Anda di halaman 1dari 15

◆Sha'ban-ul-MuAazam

Hadees Shareef

(Rajabu Shahrullahi Wa Sha'baanu Shahri Wa Ramadanu Shahru Ummati.

[Rawah Abu Fath Fee Amaliyah]

Tarjumah: Rajab Allah Ta'Aala Ka Mahinah Aur Sha'ban Mera Mahinah Hai Aur Ramadan Meri
Ummat Ka Mahinah Hai.

[Hawala: Maa-Sabat Min Al-Sunnah, Safha:126, Fazaile Ayyam, Safha:397]

Huzoor Alaihissalam Ne Farmaya Ke Jisne Iska Aehtaraam Kiya Usne Mera Aehtaraam Kiya. Jo Is Mah
Ki Pehli Tareekh Ko 4/Raka'at Nafl Namaz Padhe Aur Har Raka'at Me'n Alhamd 7-Martabah Aur
Surah IkhLaas Padhe To 70-Baras Ki Ibadat Ka Sawaab Payega. Is Mah Mubarak Me'n Ek Raat Shab-E-
BaRaat Ke Naam Se Mausam Hai. Jin Mardo'n Aurato'n Ke Zimmah Baaligh Hone Se AajTak Ki Koyi
Namaz Nahi Unke Liye Nawafil Ki Kasrat Baa'se Qurbe ILaahi Hai.

(Jinki Farz Namaze Qaza Ho Chuke Hai Wo Nafl Ko Cchode De Aur Apni Qaza-E- Umri Ada Kare)

Aur Is Raat Ka Sawab 1000 Mahino'n Ki Raato'n Ki Ibadat Ke Barabar Milta Hai. Is Shab Apne Murdo'n
Buzrugo'n Ki Qabar Par Jakar Aesaal-E-Sawaab Kare. Ke Uske Murde Bakhsh Diye Jayenge. Aur
Buzrugo'n Se Faiz Haasil Hoga.

Har Musalman Ko Chahiye Ke Is Tareekh Ko Maa'n Baap Dost Ahbaab Zan-O-Shauhar Ek Dusre Se
Uske Huqooq Ki Muafi Chahe.

◆Huqooq-ul-Ibaad

Chori Ya Kisi Ka Maal Ghazab Kiya Ho To Wapas Kare Ya Muaf Karale, Ghibat Chughli Aur Dil Ko
Sadmah Pohchane Wale Alfazo'n Ki Muafi Chahe, Ye Muafi Choto'n Bado'n Khususan Umar Rasidah
Hazraat Hai. Khaas Kar Dada, Dadi, Nana, Nani Maa'n Baap, Bhai Bahen Aur Digar Azeez Aqaarib Se,
Biwi Shauhar Se , Shauar Biwi Se Huqooq Muaf Karaye.

1
Ba'z Ahadees Me'n Aaya Hai Ke Qaata-E- Rihm, Mohabbat Munqate Karne Wala, Taweel-ul-Aazar,
Maghroor Mutakabbir, Aaq Yaani Jisko Maa'n Baap Ne Nafarmani Ke Baa'is Cchod Diya. Daayim-ul-
Khamar Yaani Hamesha Sharab Pine Wala. Ajbaar Yaani Zulm-O-Jaur Se Mutalebah Karne Wala.
Saahir Yaani Jadu Karne Wala. Kaahin Yaani Shaytaani Baate'n Bata Ne Wala. Ye Sab Log Mehrume
Maghfirat Hain.

Sayyidina Ali Murtada KaramullAhu Ta'Aala Wajhu Se Marwi Hai Ke RasoolAllah ‫ ﷺ‬Ne Irshaad
Farmaya: Jab Sha'baan-ul-MuAzzam Ki 15wi'n Raat Aaye To Is Raat Me'n Ibadat Karo, Ghurube
Aaftaab Ke Waqt Se Allah Ta'Aala Aasmaane Duniya Ki Taraf Nuzool Farmata Hai, Rahmate ILaahi
Nida Deti Hai, Kon Hai Taalibe Maghfirat Ke Usko Bakhsha Jaye? Koyi Rozi Ka Khwastgaar Hai Ke Usko
Rizq Diya Jaye? Kon Masayib-O-Aafaat Se Rastagaari Ka Aarzu Mand Hai Ke Uski Mushkile'n Aasaan
Hojaye'n? Rahmato'n Ki Ye Munadi Barkato'n Ki Ye Nichawar Tulu-E-Sahar Tak Jari Rehti Hai, Ye Raat
Taqsime Rizq Ki Raat Hai. Maut-O-Hayaat Ke Kaghzaat Darbare Aezdi Me'n Pesh Hote Hain, Isliye
Zaruri Hai Ke Is Raat Ko Taubah-O-Istaghfaar Me'n Guzara Jaye Aur 15wi'n Sha'baan Ka Rozah Rakhe
Ke Iska Ajar Azeem Hai. Aatish Baazi Haraam Hai Isse Bache Aur Apne Baccho'n Ko Bhi Sakhti Se
Roke'n.

