Anda di halaman 1dari 10

Visit our website: www.shurukh.

nl
Assalamualaikum Warehmatullahi Wabarakatuhu.

Sahih Al Bukhari
Sahih Al Bukhari

Hamen is baat kee kushee hae ke hamen Sahih Bukhari kee Ahadeeth ka Roman
English (Urdu) tarjama ap tak pahonchany kee saadat hasil ho rahi hae.
Sahih Bukhari Nabi Pak ke aamal or aqwaal (Sunnah) ka majmooaa hae. Nabi Pak
SAW ke aamal aur aqwaal ko ahadeeth kaha jata hae. Imaam Bukhari ki zindagi ka
daor Nabi Pak saw ke intiqal ke taqreeban 2 sadi baad ka hae. Unhon ne bahot mehnat
se Nabi Pak SAW ki ahadeeth ikhatti (jamaa) keen. Un kee tamaam ahadeeth ki
tasqdeeq Quran ke sath muwafqat se ki gai hae or bahot hi ehtiyat se ahadith rewayat
kerny walon kee sacchaee kee bahot mehant se tahqeeq ki gaee hae. Bukhari
kee ahadeeth ko dunya ke musalmanon ki aksariat ek bahot hee mustanad ahadeeth e
Nabvi SAW ka majmooa maanti hae.
Bukhari (Poora naam Abu Abdullah Muhammad bin Ismail bin Ibrahim bin al-Mughira alJafai) 194 hijri mein paeda hooay or 256 hijri mein wafaat pa gay. Un ki ahadith ke
majmooe ka koi sani nahi hae. Unhon ne ahadeeth ki taleef (tarteeb) mein 16 saal
guzaare aur 2,602 (Takraar ke saath 9,082) ikhattee kein. Unka Ahadeeth ko apne
majmooe mein shaamil kerne ka mayar baaki ulma e ahadeeth se bahot sakht thaa.
Sahi Bukhari ko 9 jildon mein taqseem kiya gaya hae. har ek jild ki bahot si kitaben
haen. Har kitaab mein bahot saree Ahadeeth haen. Har jild men Ahaadeth ko mussalsil
tarteeb se (numbered) jamaa kiya gaya hae. Jild ke Kaitaabon ka maqdad sirf
hadeethon ko aasani se jama Karen ka hae, warnaa Ahadeeth kee tarteeb aor
numbering jildon ke hisab se tarteeb kee gaee hae.

Volume:1 ; Book:1
Kitaab Bad Al Wahi (Book of Revelation)
Roman English(Urdu)

Volume 1, Book 1, Number 1:


Hazrat Umar bin al Khattab(R.A) ne farmaya ke Maine Huzur (S.A.W.S) se suna hai ke
Aamaal ke thawab kay daromadaar Niyath par hai aur har Amaal ka thawab har insan ko
uski niyath ke mutabiq hee milega. Pas jis nein Hijrath (Tark-e-vatan) Duniyavi faide haasil
karne ke liye kee ya kisi Aurat se Shaadi ki gharz se kee, to uski Hijrath unhi cheezon ke
liye hogi jinke haasil karne ki niyath se usne Hijrath ki

Volume 1, Book 1, Number 2:


Hazrat um-ul- momineen Aisha (R.A) se riwayat hae ke:
Haris bin Hasham ne Rasool Allah (PBUOH) se poocha ya rasool
allah (PBUOH) aap per vahi kaise ati hai?
Rasool Allah (PBUOH) ne farmaiya vahi nazil hote waqt kabhi aisa
lagtaa hae ke jaese ghanti baj rahee ho; is tarah kee vahi sab se
ziyada sakht hotee hai, aur phir jab yeh silsila khatam hota hae to vo
sari baat mujhey yaad hojati hai. Aur kabhi Farishta insani shakal
mein mujh se mukhateb hota hae aur jo kuch bhee wo kehta hae, wo
mujhe yaad ho jata hae.
Hazrat Aisha Razi allah Anha aur fermati hain ke sakht sardi ke
dinnon mein jab Rasool Allah (PBUOH) per Vahi nazil hotee to main
nein unki peshani se paseena bahte hoowe dekha hae (Vahi ke ke
khatam hone ke baad).

