Anda di halaman 1dari 27

Important Points

(1 – 3 NABAWI)

1. Surah#96 – Alaq (1-5 aayat)


Shaan-e-Nuzool: Ghaar-e-Hirah ka Waaqia
Zamaane Nuzool: 1-3 Nabawi

Points:
1. Pado apne Rabb ke naam se jisne tumhein paida kiya apne khoon ke lauthre se
2. Insaan ko Ilm sikaaya Qalam ke zariye se
3. Woh Ilm sikaaya jo woh jaanta na tha

2. Surah#74 – Al-Muddassir (1-7 aayat)


Shaan-e-Nuzool: Haz.Jibrael a.s. ko unki asli shakal mein dekha
Zamaane Nuzool: 1-3 Nabawi

Points:
1. Utho khabardar karo aur apni Rabb ki badai ka ehlaan karo
2. Apne kapdon ko paak rakho aur gandagi (nafs, jismani, zehni ki paaki) se dur raho
3. Ahsaan na karo zyaada hasil karne ke liye
4. Apne Rabb ke khatir sabr (ikhtyaari/ghair ikhtyaari) karo

3. Surah#73 – Al-Muzammil (1-8 aayat)


Shaan-e-Nuzool: Surah Mudassir ka jodi daar surah hai jahan Aap Nabi sorahe the tab
nazil hua
Zamaane Nuzool: 1-3 Nabawi

Points:
1. Aadi Raat ko ya usse bhi kuch kam namaaz mein khada raha karo
2. Quran ko khub taher-taher kar padaa karo
3. Raat ka uthna nafs per kaabu paane ke liye kaargar hai
4. Allah ka zikr kiya karo aur sabse cut kar ussi ka raho

4. Surah#1 – Fateha (1-7 aayat)


Ise shifa, Ruqia (formula), Ummul Quran, Saba Al-masani, Salah bhi kehte hai (Nabi madina
ke safar mein jab ek basti se guzre to wahan aaram karrahe the ke itne mein ek ladki daudi
aaye aur kahan ke humare aaka ko ek biccho ne kaata aapmein se koi hai jo jhad-phuk
jaanta hai to usmein se ek sahabi uthe aur kahan ke main jaanta hoon aur unhone Fateha
padkar us shaks per dum diya)

Quran Notes
|1
Shaan-e-Nuzool: Namaaz mein aaghaz hone waala surah jahan Dua manghte hai Allah
(swt) se.
Zamaane Nuzool: 1-3 Nabawi

Points: (yeh ek dua hai jahan bataaya jaaraha hai dua kis tarah maangna hai aur kya
maangna hai)
1. Aye Allah Shukr hai tera (Allah pehli martaba aaya, yahan sifat jaanne ke baad
woh humein bataa raha hai ke ab hum uska naam jaan le)
2. Saare kainaat ka maalik (rabbul-aalameen)
3. Jo badaa rahmaan aur nihayat rahem waala hai (Allah ki sifat jo kabhi katam
hone waali nahi hai)
4. Aakhirat ke din ka maalik hai
5. Aye Allah hum teri hi ibaadat karte hai aur tujhi se maangte hai (hum teri hi
parashteesh karte hai aur teri hi etaa’at karenge (na nafs ki, na muashirah ki na
kisi aur cheez ki))
6. Aye Allah humein seeratul mustaqeen pe chalaa de (yahan banda Allah se seedha
raste per chalaane ki duaa maang raha hai)
7. Aye Allah unke raaste jin per tune inaa’am kiya (Ambiya Siddiqueen, Shuhada,
Saleheen) aur na unke jin per Allah ka ghazab hua (yahud) aur na unke jo bhatak
gaye (Nasara) aur unke nakshekhadam per chalne waale

5. Surah#93 – Ad-Duha (1-11 aayat)


Yahan surah shuru horahi hai kasam se jahan subah aur raat ki khaaker Nabi ko tasalli di
jaarahi hai ke “Aapka Rabb ne na aapko chodha hai aur na aapko chodhega

Shaan-e-Nuzool: Haz. Jibrael a.s. Nabi ko Wahi ki Bandish se tasalli dilayee tab yeh surah
nazil hua

Zamaane Nuzool: 1-3 Nabawi

Points:
1. Kasam (wadh dhua) hai roze roshan ki aur raat ki jab ke woh taari hojaaye
2. Aye Allah Ke habeeb Allah ne na aapko chodha hai
3. Aye Nabi aapke liye aane waala daur pehle ke daur se behtar hoga
4. Aur tumhara Rabb tumko itna dega ke tum khush hojaaoge
5. Kya humne tumko Yateem paaya aur tikhana farham kiya (ehsanat bataaya
jaaraha hai)
6. Aur tumhe naawakif-e-raah paaya aur hidayat bakshi (ehsanat bataaya jaaraha hai)
7. Aur tumhe naadar paaya aur maaldar kardiya (ehsanat bataaya jaaraha hai)
8. Aap Yateem ke saat sakti mat karo (ahkamat bataaya jaaraha hai)
9. Aur sahil ko na jhirko (ahkamat bataaya jaaraha hai)
10. Apne Rabb ki naymaton ke izhar karo (ahkamat bataaya jaaraha hai)
Teen Ehsaanat (yahan ehsanat Alam yajidka se shuru horahi hai)

1. Humne tumhe Yateem paya aur thikana farham kiya


2. Humne tumhe Nawakhif e rah paya aur hidayat bakshi
3. Humne tumhe Nadaar paya aur maaldar kiya

Quran Notes
|2
Teen Ahkamat

1. Yateem pe sakhti na karo


2. Sahil (sawaal karne waala/mangne waala) ko na jhirko
3. Apne rab ke naymaton ka izhar karo

6. Surah#94 – Nashra/Inshirah (1-8 aayat)


Yeh surah humein ek waaqia ki taraf le jaaraha hai jahan ek dua Haz.Moosa a.s. padha karte
the jo seedha raasta jaane ke liye padha tha. Isse yeh muraad hai ki jahan Haz.Moosa a.s.
ko jo maangne se mila wahi yahan Nabi ‫ ﷺ‬bin maange mila hai woh Ehsaan is surah mein
bataya jaaraha hai.

Shaan-e-Nuzool: Surah Ad-Duha ki Jodi dar surah hai

Zamaane Nuzool: 1-3 Nabawi

Points:

1. Aye Nabi ‫ ﷺ‬kya humne tera seena khol nahi diya (ehsanat bataaya jaaraha hai)
2. Aur woh bhojh na uthaliya jo aapki kamar todhe jaaraha tha (yahan bhojh
gaur-e- fikr aur wahi ki bandish ki bataaye jaarahi hai) (ehsanat bataaya
jaaraha hai)
3. Humne aapko na chodha hai aur aapka zikr buland kardiya (ehsanat bataaya
jaaraha hai)
4. Beshak tangi ke baad faraakhi hai aur tangi ke baad aasani hai
5. Jab bhi apne kaam se faarigh hojaao ibaadat ki mushakat mein lagjaao
(ahkamat bataaya jaaraha hai)
6. Aur apne Rabb ki taraf raghib hojaao (ahkamat bataaya jaaraha hai)

Dua#1
Rabbish rahlee sadree WA Yassir lee

amree Wahlul’ uqdata mi lisaanee

yafqahoo qawlee

7. Surah#103– Al-Asr (1-3 aayat)


Yahan Quran ki sabse badi kasam batayee jaa rahi hai
Shaan-e-Nuzool: Bataaya jaaraha hai Kaamiyaabi keen cheezon mein hai.