[Qadri Razavi Majmua Wazaif, Safha:328|329]

2
❖ Shab-E-Baraat QurAan-O-Hadees Ki Roshni Me'n

Maahe Sha'baan Ki 15wi'n Raat Ko Shab-E-BaRaat Kaha Jata He.

Shab Ke Maani Hain Raat

Aur BaRaat Ke Maani Bari Hone Aur Qata Ta'alluq Karne Ke Hain.

Chunke Is Raat Me'n Musalman Tauba Karke Gunaho'n Se Qata Ta'alluq Kerte Hain Aur Allah
Tabarak-O-Ta'Aala Ki Rahmat Se Be-Shumaar Musalman Jahannam Se Najaat Paate Hain.

Isliye Is Raat Ko "Shab-E-BaRaat" Kehte Hain.

Is Raat Ko "Lai-Latul Mubarakah"

Yaani Barkat Wali Raat ,

LaiLatul-Sak Yani Taqseem Umoor Ki Raat

Aur LaiLatul Rahmah Yaani Rahmat Nazil Hone Ki Raat Bhi Kaha Jata He.

Allah Tabarak-o-Ta'Aala Quraan Paak Me'n Irshaad Farmata He...

Tarjumah:- Haa'Meem__ Qasam Is Roshan Kitaab Ki Beshak Ham Ne Ise Barkat Wali Raat Me'n
Utara, Beshak Ham Dar Sunane Wale Hain. Is (Raat) Me'n Baant Diya Jata Hai Har Hikmat Wala
Kaam.

Hamare Paas Ke Hukm Se, Ham Bhejne Wale Hain Tumhare Rab Ki Taraf Se Rahmat, Beshak Wahi
Sunta Janta Hai, Wo Jo Rab Hai Aasmano'n Aur Zameen Ka Aur Jo Kuch Unke Darmiyan Hai, Agar
Tumhe'n Yaqeen Ho Iske Siwa Kisi Ki Bandagi Nahi Wo Jilaye Aur Maare, Tumhara Rab Aur Tumhare
Agle Baap Dada Ka Rab.

(Surah Al-Dukhaan:1|8)

Rasool'Allah ‫ ﷺ‬Ne Farmaya : Sha'baan Mera Mahinah Hai Aur Ramadan Allah Ta'Aala Ka Mahinah
Hai.

Mazeed Aap ‫ ﷺ‬Ne Farmaya : Jo Sha'baan Me'n Acchi Tayyari Karega Uska Ramadan Accha Guzrega
Aur Wo Maahe Ramadan Ki Barkato'n Aur Sa'Adato'n Se Lutf Andooz Aur Behra-E-Mand Hoga.

Mahe Sha'ban Ka Pura Mahinah Maahe Barkat -O-Sa'Adat Aur Hurmat -o- Ta'Azeem Wala Mahinah
Hai Lekin Is Mahine Ko Bataure Khaas Kuch Fazilae'n , Imtiyazaat Aur Sharf Ata Kiye Gaye Hain.

Is Mahine Ko " Shehr Taubah" Bhi Kaha Jata Hai.

Isliye Ke Taubah Ki Qabuliyat Is Mah Me'n Badh Jati He.

3
Is Maah Me'n Musalmano'n Par Barkato'n Ka Izafah Kar Diya Jata He. Isliye Ye Mahinah Uska
HaqDaar He.

Gunyatut Taulibeen Me'n Zikr Kiya Gaya Hai Ke Jis Tarah Musalmano'n Ke Liye Zameen Main 2-Eide
Hain Is Tarah Farishto'n Ke Aasmaan Main 2-Eide Hain.

Ek Shabe BaRaat Aur Dusri Shabe Qadar.

Jis Tarah Momino'n Ki Eide Eid-ul-Fitr Aur Eid-ul-Adha Hain.