Volume 1, Book 1, Number 3:


Umm-ul-mumineen Aisha (R. A) se riwayat hai ke Rasulullah (SAW) par wahi ki ibteda
acche khwabon kee soorat mein hooi. Ye khwab din kee rosahni ki tarah sache hote the.
Aur phir aap par mohabbat aur tanhai ataa kee gaee. Aap Ghar-e-Hira mein jaate jahaan
wo mussalsil keyee dinon tak Ghar tashrif leeye baghair (sirf Allah SWT) kee ibaadat mein
masroof rahte the.
.
Aap khaane peene ka saamaan Ghar se le jaakar wahan waqt guzarte, phir (apnee
ahliya) Hazart Khatijah (r. a.) ke pass wapis aa ke phir tosha (khane peene kaa saamaan)
le jaate.
.
Achaanak eak roz jab ke Aap Ghar-e-Hira mein the, aap par Haqq (sacchaee) ka inkishaaf
hua. agaya aur ek farishta hi aakar Aap se kaha- *Parho*, Aap ne farmaya *Mai parhna
nahin jaanta*. Aap ka farmaan hai ke uss farishte ne mujhe (zabardastee) pakar kar khub
zor se itnaa dabaya ki meri quwwate bardasht jawab dene lagi. Phir usne mujhe chor diya
aur do-baara kaha *Parho*. Mai ne vo hee jawaab diya ke *Main parhna nahin jaanta*.
Usne phir mujhe pakar kar do baara itne zor se dabocha ke meri quwwate bardasht jawab
dene lagi.
.
Usne mujhe chor diya aur do-baara kaha *Parho*. Mai ne kahaa *Main parhna nahin
jaanta* (ya maen kiya parhoon?). Ussne teesree martabaa mujhe dabocha, phir chor kar
kaha, Padho Apne Rabb ke naam pe jisne paida kiya (jo Kuch bhee wujood men aachuka hae), paida kiya jisne insan ko khoon ke lothre se. Parho, aur tumhara Rabb to
nihaayat hee kareem hae. (96.1, 96.2, 96. 3).
.
Phir Rasulullaha in aayat ko lekar wapis aaye, aap ka dil (khauf) se dharak rahaa thaa.
Phir Aap (apni biwi) Hazrat Khatijah bint Khuwailid ke paas tashrif laaye aur farmaya ,
mujhe chadar se dhaanp do, mujhe chadar se dhaanp do, unhone Aap ko chadar udhadi,
jab talak aap ke ooper se khof zindagi ki kaifiyat door hogai, phir aap ne Hazarat Khatijah
(R.A.) ko jo kuch bhee hoowa, batla diya aur farmaya, mujhe darr hai ke mujhe kuch ho

