen tou in logon ne apni jaan o maal mere hathon se mehfooz karleen or baaki maanda gunaahon ka hisaab Allah per hai[Tirmazi jild 2 safa 123 abwab ul emaan rakam al hadees 2416 mutarjum urdu] or iss se agli riwayet yaani hadees no 2417 main hai umer or abubakar ka muzaakira or phir umer ka bhi ussmey qayel hojana

mazkoora dono riwayaat muslim ne bhi biyaan ki hain

Ye muslim ki doosri riwayet jild 3 kitaab fazail us sahaba rakam 6172 per hai ab hum abubakar kay mangharrat ijtehaad or qiyaas per guftugu kartey hain yaqeenun umer ne abubakar ko RasoolAllah(saw) ki hadees yaad dilaai jis se waazey hojata hai manaeene-zakaat se jung karna haraam amal hai or isski RasoolAllah(saw) ijazat nahi dete magar abubakar ne umer kay saamney aisa rung pesh kiya jis se umer or baaki log samjhey kay shayed abubakar qom ki islah ki khatir jung kar rahey hain..

Or jub insey kaha jaaey kay zameen main fasaad mat phelaao tou kehtey hain hum tou sirf islaah chahtey hain [Surah-e-Baqra ayat 11] Or jub umer ne hadees-e-Peghamber(saw) ko pesh kiya tou baqol mutarjim abubakar ne qiyaas kar kay umer ko samjhaya halankey ahl-e-sunnat kay qadeem ulama o mufasireen jese Hassan basri,shobi waghera khud qiyaas kay khilaaf fatwey detey hain ye alag baat hai kay phir bhi Hassan basri se bohot muwaaqey per qiyaas saabit hai or daarmi ne bohot se ayma-e-ahl-e-sunnat kay aqwaal naqal keay hain jo qiyaas ki mumaaniat per waarid huey hain hum chand aik pesh kartey hain..maslan ibn-e-saireen kehta hai kay sub se pehle iblees ne qiyaas kiya tha(1) or Hassan basri ka bhi aisa he qol hai(2)masrooq kehta hai ager main qiyaas karoon tou mere hath paaoun phissal jaayen(3)shobi kehta hai khuda ki qasam ager tum qiyaas karna shuru kardo tou tum halal ko haram or haram ko halal qarar dogey(4) 1,2,3,4[Daarmi al sunan jild 1 safa 118 matboa shabbir brothers Lahore]

Ab hum ibn-e-hijr maaki shaafi se poochtey hain kay jisey wo abubakar ki ilmi alamat tasawur kartey hain darasal wo tou iblees ki khaslat hai jo abubakar main paai jaati hai tum kahan se iss khaslat ko ilmi kamal ka naam detey ho ye baat tou bilkul waazey hai kay Rasool(saw) ne her kalma parhney waley se jung karney se manna farma dia tha phir abubakar per konsi wahi naazil hogai thi kay jung karo?or jesa kay ulama-e-ahl-esunnat ne qubool kiya hai kay Khalid ne maalik bin nuwera(ra) ko shaheed karney k baad ussi raat unki biwi se shaadi karli thi tou hum poochtey hain kay zina bil jabr ko aap ne nikaah ka naam kub se dey dia?kyunke her musalmaan bacha bhi iss baat ko samajhta hai kay shohar kay intiqaal ya qatl kay baad jub tak biwi iddat poori na karley uswaqt tak usska doosra nikaah karna haram hai chalo tumharey nazdeek wo bechaari tou murtadeen main se hogai magar Khalid tou ehkaam-e-deen se agah tha Khalid ne haraam kaam kyun kiya????kyun Allah ka banaya hua qanoon tor diya?bohot jald naey article main Khalid kay tamam jarayem ka inkishaaf karaingey or Allah se maddad talab karaingey ahadees or Quran ki ayaat se saabit hota hai abubakar ka iqdaam gher shari tha or ussney beja itni jaano ko qatl karwaya(lannatullaha alalzalimeen).phir ap aik aitraaz kartey hain Mola-e-Kainaat afzal o alla Ameer ul Momineen(as) ne khawarij,muawiya, or Ayesha se jung kyun ki thi???tou isska jawab ye hai muawiya ne khud Mola Ali(as) per khurooj kiya tha lehaza Ameer ul Momineen(as) ne sirf difaa main jung ki thi kay shayed muawiya sudhar jaaey magar kuttey kid um huumesha terhi he rehti hai or rahi baat talha o zuber Ayesha o khawarij ki tou tou talha o zuber Mola(as) ki bayyat tor ker aaey thay or khud khurooj kiya tha issi tarah khawarij ne Mola(as) pe khurooj kiya tha jubkey unhon ne bhi ehd o pemaan ko tora tha or in logon k saath jung karney ko khuda ne waajib qarar diya hai jesa k wo khud irshad fermata hai Ager ye log ehed o pemaan tor kar tumhaarey deen main taana zani karain tou tum bhi in kufr kay sardaron kay sar maar uraao inka emaan main koi hissa nahi mumkin hai wo istarah baaz ajayen [Surah-e-Toba Ayat 12] baaz shia riwayaat main hai kay jaml waley din Ameer ul Momineen(as) bar bar issi ayat ki tilawat farma rahey thay or farmatey thay mene aaj se qabl kabhi iss ayat kay muwaafiq jung nahi ki or wese bhi ahl-e-sunnat ki kutub main mojood hai kay Rasool(saw) ne Ayesha ko khabar de di thi kay meri azwaaj main se aik badnaseeb Ali(as) per khurooj karegi or ussper wadi-e-hawaab kay kuttey bhoonkengey or jaml jatey waqt Ayesha kay saath aisa he hua tha hum iss riwayet ko hakim ki mustadrak se pesh kartey hain [Al Mustadrak jild#3 safa no#139 kitab maarifa tus sahaba hadees 4677 matboa darul harmain al nashr wal tauzee makka mukarimma]