Farishto'n Ki Eide Raat Ko Isliye Hain Ke Wo Raat Ko Sote Nahi Jab Ke Aadmi Raat Ko Sote Hain Isliye
Unki Eide Din Ko Hain.

( Gunyatut TauLibeen, S:449)

Allama Qurtubi Maliki Rahmthullahi Alaih Farmate Hain Ek Qaul Ye Hai Ke In Umoor Ke Lauhe
Mahfooz Se Naqal Karne Ka Aagaaz Shab-E-BaRaat Se Hota He Aur Ikhtetaam LaiLatul-Qadar Main
Hota He.

( Al-Jami-ul-Ahkaam-ul-QurAan , Jild:16, Safha:128)

Hazrat Aayesha Siddiqua RadiyAllahu Ta'Aala Anha Farmati Hain Ke Rasule Kareem ‫ ﷺ‬Ne Farmaya
Kya Tum Janti Ho Ke Sha'baan Ki 15wi'n Shab Me'n Kya Hota He?

Me'n Ne Arz Ki Yaa Rasool'Allah ‫ ﷺ‬Aap Farmaiye.

Irshad Huwa Aa'indah Saal Me'n Jitne Bhi Paida Hone Wale Hote Hain Wo Sab Is Shab Me'n Likh Diye
Jate Hain Aur Jitne Log Aa'indah Saal Marne Wale Hote Hain Wo Bhi Is Raat Me'n Likh Diye Jate Hain
Aur Is Raat Me'n Logo'n Ka Muqarrarah Rizq Utara Jata He.

(Mishkaat , Jild:1, Safha:277)

Hazrat Ataa Bin Yasaar RadiyAllahu Ta'Aala Anhu Farmate Hain :

" Sha'baan Ki 15wi'n Raat Me'n Allah Ta'Aala Malik-ul-Maut Ko Ek Fehrist De Kar Hukm Farmata Hai
Ke Jin Jin Logo'n Ke Naam Is Me'n Likhe Hain In Ki Ruho'n Ko Aa'indah Saal Muqarrarah Waqto'n Par
Qabz Karna. To Is Shab Me'n Logo'n Ke HaaLaat Ye Hote Hain Ke Koyi Baagho'n Me'n Darakht
Lagane Ki Fikr Me'n Hota Hai, Koyi Shaadi Ki Tayariyo'n Me'n Masroof Hota Hai, Koyi Kothi Banglah
Banwa Raha Hota Hai. Halanke Unke Naam Murdo'n Ki Fehrist Me'n Likhe Ja Chuke Hote Hain.

(Musannif Abdur Razzaaq , Jild:4, Safha:317)

4
Hazrat Usman Bin Muhammad RadiyAllahu Ta'Aala Anhu Se Marwi Hai Ke Sarkare Madina ‫ ﷺ‬Ne
Farmaya : Ek Sha'baan Se Dusre Sha'ban Tak Logo'n Ki Zindagi Munqate Karne Ka Waqt Is Raat Me'n
Likha Jata Hai. Yaha'n Tak Ke Insaan Shadi Biyah Karta Hai Aur Uske Bacche Paida Hote Hain Halanke
Uska Naam Murdo'n Me'n Likha Ja Chuka Hota Hai.

( Shuab-ul-Imaan ,Jild:3, Safha:386)

Ye Raat Guzishta Saal Ke Tamaam Aamaal Baargaahe ILaahi Me'n Pesh Hone Aur Aa'indah Saal Milne
Wali Zindagi Aur Rizq Waghairah Ke Hisaab Kitaab Ki Raat Hai.

Isliye Is Raat Me'n Ibadat-E-ILaahi Me'n Mashgool Rehna Rabbe Kareem Ki Rahmato'n Ka Mustahiq
Hone Ka Baa'is Hai.

Ibne Maaja Ki Hadees Hai Hazrat Ali KaramullAhu Ta'Aala Wajhul Kareem Se Marwi Hai Ke
Rasool'Allah ‫ ﷺ‬Ne Farmaya : Jab Sha'baan Ki 15wi'n Shab Hoto Raat Ko Qayaam Karo Aur Din Ko
Rozah Rakho. Kyun Ke Ghurube Aaftaab Ke Waqt Se Hi Allah Ta'Aala Ki Rahmat Aasmaane Dunya Par
Nazil Hojati He.

Aur Allah Ta'Aala Irshaad Farmata Hai: He Koyi Maghfirat Ka Talab Karne Wala Ke Me'n Use Bakhsh
Du.