jaega. Hazarat Khatijah (R.A.) ne jawaab diya Kabhee Nahin! Allah ki kasam, Allah taala
aap ko kabhi ranjhida (zaleel) nahin karenge, Aap apne azeezon aur rishtedaron se acche
taluqaat rakhte haen, ghareebon and muflison kee madad karte haen,, dil khol kar
Mehmanon ki maizbani karte haen, aur mustahaqq aur museebat-zida logon kee
muawanat karte haen.
.
Phir Hazarat Khatijah (R.A.) Rasulullah ko sath lekar apne chacha zaat bhai Waraqa bin
Nawfal bin Asad bin Abdul Uzza, ke paas aain, jo daur-e- jahalat men Isai hogae the aur
Ibrani (Hebrew) zuban men likhna jaante the.
Wo Ibrani ziban men hasb taufeef ilahi Injeel likhte the. Woe ek umar-raseeda shakhs the,
aur nabina ho chuke the. Hazarat khatijah (R.A.) ne Waraqa se kaha, O mere chachaa-zad
Bhai! Aap apne bathije ki baat suniye. Waraqa ne pucha Oh mere Bhatije, aap ne Kya
dekha hae?Rasulallah (SAW) ne jo kuch dekha tha wo bayaan farma diya. Warqa ne Aap
se kaha yeh to wo hee (Farishta Hazrat Jibraeel) hae, jise Allah SWT ne Hazarat Musa
(A.S.) par nazil farmaya tha. Kaash! Maen jawaan ho-taa aur us waqat talak zinda rehtaa
jab aap ki qaum aap ko nikaal degi.
.
Rasulullah ne farmaya, Woh log mujhe nikaal denge? Warqa ne kaha, Haan! Jab bhi
koi (aadmi) iss tarah ka paigaam laaya jaisa aap laaye haen, toh uss se zarur dushmani ki
gai hae aur agar maen tab talak zindaa rahaa jab wo log aap ko nikaal denge toh maen Aap
ki bhar poor madad karunga. Magar chand dinoon ke baad hee warqa ka intiqaal ho
gayaa, aur kucch arse ke liye wahi aana bhee muwaqqaf ho gai.
.
Hazath Jabir bin Abdullah Ansari (r.a) se riwayat hai, inho ne Rasool (SAW) ki zabaani
bandish wahi ka waqiya sunaya. Aap ne bayan farmaya, Ek baar mein kaheen jaraha thaa
ke mujhe achanak asmaan se ek awaaz sunai di, mein ne nigah uthai toh dekha ke wohi
farishta jo mere pass Ghaar-e-hira mein aya tha, asmaan aur zameen ke darmiyan ek kursi
par baitha hua hai, mein isse dekh kar sakht wa hashat zada hogaya, ghar lot kar mein ne
ehel qane se kaha.
.
Maen uss se khauf zidaa ho gaya, aur ghar waapas laot aayaa aur kahaa Mujhe chadar
udao (dhaanp do). Us waqat Allah (SWT) ne (Quran Paak kee) yeh muqaddis aayaat
naazil farmaeen: Oh tum (yaanee Huzoor SAW) jo Lahaf mein lapete hoowe ho! Utho aur
khabardaar
karo (apne logon ko Allah SWT ke azaab se), . (74.1-5 ayaat talak). Phir nazol wahi mein
tezi agayi aur lagaataar nazil hone lagi.

Volume 1, Book 1, Number 4:


Hazrat Said bin Jubair ney bayaan farmaaya::
Hazrath Ebne Abbas Razi Allah Anha Es Ayath (Apnee Zubaan se Quran ke bare mein jald
baazee mat karo 75:16) ki tafseer yoon bayan karte hae Rasool Allah (PBUH) nazool-eQuran ke waqt bahut shiddat (takleef) mahsoos kerte the, aur Es vajhe se Quran jaldi, jaldi
parhne ki Koshish kerte the (taake yaad kar saken).
.
Ibn-e- abbas Razi allah Anha ne apne hont hilaae and kahaa main es taraah se hont hilaa
rahaa hoon jaise Rasool Allah (PBUH) hilate the
Said Bin Jabir ne apne hont hilaate huwe kahaa maen apne hont is taraah se hilaa rahaa
hoon jaise Maen ne Ibn Abbas ko hilaate hoowe dekha Ibn-e -Abbas razi Allah Anha ne
kaha tab Allah SWT ne yeh Ayat naazil kee (Quranyaad kerne ke liye) Apnee zabaan
jaldi na hilaeen. (Oh Mohammad SWT), (Quran) aapko yaad karvaana aur parha dena
Hamaara kaam hai (75.16-17).
.
Iss kaa matlab ye hae ke Allah Quran kaa woh hissa jo unhon ne naazil keeya, woh
Rasulullah (SAW) ko usee waqat parhne aur yaad karne kee taufeeq ata farma dete
the. Allah SWT ne bayaan farmaya: Jab Ham ne (Quran) tum ko (Oh Mohammad
SAW) parhwaaya (Hazrat Jibreel ke zareee) to phir aap (Rasullah SAW) un ayaat
kee pairawee Karen (75.18) . Is aayat ka matlab ye hae ke unn ayaat ko khamoshee se
sunno
.
Phir ye Hamaaree (Allah SWT kee) zimmedaree hae ke Hum un aayaat ko
tum (Rasoolullah SAW) par wazeh Karen (75.19). Is kaa matlab ye hae ke ye kaam
Allah SWT kaa hae ke who unn aayaat ko tumhen yaad karwaaen (aur wo tum par khudba- khud tumharee zabaan se tum par wazeh ho jaen)

Inn aayatoon ke nuzool ke baad jab Hazrat Jibreel (wahee le kar) aate the to Rasool Allah
(PBUH) unko (khamoshee se) sun te aur phir jab Hazrat Jibreel chale jate to who unn
aayaat ko use tarah duhrate the jaise Hazrat Jibreel ne aap ke samne parhee theen.