Zamaane Nuzool: 1-3 Nabawi


Important Points:
1. Kasam hai Zamaane/waqt ki
2. Saare insaan kasaare mein hai (kyun ki har din ghatte jaaraha hai)
3. Siwaye unke jisne:
a. Emaan laaye: 6 article of Faith – Aamanto Billahi, Wa Malahikati, Wa

Quran Notes
|3
Kutubihi, Wa Rasoolihi, wa bil-aakhirati aur acchi buree taqdeer per
b. Amal-e-Saleh kiye: Jo Allah aur unke Rasool ne bataaya woh karna
c. Tawasau bil Haq: Haq ki Daawat dena
d. Tawasau bil Sabr: Sabr ki Talqeen karna
[E.g.: Yahan Nabi ‫ ﷺ‬ne Haz.Bilal ko nasiyat yeh di ke aap ghareebon mein rehna aur
ghareebon mein marna taaki jaanat mein tum mere saat rahoge.]

Dua#2 (Deen-e-islam per qayam rehne ki)


Ya muqallib al-

quloob, Thabbit

qalbi ala deenik

Quran Notes
|4
Important Points

(4th NABAWI)

8. Surah#111 – Lahab/Masad (1-5 aayat)


Shaan-e-Nuzool: Koh-e-Safa ka Waaqia jab Aap Nabi ‫ ﷺ‬khuli Daawat ka aagaz kiya. Aur
jahan Abu Lahab (Nabi ke chaacha) ne Nabi ki Mukhaalifat ki.
Zamaane Nuzool: 4th Nabawi

Kuniyat: Abu Lahab (Angaare ka Baap). Asli Naam Abdul Uzza bin Abdul Mutalib
(Uzza 360 budh mein se ek budh ka naam hai jo Makkah mein rakha jaata tha isiliye
yeh naam na lete hue Abu Lahab kaha jaata tha)
Points:

1. Tut gaye Abu Lahab ke haath aur nakaam aur namuraad hogaye woh
2. Na to uska maal uske kaam aayega na uski aulaad
3. Zaroor woh aag mein jaayega aur uski biwi (Arwa Bint Harb bin Ommaiyya inki
kuniyat Umm-Jameel) bhi aag mein jalaayee jaayege jo lagaaye-bhujaayee
karti thi
4. Aur (aakhirat mein) uske gardan mein mooch/khajoor ki rassi hogi

Nabi ‫ ﷺ‬ke Dawat ke Mazameen


1) Tawheed
2) Aakhirat per Imaan
3) Tazkiyan-e-Nafs
4) Mamlat ki Taaleem
5) Nabi ‫ ﷺ‬ki ita’at

8.1 Surah#96 – Alaq (6 – 19 aayat)


Shaan-e-Nuzool: Aap Nabi ‫ ﷺ‬jab hateem mein namaaz padh rahe the to Abu Jahal
ne unhe roka yahan namaaz adaa karne se aur Aapki Mukhaalifat
ki
Zamaane Nuzool: 4th Nabawi

Kuniyat: Abul Hakam. Asli Naam Amr bin Hisham Al-Maghzoomi. Makkah waale unhe
Abul Hakam (Father of Wisdom) bulaate the. Unhe jawaani se Dar-ul-Nadwa
(parliament) mein muqaam dedi gayee.
Points:

1. Hargis nahi insaan sarkashi (baaghi) karta hai is bina per ke woh apne
aap ko beniyaas (self-sufficient) samajhta hai
2. Kya tumne dekha nahi uss shaqs ko jo mana karta hai jab ke woh namaaz
padhta ho
3. Tumhara kya khayal hai agar woh banda raahe-raaz per ho ya parezgaari ki

Quran Notes
|5
talqeen karta ho
4. Tumhara kya khayal hai agar yeh mana karne waala shaqs Haq ko jhutlaata
aur muh-modhta ho
5. Kya woh nahi jaanta ke Allah dekh raha hai
6. Hargis nahi agar woh baaz na aaya to Hum uske peeshaani (saare ghalat kaam
yahan se nikalte hai) ke baal pakadkar keechenge uss peeshaani ko jo jhuti aur
sakt khataakar hai
7. Woh bulale apne haamiyon ki toli ko
8. Humbhi azaab ke farishte bulalenge
9. Hargis nahi uski baat na maano
10. Aur Sajda karo aur Rabb ka khurb hasil karo (ahkaam: “Wasjud Waqt Tarib”)

8.2 Surah#74 – Al-Mudassir (8 - 56 aayat)


Shaan-e-Nuzool: Hujjaj ko rokne ke liye jo Majlis-e-Shoura baithi.Yahan iss waaqia ka
bayaan kiya hai ke ek din saare Makkah ke log Waleed bin Mughera ke paas jaama
hokar Aap Nabi ‫ ﷺ‬ke ta’aluk se ek natija khaayam karte hai.
Waleed bin Mughera Al-Maghzoomi (F/O Sahabi: Khalid Bin Waleed- unhe Saifullah
(Allah ki Talwaar) bhi kahan jaata tha).
Zamaane Nuzool: 4th Nabawi

Transliteration:

8. Accha jab soor mein phuk maari jaayegi woh din bada sakt din hoga kaafiron ke
liye halka na hoga (aakhirat ki baat se shuru horahi hai)
9. Chordo mujhe aur uss shaqs ko jise maine akele paida kiya
10. Bahut sa maal usko diya aur saat hi mein haazir rehne waale bete diye
11. Aur uske liye riyasat ki raah hamwaar ki
12. Aur phir woh tama rakhta hai ki main use aur zyaada doon
12. Hargis nahi woh humare aayat se inaa’d rakhta hai
13. Main to usse ankhareeb ek katin chadaai chadwaaunga
14. Usne socha aur kuch baat banane ki koshish ki
15. To khuda ki maar usper kaise baat banane ki koshish ki
16. Haan khuda ki maar usper kaise baat banane ki koshish ki
17. Phir logon ki taraf palta phir peeshaani seekondi aur muh banaaya
18. Phir palta aur takabbur mein padgaya
19. Aakhir kaar bola yeh kuch nahi hai
20. Magar ek jaadu hai jo pehle se chalaa aaraha hai
21. Yeh to ek insaani kalaam hai
22. Ankhareeb main use dozak mein jhonk dunga (yahan dozak ka zikr pehli baar
aaya hai)
23. Aur tum kya jaanoge kya hai woh dozak
24. Na baakhi rakhe na chodhe
25. Khaal jhulas deni waali 19 kaarkoon usper muqarrar hai
26. Humne dozak ke ye kaarkoon farishte banaye hai
27. Aur unki taada’ad ko kaafiron ke liye fitna (aazmaaish) banadiya
28. Taaki Ahle-Kitab ko yakeen aajaye
29. Aur emaan lane waalon ka emaan bade