Hai Koyi Rizq Mangne Wala Ke Me'n Usko Rizq Du.

Hai Koyi Musibat Zadah Ke Use Musibat Se Najat Du. Ye Aelaan Tulu'ae Fajr Tak Hota Hai.

(Ibne Maja, Safha:100)

Hazrat Abu Musa Ash'ari RadiyAllahu Ta'Aala Anhu Se Marwi Hai Ke Nabi Kareem ‫ ﷺ‬Ka Irshaad Hai
Allah Ta'Aala Sha'baan Ki 15wi'n Shab Me'n Apne Raham-o- Karam Se Tamaam Makhlooq Ko Bakhsh
Deta Hai. Siwaye Mushrik Aur Kina Rakhne Wale Ke.

( Ibne Maja, Safha:101)

Imam Baihaqi Ne (Shuab-ul-Imaan, Jild:3, Safha 384) Me'n Hazrat Aayesha Siddiqua RadiyAllahu
Ta'Aala Anha Ki Ek Taweel Riwayat Bayaan Ki Hai Jis Me'n Maghfirat Se Mehroom Rehne Walo'n
Me'n In Logo'n Ka Bhi Zikr Hai Jo Rishta Naate Todne Wala, Bataure Takabbur , Izaar Takhno'n Se
Niche Rakhne Wala, Maa'n Baap Ka Naafarmaan, Sharab Naushi Karne Wale.

Nabi Kareem ‫ ﷺ‬Ka Farmaan Hai : Jin Logo'n Ki Ruhe'n Qabz Karni Hoti Hain Unke Namo'n Ki Fehrist
Mahe Sha'baan Me'n Malik-ul-Maut Ko Di Jati Hai. Isliye Mujhe Ye Baat Pasand Hai Ke Mera Naam
Us Waqt Fehrist Me'n Likha Jaye Jab Ke Me'n Roze Ki HaaLat Main Hu.

Ye Hadees Pehle Mazkoor Ho Chuki Hai Ke Marne Walo'n Ke Namo'n Ki Fehrist 15wi'n Sha'baan Ki
Raat Ko Tayyari Ki Jati He.

5
Huzoor Akram ‫ ﷺ‬Ke Is Irshaad Se Ma'aloom Huwa Ke Agarche Raat Ke Waqt Roza Nahi Hota Iske Ba-
wajood Roza_Daar Likhe Jane Ka Matlab Ye Hai Ke Ba-Waqt Kitaab(Shab) Allah Ta'Aala Rozi Ki Barkat
Ko Jari Rakhta He.

( MaSabat Min Al-Sunnah:192)

Hazrat Mu'aaz Bin Jabal RadiyAllahu Ta'Aala Anhu Se Riwayat Hai Ke Huzoor Akram ‫ ﷺ‬Ne Farmaya Ke
5-Raate'n Hain Ke Jis Ne Wo 5-Raate'n Jaag Kar Mehnat Karli Uske Liye Jannat Wajib Hogayi.

In 5-Raato'n Me'n Se Ek Raat 15/Sha'baan-ul-MuAzzam Ki Raat Hai. Muraad Ye Hai Ke Is Raat


Taubah, Maghfirat Ki Qabuliyat Itni Zyada Hai Ke Agar Koyi In Raato'n Ko Jaag Kar Kasrat Ke Sath
Girya-o- Zaari Kare , Sidq-o- IkhLaas Niyat Ke Sath Allah Ke Huzoor Apne Saare Gunaho'n Ki Taubah
KarLe, Talabe Maghfirat KarLe Aur Aa'indah Islah KarLe To Pichle Gunah Agarche Wo Samandar Ki
Jhaag Ke Barabar Hi Kyun Na Hon Mita Diye Jate Hain Aur Jannat Ka Mustahiq Bana Diya Jata Hai.

Hazrat AbdullAh Bin Umar RadiyAllahu Ta'Aala Anhu Se Riwayat Hai Ke Rasool'Allah ‫ ﷺ‬Ne Farmaya 5-
Raate'n Aisi Hain In Main Dua Rad Nahi Hoti. In Raato'n Me'n Se Ek Raat 15-Sha'baan-ul-MuAzzam Ki
Raat Hai.