Volume 1, Book 1, Number 5:


Ibne Abbas farmate hain ke RasulAllah(S.A.W.S) sub logon se ziyada sakhee the, aur
Ramzan ke maheene mein jab JIbrail (A.S) aap (S.W.A.S) se milte, to unkee sakhaawat
urooj par hotee thee.Jibrail(A.S) Ramzan kee har raat mein Rasool (S.A.W.S) se mulaqat
karte or unko Quraan sikhate the. Aap(S.W.A.S) sab se ziyada sakhi the, zabardast beqaboo hawa se bhee ziyada (ta-ke sadaqe ke kaamon ke liye tayyar rahen and un-ke karne
mein jaldee Karen

Volume 1, Book 1, Number 6:


Hazrath Abdullah bin Abbas(r.a) se riwaayat hae ke:
Abu Sufiyan-Bin-Harb ne mujhe bataaya ke ek martabaa job woh Quraish kee ek Kaafle
(jamaat) ke saath safar kar rahe the, tab Harkul (Herculis) ne unhein harkaare ke zareee
ek paighaam bhejaa. Iss kaafle mein bewpaari Shaam (Syria, Palastine, Lebanon and
Jordan)
kee taraf kaarobaar kee gharz se jaa rahe the.
Ye us waqat kee baat hae jab Rasoolullah(SAW) ka Abu Sufyan aur doosre Quraish ke
kaferon ke sath jang bandee ka muaheda tha. Toh, Abu Sufyan aur uske saathee Harkul
se milne Ilya (Jerusalem) chale gae. Harkul ne unhein apne darbaar mein bulaya jab ke
uske ird gird Rome ke muazziz hazraat (raees) baithe hue the. Uss ne apne tarjumaan ko
bulayaa aur uss ke zareee se sawaal poochaa aap sab logon mein se woh shakhs kaon
hae jo uss aadmee ka qareebi rishte daar hae, jo
Rasool hone ka daawa karta hae? Abu Sufiyan ne kaha (is saare kaafle mein se) maen
unka sab se zyada qareebi rishtedaar hoon.
Harkul ne kahaa isse mere qareeb laao aur uske saathiyon ko uske peechhe kharaa karo.

Abu Sufyan ne bataaya ke, Harkul ne apne tarjumaan ke zareee mere satheeyon se kahaa
ke woh mujh se uss aadmee (Rasool SAW) ke bare mein kuchh sawaal poochhnaa
chaahta hae, aur agar maen koee jhoot boloon to woh (mere saathee) mujh se
mutasaadam hon (mujhe jhutlaen). Abu sufiyaan kehte haen ke Allah (swt) ki qasam agar
jhoot bolne ki badnaami ka khauf na hotaa toh maen aap (Rasool SAW) ke mutalliq hargiz
sach na boltaa.
-Pehla sawaal jo Harkul ne mujhse aap (Rasool SAW) ke bare mein kiya woh yeh tha
tum logon mein us ka nasab kaisa hai? Mein ne kahaa woh hum mein se oonchy nasab
wala hae Phir Harkul ne poochha kya iss baat (Rasool hone) kaa daawaa
iss se pehle tum logon mein se kisee ne keeya tha? Maen ne kahaa, naheen.
Uss ne kahha Uss ke buzurgon mein se koi baadshah guzraa hae?. Maen ne kaha
naheen.