Quran Notes
|6
30. Aur Ahle-Kitab aur Momineen kisi shaq mein na rahe
31. Aur dil ke beemar aur Kuffar yeh kahe ke bhala Allah ka is ajeeb baat se kya
matlab hosakta hai
32. Iss tarah Allah jise chahe gumrah kardeta hai aur jise chahe hidayat bakashta hai
33. Aur tere Rabb ke lashkaron ko khud uske siwa koi nahi janta
34. Aur iss dozak ka zikr kisi garz ke liye nahi kiya gaya ke logon ko isse nasiyat ho
35. Hargis nahi kasam us chand ki aur us raat ki jab ki woh palat thi hai
36. aur subah ki jab woh roshan hoti hai
37. Yeh dozak bhi badi cheezon mein se ek hai
38. Insaanon ke liye darawa aur tum mein se har us shaks ke liye darawa jo aage
badna chahe ya peeche rehna chahe
39. Har shaks apne kasab ke badle rehen hai,
40. Daaen baazon waalon ke siwa jo jannaton mein honge (Usool: uss din log teen
hisson mein taqseem honge – Saabikhun, Daaen (jaanati honge) aur baayein
(dozaki honge) ref...Surah Waaqia)

// Jannatiyon and Dozakiyon ke beech jo batein hui hai woh bataya gaya hai //

41. Siwa daaien baazon waalon ke jo jannaton mein honge woh mujreemo se
puchenge tumhein kya cheez dozak mein le aaye
42. To woh kahenge hum Namaz padne waalon mein se na the
43. Hum miskeeno ko khaana nahi khilate the
44. Hum Haq ke khilaf batein banane waalon ke saat batein banate the
45. Hum Roze jaza ko jhoota karar dete the (aakhirat ki tayyari nahi karte the),
yahan tak ke yakeeni cheez (maut) ka sabeka pesh aagaya
46. Uss waqt sifaarish karne waalon ki koi sifaarish kaam nahi aayegi
47. Aakhir inn logon ko kya hogaya hai ki iss nasiyat se muh modh rahe hai goya ke
woh junglee ghade hai jo sher se darr kar bhaag rahe hai
48. Balki inn mein se har ek yeh chahta hai ke uss ke naam khule khat bheje jaaye
49. Hargis nahi asal baat yeh hai ke aakhirat ka yeh khauf nahi rakhte (fikr-e-aakhirat)
50. Hargis nahi yeh to ek nasiyat hai, jiska jeeh chahe isse sabak hasil karle
51. aur yeh koi sabak hasil nahi karega jab tak Allah na chahe
52. Woh uska haqdaar hai ki usse taqwa (parezgaari/naarazgi se bachna) kiya jaaye
53. Woh uska ahel hai ki woh taqwa karne waalon ko bakashde
Points:

Dozak ke Ausaf:

1. Hum Namaaz padhne waalon mein se na the


2. Hum Miskeeno ko khaana nahi khilate the
3. Hum Haq ke khilaf batein banane waalon ke saat batein banate the
4. Hum Roze jaza ko jhoota karar dete the

8.3 Surah#73 – Al-Muzzammil (9 - 20 aayat)


Shaan-e-Nuzool: Is surah mein ahkamat bataya gaya
hai Zamaane Nuzool: 4th Nabawi

Quran Notes
|7
Transliteration:

9. Woh Mashriq aur Magreeb ka Malik hai Uske siwa koi khuda nahi lihaaza usi ko apna
wakeel banalo aur jo batein log banarahe hai usper sabr karo aur sharafat ke saat
unse alag hojao
10. Inn jhutlaane waale khushal logon se nipatne ka kaam tum mujhper choddo aur
unhe kuch daer isi haalat mein rehne do Humare paas inke liye bhaadi bhediyaan
hai aur bhadakti hui aag aur halaq mein phasne waala khaana aur unke liye dardnak
azaab hai
11. Yeh uss din hoga jab zameen aur pahad garaj uteinge aur pahadon ka haal aisa
hojayega jaise reth ke dhed hai jo bhekre jaarahein hai (yeh aakhirat ka manzar
hoga)
12. Tum logon ke pas humne usi tarah ek Rasool ko tum per gawah banakar bheja hai
jis tarah humne Firaun ke paas ek Rasool bheja tha Phir dekhlo jab Firaun ne uss
Rasool ki baat na maani to humne use badi sakti ke saat pakadliya (first badshah hai
jisne apni standing army banaye, aur dusre badshah iske paas aaker badshahi sikhte
the aur Allah ne use minton mein tabah kardia)
13. Agar tum maanne se inkaar karoge to uss din kaise bach jaaoge jo bacche ko budha
kardega aur jiski sakti se aasman phat jaaraha hoga Allah ka waada to pura hokar
rehna hai Yeh ek naseehat hai ab jiska jeeh chahe apne Rabb ki taraf jaane ka raasta
ikhtiyaar karle
// Yahan se tasalli shuru horahi hai //
14. Aye Nabi tumhara Rabb jaanta hai ke tum kabhi do tihai raat ke khareeb ya aadhi
raat ke khareeb aur kabhi ek tihai raat ko khade hote ho
15. Aur tumhara saatiyon mein se bhi ek ghiron amal kar raha hai (sahaba kar rahe the)
16. Allah hi raat aur din ke aukad ka hisab rakhta hai Use maaloom hai ke tumlog aukad
ka theek shumar nahi kar sakte lihaaza usne tumper meherbani farmayee aur jitna
Quran ba-asaani padh sakte ho padhliya karo.
17. Use maaloom hai ke tum mein se kuch mareez ho aur kuch log Allah ke fazal ke
talash mein ho, safar karte ho aur jung karte ho

// Ahkamaat //
18. Namaaz khaayam karo aur zakat do (apne maal aur nafs ko paak rakho)
19. Aur Allah ko Karz-e-Hasna dete raho (deen ke liye kharch karna) aur jo kuch
bhalayee tum apne liye aage bhejoge use Allah ke yahan maujood paaoge, wahi
zyaada behtar hai aur uska ajar bahut bada hai
20. Allah se maghfirat maangte raho Beshak Allah gafoor-ur-raheem hai
Ahkaam:
1. Namaaz ki pabandi se padha karo. (Akheemus Salah)
a) Masjid ki taamir kare aur Azaan ka etimaam kare
b) Ba-jamad namaaz adaa karo
c) Namaaz khush-u-kuzu se adaa karna
d) Namaaz ki dawat dena
2. Zakat diya karo (apne maal aur nafs ki paaki)
3. Allah ko Karz-e-Hasna dete raho (deen ke liye kharch karna)
4. Allah se Maghfirat mangte raho