◆Shab-E-BaRaat Shareef Ke Fazail-O-Nawafil

Tafsire Saawi-O-Tafsire Kabeer Waghairah Me'n Hai Ke Rasule Paak ‫ ﷺ‬Ne Farmaya Ke Jo Shakhsh Is
Raat Me'n "100/Raka'at" Padhega Allah Ta'Aala Uske Paas "100 Farishte" Bheje Ga Jis Me'n Se 30-
Farishte Usko Jannat Ki Khush_Khabri Denge Aur 30-Farishte Jahannam Se Bachayenge. 30-Farishte
Usko Dunya Ki Aafato'n Se Bachayenge Aur Balao'n Se Door Rakhenge. Aur 10-Farishte Usko
Shaytaan Ke Makr-O-Fareb Se Door Karenge.

Rozat-ul-Afkaar Me'n Hai Ke Sayyidina Isaa Alaihissalam Ek Martaba Pahadi Ki Sair Farma Rahe The
To Ek Chataan Mulahizah Farmayi. Jo Nihayat Khoob Surath Thi Wo Us Chataan Ko Baghaur Dekhte
Rahe To Khuda Ta'Aala Ne Farmaya Ke Aye Isaa (Alaihissalam)! Kya Ye Chataan Tumko Pasand Hai?
Arz Kiya Ya Rab Ye Chataan Bahot Khoob Surath Hai. Rab Ne Faramya Ke Aye Isaa (Alaihissalam)! Kya
Is Chataan Ke Andar Ki Cheez Bhi Dekhoge To Aapne Arz Kiya Ya Allah! Zaroor Dekhunga. To Hukme
ILaahi Se Wo Chataan Shaq Hogayi Aur Chataan Ke Darmiyaan Me'n Ek Shakhs Ko Namaz Padhte
Huwe Dekha. Uski Ek Taraf Paani Ka Chashmah Jaari Tha Aur Dusri Taraf Angoor Ki Bell Thi Jis Me'n
Angoor Ke Khaushe Lage Huwe The. Jab Us Shakhsh Ne Namaz Mukammal Ki To Aapne Usse Pucha
Ke Tum Kon Ho? Aur Ye Kya Maajra Hai? To Us Shakhsh Ne Kaha: Ke Me'n Ummate Mausawi Ka Ek
Fard Hu'n Aur Me'n Ne Allah Ta'Aala Se Dua Ki Thi Ke Mujhe Ibadat Ke Liye Ek Tanhayi Ki Jagah Ata
Farma. To Rab Ta'Aala Ne Is Chataan Me'n Mujhe Khalwat Ki Jagah Bakhshi, Paani Ka Chashmah Aur
Khaane Ka Angoor Ata Farmaya. Din Me'n Rozah Rakhta Hu'n Aur Shab-O-Roz Ibadat-E-ILaahi Me'n
Mashghool Rehta Hu'n Aur 400 Saal Se Ibadat Me'n Mashghool Hu'n. To Sayyidina Isaa Alaihissalam
Ne Rab Tabarak-o-Ta'Aala Se Arz Ki Ke Parwardigar Tere Is Bande Ki Tarah To Kisi Ne Bhi Ibadat Nahi
Ki Hogi. To Rab Ta'Aala Ne Irshaad Farmaya: Ke Aye Isaa (Alaihissalam)! Mere Mahboob Khatimun
Nabiyeen ‫ ﷺ‬Ka Ummati Sha'baan Ki 15wi'n Shab Me'n 2/Raka'at Namaz Nafl Padhega Wo Is 400 Saal
Ki Ibadat Se Behtar Hoga Aur Isse Zyada Sawaab Payega.

6
◆Shab-E-Baraat Aur Fateha

Hazrat Ibne Abbas RadiyAllahu Ta'Aala Anhu Se Riwayat Hai Ke Jab Eid Ya Jumu'ah Ya Aashurah Ka
Din Ya Shab-E-BaRaat Hoti Hai To Marne Walo'n Ki Ruhe'n Aakar Apne Gharo'n Ke Darwazo'n Par
Khadi Hoti Hain Aur Kehti Hain Ke

Aye Ghar Walo! Hamare Uppar Raham Karo, Maherbani Karo AajKi Raat Hamare Liye Kuch Sadqa
Karo , Agarche Ek Luqma Roti Ka Sadqa Do. Kyun Ke Yaqinan Ham Log Sadqa -o- Khairaat Aur Aesaale
Sawab Yani Fateha Ke Muhtaaj Hain.