lehaza Mola Ali(as) ne jihad kiya quran kay mutaabiq wo bhi difaa main or abubakar ne dehshat gardi ki khulum khula hadees-e-Rasool(saw) ko challenge kartey hueyor

Ameer ul Momineen(as) kay leay farman-e-Rasool(saw) he kaafi hai kay Ali(as) quran kay sath hai or quran Ali(as) kay sath hai or ye dono apas main se kabhi juda nahi hongey yahan tak kay mujhey hoz-e-kausar per aa milengey or ye riwayet hakim ne Abuzar Ghaffari(r.a) kay mola Abu saabit(r.a) se riwayet ki hai kay mene khud RasoolAllah(saw) ko farmatey huey suna hai kay Ali(as) Quran kay sath hain or Quran Ali(as) kay saath hai or ye dono apas main se juda na hongey yahan tak kay mujhey hoz-e-kausar pe aa milengey or hakim ne iss hadis ko sahih ul sanad qarar diya hai or isski takhreej bhi ki hai. [Al Mustadrak Jild#3 kitaab maarifa tus sahaba safa#145 hadees#4691 matboa makka]

Lehaza Mola Ali(as) per aitraaz karney se apko kuch haasil nahi honay wala Ap(as) ka koi iqdaam quran kay khilaaf kese hosakta hai jubkey Nus-e-Nabwi(saw) kay mutaabiq

Ap(as) Quran se juda he nahi or na Quran Ap(as) se juda haior ab aatey hain tareekh kay ehem tareen waqiya masla-e-baagh-e-fidak per jo kay Nabi(saw) ne apni zindagi he main Bibi Fatima(sa) kay naam kardiya tha magar abubakar ne khalifah ban,ney kay baad unhain unkey walid-e-Buzurgawaar(saw) ki iss wirasat se mehroom rakha or inshAllah issper uthaey jaaney waley aitrazaat or sawalaat kay jawabaat dengwey or Allah se maddad talba karaingey

Ayesha ki riwayet:
Ayesha se marwi hai kay Hazrat Fatima(sa) or Hazrat Abbas(ra) RasoolAllah(saw) ki meeraas mangney abubakar kay pas aaey or wo dono fidak ki zameen or Khyber ki zameen se apna hissa maangtey thay hazrat abubakar ne kaha mene RasoolAllah(saw) se suna hai kay hum ambiya(asws) ka koi waris nahi hota balkey jo kuch hum chor jaayen wo sadqa hota hai beshuk All-e-Muhammad(asws) iss maal se khaatey rahaingey. Abubakar ne kaha khuda ki qasam main bhi wohi karoonga jo RasoolAllah(saw) kartey thay raavi ka biyaan hai Hazrat Fatima(sa) ne abubakar se tark-e-talluq karliya or akhri waqt tak unse kalaam na kiya.. [Sahih Bokhari jild#3 baab ul faraiz safa#633,634 rakam#1631 mutarjim urdu] Kul ikhtilaaf sirf aik baat per hai jo abubakar ne kaha kay hum ambiya(as) ka koi waris nahi hota humara maal sadqa kardiya jata hai yeh aik badtareen jhoot tha jo Nabi(saw) ki taraf mansoob kiya gya issey hum zara baad main saabit kartey hain kay Ambiya(asws) k leay unkey mahajareen-o-ansar ki nisbat unkey aqariba ka ziyada haq hai or aqariba awaliyyat rakhtey hain or ambiya(asws) ka turka bila shak o shuba quran kay mutaabiq sadqa nahi hota balkey unkey aqariba ko milta haiabubakar ne inkar kiya or dekhna ye hai kay janab-e-sayeda(sa) ne fidak per koi gawah pesh kiya tha???g haan Janab-e-Syeda(sa) ne 2 gawah pesh keay Ameer-ul-Momineen(asws) or umm-eaiman(ra) ko bator-e-gawah pesh kiya tha or ye aitraaz kay adalat main shohar or kaneez ki gawahi naqabil-e-qabool hai isska jawab bhi inshAllah dengeyor ibn-e-hijr makki shaafi ne likha hai k Bibi Fatima(sa) Hazrat Ali(as) or umm-e-Aiman kay elawa koi gawah pesh na karsakeen