Quran Notes
|8
Points:

1. Raat ko aasani se tahajud mein jitni Quran padh sakte ho padhliya karo
2. Namaaz ko kayam karo (Akheemus Salah)
i. Masjid banana aur azaan dena
ii. Ba-jamad namaaz padhna
iii. Namaaz mein Khush-u-khuzu rakhna
iv. Namaaz ki daawat dena
3. Zakat dete raho nafs aur dilon ko paak karne ke liye
4. Allah ko karz-e-hasna dete raho
5. Allah Ta’ala se humesha maghfirat maangte raho aur astagfar karte raho

9. Surah#68 – Al-Qalam (1-52 aayat)


Shaan-e-Nuzool:
Zamaan-e-Nuzool: 4th Nabawi

Structure:

a) Tamhid (Introduction): 1-16 aayat- Nabi ‫ ﷺ‬ko Nasiyat


b) Mauzoo (Subject): 17-43 aayat- Baagh waalon ki misaal ko pesh karker
Mushrikeen ko Nasiyat
c) Khatima (Conclusion): 44-52 aayat - Nabi ‫ ﷺ‬ko Nasiyat
Transliteration: (Noon se shuru horaha hai ise Urf-ul-Muqattat (29 surah hai jo isse shuru hoti
hai) kehte hai yani jo urf ko tod-tod ker padte hai yani iske maayne Allah ke siwa kisko nahi
pata). Aur jo Surah “Noon” se shuru hota hai usmein Yonus a.s. ka zikar aata hai aur jo “Ta” se
shuru hota hai usmein Moosa a.s. ka zikar aata hai.

//Start of Tamhid yahan shuru hoti hai//


1. Kasam hai Qalam ki aur us cheez ki jise likhne waale likhrahe hai (loh-e-mehfooz)
2. Tum apne Rabb ke fazal se majnoon nahi hai (Nabi ka character assassinate karrahe the)
3. Aur yaqeenan tumhare liye ek aisa ajar hai jiska silsila kabhi katam hone waala nahi hai
4. Aur Beshak tum Akhlaaq (Quran hai) ke buland martabe pe ho
5. Ankhareeb tumbhi dekhloge aur wo bhi dekhlenge ke tumlog mein se kaun junoon mein
mutte’la hai
6. Aur tumhara Rabb unlogon ko bhi khoob jaanta hai jo uski raah se bhatke hue hai
7. Aur wahi unko bhi acchi tarah jaanta hai jo rah-e-raaz per hai
8. Lihaaza tum inn jhutlaane waalon ki gawaahon mein hargis na aao
9. yeh to chahte hai ke kuch tum muzahnat (weak) karo to yeh bhi muzahnat kare
10. Hargis na dabo tum aise shaks se jo bahut qasmein khaane waala bewaqt aadmi hai, taane
deta hai, chugli khaata phirta hai, bhalai se rokta hai aur zulmo ziyaddati mein hadh se guzar
jaane waala hai, saqt ba amal jafaakar hai
11. Aur inn sab ayoub ke saat badyatan hai is bina ke wo bahut maal-o-aulaad rakhta hai jab
humare aayat usko sunaayi jaati hai to yeh kehta hai ke yeh waktun ke afsaane hai
12. Ankhareeb uski soont (naak) per hum daag lagaayenge
//End of Tamhid yahan khatam hoti hai//

//Start of Mauzoo yahan shuru hoti hai//


13. Hum ahle Makkah ko usi tarah aazmaaish mein daala hai jaise ek baaghwaalon ko
aazmaaish mein daala hai
14. Jab unhone qasam khai, subah savere zaroor apne baagh ke fal todenge aur wo koi

Quran Notes
|9
takkalluf nahi karrahe the
15. Raat ko wo soye pade the ki tumhare Rabb ki taraf se ek balaa us baagh per gir gayee
16. Aur uska aisa haal hogaya jaise ek kati hui fasal ho
17. Subah unlogon ne ek dusre ko pukara agar fal todne ho to savere apne kheti ke taraf nikal chalo
18. Chunanche wo chal pade aur apas mein chupke-chupke kehte jaate the ke aaj koi
miskeeno tumhare baagh ke paas na aane paye
19. Wo kuch na dene ka faisla kiye hue subah savere jaldi-jaldi iss tarah wahan gaye jaise ki fal
todne per khaadir the
20. Magar jab baagh ko dekha to kehne lage ke hum raasta bhul gaye
21. Nahi balki hum mehroom rehgaye
22. Maine tumse kaha na tha ki Allah ki tasbeeh kyun nahi karte
23. Wo pukaar uthe paak hai humara Rabb wakai mein hum hi gunehgaar hai
24. Ke Unmein se har ek dusre per malaamat karne laga
25. Aakhir ko unhone kaha affsos humare haal per Beshak hum sarkash hogaye
26. Baeed nahi ki humara Rabb iske badle mein isse behtar baagh ataa farmaaye
27. Hum apne Rabb ki taraf ruju karte hai
28. Aisa hota hai azaab aur aakhirat ka azaab bhi isse bada hai
29. Kaash yeh log use jaante
30. Yaqinan khuda tak logon ki naymath bhari jannatein hai
31. Kya hum farma bardaron ka haal mujhrimon sa karde
32. Tum logon ko kya hogaya hai
33. Tum kaise hukum lagate ho
34. Kya tumhare paas koi kitaab hai jismein tum yeh padhte ho
35. Tumhare liye zaroor wahi kuch hai jo tum apne liye pasand karte ho
36. Ya phir tumhare liye roze qayamat tak hum per kuch ahad-o-paiman saabit hai ke tumhein
wahi kuch milega jiska tum hukum lagao
37. Inse pucho tum mein se kaun iska zaamin hai
38. Ya phir unke tehraave shareek hai jinohne iska zimma liya ho
39. Yeh baat hai to laa in shareekon ko agar wo sacche hai
//End of Mauzoo //

//Start of Khatima //
40. Jis roz sakt waqt AA padega Aur us roz logon KO Sajda karne ke liye bulaya jaayega to kuch
log Sajda Na kar sakenge. Unki nigahein neechi jhuki hogi Zillat unper chaah rahi hogi
41. Yeh jab sahi-o-saalim the us waqt unhe sajde ke liye bulaya jaata to yeh inkaar kiya karte the
42. Bas aye Nabi tum is kalaam ko jhutlaane waalon ka maamla mujhper chordo
43. Hum aise tariqe se unko bataddri tabahi ke taraf lejayenge ke unko khabar hi na hogi
44. Main unki ki rassi darar karaha hoon aur meri chaal badi zabardast hai
45. Kya tum unse koi ajar talab karrahe ho ki wo chatti ke bhoj tale dabe jaa rahe hai
46. Kya inke paas gair ka ilm hai jo likh rahe hai
47. Accha apne Rabb ka faisla saadiq hone tak sabr karo
48. Aur machli waale Yonus ki tarah na hojao
49. Jab usne pukaara tha to wo gham se bharava tha
50. Agar uske Rabb ki maherbaani uske shaamil-e-haal hojati to wo mazmoon hoker chatiyal
maidan per phek diya jaata
51. Aakhir kar uske Rabb ne use badboozida farmad liya aur apne saare bando mein shaamil kardiya
52. Jab yeh kaafi log yeh kalaam-e-nasiyat Quran sunte hai to tumein aisi nazaron se dekhte hai
ke goya tumhare khadam ukhaad denge aur kehte hai ke zaroor deewana hai hala ke yeh
saare jahan waalon ke liye ek nasiyat hai
//End of Khatima //