Pas Agar Wo Ruhe Kuch Nahi Paate Yani Ghar Wale Fateha Durood Kuch Nahi Karte To Wo Ruhe
Hasrat -o- Naa-Ummidi Ke Sath Wapas Hojati He.

( Khazana Al-Riwayaat Aur Kanzul Ibaad Aur Kitab-ul- Roza)

Daraqutni Me'n Sayyedina Hazrat Ali RadiyAllahu Ta'Aala Anhu Se Riwayat Hai Ke Farmaya Huzoor
Akram ‫ ﷺ‬Ne Ke Jo Shakhs Qabrastaan Jayega Aur

11/ Baar Sure IkhLaas Shareef Padh Kar Uska Sawab Marne Walo'n Ko Nazar Karega Us Padhne Wale
Ko Un Tamam Murdo'n Ki Ta'daad Ke Barabar Ajr-o- Sawaab Milega.

◆ Shab-E-Baraat Aur Ziyarate Quboor

Hadees Shareef Me'n Sayyidatuna Aayesha Siddiqua RadiyAllahu Ta'Aala Anha Se Riwayat Hai Ke
Me'n Ne Dekha Ke Huzoor Akram ‫ ﷺ‬Baqee-ul-Marqad (Qabastaan Madinah Munawwarah) Me'n
Tashreef Le Gaye. Musalmaan Mard Aurate'n Aur Shahido'n Ke Liye Dua Farmayi. Phir Qabrastaan Se
Wapas Hokar Namaz Me'n Mashgool Hogaye Aur Sajde Me'n Badi Der Tak Huzoor ParwarDigaar Se
Chupke Chupke Dua Karte Rahe Phir Sajda Se Sar Utha Kar Dua Karte Rahe.

Ibne Hajar Asqalaani AlaihirRahmah Apne Khutub Me'n Riwayat Karte Hain Ke Huzoor Sardar-ul-
Ambiya ‫ ﷺ‬Ne Farmaya: Ke Qabrastaan Jaye'n Aur Waha'n Dua-E-Maghfirat Kare'n Aur Is Mubarak
Dua Ki Is Raat Me'n Kasrat Kare'n.

7
◆ Shab-E-Baraat Aur Halwah:

Halwah Marghoob -o- Mahboob Ghiza Hai. Aur Marghoob -o- Pasandidah Cheez Ka Sadqa Afzal Hai.

QurAan Majeed Me'n Allah Ta'Aala Irshad Farmata He

Aur Bukhari shareef Me'n Sayyidatuna Aayesha Siddiqua RadiyAllahu Ta'Aala Anha Se Marwi Hai :

Yaani Rasool'Allah ‫ ﷺ‬Halwah Aur Shahed Pasand Farmate The.

Lihaza Sunni Ulma-E-Karaam Aur Sunni Mashayikh-E-Ezaam Ne Is Aayate Karima Aur Hadees Shareef
Par Amal Karte Huwe Halwah Pakaya , Phir Rafta Rafta Awwam Me'n Bhi Iska Charcha Huwa Aur Iska
Riwaaj Aam Hogaya.

Shab-E-Baraat Ka Halwah Na "Farz" He Na "Wajib" Na "Haraam-o-Na'Jaa'iz" Balke Haq Aur Sacchi


Baat To Ye Hai Ke Shab-E-BaRaat Me'n Dusre Tamam Khano'n Ki Tarah Halwah Pakana Bhi Ek "
Mubah" Aur " Jaa'iz" Kaam Hai. Aur Ye Kaam Is Nek Niti Ke Sath Hoke Ek Nafees Aur Marghoob
Khana Fuqara -o- Masakeen Aur Ahl-o- Ayaal Ko Is Mubarak Sadqa Aur Khairaat Aur Aesale Sawaab -
o- Sulah Rehmi Wali Raat Me'n Khila Kar Uska Sawaab Hasil Kare To Ye Bahot Accha Kaare Sawaab
Hai.

◆Shah Abdul Azeez Muhaddis Dehlavi AlaihirRahma

Sana Wisaal Ke Qareeb Sha'baan Ki 15wi'n Raat Ko Huzoor Akram ‫ ﷺ‬Apne Kaashana-E- Aqdas Me'n
Jalwah Afrooz The. Sayyidina Hazrat Jibra'eel Ameen Alaihissalam Hazire Khidmat Huwe Arz Ki: Ye
Mubarak Raat Hai Aaj Saal Bhar Ke Karobar , Rizq Waghairah Taqseem Honge. Jannat-ul-Baqee
Tashreef Le Ja Kar Waha'n Ke Madfunain Ke Liye Dua Kijiye .