Harkul ne poochha uss kee pairawee bare log (shurafaa) karte haen ya ghareeb log?
. Maen ne kahaa kamzor log uss kee pairawee karte haen.
Woh kehne lagaa uss ke perokaar (din ba din) barh rahe haen yah kam ho rahe
haen? Maen ne kahaa unki tadaad mein izafaa ho rahaa hae.
Phir uss ne poochha uss ke deen mein daakhil hone ke baad koi shakhs iss Deen se
bargashta (mutanafar) hokar murtad bhi hojaataa hae. Maen ne kahaa Naheen
Harkul ne kahaa Uss ke (Rasool/Nabee ban ne kaa daawaa karne se pahle) tum
logon ne uss par kabhee jhoot bolne kaa ilzaam lagaayaa hae Maen ne kaha
Naheen.
Herkul ne kahaa kya woh bad-ehdi (wadaa khilafee) kartaa hae? Maen ne kahaa
Naheen; hamaaraa uss ke saath jang-bandi kaa muaheda hae, magar hum naheen
jaante ke woh iss muamle ke bare mein kya karegaa .
Abu Sufiyaan kehte hain iss fikre ke siwa mujhe aur koee baat unke khilaaf kahne ka
moqua hee naheen mila.
Harkul ne poochha Tum logon ne kabhee uss se jang laei hae? Mein ne kaha Jee
haan. Phir uss ne kaha Unn jangoon ka natteja kyaa thaa? Maen ne kaha kabi woh
jang me fateh hote aur kabhee hum.
Harkul ne kahaa woh tumhein kiya karne kaa hukum detaa hae. Maen ne kaha Woh
hamen sirf ek Allah (swt) kee ibaadat karne kee talqeen kartaa hae, aur uske saath
kisee cheez ko shareek na karne ke liyee kehta hae. Aur woh hamen apne baap
daadaa ke (shirkiyaa) baatein tarak (chhor) dene ko kehtaa hae. Woh hamein namaz
parhne, such bolne, parheezgari (paak daamanee) akhtiyaar karne, aur rishtedaaron ke
saath husne salook ka hukam deta hae

Uss ke baad Harkul ne apne tarjumaan se kaha ke woh darj zeel (following) baaten mujhe
(Abu ssufyan R.A) ko bataae:
-Maen ne tum se us shakhs (Nabi Pak S.A.W) ka nasb poocha, tou tum ne bataayaa ke
woh bahot oonche nasb (qabeele) se taalluq rakhtaa hae. Haqeeqat (dastoor) ye hae ke
paighambar (Hameshaa) apni qaom ke oonchy nasb mein se hote haen.

-Aur maen ne tum se daryaaft kiya ke aya ye baat is se pahle bhi tum mein se kisee ne
kahee thee? Tumhaaraa jawaab nafee (negative) mein thaa. Agar tumhaaraa jawaab
Masbat (affirmative) hotaa toh maen ye samajhtaa ke ye shaks kisee aur shakhs ke talqeen
(bayaan) kar rahaa hae.
Phir maen ne tum se daryaaft kia ke us ke buzurgon mein se koee baadshaah guzraa hae,
toh tumhaaraa jawaab nafee (negative) mein thaa. Agar tumhaaraa jawaab Masbat
(affirmative) hotaa toh maen ye samajhtaa ke ye shakhs apne baap- daadaa kee
baadshaahat ka talib hae.
Aur jab maen ne tum se poochha ke iss par kabhee kisee ne jhoot kaa ilzaam lagaayaa
hae, toh bhee tumhaaraa jawaab nafee (negative) mein thaa. Toh maen haeraan hoowaa k
eek aisaa shakhs jo auron ke bare mein jhoot naheen boltaa hae, woh Allah (SWT) ke
baare mein kaise jhoot bol saktaa hae.

Phir jab maen ne tum se poochha ke iss kee pairawee karne waale baray (ameer) loag
haen ya kamzor. Toh tum ne kahaa ke ziyada tar kamzor log uss kee pairawee karte haen.
Aurr haqiqat ye hee hae ke sare paighmbaron kee pairawee karne waale issee hee tabqe
ke loag hote haen. .
-Phir maen ne tum se poochha ke uss ke pairokaaron (followers) kee taadaad barh rahee
hae yaa kam ho rahee hae? Toh tum ne batlaaya ke unn kee tadaad mein mussalsal izaafa
ho rahaa hae. Dar-haqeeqat sacche deen kee ye hee nishanee jab tak ke wo paya-etakmeel tak na pahoonch jae.
-Phir maen ne tum se poochha ke kiya is deen mein daakhil hone ke baad koi shakhs
mutanaffar ho ker murtadad (waapas laot jaanaa) bhi hoowa hae? Toh tumhaaraa jawaan
nafee (negative) mein thaa. Aur sacche deen kee ye hee nishaanee hae ke is kee khushi
jab dil mein samaa jati hae toh phir nahi nikalti.
-Aur maen ne tum se daryaft kia ke kya uss ne kabhee ehad-shiknee kee hae?Tumharaa
jawaab nafee (negative) mein thaa. Aur rasool aesy hehote haen, wo kabhee bhee dhokaa
naheen dete.
-Phir maen ne tum se poochhaa ke woh tumhen kis bat kaa hukam detaa hae? Tum ne
kahaa ke woh Allah (SWT) aur sirf Allah (SWT) kee ibaadat karne kee talqeen kartaa hae;
aur woh kisee ko shareek na thehraany ka hukam detaa hae. Aur tumhen budh (idol)
parastee se manaa kartaa hae. Aur woh tumhen namaz parhne kaa hukam detaa hae,
tumhen sachai (or perhaizgaari or paakdaamni) ikhtiar kerne ke baare mein kehta hae.
Lehaazaa jo kuch tum ne bataaya hae, agar woh sach hae toh ye shakhs bahot jald iss
jagaah ka malik ho jaae gaa, jo mere qadamon ke neeche hae. Aur, Maen jaantaa thaa
(mazhabee kitaabon se) ke ye Nabee aanay waalaa hae, laiken mujhe ye pataa naheen
thaa ke wo tum logon mein se ho gaa. Aur agar maen uss ke pass pahoonch saktaa toh
maen uss se fauran mulaaqaat zaroor kartaa. Aur agar maen uss ke saath hotaa toh maen
zaroor us ke paaoon dhotaa.

