Anda di halaman 1dari 32

ARBI AUR PUNJABI KA LISANI RESHTAH

Lafaz Punj+Aab/Punjab, is amar ki wazay toor par


nishandahi karta hai kah (arbi rasam-ul-khat kay hawah
se) Musalmanoon aur oon ki ravaeyaat kay zair-e-asar
parvan charhi hai. Musalman kisi bhi hawalah se
Bar-e-Sagher main warad hotay rahay hoon, onhoon ne
jahaan dusri zobanoon par asraat moratab kiay wahaan
punjabi ko bhi motasar kiya. Yahhi wajah hai kah Punjabi
main ungint alfaz Arbi ke dakhal ho gay hain aur kisi
nakisi hawalah se rozmarra ki tehreer-o-taqreer ka
hissa hain. Es ki bohat sari suratain daikhnay sunnay
main aati hai. Maslan
Lafz apni asal ashkaal aur asal mafaheem kay sath
warad howay
Lafz apni asal maktobi ashkaal, asal mafaheem ke
sath warad howay likin aswaat
main tabdili aa gae. Jaisay zima se zuma
Lafz apni asal ashkaal magar tabdili-e-mafaheem kay
sat Punjabi zakhira-e-alfaz ka hissa
ho gay hain.
Aawazoon ka tabadlah howa
Awazain giranay ya barhanay se Haiti tabdili aa gae
Jama moans bananay ke liay Punjabi ke lisani
asool-o-atwaar ekhtayar kiay gay
Arbi alfaz ke hawalah se bohat saray
alfaz-o-marakbaat ghar liay gay
Sabqoon lahqoon ke paivand se alfaz bana liay gay
Gharaz bohat sari aisi suratain Punjabi zoban ke lisani
tajziya-o-motaliah se mehsus ki ja sakti hain. Jis se Arbi
aur Punjabi ke samaji, saqafti, mazhabi, moashi, fikri, aur
lisani reshtay daryaft kiay ja saktay hain. Kisi bhi nazm
ya nasar paray ka aaj; jab kah Arbi apni hiseat kho baithi
hai, motaliah kartay hain to bakhobi mehsus kiya ja sakta
hai kah Punjabi ki ragoon main taqreban basath (62)
fisad Arbi alfaz ke RBCs gardish kunaan hain. Agli satoor
main punjabi ka mukhtasar mukhtasar lisani motaliah
karnay ki haqeer se koshesh ki gae hai takah
ahal-e-zoban es hisas mozoo ki taraf raghab ho sakain.
Aawazoon ka tabadal
*Hy maqsora ko alaf kay sat badal daitay hain. Maslan
sadqah se sadqa, tareqah se tarea, alaqah
se alaqa, arsah se arsa, fareshta se fareshta, fitranah se
fitrana, hoslah se hosla
*Gaaf ko ghain main badal daitay hain. Roman lipi main
donoon ke liay gh marakab ka estamaal hota hai.
*Sheen ko seen main tabdeel karnay ka aam rovaj hai.
Masaln fareshtah se faresta.
Mivati main sheen na honay kay sabab essay seen main
badal daitay hain likin Punjabi ka
yah rujhan aam nahain.
*Daal ko jeen main badalnay ki suratain bhi milti hain.
Masalan qudrat se qujrat/kujrat
*Daal ko zay aur zaal main tabdeel kar daitay hain.
Maslan qudrat se quzrat. Zaal aur zay ke
liay roman khat main z estamal main aati hai.
*yay alaf main tabdeel ho jati hai. Donoon ke liay roman
khat main w estamaal kartay hai.
*Zoad ki Punjabi main mutbadal aawaz jeem hai. Maslan
hazoor se hajoor, arz se arj, arzi se
arji, qazya se qajya wagherah
*Hy ki mutbadal aawaz hy maqsora hai. Roman lipi main
donoon ke liay h mostamal hai
*Soad ke liay seen estamal main aati hai. Roman lipi main
donoon ke liay s ka estamal hota hai
*Wao ko bay main badal daitay hain. Masalan qabr se
qawar, qabarastan se qawarastan
*Bay ko wao main bhi badaltay hain. Maslan basna se
wasni