To Huzoor Akram ‫ ﷺ‬Ne Aisa Hi Kiya Aur Isi Waja Se Is Raat Me'n Fatiha Ka Dastoor Hai. Khwa Halwah
Aur Roti Ho Ya Aur Kuch Magar Hindustan Me'n Halwah Hota Hai Aur Bukhara -o- Samar Qand Me'n
"‫ "قتلما‬Waghairah Karte Hain.

8
◆Shab-E-Baraat Ke Waza'if

•Is Mubarak Raat Ki Ibteda Tilawate QurAan Se Ki Jaye Aur Surah Yaseen Ki Kam Az Kam 3/Martaba
Tilawat Ki Jaye.

•Surah Al-Dukhaan Ki 3/ Martaba Tilawat Ki Jaye.

Ulma-E- Kiraam Farmate Hain Ke Agar Koyi Puri Surah Ki Tilawat Na Kar Sake To Pehle 8/ Aayat Ki
30/Martaba Tilawat Kare.

•Kam Az Kam 100/ Martaba Aur Agar Waqt Zyada Hoto 1000 / Martaba Dua-E- Hazrat Yunus
RadiyAllahu Ta'Aala Anhu

Ye Dua Is Raat Ke Liye Badi Mujarrab He.

• Kam Az Kam Ek Tasbeeh

• Kam Az Kam Ek Tasbeeh Durood Paak , Is Raat Salaatul Tasbeeh Ka Zaroor Aehtamaam Kare.

• Kam Az Kam 8/ Nawafil Qayamul Lail Ki Niyyat Se Padhe.

•Mehfile Naat Aur Ba'd Aza'n Halqa Zikr Ka Aeneqaad.

Darj Zail Dua Dua-E- Muhammadi Hi Kasrat Ke Sath Kare.

Nawafil Aur Salaatul Tasbeeh Ke Ba'd Dua Kare Ye Dua RasoolAllah ‫ ﷺ‬Ne Hazrat Aayesha Siddiqua
RadiyAllahu Ta'Aala Anha Ko Talqeen Farmayi Thi.

9
Jis Aehbaab Ko Yaad Hosake Wo Puri Dua Darj Baalaa Alfaaz Ke Ba'd Is Tarah Kare :

◆Nawafil Ba'd Namaze Maghrib

Ba'd Namaaze Magrib 6/ Rak'ate'n 2-2 Rak'at Karke Padhe.

1/ Baar Daraazi Umar Bil-Khair -o- Barkat ,

2/ Baar Daf'ae Bala ,

3/ Baar Makhlooq Ka Mohtaaj Na Hone Ki Niyyat Se ,

Har 2-Rak'ato'n Ke Ba'd Surah Yaseen 1/ Baar Ya Surah IkhLaas 21/ Baar Aur Iske Ba'd Dua-E- Nisf
Sha'baan-ul-MuAzzam Padhe.

10
11
◆Shab-E-BaRaat Ke Nawafil

2/ Rak'at Nafl Tahiyat-ul-Wazu Padhe.


Tarkeeb: Har Raka'at Me'n AlhamdulillAh Ke Ba'd Ek Bar Aayatal Kursi, 3/ Baar
Qulhu WAllahu.

Fazilat: Har Qatrah Paani Ke Badle 700 Rak'at Nafl Ka Sawaab Milega.

2/Rak'at Padhe'n,
Tarkeeb: Har Rak'at Me'n AlhamdulillAh Ke Ba'd Ek Baar Aayatal Kursi. 15/Baar
Qulhu WAllahu.
Salam Ke Ba'd 100 Baar Durood Shareef.

Fazilat: Rozi Me'n Barkat Hogi, Ranj-O-Gham Se Najaat. Gunaho'n Ki Bakhshish Aur
Maghfirat Hogi.

8/Rak'at (2-2 Karke)


Tarkeeb: Har Rak'at Me'n AlhamdulillAh Ke Ba'd 5/Baar Qulhu WAllahu.

Fazilat: Gunaho'n Se Paak Saaf Hoga. Dua-E- Qubool Hogi, Sawab Azeem Hoga.

12/Rak'at (2-2 Karke)


Tarkeeb: Har Rak'at Me'n AlhamdulillAh Ke Ba'd 10/Baar Qulhu WAllahu , 12 /Rak'at
Padhne Ke Ba'd 10/Baar Kalma-E-Tauheed, 10/Baar Kalma-E-Tamjeed, 10/Baar
Durood Shareef.