yahan ulama-e-ahl-e-sunnat Bibi Fatima(sa) or Imam Ali(as) ko zalimeen se tashbee dey rahey hain or daawa kar rahey hain kay inhon ne na haq cheez per daawa kiya or

shohar ki gawahi adalat main qaabil-e-qubool nahi hum ye poochtey hain kay kya uss shakhs ki gawahi bhi qaabil-e-qubool nahi jisky baarey main Nabi(saw) ne farmaya kay Quran Ali(as) kay sath hai or Ali(as) Quran kay sath hai kya uss shakhs ki gawahi qaabil e qubool nahi jiskey baarey main Nabi(saw) ne farmaya ho Mola Ali(as) per rehem farma or haq ko wahan rakh jahan Ali(as) ho kya uss shakhs ki gawahi qaabil e qubool nahi jiskey baarey main Nabi(saw) ne farmaya ho Ali(as) haq k sath hai or haq Ali(as) kay saath hai kya usski gawahi qaabil-e-qubool nahi jiskey baarey main Nabi(saw) ne farmaya ho Ali(as) teeno siddiqon main afzal hai???2 riwayaat hum ooper hakim ki mustadrak se pesh kar chukey hain Ali Quran k sath hai wali or MOLA Haq ko udher rakh jahan Ali(as) ho or dono ki asnaad ko hakim ne sahih qarar diya hai bhala Nabi(saw) ki dua bhi kabhi rad hui hai???or ab aap ye saabit karna chahtey hain kay Ali(as) ne jhooti gawahi di MaazAllah jubkey Nabi(saw) ne Ali(as) ko siddique kaha or riwayaat issi sawaiq ul muharikka ki hain.ibn e hijr ne ibn ul najaar kay tareek se ibne-Abbas(ra) se riwayet ki hai kay siddique 3 hain 1-hizkeel momin-e-All-e-firon 2habeeb ul nijaar sahib-e-yaseen or Ali ibn-e-Abi Talib(sawaiq ul muharikka safa 424) doosri riwayet hafiz abu naeem or ibn e asakir kay tareek se abi yaala se biyaan ki gai hai kay siddique 3 hain habeeb-ul-nijaar momin-e-All-e-Yaseen jisney kaha aye qoum mursileen ki perwi karo or hizkeel momin e All e firon jisney kaha kya aisey admi ko maarna chahtey ho jo kehta hai mera rub Allah hai or Ali ibn-e-Abi Talib(as) or ye sub se afzal hai(kitaab mazkoora safa 424) kamal hai bai wo shakhs jisey Nabi(saw) ne siddiqon ka sardar kehdia wo ab jhooti gawahi dega??kya apko Nabi(saw) ki baat per bhi shak hai?or jisey Nabi(saw) siddique keh dain kya wo kbhi jhoot bol sakta hai or Mola Ali(as) k fazail se tou ap khud khabardaar hain hum kya fazail apko sunaatey phirain ap bakhoobi jaantey hain kay rishta-e-muakhaat main Rasool(saw) ne Ali(as) ko dunia oakhirat main apna bhai bnaya tha tou kya apky nazdeek Nabi(saw) ka dunia o akhirat main bhai bhi jhoot bolsakta hai??kya iss se ye nahi matlab banta kay MaazAllah ager Nabi(saw) bhi gawahi dete tou wo jhooti taswur ki jaati???Quran kay mutaabiq bhi Mola Ali(as) siddique hain ayat-e-Mubahila k aitibaar se kyunke irshad ye tha kay mubahilla karain or jhooton per Ali(as) ki lannat karain or yaqeenun nasrani jhootey thay or siddiqain wohi thay jo Nabi(saw) kay sath thay or wo kon thay ye Ap sahih muslim main parh lain jild 3 kitaab fazail us sahaba or ye bhi Rasool(saw) farmatey thay kay Ali(as) mujh se aisey hai jese Haroon(as) Moosa(as) se thay kya aisa shakhs jhooti gawahi dega????