*Hy ki mutbadal aawaz alaf bhi mostamal hai. Maslan fath
se fata
*Zay ko jeem main tabdeel karnay ki suratain aam milti
hain. Maslan ajiz se ajid, ajzi se ajdi,
farzand se farjand wagherah
*fay omoman phay main tabdeel ho jati hai. Maslan
faqeer se phaqeer, faqeri se phaqeri fursat se
phursat
*Fay ke liay khy bhi sonnay ko milti hai. Maslan faqeer se
fakheer
(khay kay liay eng. Marakab aawaz kh estamal hoti hai)
*Aein ki aawaz sonnay ko bohat kam milti hai. Maslan
maaloom se maloom, maasoom se masoom,
taalaq se talaq wagherah
*Aein kay liay wao toaam se toam
*yay kay liay alaf alaiahdah se alahida
*Hay kay liay yay fatah se fatay
*Aein kay liay humza taamah se tama aur tama se tamae
*Meem kay liay wao mand se wamd
*Aein ke liay alaf donoon kay liay roman khat main a
estamal main aata hai
*Jeem ke liay yay masjad se maseit
*Daal kay liay tay masjad se maseit
Punjabi main aawazain giranay ki kae suratain milti hain
* Aein ki aawaz sonnay ko bohat kan milti hai. Maslan
maaloom se maloom, maasoom se masoom,
taalaq se talaq, afsus se fasus, farest se fahrest, qaem
se qain, daem se dain, Iqbal
se qabaladawat se adoot, qaeda se qaida
Punjabi aawazain barhanay ka bhi aam rovaj hai
Tonq, honsala, fansla, fainsla, aainsh
Moanas banay ke liay Punjabi main mukhtalif andaz
ekhtayar kiay jatay hain
Sahibaan/sehbaan
Sahabni/sabni
Tofanan, zedan, talaqan, zalman, fareshtan, aiban,
gharazan, ataban, ashqan, arzan, qarzan
Maenvi tabdili ke liay yay ki barhoti
Sabori, zamni, zimni, tamae, aqi, ami, qabli, khasi, adalti,
azabi, ozri, elati, amli (bamaeni nashae), ghaebi, eidi,
sabri, sohbati, zamanti, qehri, qabali, fazoli, taqi, tofani,
zalmi, zahri, aibi, ghaebi, gharti, ghsabi, farghi, sadqi
Hamza+yay ki barhoti
Tamae, qarzae, qazae
(bamaeni jo namaaz reh gae ho os ko baad main kisi
dusri namaz kay sath parhna)
Noon ki barhoti
Edan, yaeni eid ke rooz paida honay wala
Alaf ki barhoti
Eida yaeni eid kay rooz paida honay wala
Wao ka azafah
Janggo jo jang kay doran paida howa ho
Noon ghona ka azafa
Tarfoon, zayaan, qoormaan, tamaan
Ya ki barhoti
Zamantiya, adaltiya, zaanya
Jama bananay kay liay Noon Ghona ka azafa
Adtaan, qeyamtaan, sharabaan, azabaan, zidaan, adaltaan
wagherah
Alaf ka azafah
Zahra, pehra, eida wagherah
Laam ka azafah
Ziddal
Wao ka Azafah
Aeinku: aeinak laganay wala
Aeinko: aeinak laganay wali
Noon ki ajeeb-o-ghareeb barhoti
Amlan
Alfaz ki maenivi tabdili
Tahoor bamaeni khatna
(khatna khat se tarkeeb paya hai, khat kay Arbi maeni
lakeer, jabkah Urdu maeni chithi, shaip (dahri ki Qatar
bareed) kay hain)
Ghazi ghoray kay maenoon main estamal kartay hain
Haji woh jo haj kay rooz paida howa ho
Zid zidazidi, zidozidi, zid-bazid, ziddal wagherah
Talaaq talaaq nanvaan, talaqan
Faraq farqofarqi
Qatal-e-aam qatlaam
Qassam qesmay bamaeni qassam se
Punjabi kay doo lahqay Mand se wand
Zaroratman sezarorat wand, aqalmand se akalwand,
gharz wand, qeyasmand se qeyas wand, hajatmand se
hajat wand
Daan se waan
(laikin mukhtalif maenoon main)
Zarorat waan, qeyas waan, qehar waan
_________________
Rana Naeem
Good lecture
Wed Mar 26, 2008