Uss ke baad Harkul ne Rasool-e-Akram (S.A.W) kaa khat (parhne ke liye) mangwaayaa jo
aap (Huzoor SAW) ne Dihya kalbi R.A ke zariye se haakim-e-Basra ke pass bhejaa thaa
aur uss ne woh khat Harkul ko pahooncha diyaa tha. Uss khat mein mandarjaa zeel
mazmoon likhaa likhkhaa thaa:

Allah (SWT) ke naam se, Jo bahot mehrbaan, nihaayat reham kerny waalaa hae, ye khat
Allah ke bandey aur uss ke Rasool Muhammad (S.A.W) kee taraf se Harkul Azeem (Shahe-room) ke naam. Us shakhs per salam ho jo saheeh raaste par chaltaa hae
-Uss ke baad, maen tumhen Islaam kee daawat detaa hoon. Aur agar tum Musalmaan ho
jaao toh tum mehfooz raho ge aur Allah tumhen dohraa ajar de gaa. Aur agar tum ye
daawat ko thukraao ge toh tum apnee qaum (reaayaa Arisiyin Kisaan) ke logon ko
gumraah kar ke ek bahot bare gunaah kaa irtikaab karoge.
-(Aur abb maen aap logon ko Allah (SWT) kaa bayaan sunaataa hoon): Aye ehley kitaab!
Ik aesi baat kee taraf aao jo hamaarey aur tumhaaery darmiyaan yaksaan (ek jesi) hae.
Aur ye ke hum donoon siwaae Allah ke, aur kisee aur kee ibaadat naheen karte. Aur kisee
ko bhee Allah (SWT) kaa koee shareek naheen banaate.
Aur ham mein se koi bhee Allah (SWT) ke siwaa ik doosrey ko apnaa kaarsaaz (Rabb)
naheen samjhe gaa. Phir, agar woh (laot jaen (mun pher len, toh saaf keh do ke gawaah
raho ham unn mein se haen jinhon ne apne aap ko Allah (SWT) ke hawaale kar deeya
hae(3:64)
.Abu Sufyan R.A ne kahaa: Jab Harkul jo kehnaa chaahtaa thaa keh chukkaa or khat parh
ker faarigh hoowa toh shaahee darbaar mein bahot shor sharaabaa hoowa. Iss wajaah se
hum log shaahee darbaar se nikaal diye gae. Mein ne apne saathion se kahaa ke Ibn-Abu
kabsha kaa sawaal ke (Rasoolullah- Mohammad SAW) etne mumtaaz ho gae (zoar
pakargye) haen ke unn se toh Rome kaa baadshah bhi darta hae.
Uss roz ke baad mujhe pakkaa yakeen go gayaa ke woh (Rasool S.A.W) fateh paaenge
(ghaalib honge), jab tak maen ne Islaam qabool keeya (yaanee ke Allah SWT ne uss taraf
meree rehnumaaee kee). Ek aur rawee (narrator) kehtaa hae,Ibn An-Natur Ilya
(Jerusalem) kaa governor thaa aur , Harkul sham ke isaaeeyon (Christians) ka sardaar
(baadshaah) thaa.
Ibn An-Natur bayaan kertaa hae ke Herkul jab Ilya (Jerusalem) gayaa toh woh ek subah ko
jab neend se bedaar hoowa toh kuch ranjeeda saa (dukhhee) thaa. Uss ke kuch paadriyon
(musaaheb) ne uss se poochhaa ke woh kyoon pareshaan aur dukhhee haen. Harkul khud
ek nujoomee aur sitaaraa-shinaas thaa. Uss ne jawaab mein kahaa maen ne raat mein
taaron par ghaor se nigah daali toh dekhtaa hoon ke khatnaa kerney waalon ke rehnumaa
kaa zahoor ho chukaa hae Yaenee woh fateh paa chukaa hae).