Or fazail ki roo se istidlal karna jaiz hai kyunke Jub Mola Ali(as) ki ziraa mubaarik gum hoi thi or aik yahoodi se baramad hui or muaamla adaalat main challa gya tou Mola(as) ne Imam Hassan(asws) or apne ghulaam qamber ki gawahi pesh ki thi or jub qaazi ne kaha kay bte or ghulam ki gawahi qaabil-e-qubool nahi tou Ali(as) ne farmaya Hassan(as) jannat ka sardar hai jo mene khud Rasool(saw) se issky baarey main suna hai tou kya jannat kay sardar ki gawahi bhi qaabil e qubool nahi or ye dekh kar kay Ameer ul Momineen(asws) khud adaalat main pesh huey wo yahoodi aitraaf-e-jurm kar betha or musalmaanhogaya or issey sayyuti ne tareekh ul khulufa main naqal kiya hai

Lehaza hum jo istidlal pesh kar rahey hain wo ain hujjat o daleel kay maa tehet hai or ismey kisi qism ka qiyaas shaamil nahi hujjat hum ne ooper biyaan kardi or seerat-eMasoom(as) se issey saabit kiya hai Ameer ul Momineen(as) ka nukta tha kay kya jannat kay sardar ki gawahi bhi qaabil e qubool nahi halankey mene khud Rasool(saw) se suna hai kay Hassan o Hussain(salawatullah alaihim) jannat kay nojawanon kay sardar hain or hum sunnion se poochtey hain kay kya uss shakhs ki gawahi bhi qaabile-Qubool nahi jiskey baarey main khud abubakar ne Nabi(saw) se suna ho kay Ali(as) jannat or dozakh ko taqseem karney wala hai kya qaseem-e-jannat o naar ki baat per bhi apk yaqeen nahi ager usski baat per ap ko yaqeen nahi tou bhool jaayen jannat main jana kyun kay jannat tou mere Mola Ali(as) ne taqseem karni hai or ye riwayet bhi ibn-e-Hijr ne daarkatni kay tareek se biyaan ki hai Mola Ali(as) ne majlis-e-shoora jinhain umer ne muqarrar kiya tha kay afraad se kaha kay main tumhain Allah ka wasta dekar dar-e-aaft karta hoon kay tum main koi aisa hai jisey mere elawa Nabi(saw) ne farmaya ho kay aye Ali(as) qayamat kay roz too jannat or dozakh ko taqseem karney hai?unhon ne kaha bakhuda kisi ko aisa nahi kaha or phir ibn e hijr ne antra se biyaan kiya hai or unhon ne Imam Ali Raza(as) se riwayet ki hai kay Rasool(saw) ne farmaya aye Ali(as) too jannat orr dozakh ko taqseem karney wala hai yaani qayamat kay roz aag kahegi ye mere leay hai or wo tere leay hai or aik hadees abubakar se riwayet hai kay Rasool(saw) ne farmaya koi shakhs qayamat kay din pul-e-siraat se guzr na paaey ga masiwaey usskey kay jisskey baarey main Ali(as) guzarney ka parwana na likha dain..

Or tum kehtey ho kay Ali(as) ne jhooti gawahi de di anqareeb aik riwayet Ameer ul Momineen(as) ki shan main pesh karaingey jis se saabit hojaega kay

Ali(as) kabhi koi fesla ghalat kar he nahi saktey or humesha Allah ka izn apkey dil ko roshan karta rehta hai umeed kartey hain kay usskey baad baaki maanda shubhaat bhi khatam hojaengey or hum ne tou Ali(as) ki shan main kuch biyaan he nahi kiya uuss shakhs ki shaan hum kya biyaan karain jisey Nabi(saw) ka nafs kehdiya gaya quran kay andar or jiski shaan main quran ki 300 ayaat naazil hui hon sayyuti or ibn-e-hijr dono ne ibn-e-asakir kay hawaley se ibn-e-Abbas(ra) mufassir-e-quran se biyaan kiya hai kay Hazrat Ali(as) ki shaan main quran ki 300 ayaat naazil hui hain or tabrani or ibn e abi hatim kay tareek se in he dono hazraat ne biyaan kiya hai kay jahan jahan quran main ya ayuhalazeena kay alfaaz aaey hain wahan samajhna chaheay kay Hazrat Ali(as) inkey ameer-o-sardar hain tou tumhain kya hogaya kay jis shakhs ko quran khud Ameer-ul-Momineen kehta hai tum usski gawahi ko jhutla rahey ho or ussey jhoota keh rahey ho..