Quran Notes
| 10
Points:

1. Beshak Aap Nabi ‫ ﷺ‬akhlaaq (Quran) ke buland martabe pe hai


2. Jo log miskeeno ko nazar andaz karte hai Allah (swt) unko nazar-andaz kardeta
hai (Baghwaalon ke qisse se nasiyat)
3. Jis roz saqt waqt aa padega aur logon ko sajde ke liye bulaya jaayega log sajda
karna chahenge bhi to nahi kar sakenge (kyon ki jab wo sahi-o-saalim the sajde
ke liye inkaar kiya karte the)
4. Bas apne Rabb ka faisla aane tak sabr karo aur machli waale H.Yonus a.s. ki tarah
na hojaao

10. Surah#87 – Al-A’la (1-19 aayat)


Shaan-e-Nuzool: Need to find which one of these topic (Makki daur ke Mazameen)
relates in this Surah. Falaa kaun log paaienge
Zamaan-e-Nuzool: 4th Nabawi
Structure:
a) Tamhid (Introduction): 1-5 aayat- Duniya aur Insaan ke Urooj aur Zawal ki
taraf Ishaara (rise and fall)
b) Mauzoo (Subject): 6-13 aayat- Nabi ‫ ﷺ‬ko Nasiyat ke kaun log aapki dawat ko
kubool karenge aur kaun kubool nahi karenge
c) Khatima (Conclusion): 14-19 aayat – Falaa kaun log paaienge
Nabi ‫ ﷺ‬ke dawat ke Mazameen/ Makki daur ke Mazameen
1. Tawheed (Ek Allah ki ibaadat)
2. Aakhirat pe yakeen/ Aakhirat per Emaan
3. Taskiya-e-Nafs (nafs ko paak karna)
4. Muamolat ki Taleem (Allah ki makhlook ke saat unke Hukook pure karna)
5. Nabi ‫ ﷺ‬ki eta’at

Transliteration: Yeh Surah Nabi har jumme, Eidon mein aur witr ki namaaz mein padha karte
the. Allah ki tasbeeh se shuru horaha hai aur jo surah Allah ki tasbeeh se shuru hota hai use
Musabbihaat (Urf-ul-Mukhattat = 29 Surah hai aur Musabbihaat = 7 surah hai). Makki daur
mein Musabbihaat sirf do surah hai (Surah Aala aur Surah Isra)

//Start of Tamhid//

1. Aye Nabi ‫ ﷺ‬apne Rabb-e-bartar ke naam ki tasbeeh (kisi bhi shai ko uske level
mein barkarar rakhna neeche girne na dena) karo
2. Jisne tumko paida kiya aur tanasob (balance) qayam kiya Hidayath do hoti hai:
3. Jisne har ek ki taqdeer (limit/range) banayi phir raah dikhaaye 1. Hidayat shariya- Jo
aur Hidayath bakshi sharayat ke hisab se
4. Jisne nabadat ugaaye phir unko siya (kala) kura kar ker bana diya kaha hai.
5. Aur yaad rakho ek din tumhe humare paas hi aana hai 2. Hidayat konia- general
hidayat jo Allah ne sab
//End of Tamhid//
ko dediya
//Start of Mauzoo//

6. Hum tumhe padhwa denge phir tum use nahi bhuloge siwa uske jo Allah chahe
7. Wo zaher ko bhi jaanta hai aur usko jo chupa hai

Quran Notes
| 11
8. Aur hum tumhe aasan tareeqe ki sahulat dete hai lehaza tum nasiyat karo
agar tum nasiyat nafe ho jo shaks darta ho wahi nasiyat kubul karega
9. Jo usse guresh karega wo intehayi badbakt jo badi aag mein jaayega aur
phir na usmein jalega na marega
//End of Mauzoo//

//Start of Khatima//

10. Fala (aisi kamiyabi jiske baad koi na-kamiyabi) paagaya wo jisne paakisgi ikhtiyaar ki
11. Fala paagaya wo jisne apne Rabb ke naam ka zikr kiya
12. Aur Jisne namaaz padi
13. Magar tumlog kya karte ho duniya ki zindagi ko targi dete ho
14. Hala ke aakhirat behtar hai aur baakhi rehni waali hai
15. Aur hum yeh tumhe nayee baat nahi bataa rahe hai
16. Yeh pehle se chali aa rahi hai H.Moosa a.s. aur H.Ibrahim a.s ke waqt se
//End of Khatima//
Sajde ki Jo dua hai WO is Surat Ala’a
Points: se aaye hai
Fala kiske liye hai/ kaun log paaienge (Kaamiyab kaun hai Allah ki Nazar mein)
1. Jisne paakisgi ikhtiyaar ki (nafs ki paakisgi)
2. Jisne apne Rabb ka naam yaad kiya
3. Jisne Namaaz padi

11. Surah#92 – Al-Lail (1-21 aayat)

Shaan-e-Nuzool: Kin log ko aasan raaste ki sahulat deta hai aur kin log mushkil raaste
ki sahulat deta hai
Zamaan-e-Nuzool: 4th Nabawi

Structure:
a) Tamhid (Introduction): 1-4 aayat – Allah ne Muqtalif qasam khaker insaan
ki koshish ki taraf Ishaara kiya (rise and fall)
b) Mauzoo (Subject): 5-11 aayat- Insaan ke aamal aur iske duniyawi nataeej
c) Khatima (Conclusion): 12-21 aayat – Insaan ki koshishon ka Aakhirat
mein anjam
Transliteration:

1. Kasam hai us raat ki jab wo chaah jaaye


2. Aur din ki jab wo roshan ho jaaye
3. Aur us zaat ki kasam jisne narr aur maada ko paida kiya
4. Tum logon ki khoshishein (sahee) muktalif qisam ki hai
5. To jisne raah-e-khuda mein maal diya aur jisne taqwa ikhtiyaar kiya (khuda ki na-
farmani se parez kiya) aur jisne bhalai ko sach maana
Jhutlaana do cheezon se
6. Inko aasan raste ki sahulat dega (zindagi mein sukoon hoga) hota hai:
7. Aur jisne bukhul kiya aur apne khuda se beniyasi barti aur 1. Zaban se
bhalai KO jhutlaya 2. Amal se
8. Hum unko mushkil raaste ki sahulat denge