ugwaraich
Location: uk
Dr sahib yaqeenan aapka tajziya maloomaat ka zakheera
hay. laikin mujhey kuch baatain samajh naheen aeen iss
para main.
Woh yeh kay merey khayal main urdu ka arbi say lisani
rishta ziada qareeb ka hay banisbat punjabi kay, kiounkay
aapko aisay bohat say ilfaaz milaingay jo likhnay main aur
soati (pronounciation) main arbi say mutabiqat rakhtay
hain.
Doosray yeh kay aapnay jo kuch misaalain di hain punjabi
kay alfaz ki jaisay Ghaeen ko G keh kay bulana ya, Sheen
ko seen kehna, ya Dal ko Jeen kehna maslan Qudrat ko
Qujrat, jiss punjabi tabqay say mera talluq hay wahan
aisay ilfaaz kabhi sun nay main naheen aye. Maslan
Qudrat ko Qudrat hee kaha jaata hay ya janoobi punjab
main shayad Quzrat kaha jaata ho jahan saraiki ka tarz e
guftagoo punjabi pay ziada asar andaaz hay. Kia aap
wazahat kar saktay hain kay aap kiss ilaqay ki punjabi
pay tabsara kar rahay hain? kiounkay meri chati hiss keh
rahi hay kay aisi punjabi sarhad kay uss paar hee boli
jaati hay aur shayad ussay gurmukhi kehtay hain.
Wed Mar 26, 2008

Dr Maqsood Hasni
Location: punjab
main aap donoon sahiban ka dil-o-jan se mumnoon hoon
kah aap ne towajo farmae.
khasusan "ugwaraich" ka kah onhoon ne guftagu ka
rastah khola
pura punjab (os par ka ho ya es par ka) Arbi se motasar
howa hai.
Arbi ne sari pakistani zobanoon par asraat moratab kiay
hain.
Aawazoon ka tabadal puray punjab main mojood hai aur
yah seraf punjabi tak mahdood nahain.
wasaib main eak tabqah nahain hota yah bohat saray
tabqaat se tashkeel pata hai
daikhnay main lafz punjab lagta hai likin os ki jarain Arbi
ya kisi aur zoban se juri ho sakti hain
Arbi kiya farsi aur angraizi nay bhi punjabi par asraat
moratab kiay hain
bohat jald pakistani zobanoon par asraat k hawalah se
morozaat paish karoon ga
_________________
Fri Mar 28, 2008