Koi aisi baat jiski gawahi Ali(as) jesa imam dey de usey airf kaafir or mushrik he jhutla sakta hai or Ali(as) ki baat ko rad karney ka matlab ye hai kay Nabi(saw) ki baat ko rad karna kyunke Nabi(saw) ne farmaya jisney Ali(as) main fark kiya usney mujh main fark or yeh bhi farmaya kay jisney Ali(as) ki itaat ki usney meri itaat ki jisney Ali(as) ki nafarmani ki usney meri nafarmani ki chunaanchey hakim ne Abuzar(ra) se riwayet ki hai kay RasoolAllah(saw) ne farmaya jo shakhs meri itaat karta hai wo Allah ki itaat karta hai or jo meri nafarmaani karta hai wo Allah ki nafarmaani karta hai or jo Ali(as) ki itaat karta hai wo meri itaat karta hai or jo Ali(as) ki nafarmaani karta hai wo meri nafarmaani karta hai [Al Mustadrak jild#3 safa#140 hadis#4681 matboa makka mukarimma] Or Abuzar(ra) he se riwayet hai kay Rasool(saw) ne farmaya aye Ali(as) jisney tujh main farq kiya usney mujh main Farq kiya [Al Mustadrak jild#3 safa 143 hadis 4688] Or ab aik riwayet biyaan kartey hain jo uswaqt se mutalliq hai jub RasoolAllah(saw) ne Mola Ali(as) ko yemen ki taraf bheja tha hum issey ahmed ki masnad se pesh kartey hain or nisaai ne issey sahih qaraar diya hai or ye arz kartey chalain kay issey hakim or nisaai ne bhi biyaan kiya chunaanchey khud amr-e-Ali(as) ki riwayet se hai kay mujhey RasoolAllah(saw) ne yemen ki taraf bheja or mene arz ki qibla main tou jawan admi hun fareeqain main fesley kese karoonga issper RasoolAllah(saw) ne Ali(as) se farmaya kay Allah tumharey dil ko saabit qadam rakhega or tumhari zubaan ko sahih raastey per chalaaey ga Mola(as) farmatey hain ussky baad mujhey fareeqain main fesla karney main koi masla waghera nahi hua [Ahmed ibn hambal al musnad jild#1 safa#331 hadis#636 maktab-e-rehmania Lahore] Jiski zubaan pe humesha khuda ne such he jaari kardia ho wo jhooti gawahi kese de sakta hai Allah jiski zubaan ko siddique bana dey usski gawahi ko jhutlaaney wala kya islam kay zumrey main shaamil hota hai??usey koi gher muslim he jhutla sakta hai wo jo khuda ka dushman ho

Ab hum aatey hain baaki sawalaat peraik jaahilaana or mangharrat tasawur ahl-esunnat main chalta araha hai kay jiski kisi kism ki koi haqeeqat nahi k Ambiya(asws) ka maal sadqa kardiya jata haiye batayen kay quran ki kis ayat main likha hai kay baaki log wirasat le saktey hain magar Ambiya(asws) ka maal sirf sadqa hoga kyunke Quran main tou apki banai hui jhooti hadees kay bilkul mutaraadif baat aai hai Or kitaab-e-khuda main Aziz-o-aqarib mahajareen or doosrey momino ki nisbat ziyada haq rakhtey hain or awaliyyat rakhtey hain [Surah-e-Ehzaab ayat#6] Waaey ho tumhaari aqalon per ye quran ka saaf saaf elaan hai kay Ambiya(asws) ka maal koi sadqa nahi hota mahajrareen o ansar ka usmey koi haq nahi balkey unkey aziz o aqarib ye haq rakhtey hain kay Nabi(saw) ki meraas haasil karain tum kahan se bethey ye batain bana rahey ho???kya Quran ko waazey tor per jhutlaa nahi rahey???tum azmat-e-Syeda(sa) per shak kar rahey ho halankey Syeda(sa) Qurani nus k mutaabiq masooma hain or kya wo Bibi(sa) jiskey naraz honay main Nabi(saw) ki narazgi hai wo aik aisi cheez ka mutaaliba karegi jo wirasat hai he nahibokhari ne musawwar bin mukhzama se riwayet ki hai kay Nabi(saw) ne farmaya Fatima(sa) mere jism ka hissa hai pus jisney issey naraz kiya ussney mujhey naraz kiya