Bataao aaj kal ke zamaane mein kaon see qaum khatne kee rasm kertee hae? Logon ne
jawaab deeya Yahoodion ke sewa koee aur qaum khatnaa nahi kartee, iss liye tumhen unn

se darne kee zaroorat naheen hae. Aap sirf hukam (farmaan) jaaree karen ke tamaam
yahoodion ko qatal kar diya jaae.
Iss guftagoo ke doraan Harkul ke saamney ek shakhs pesh kiaa gayaa jisey Shah Ghassan
ne Rasool (S.A.W) ke mutalliq khabren bayyan kerne ke liye bhejaa thaa. Jab Harkul ne
uss se tamaam maaloomat haasil ker leen toh uss ne apne logon se kahaa ke iss shakhs
ko le jaao aur dekho ke is kaa khatnaa hoowa hae yaa naheen?
Logon ne usse dekha aur Harkul ko bataya ke iss ka khatnaa ho chukaa hae. Toh Harkul
ne uss shakhs se daryaaft kiya Kya Arab khatna kertey haen?: Uss ne kahaa: Arab qaum
bhee khatna kertey haen. (Ye sun ne ke baad) Harkul ne kahaa Arab qaum kaa tassallut
(khud-mukhtaaree) ab bilkul wazeh hae.Phir Harkul ne apney el dost ko (jo Rome mein
rahtaa thaa), khat likhhaa aur phir Harkul khud Homs (jo Syria-Shaam mein ek shaher hae)
kee taraf rawanaa ho gaya.
Woh jab Homs men thaa, to usse uske dost kee taraft se apne khat kaa jawaab mosool
hoowa jis mein uss ke dost ne bhi Rasool-ullah (S.A.W.) ke zaahir honey kee Herkul kee
raae se muwafiqqat zaahir kee. Uss ke baad Harkul ne Rome (Byzantine) ke tamaam
sardaron ko apne mehal aany ki dawat dee. Jab wo sab log jamaa ho gaey) toh us ne
hukam diya ke mehal ke saare darwaaze band kar diye jaaen. Phir woh baher aayaa and
unn se kahaa Aye Rome(Byzantine) ke logo!
Agar tumharee khwahish ha eke kamyaabi paao, aur agar tum saheeh rehenumaaee
chaahte ho, aur agar tum apnee saltannat qaaem rakhnaa chaahtey ho toh is Paighamber
ki beaitt ker lo (yaanee Islaam ke daere mein aa jaao). (Harkul ke ye taaasuraat
(Khayaalaat) sun kar) log jangli gadhon ki tarah darwazon ki taraf doary, dekha toh
darwaaze band the. Harkul ne unn logon kee Islaam ke bare mein nafrat ko dekha
(mehsoos keeya) or jab uss kee ummeed iss bare mein toot gayee ke wog log imaan laaen
ge toh uss ne hukam deeya ke unn sab logon ko waapis uss kee haazree mein laayaa jaae.
(Jab woh waapis aaey) toh kehny lagaa maen ne abhi jo kuchh bhee kahaa, wo sirf aap
logon ko aazmaaney ke liye kahaa tha, aur maen woh (tumhaaree mazbootee) maen ab
dekh chukaa hoon. Tab tamaam haazreen ne uss ko sajdaa kiyaa or uss se raazi (khush)
ho gaey. Aur ye Harkul (ke imaan laney) kee kahaanee kaa ikhtitaam hae.
Ye rawayat Salih bin Kisan, Younis or moammar ne bhi zehri se byyan ki hy.

Visit our website: www.shurukh.nl

Anda mungkin juga menyukai