Quran Notes
| 12
9. Aur uska maal uske kuch kaam na aayega jab ke wo halaq hojayega
10. Beshak raasta batana humare zimma hai aur darr haqeeqat aakhirat aur duniya ke
dono ke hum hi maalik hai
11. Bas maine tumko khabar daar kardiya us bhadakti aag se usmein jalega intehahi
badbakt jisne jhutlaya aur muh phera
12. Aur use dur rakha jaayega unhe wo nehayti parezghar aur jo paakeezga hone ke
khatir apna maal deta hai
13. Usper kisi ka koi ehsan na tha jiska badla use dena hai
14. Wo to sirf apne Rabb-e-barter ki raza joi ke liye yeh kaam karta hai aur wo zaroor
usse khush hoga

Aasan raasta aur Mushkil Raasta ki Sahulat:


Aasan Raasta Mushkil Raasta
1. Jisne Raah-e-khuda mein maal diya 1. Jisne bukhul kiya
2. Jisne Allah ka Taqwa ikhtiyaar kiya 2. Jisne apne khuda se beniyasi barti
3. Jisne bhalai ke kaam ko sach mana 3. Jisne bhalai ko jhutlaya

12. Surah#89 – Al-Fajr (1-30 aayat)


Structure:
a) Tamhid (Introduction): 1-5 aayat – Afaaq (Kainat) ki baaz nishaani ki taraf ishaara
b) Mauzoo (Subject): 6-20 aayat- Tareek ki baaz azeem khaumo ka hawala
dekar insaan ki duniyawi aazmaaish ki wajah bataayee gayee
c) Khatima (Conclusion): 21-30 aayat – Qayamat ke din logon ki saza aur jaza ka zikr
Transliteration:

//Start of Tamhid//
1. Qasam hai fajr ki aur 10 raaton ki
2. Aur qasam hai shaft (even) ki aur witr (odd) ki
3. Aur Raat ki jab ke wo ruksat hoti hai
4. Kya in qasamon mein saheb-o-akhal ke liye koi qasam hai
5. Tumne dekha nahi tumhare Rabb ne kya bartaav kiya
6. Oonche sutoone waale Aadh (Udh a.s) aur Iram ke saat jinke maning koi Khaum
duniya ke mulkon mein paida nahi ki
7. Aur Samoh (Saleh a.s) ke saat jinohne waadi mein chattane tarashi hai
8. Aur maikhe waale Firaun (Moosa a.s) ke saat yeh wo log hai jinohne duniya ke
mulkon mein kahi sarkashi ki thi aur Unmein bahut fasad failaya tha
9. Aakhir kar tumhare Rabb ne un per azab ka koda barsadiya
10. Haqeeqat yeh hai ke tumhara Rabb ghat lagaye hue hai
//End of Tamhid//

//Start of Mauzoo//
11. Magar insaan ka haal yeh hai ki uska Rabb use aazmaaish mein dalta hai aur use
izzat aur naymat deta hai to wo kehta hai ki mere Rabb ne mujhe Izzatdaar
banadiya
12. Aur jab wo aazmaaish mein dalta hai aur uska risq usper tang kardeta hai to kehta
hai ki mere Rabb ne mujhe zaleel kardiya
13. Hargees nahi , hargees nahi balke tum yateem ke Saat izzat ka sulook nahi karte

Quran Notes
| 13
14. Aur miskeen ko khaana kilaane ko ek dusre ko Targee Nahi dete
15. Aur miraas (Virasat ka maal) ka saara maal
sametker Khaajaate ho
16. Aur maal ki mohabbat mein buri tarah giraftar ho

Aazmaaish ke chaar darje hai:

1. Diye to badi aazmaaish hai aur agar chinli


to choti aazmaaish hai (e.g. Imam Ahmad
Ibn Hambal aur Khabbab bin Art)
2. Accept karta hai diye to aazmaaish hai agar
chinli jaaye to bhi accept karta hai ki
aazmaaish hai (mutmaeen hai)
3. Diye to izzat daar ya chinli jaaye to zaleel
kiya use maanna
4. Aakhri darja shirk mein aata. Kuch accha
ho ya kuch bura use kisi ki nisbat kardena

//End of Mauzoo//

//Start of Khatima//
17. Hargees nahi jab zameen pe dar per koot-koot ker rethzaar banadi jaayegi
18. Aur tumhara Rabb jalwa farma hoga is haal mein ke farishte sab dar sab khade honge
19. Aur jahannum is roz saamne le aajayegi us din insaan ko samaj aayega ke us
waqt uske samajne ka kya hasil
20. Wo kahega kaash maine apni zindagi ke liye peshgi ka kuch saaman kiya hota
21. Phir us din Allah jo azaab dega waisa koi azaab dene waala koi nahi
22. Aur Allah jaise bandhega waisa bandne wala koi nahi
23. Dusri taraf irshad hoga aye nafs-e-mutmainnah chal apne Rabb ki taraf is haal
mein ke tu apne anjam-e-naik se khush aur apne Rabb ke nazdeek pasandita hai
24. Shaamil hoja mere naik bando mein // yeh aayat padi jaati hai jab naik bando ki
rooh otayi jaati hai //
25. Aur daakil hoja meri jannaton mein

Points:
Allah kin logon ko duniya mein aazmaaish mein dalega: (aayat no:17 -20)

1. Jo log yateem ke saat izzat ka sulook nahi karte the.


2. Jo miskeen ko khaana khilaane per ek dusre ko nahi uksaate (encourage) the
3. Jo miraas ka saara maal samet kar khajate the.
4. Jo maal ki mohabbat mein buri tarah giraftar hai

Types of Nafs:
Nafs ke Aksaam- Nafs 3 Qism ke hai:
1. Nafs-e-Mutmainnah (Surah Fajr) – wo nafs hai jo sahi raah chalne per aur buri raah
chordne per mutmaeen hota hai
2. Nafs-e-Lawwamah (Surah Qiyamah)- wo nafs hai jab galat kaam karne per ya galat
sochne per ya buri niyat rakhne per yani burai per malaamat karta hai (zameer
gawahra nahi karta)

Quran Notes
| 14
3. Nafs-e-Ammarah (Surah Yousuf) - WO nafs hai Jo insaan KO humesha buraiyon ki
taraf uksaata hai.

13. Surah#81 – Al-Takwir (1-29 aayat) –Aakhirat pe Yakeen

Iss Surah mein Qayamat ke manazir apne aankhon se dekhna chahta hai to yeh surah
mein bataaya gaya hai.