[Bokhari Jild#2 Kitaab ul Manaqib safa#437 hadees#954 mutarjum urdu]

or fidak waali riwayet main yeh baat bhi waazey hai kay Syeda-e-Kainaat(saw) ne martey dum tak abubakar se baat cheet nahi ki uss se naraz he raheen yahan tak kay

khaliq-e-haqeeqi se ja mileen or Nabi(saw) k farman kay mutaabiq jisney Fatima(sa) ko takleef di ya naraz kiya ya ghazabnaak kiya ussney Nabi(saw) kay saath ye sub kuch kiya or Quran kehta or wo jo Allah or ussky Rasool(saw) ko ezaa detey hain unper Allah ki lannat hai or duniya o akhirat main unkey leay zillat ka azab tayaar rakha hai [Surah-e-Ehzaab ayat no#57] Ab baat kartey hain Syeda(sa) kay ilm per Nabi-e-Azam(saw) ki beti ho baab madina tul ilm ki biwi ho or issey itna bhi ilm na ho kay ambiya(saw) ka koi waris nahi hota kam az kam humaarii aqal main tou ye baat nahi samajh nahi aati kher nisbaton kay elawa Syeda(sa) ka apna ilm bhi kuch kum nahi or sayyuti ne dur-e-mansoor main ibn-easakir kay hawaley se ibn-e-Abbas(ra) se riwayet ki hai Nabi(saw) ne farmaya kay chaar auratain apne apne zamaney ki auraton ki sardar hain 1-Maryum bint-e-imran(as) Aasiya(sa) bint-e-Mozaam 3-Khadeeja(sa) biint-e-Khuwailud or 4-Fatima(sa) bint-eMuhammad(saw) or in sub main ilm kay aitibaar se Fatima(sa) sub se afzal hai

[Tafseer-e-Dur-e-Mansoor Jild#2 Safa#68 mutarjum urdu] Ye aik ehem maqaam hai jo her sahib-e-aqal kay zehen ko kushaadgi ki daawat deta hai apka istidlaal uswaqt tak mohkam hai or apka daawa bhi uswaqt tak jaiz hai jub ye akhbaar-e-mutawaatira se jo apkey or humaarey darmiaan shirkat per hon se saabit hojaaey kay farzand-e-abu qaaafa hujjat o daleel kay saath tamam sahaba neez ahl-ebait(saw)-e-Mustafa(saw) se afzal hon or un umoor ko jaantey hon jinhain baaki maanda afraad na jaantey hon or sirf ye he nahi apne her aik daawey ki hujjat-o-daleel bhi rakhtey hon magar billitteffaq or hujjat o daleel ki roshni main aisa ehtimaal door door tak saabit nahi neez wo riwayaat jinhain apkey ulama ne asnaad-e-mohtaber kay tehet bil ijma naqal kiya unsey bhi ye amar saabit hai abubakar ka ilm kisi buland maqaam per nahi tha balkey aam aam Sahaba(ra) jinkey zikr bht kum waarid huey hain wo bhi abubakar se ziyada ilm rakhtey thay or ye riwayaat-e-sahih se saabit hai or ilmi maqaam main ehem tareen moqa adaalat se ibaarat hai or adaalat main aik ehem sutoon meraas se taalluk rakhta hai or jesa kay humaari guftugu bhi meraas he se mutalliq hai or hum aik sahih riwayet pesh kartey hain jis se ye amar saabit hojayega kay farzand-e-abu qaaafa ka ilm itna khaas na tha or meraas kay mutallik wo ehkamaat se nawaqif thay or doosrey Sahaba(r.a) ki in umoor main khidmaat haasil kiya kartey thay. Iss riwayet ko mulaahiza kejeeay