loje
Forum Family Member
Location: Saudia Arabia
ugwaraich wrote:
Dr sahib yaqeenan aapka tajziya maloomaat ka
zakheera hay. laikin mujhey kuch baatain samajh naheen
aeen iss para main.
Woh yeh kay merey khayal main urdu ka arbi say lisani
rishta ziada qareeb ka hay banisbat punjabi kay, kiounkay
aapko aisay bohat say ilfaaz milaingay jo likhnay main aur
soati (pronounciation) main arbi say mutabiqat rakhtay
hain.
Doosray yeh kay aapnay jo kuch misaalain di hain punjabi
kay alfaz ki jaisay Ghaeen ko G keh kay bulana ya, Sheen
ko seen kehna, ya Dal ko Jeen kehna maslan Qudrat ko
Qujrat, jiss punjabi tabqay say mera talluq hay wahan
aisay ilfaaz kabhi sun nay main naheen aye. Maslan
Qudrat ko Qudrat hee kaha jaata hay ya janoobi punjab
main shayad Quzrat kaha jaata ho jahan saraiki ka tarz e
guftagoo punjabi pay ziada asar andaaz hay. Kia aap
wazahat kar saktay hain kay aap kiss ilaqay ki punjabi
pay tabsara kar rahay hain? kiounkay meri chati hiss keh
rahi hay kay aisi punjabi sarhad kay uss paar hee boli
jaati hay aur shayad ussay gurmukhi kehtay hain.
yes you are right on that i see that arabi is close to urdu
some times not punjabi as i think
Fri Mar 28, 2008 7:55 pm

bababula

punjabi is a nice language


Sat Jul 05, 2008 6:22 am
Dr Maqsood Hasni
tovojo k liay mumnoon hoon.
arbi fasi nay bar-e-sagher ki taqreban tamam zobanoon
par apnay asraat choray hain.
zara roz ki punjabi bool chal par ghoor farmaein aap ko
andaza ho ja'ay ga k mein kahan tak thek keh raha hoon.
maenvi aur haiti tabdiloon k sath un'gint alfaz punjabi ka
hisa hain.
________________
Tue Aug 05, 2008 6:15 pm
punjabi1984
GOOD STUFF !!!
Sun Oct 26,

Dr Maqsood Hasni
ommeed hai aap essi tara tovajo bani rahay gi
_________________
Tue Oct 28, 2008 8:10 pm
_________________

Punjabi-1

ARBI AUR PUNJABI KA LISANI RESHTAH


Reply with quote
Dr, Hasni, ugwaraich te loje
Tusan sareyan veeran ne Arbi Te Punjabi de rishte baare
barriyan changiyan gallan keetiyan ne per ik gal jehrri
meinu theek naen lagi o aih ve ke tusi saare veer gal
punjabi de kar rehe o, perr (forum) punjabi de vich khale
hoai o te likh de urdu vich o pe. aih ki dohra hisaab kitaab
kita je. aih te o pakistan de leadran wali gal ai pi karna
qaom nu khitaab ai per karna angraigi vich, jerha ke
poori qaom choon sirf 2 ~ 4% ee samj de ne. Bhai tuhade
sareyan uge minat ai ke apni boali naal aina dhro na karo,
ai barri mithi te barri khulli boali ai, tusi ehnu likhan te
bolan lageyan chacco na ai likhan te bolan vich tuhada
hath kade vi tang naen hown deve gi.
bura naen mnana
Tuhada Bhai
zwarraich
Thu Jun 04, 2009

Dr Maqsood Hasni

wah ji wa, kya baat ay.


tosaan gal taan bari ee vadya tay patay di kiti ay.
maithoon ghalti hoe ay.
gaan toon khayaal rakhaan ga.
tosaan tovajo dalao notas day kay bara pon tay naiki
khati ay.
tohaday lae mairay dil vich bari izzat tay mohabat ay.
Allah tosaan noon khush tay shad rakhay.
_________________
Mon May 03, 2010
fuhrer_mos
Location: Australia
ugwaraich wrote:
Dr sahib yaqeenan aapka tajziya maloomaat ka zakheera
hay. laikin mujhey kuch baatain samajh naheen aeen iss
para main.
Woh yeh kay merey khayal main urdu ka arbi say lisani
rishta ziada qareeb ka hay banisbat punjabi kay, kiounkay
aapko aisay bohat say ilfaaz milaingay jo likhnay main aur
soati (pronounciation) main arbi say mutabiqat rakhtay
hain.
Doosray yeh kay aapnay jo kuch misaalain di hain punjabi
kay alfaz ki jaisay Ghaeen ko G keh kay bulana ya, Sheen
ko seen kehna, ya Dal ko Jeen kehna maslan Qudrat ko
Qujrat, jiss punjabi tabqay say mera talluq hay wahan
aisay ilfaaz kabhi sun nay main naheen aye. Maslan
Qudrat ko Qudrat hee kaha jaata hay ya janoobi punjab
main shayad Quzrat kaha jaata ho jahan saraiki ka tarz e
guftagoo punjabi pay ziada asar andaaz hay. Kia aap
wazahat kar saktay hain kay aap kiss ilaqay ki punjabi
pay tabsara kar rahay hain? kiounkay meri chati hiss keh
rahi hay kay aisi punjabi sarhad kay uss paar hee boli
jaati hay aur shayad ussay gurmukhi kehtay hain.
i totally agree with you..!great analysis
Fri Jun 04,