Structure:
a) Tamhid (Introduction): 1-6 aayat – Qiyamat ke pehle marhale ka zikr kiya gaya
b) Mauzoo (Subject): 7-14 aayat- Jannat aur Dozak aur Hisab ke marhale ka zikr
c) Khatima (Conclusion): 15-29 aayat – Nabi ‫ ﷺ‬ki risaalat (authentication)
ki tasdeeq/sadaqat

Transliteration:

1. Jab suraj lapat diya jaayega Yeh teen surah mein Qiyamat
2. Aur jab sitaare bikhair diye jaayenge kaisi hogi bataaya Gaya hai:
3. Aur jab pahad chalaye jaayenge 1. Surah Takweer
4. Aur Dus mah ki hamila ootni apne haal per chordi jaayegi 2. Surah Inshiqaq
5. Aur jab junglee janwar samet kar ikhatta kardiya jaayenge 3. Surah Infitar
6. Aur jab samundar bhadka diye jaayenge
7. Aur jab jaane jismon se jodh diye jaayenge
8. Aur jab zinda gaadi hui ladki se pucha jaayege ke wo kis kasoor mein maari gayi
9. Jab naam-e-amal kholdiye jaayega
10. aur jab aasman ka parda hata diya jaayega
11. Aur jab jahannum dehkha di jaayegi
12. aur Jannat khareeb laa di jaayegi
13. Us waqt har shaks ko pata ho jaayega ke wo kya lekar aayega
14. Bas nahi mein Qasam khaata hoon palatne waale aur chup jaane waale taaron ki
15. Aur raat ki jab ki wo ruksat hui
16. Aur Subah ki jab ki usne saas liya
17. Ye fir waaqhe buzurg paigambar ka khaul hai (Jibrael a.s)
18. aur wo badi tawanai rakhta hai
19. Aur Arsh waale (Allah) ke yahan buland martaba hai
20. Wahan uska hukum mana jaata hai (farishton ke sardaar hai)
21. Aur wo ba-itemad (un per yakeen) hai
22. Aur Ale-Makkah tumhara rafiq majnoon nahi hai
23. Usne us paigambar ko roshan rufaq per dekha (Ref: Surah Mudassir) hai
24. Aur wo gaib ke is ilm ko logon tak pahunchane ke maamle mein bakhil nahi hai
25. Aur yeh kisi Shaitan-e-mardood ka khaul nahi
26. Phir yeh tum log kidar chale jaa rahe ho “Fa aina tazaboon”
27. Yeh to saare jahan waalon ke liye nasiyat hai
28. Tum mein se har us shaks ke liye jo raah-e-raaz per chalna chahta hai

Dua#3 (Asking for Taqwaa and to purify Nafs)


Allahumma Aati Nafsee Taqwaaha, WA Zakkihaa Anta Khairu Man Zakkaha,
Anta Waliyuhaa WA Maulaaha

Quran Notes
| 15
14. Surah#100 – Al-Adiyat (1-11 aayat)
Concept: Is Surah mein Shukr aur Na-Shukri ki baat ho rahi hai.

Shukar ke teen cheezein hoti hai:

1. Zaban se iqrar hona hai


2. Jo Allah ne naymat di uska sahi istemal hona chahiye
3. Jo Allah ne naymat di uska dusre ko bhi fayda pahunchana
Structure:
a) Tamhid (Introduction): 1-5 aayat – Ghode ke manazir aur unki qasam
i. Ghode ki kasam bataaya jaa raha hai jahan ghode ya to tijaar ke liye ya phir
loot maar ke liye istemal hua karte the jo kisi bhi majmein me jaa ghuste the
aur haqeeqat yeh hai ke insaan apne Rabb ka bada na-shukra hai (Inna al-
insana lirabbihi lakanood)

b) Mauzoo (Subject): 6-8 aayat- Insaan ki kamzori ki taraf ishaara


i. Aye insaan tumhein kya-kya naymathein bakshi magar tum mera eta’ad nahi
karte. Jab ek janwar aisa karta hai to tum aisa kyun nahi karte. Aur insaan
khud iss baat ka gawah hai. Asal wajah yeh hai ke insaan maal ki mohabbat
mein mubtalah hai.

c) Khatima (Conclusion): 9-11 aayat – Khabar ke ehwaal (haalat) bataaye gaye


i. Jo kuch khabar mein dafan hai aur Jo kuch seeno mein dafan hai WO
aakhirat ke din nikaalega. Yakeenan unka Rabb us roz unse khub ba-
khabar hoga.

Dua#4 (To Thank Allah)


(Every Fajr Namaz after Dua Masura or after Salaam)
“Allahumma a’inni ala dhikrika wa shurkrika wa husni ibadatika”

15. Surah#84 – Al-Inshiqaq (1-25 aayat)


Is Surah mein Qayamat ka manzar bataya jaa raha hai.
Case: Yeh humari pehli zindagi nahi isse pehle bhi ek zindagi thi Alam-e-Arwa mein. Jahan
sawal kiya tha ke tumhara Rabb kaun hai aur saari Arwa pukar uthi ke Beshak Allah tum
ho aur hum uski gawahi dete hai (Al-astu bi Rabbikum jawab aaya Khaalu bala
shahidna).
Iske baad ek maut dedi gayee aur phir dusri zindagi dedi gayee jahan amal karke
batana tha isiliye Allah se mulakat honi thi.

Structure:
a) Tamhid (Introduction): 1-5 aayat – Aasman aur Zameen Allah Taala ki eta’at
mein hai, jab bhi inko hukum diya jaayega bagair koi dair kiye amal kardenge.
i. Aye Insaan jo tere neeche hai aur jo tere uper hai wo Allah ki eta’at
mein hai aur yeh tujhe kya hogaya hai tu kyun Allah ki eta’at nahi kar

Quran Notes
| 16
raha hai.
ii. Aye insaan tu kasha-kasha apne Rabb ki taraf keecha chala jaaraha hai aur
usse mulaqat hone waali hai (Fa Aina Tazaboon).

b) Mauzoo (Subject): 6-15 aayat- Insaan har lamha apne anjam ke khareeb ho raha hai.
i. Jo insaan ke naam-e-amal seede haat dediye jaayenge usse aasan
hisab liya jaayega.
ii. Raha wo shaks jiske naam-e-amal peet peeche diye jaayenge wo apne
maut ko pukarega aur aag mein daaldiya jaayega kyun ki wo apne ghar
waalon me magan tha (Jahannum mein jaane waale ausaf)

c) Khatima (Conclusion): 16-25 aayat – Quran ko maanne aur na-maanne waalon


ka anjam bataaya gaya
i. Wo samajta tha ke use kabhi palatna nahi hai (aakhirat ke koi fikr hi nahi
thi) (Jahannum mein jaane waale ausaf)
ii. Jab inke saamne Quran padi jaarahi hai to sajda nahi karte
iii. Jo emaan laaye unke liye kabhi khatam na hone waala ajar hai

Dua#5 (Easy Reckoning/Hisab)


“Allahumma Haasibnii Hisaaban Yasiiraa”