Maalik ibn-e-Anas ne Qaseeba bin zawaib se riwayet ki hai kay aik maeeat ki naani usski meraas maanghney Abubakar kay pas aai tou unhon ne kaha Allah ki kitaab main main tumhaarey haq main koi cheez nahi paata or na mene iss baab main RasoolAllah(saw) se ko baat sunni hai too wapis ja main logon se dar-e-aaft karoonga abubakar ne jub logon se poocha tou Mugheera bin shoba ne kaha kay main uswaqt mojood tha mere saamney RasoolAllah(saw) ne naani ko chatta(6th) hissa dilwaya tha abubakar ne kaha koi or bhi tumharey saath hai jo iss baarey main jaanta ho?muhammad bin musalimma ansari kharey huey or jesa mugheera bin shoba ne kaha tha wesa he biyaan kiya abubakar ne chatta hissa issko dilaya. [Muwatta Maalik bin Anas kitaab ul Faraiz safa 385,386 hadis#503 fareed book stall Lahore ye tarjuma molana abdul hakeem ka karda hai mutarjum urdu] Alfaaz thorey bhujjey bhujjey hain magar muhaqiq hazraat mazkoora hawala khud dekh kar poori tasalli karsaktey hain or ehem alfaaz saaf dikhaai dey rahey hainiss riwayet ko mad-e-nazr rakhtey huey iss baat ko bakhoobi samjha jasakta hai kay meraas kay muaamley main abubakar ka ilm kuch bhi na tha jesa kay ahl-e-sunnat bil ijma bil itteffaq abubakar ko ilm main tamam sahaba se afzal jaantey hain magar yahan tou aik aisi ehem or aam si baat aisey sahaba ko pata hai jinkey qissey khas o aam kay nazdeek bohot mashoor nahi hain magar abubakar uss baat kay ilm se bekhabar hain tou kese Janab-e-Syeda(sa) or abubakar kay ilm ka mawazina kiya jasakta hai??Hazrat-e-Zahra(sa) ka ilm maryum(sa) jesi masooma se bhi ziyada hai or hum jaantey hain kay Maryum(sa) wahii ki naimat se bhi nawazi gai thieen jub Jibrael(as) unkey pas Nabi bun kar aaey thay or Essa(as) kay hammal ki basharat dene aaey thay or mojood hai ye mashoor qissa quran main or apki mohtaber kutub kay mutaabiq Fatima Zahra Siddiqa-e-Kainaat(sa) ka ilm uss Maryum(sa) se bhi ziyada haiaik taraf wo shakhs hai jisey itna nahi pata kay nani ka meraas main koi hissa hai ya nahi or aik taraf aik aisi Siddiqa(sa) hai jisska ilm awaleen o akhireen main se tamam khawateen se barh kar hai tou in dono main se asool o furu ehkaam e deen or adal o adalat se kon ziyada waaqif hosakta hai? Nani ki meraas kay mutalliq be khabar ka daawa sacha hogaya or Maryum(sa) se bari Alima(sa) ka daawa jhoota ye kesi ghattia soch hai or in he sochon ki wajha se stainic verses jesi kitaab wujood main aai or rushdi jese shakhs peda huey magar rushdi ka kya qasoor???wo tou yahi kehta tha kay inka Quran Ali(as) ko nafs-e-Rasool(saw) kehta hai or inki bokhari kehti hai abubakar sub se afzal hai issi zaman main ussney Kitaab o Rasool(saw) ki gustaakhi ki jisskey zimidaar sirf or sirf bokhari jese ghattia log hain jinhon ne jahallat bhari jhooti riwayaat ko yakjaa kar kay dunia ko pagal bana dia or waaey ho uss dunia per bhi jo bokhari jese logon ki taqleed main hai.kahaan challi gayeen tumhaari aqalain or tumhara Rasool(saw) pe emaan jo shakhs Nabi(saw) ki beti ka dil dukhaaey wo ummat main afzal hojata hai kya ye baat tasleem karney wali hosakti hai??kya wo Bibi(sa) jissey Nabi(saw) ne kaha ho kay tu jannat ki oraton ki sardar hai wo jhoota daawa karegi?

Janab-e-Syeda(sa) kay manaqib main hum chand aik ahadees bator-e-Namoona pesh kartey hain or pehli riwayet jo hakim ne biyaan ki hai bariwayet-e-Ali(as) or isski sannad bokhari o muslim ki sharayet per sahih qaraar di gai hai Mola Ali(as) se riwayet hai kay mene RasoolAllah(saw) ko farmatey huey suna hai roze-qayamat aik manadi nidaa karega kay aye majma walo apni nigahain jhukaa dalo taa kay Fatima(sa) bint-e-Muhammad(saw) guzr jayen [Al Mustadrak jild#3 safa#180 hadis#4791]

Or doosri riwayet muslim ne Ayesha se ki hai aik taweel hadees kay akhir main farmaati hain kay Rasool(saw) ne farmaya aye Fatima(sa) kya tum iss baat per raazi nahi kay tum momino ya ummat ki oraton ki sardar ho [Sahih Muslim Jild#3 safa#331 kitab fazail ul sahaba hadis# 6263]