aajkal
i agree with you
Thu Jun 24, 2010

Dr Maqsood Hasni

Punjabi aur Arbi kay lisani reshta kay hawala say chand
morozaat
"Dr. sahib yaqeenan aapka tajziya maloomaat ka
zakheera hay. laikin mujhey kuch baatain samajh naheen
aeen iss para main.
Woh yeh kay merey khayal main urdu ka arbi say lisani
rishta ziada qareeb ka hay banisbat punjabi kay, kiounkay
aapko aisay bohat say ilfaaz milaingay jo likhnay main aur
soati (pronounciation) main arbi say mutabiqat rakhtay
hain.
Doosray yeh kay aapnay jo kuch misaalain di hain punjabi
kay alfaz ki jaisay Ghaeen ko G keh kay bulana ya, Sheen
ko seen kehna, ya Dal ko Jeen kehna maslan Qudrat ko
Qujrat, jiss punjabi tabqay say mera talluq hay wahan
aisay ilfaaz kabhi sun nay main naheen aye. Maslan
Qudrat ko Qudrat hee kaha jaata hay ya janoobi punjab
main shayad Quzrat kaha jaata ho jahan saraiki ka tarz e
guftagoo punjabi pay ziada asar andaaz hay.
Kia aap wazahat kar saktay hain kay aap kiss ilaqay ki
punjabi pay tabsara kar rahay hain?
kiounkay meri chati hiss keh rahi hay kay aisi punjabi
sarhad kay uss paar hee boli jaati hay aur shayad ussay
gurmukhi kehtay hain."
(ugwaraich, Senior Proud Pakistani,
www.forumpakistan.com)
ugwaraich Sahib aap nay mairi morozaat par bari
mohabat anjidgi kay sath tovajo farmae, es kay liay
dil-o-jan say ehsan'mand hoon.
Allah aap ko kush rakhay.
Hakam zobanain jab bhi kisi alaqa main kisi bhi hawala
say warid hoti hain to wo bila imtiyaz wahaan ki bolioon
aur zobanoon par asraat chorti hain. Yoon bhi keh saktay
moamlaat-e-hayat kay hawala say woh wahaan ki bolioon
aur zobanoon par kisi na'kisi sata par asar'andaz hoti
hain.
Punjabi bar-e-sagher ki porani aur lisani nazam kay
hawala say donyan ki zobanoon ameer tarein zoban
hai.(1) Yahhi nahain yahaan ki kaseer aabadi essay bolti
aur samjhti hai. Moamlay ko lehjoon kay hawala say alag
rakhain kayoon'kah yah bilkul eak joda mozo-e-guftagu
hai.
Punjabi nay bar-e-sagher ki bohat sari bolioon aur
zobanoon ko motasar kiya aur oon say asraat bhi
qabolay. Ba'toor hawala aap mola vajhi ki sab'ras ko lay
saktay hain. Dakni adab kay liay adal shahi aur qotab
shahi adab ko aap nazar'andaz nahain kar saktay. Bilkul
essi tara raam'puri aur agri ko bhi mad-e-nazar rakh
saktay hain. Yahhi surat-e-haal sindhi ki hai. Es kay liay
Saein Sachal Sarmast Sahib aur shajoraslu ko bhi
malahza kar saktay hain. Pothohaar kay alaqa main Qissa
safar-ul-eshq, Jhang kay zimun main molvi abdul hakeem
jhangvi ki nijat-ul-momainein, Saraeki kay liay Hazrat
Baba Fareed Sahib, Hazrat Khaja Ghulam fareed ko
zaroor daikh lain.
Heer waris shah, Heer moqbal, Kalaam hazrat nosha ganj