14/Rak'at (2-2 Karke)


Tarkeeb: Har Rak'at Me'n AlhamdulillAh Ke Ba'd Jo Surah Chahe Padhe'n.

Fazilat: Jo Bhi Dua Mangi Jaye Qubool Hogi.

12
4/Rak'at (Ek Salam Se)
Tarkeeb: Har Raka'at Me'n AlhamdulillAh Ke Ba'd 11/Baar Qulhu WAllahu. Iska
Sawaab Khatoone Jannat Hazrat FatimatuzZahra RadiyAllahu Ta'Aala Anha Ko
Nazar Kare.

Fazilat: Aap Farmati Hain Ke Me'n Is Namaz Padhne Wale Ki Shafa'at Kiye Bina
Jannat Me'n Qadam Na Rakhungi.

Jinki Farz Namaze Qaza Ho Chuke Hai


Wo Nafl Ko Cchode De Aur Apni Qaza E Umri Ada Kare.
11

◆Rozah Ki Fazilat: Huzoor Akram ‫ ﷺ‬Farmate Hain Jisne Sha'baan Me'n Ek Din Rozah Rakha Usko
Meri Shafa'at Halaal Hogayi. Ek Aur Hadees Shareef Me'n Hai Ke Huzoor Akram ‫ ﷺ‬Farmate Hain Ke
Jo Sha'baan Ki 15/Tareekh Ko Rozah Rakhega Use Jahannam Ki Aag Na Chuwegi.

◆Dau-E-Nisf Sha'baan-ul-Mukarram Ka Tarjumah

Aye Mere Allah! Tu Hi Sab Par Ahsaan Karne Waala Hai Aur Tujh Par Koyi Ahsaan Nahi Kar Sakta. Aye
Buzrugi Aur Maherbani Rakhne Waale Aur Aye Bakhshish Ka In'aam Karne Waale, Tere Siwa Koyi
Ma'bood Nahi. Tu Hi Girto'n Ko Thaamne Waala, Be-Panaho'n Ko Panah Dene Waala Aur Pareshaa'n
Haalo'n Ka Sahara Hai. Aye Allah! Apne Fazl Se Meri Bad- Bakhti, Raandagi, Aur Rozi Ki Kami Ko Mita
De. Aur Apne Paas "Umm-ul-Kitaab" Me'n Mujhe Khush Naseeb, Wasee-ul-Rizq Aur Nek Karde.
Beshak Tera Ye Kehna Teri Kitaab Me'n Jo Tere Nabi Mursal ‫ ﷺ‬Ke Zariah Pohchi Hai, Sach Hai Ke
Allah Jise Chahta Hai Mitata Hai Aur Jise Chahta Hai Bana Deta Hai, Aur Usi Ke Paas "Umm-ul-Kitaab"
Hai.

Aye Khuda! Tajalli-E-Aazam Ka Sadqah! Is Nisf Sha'baan-ul-MuAzzam Ki Raat Me'n Jis Me'n Tamaam
Chizo'n Ki Taqseem-O-Nafaaz Hota Hai Meri Balao'n Ko Door Kar, Khwah Me'n Unko Janta Hu'n Ya
Na Janta Hu'n Aur Jin Se Tu Waaqif Hai, Beshak Tu Hi Sab Se Bartar Aur Badhkar Ahsaan Karne
Waala Hai. Allah Ki Rahmat-O-Salamati Ho Hamare Sardaar Mohammed ‫ ﷺ‬Par Aur Aapki Aal-O-
Aulaad Aur Sahaba Par...

Aameen Allahumma Aameen

13
By: Gulshan-E-Fatimah

With The Blessings Of Huzoor TajushSharia Maddazillahu Noorani

Translitrated (Roman Urdu)

By:Faqeera -E- Qadriyah Kaneez Fatima Ridawiyah

Feel Free to Contact Us

razvishairnibareillvi@gmail.com

Follow Us On Social Sites:

Blogger :

gulshan-e-fatimah.blogspot.com

FaceBook Page :

https://www.facebook.com/KaneezeAalaHazrat/

Instagram :

https://www.instagram.com/gulshanefatimah/

YouTube :

https://www.youtube.com/channel/UCf1izVusAfFInLNoTD6HA5g

14

Anda mungkin juga menyukai