Iss zaman main teesri riwayet hakim ki hai jo unhon ne abusaeed khuri(ra) se biyaan ki hai kay Nabi(saw) ne isrhad farmaya kay Fatima(sa) jannati oraton ki sardar hai masiwaey Maryum bint-e-imran(as) kay [Al Mustadrak Jild#3 safa#182 hadis#4796] Ye baat tasleem karna mohaal hai jis Bibi(sa) se khuda ne her qism kay rijs k door kardia ho usey pak o pakeeza kardia ho wo aik zaalim amal anjaam dey or aisi cheez ka mutaaliba karey jo usska haq hai he nahi kya kisi aaqil ko yaqeen hosakta hai kay itney fazail ki haamil khatoon Nabi(saw) per jhoot baandhey or kahey kay Nabi(saw) ne mujhy fidak ki zameen atta ki thi or jo ye kahega kay Janab-e-Syeda(sa) ne jhoot bola hai ussey kum az kum koi musalmaan nahi keh sakta kyunke Rasool(saw) ne apko apne gosht ka tukra qarar dia hai Bibi(sa) ya unkey Shohar(as) per aitraaz karna haqeeqat main Nabi(saw) per aitraaz karna hai apky nazdeek ye log jhootey hogaey or wo log suchey hogaey jinki aadhi umrain kufr main guzreen or emaan kay baad bhi Nabi(saw) ki be adabi kartey rahey RasoolAllah(saw) abubakar kay in jarayem se agah thay issi leay Ap(saw) ne abubakar ki gawahi dene se inkar kardiya or ussey apni shifaat se mazool kardia..chunaacnhey maalik bin anas ne abu nazr se riwayet ki hai kay Rasool(saw) ne ohad kay shohada kay leay farmaya ye wo log hain jinka main khud gawah hon abubakar ne kaha Ya RasoolAllah(saw) kya hum unky bhai nahi emaan laaey jese wo log laaey jihad kiya jese un logon ne kiya Ap(saw) ne farmaya haan magar mujhey nahi pata kay tum mere baad kya karogey tou abubakar ronay lagey or kaha kya hum apky baad zinda rahaingey..[Muwatta maalik bin anas kitaab ul jihad safa 347]

Allhumdulillah All-e-Muhammad(as) ki dushmani main apky tamam makr o heeley fazool hain or be buniyaad hain or apky pas siwaey abubakar kay qol hum ambiya ka koi waris nahi hota kay elawa kuch nahi jiski wajha se ap usska difaa karsakain suna hai kay apky ulama bhi All-e-Muhammad(as) ki muhabbat ka daawa kartey hain??ye kesi jhooti muhabbat hai or dikawey wali muhabbat ye muhabbat nahi riya kaari hai or ager muhabbat hai tou unkey dushmanon se bezaari kyun nahi ???kher aik akhri riwayet pesh kartey hain iss umeed kay saath kay mumkin hai apko hidayet aa he jaaey.Bibi(sa) ka ye daawa such tha kay fidak unhain unkey Baba(saw) ne atta kiya tha.sayyuti ne bazaar,abu yaala,ibn-e-mardawiyya or ibn-e-abi hatim kay hawaley se Abu saeed khudri(r.a) se riwayet ki hai kay jub ye ayat naazil hui apne aziz o aqarib ko unka haq de dou[Surah-e-Bani irsael ayat#26] tou RasoolAllah(saw) ne Bibi Fatima(sa) ko bulaya or baagh-e-fidak unhain atta kardiyaor doosri riwayet sayyuti ne ibn e mardawiya kay hawaley se ibn e Abbas(ra) se bhi ki hai kay jub mazkoora ayat naazil hui tou RasoolAllah(saw) ne Bibi Fatima(sa) ko bulaya or baagh-e-fidak unhain atta kardiya [Tafseer-e-Dur-e-Mansoor Jild#4 safa#467 mutarjim urdu] Per humain ap se ab bhi ye he umeed hai kay koi na koi uzr pesh kar kay aap iss waazey hidayet ko bhi jhutlaa dengey.Khuda Lannat karey Syeda(sa) kay dushmano per.

Or Ayesha se riwayet hai kay Bibi Fatima(sa) ko Mola Ali(as) ne raat kay waqt dafnaya or isski khabar tak abbakar ko na di [Al Mustadrak Jild#3 safa#193 hadis#4868] Or aisey shakhs kay saath aisa he hona chaheay jisney Bibi(sa) ka haq unsey cheena wese bhi aisey shakhs ki koi zaroorat nahi thi Bibi(sa) kay janazey main.

InshAllah bohot jald naya article pesh karaingey jismey umer bin khataab ki ejaad karda biddaton ko tafseel se biyaan karaingey.

Author: Syed Jawad Raza Naqvi

Anda mungkin juga menyukai