bakhsh sahib, Molvi Ghulam Rasool alam'puri waghera ki
punjabi ko sarsari nazar say bhi daikhain gay to yah baat
dhaki chupi na rahay gi kah punjabi nay bar-e-sagher ki
moqami bolioon aur zobanoon say asraat qabool kiay
hain aur yah amar es ki lachak'paziri ko wazay karta hai.
jo zoban/boli jitni lachak'pazeer ho gi os ka
daera-e-izhar bhi otna hi wase ho ga.
Muslim dour kay zimun main arbi ko avliat daitay hain.
Koe bhi shaeri ki kitab otha kar daikh lain os main un'gint
alfaz arbi kay mojood paein gay. Es ki suratain mukhtalif
ho sakti hain. Maslan
a. alfaz ki haiat tabdeel nahain hoe likin maeni badal gay.
b Arbi alfaz main ashkali tabdiliaan aae hain
c. Arbi alfaz kay estamalaat punjabi lisani set-up kay
motabiq howay hain.
d digar jin moqami bolioon aur zobanoon say arbi alfaz
liay gay hain wahan
wo os boli ya zoban kay lisani nazam kay motabaq
estamal howay hain
likin punjabi main aa kar oon ki surat kuch ki kuch ho kar
reh gae hai.
e. wahad jama ki tashkeel punjabi kay apnay lisani
asoloon kay motabaq hoe hai
f. movanas mazakar main bhi punjabi nay apnay asoloon
ko mad-e-nazar rakha hai.
g. talafaz main gher mamoli tabdiliaan aae hain.
Aisi aur bohat sari suratain hain jin ko aap punjabi kay
sheri adab ko daikh kar andaza farma saktay hain.
Bila'shuba Urdu bhi dosri zobanoon aur bolioon ki tara
arbi say motasar hoe hai. Yah poranay waqtoon main bhi
poray bar-e-sagher ki zoban thi aur yahi surat aaj bhi
hai. Donya ki koe zoban aisi nahain ho gi jis kay tein (2)
rasum-ul-khat hoon. Yah sharaf aur seraf Hindustani (3)
(Urdu+Hindi) ko hasal hai.
Urdu es waqt donya ki dosri bari boli, samjhi, likhi aur
parhi janay wali zoban hai jabkah apnay awazoon kay
nazam kay hawala say pehli bari zoban hai. Es mozo par
main kahein aur bari tafseel say apni morozaat paish kar
chuka hoon. La'mohala es zoban nay apnay jossay kay
hawala say hakim zobanoon say ziyada asraat qabool kiay
hain likin punjabi ka jussa aur bolanay waloon ki tadaad
kuch kam nahain es liay es nay bhi arbi say asraat qabool
kiay hain.
Arbi lafzoon ki shakal maeni aur estamalaat kuch ke kuch
ho gay hain. Agar mairi baat par yaqeen na aa'ay to heer
moqbal, heer waris shah, qissa safar-ul-eshq,
nijat-ul-momainein, kallam bulle shah kasuri, kalaam
shah hussain lahori, kalaam nosha gunj bukhsh, ahwal lul
akhkairaat (molvi abdul wahab), Kalaam peer mehar ali
shah sahib, kalaam fazal shah gujrati, kalaam daem iqbal,
waghera ko eak nazar zaroor daikh lain, arbi kay asraat
aap ba'khobi daikh sakain gay.
Farsi ki bhi yahi surat hai. Onwan tak farsi main likhay
gay hain. Hawashi bhi moratab kiay gay hain. Main
Mohammad Bukash Sahib nay qissa saef-ul-malooq (4)
kay aakhar main farsi alfaz ko hawashi ki surat main
daraj kiya hai.
Awazoon ka tabadal koe nae baat nahain.
wao kay liay bay ( bai'chara say wachara)
pay kay liay wao (Qadi'pind say qadi'wind)
daal kay liay zay (Khadmat say khizmat)
daal kay liay wao (zima'dari say zima'wari,
zawad kay liay jeem (zarorat say jarorat)
zaal kay liay jeem (zail say jaial/jaiel)
Ray kay liay laam (professor say profaisal)
waghera waghera.
Essi tara noon ka hashvi estamal bhi aam hai maslan
hosla say honsla.
Baat edher ya odhar ki nahain. Aap street main ba'toor
mohaqaq niklain, aap ko yah sab sonnay ko mil ja'ay ga.
Punjab ka koe aisa gali ya kocha nahain ho ga jahan
punjab ki dosri walaetoon kay log na aatay jatay hoon gay
lihaza aap zara bariki say en tabadalaat ko daikhain.
Mujhy yaqein hai kah aap es hawala say maus nahain
hoon gay.
Maira ta'alaq odhar say nahain edhar say hai aur mairay
pas edhar kay punjab kay kae dost aatay jatay rehtay
hain aur oon say mairi baat cheet hoti rehti hai. Es baat
cheet kay hawala say mein nay bari zima'dari say
misalain aap ki kidmat main paish ki hain.
Hindi koe alag say zoban nahain hai. yah angraiz ki (1800)
sazesh thi. lala lalluji es ka mohra banay. Bilkul essi tara
gurmakhi punjabi say koe alag zoban nahain yah sikhism
kay zair-e-asar vajood main aae.
Aslun donoon zobanoon (6) kay rasm-ul-khat bohat
pehlay koe aur thay ya yah moqami rasoom-ul khat main
likhi jati thein. Ram kay daramoon kay jab tarajum howay
(7) to pata chala yah to Hindustani (Urdu+Hindi) hai. Mein
nay zimnun yah baat likh di hai aur es ka matni ta'alaq es
mozo say nahain.
Agar main aap ki oljhan dour kar saka hoon to mujhy
khushi hai warna aap es zimun main mazeed sawal ya
misalain talab karnay ka asuli haq mehfooz rakhtay hain.
-----------------------------------
1. Ibtadae kalasoon main es ki alif bay parhae nahain jati
aur nahi es koe tadrisi
qaeda hai, es kay ba'vajood kaseer tadaad main likhi aur
parhi jati hai.
2. arbi, dav'nagri, roman
3. hindustan kisi moqami zoban ka lafz nahain hai. yah
bar-e-sagher ka motradaf hai,
hind arbi jab'kah satan farsi lahqa hai.
ab es ki tein riyastain mojood hain:
a. Bharat
b. Pakistan
c. Bangladash,
Yah lafz bangalali nahain hai. Bangal+dais
jaisay lyalpur lyal+pur
4. qissa safar-ul-eshq
5. zima, zoma kay talafaz main bhi mostamal hai
6. hindustani aur punjabi+gurmokho
7. Syed Imtiyaz Ali Taj marhoom
_________________
Thu Jul 01, 2010

http://www.forumpakistan.com.pk/arbi-aur-punjabi-ka-lisani-reshtah-t8773.html#ixzz4jxrQc19S
ARBI AUR PUNJABI KA LISANI RESHTAH
Eak dilchasip moqalma
Sat Mar 22, 2008

Dr Maqsood Hasni

Abuzar Barqi Kutabkhana


June 2017

Anda mungkin juga menyukai