Points: Qayamat ke din kiske Naam-e-Aamal peet peeche se diye jaayenge

1. Jo apne gharwaalon mein magan rehte hai


2. Jo samajte hai ke unhe kabhi palatna nahi hai (fikr-e-aakhirat nahi hai)

16. Surah#76 – Ad-Dahr/Insaan (1-31 aayat)


Is surah mein jannat mein jaane waalon ke ausaf bataya Gaya hai (aapke
khoshishein bataye Gaye hai amal ke hawale se)
Aap Nabi ‫ ﷺ‬har jumah ki fajar ki namaz mein: pehli rakat mein Ha-meem Sajdah aur
dusri rakat mein Surah Ad-Dahar pada karte the
Structure:
a) Tamhid (Introduction): 1-6 aayat – Insaan ko Allah ne jo salahiyat di hai wo
uski aazmaizh ke liye di hai
i.Insaan per ek waqt aisa bhi guzra hai jab uska kabil-e-zikr na tha
ii.Allah ne tumko wajood baksha taki uska imtihan le jiske liye use Aankh
aur Kaan diye
iii. Aur use Raaste dikha diye (sahi aur galat raasta)
iv. Do qism ke log hote hai jo shukr karte hai aur jo kufr karte hai (Tarbiyat: deen
ke maamle mein apne se uper waalon ko dekho jise sabaqat ho aur duniya
mein apne se neeche waalon ko dekho jise jazbe shukr paida ho)
b) Mauzoo (Subject): 7-22 aayat – Jannat ke Mustahiq kaun log honge
i. Kufr karne waalo ke liye bhadakti aag, zanjeer aur tauk rakhi hai jab ke wahan
se bhaagne ka koi mauka hi nahi hai kyun ke jab duniya mein unhe freedom
of choice diya tha take wo Allah ko raazi karsakta tha isiliye use baar-baar

Quran Notes
| 17
wahan ehsaas dilaya jaaraha hai.
ii. Naik log ke liye jannat mein sharab ki nadiya hogi aur jahan se chahe wahan
se shaak nikalenge
iii. Musalman ke liye duniya ek khaid khaana hai aur kaafiron ke liye jannat hai
aur aakhirat mein unka koi hissa nahi hai
iv. Yeh wo log hai jo duniya mein apni nazar puri karte hai (Allah ka ahad ko
pura karte hai jo Alam-e-Arwa mein kaha hai)
v. Aur us din se darte hai jiski aafat har taraf pehli hogi (apne
gharwaalon se bhagenge aakhirat ke din jab uthaaya jaayega)
vi. Aur Allah ki mohabbat mein Miskeen, Yateem aur Qaidi ko khaana khilate
hai aur kehte hai ke hum tumhe sirf Allah ke khatir khilate hai jiske badle
inhe kuch nahi chahiye
vii. Allah tumhari jaza aur kaar-guzaari pe jannat ata farmayega
c) Khatima (Conclusion): 23-31 aayat – Nabi ‫ ﷺ‬ko nasiyat aur ahkamat
i. Aye Nabi humne hi tum per ye Quran thoda-thoda kar ke nazil kiya hai lehaza
tum sabr karo aur in mein se kisi badamal ki baat na maano aur apne Rabb
ka naam subah aur shaam yaad karo
(Waaqia: Haz.Raabia jo Nabi ke ghar raat bitate the, to unhe Nabi ke ghar se
kasrat se yeh tasbeeh ki awaaz aati thi –
“Subhana rabbil alamin subhanallahil alim”)
ii. Allah yahan insaan ki khilkat ki baat karaha hai phir nasiyat de rahe hai ke
yeh hai maksade zindagi ab tumhara ji chahe palat jaao warna tumhare
chehre hi badal denge
iii. Aur tumhare chahne se kuch nahi hota jab tak Allah na chahe
iv. Aur zaalimo ke liye dardnak azaab rakha hai

Points: Jannat mein jaane waalon ke Ausaf


1. Allah se kiye hue Ahad ko pura karte hai
2. Jo aakhirat ke din ki jawab dehi se darte hai (aayat-7)
3. Jo sirf Allah ke mohabbat mein miskeen, yateem aur Qaidi ko khaana khilate hai
(aayat-8)
4. Jo kehte hai ke hum tumhe sirf or sirf Allah ki khatir khila rahe hai, hum tumse na
badla chahte hai na shukriya (aayat-9)
Points: Nasiyat /Ahkamat
1. Aap SAW per yeh Quran thodi-thoda karke nazil kiya jaaraha hai lihaza aap apne
Rabb ke hukum per Sabr kariye
2. Kisi badamal ya munkareen-e-haq ki baat na maaniye
3. Apne Rabb ka naam subah aur shaam yaad kariye, Raat mein uske huzoor sajda
raiz rahiye aur raat ke tahweel aukaat mein uski tasbeeh karte rahiye
4. Yeh log to jaldi hasil hone waali cheez (duniya) se mohabbat rakhte hai aur aage
jo bhaari din aane waala hai use nazar andaz kardete hai
5. Yeh Quran ek nasiyat hai ab jiska jee chahe apne Rabb ki taraf jaane ka raasta
ikhtiyaar kare aur tumhare chahne se kuch nahi hota jab tak Allah na chahe

Quran Notes
| 18
17. Surah#99 – Al-Zilzal (1-8 aayat) - Fikr-e-aakhirat

Waaqia: Ek zaheef sahabi Nabi ke paas aaker unse puchte hai ke Quran mein se aisa kya
padho jo unke liye kifayat kar jaaye kyun ki unki umar ho chuki thi to Nabi ne unhe yeh
padne ke liye kaha:
a) Ha Meem Ra se jo surah shuru horahe hai wo pade
b) Ha Meem se jo surah shuru horahe hai wo pade
c) Musabbihat (Allah ki tasbeeh se shuru hote hai)
d) Surah Zilzal pade jisse fikr-e-aakhirat paida hojaaye

Structure:
a) Tamhid (Introduction): 1-4 aayat – Qayamat ke aamat ke ehwaal
b) Mauzoo & Khatima: 5-8 aayat – Har insaan ko uske aamal dikhaaye jaayenge
aur uske mutabik unka faisla hoga

18. Surah#83 – Al-Mutaffifin /Tatfeef (1-36 aayat)

Is surah mein bataya jaaraha hai ke jise aakhirat ke fikr nahi hoti hai uske aamal
kharab hojati hai aur jise aakhirat ki fikr hoti hai uske aamal durust hojati hai aur
uski sonch bhi choti hojati hai
Structure:

a) Tamhid (Introduction): 1-6 aayat – Allah Taala ne dandi marne waalon ka (naap-
tol mein ghadbad karewaalon ka) aakhirat mein tabahi ka zikr kiya
i. Buraai ki taraf ishaara kiya jaraha hai (Wael ke maane tabahi, barbaadi aur
halakat hai. Iska aur ek maane hai yeh jahannum mein se ek ghaati ka
naam bhi hai jo khud jahannum use panah maangti hai.
ii. Kya yeh log nahi samajte ke aakhirat mein unhe uthaaker laaye jaane waale hai
iii. Badkaaron ke naam-e-amal khaid khaane ke daftar mein honge (Sijjeen:
wo kitab hai jo Badkaaron ke naam-e-amal likhe jaate hai) jo aakhirat ko
jhutlaate the
b) Mauzoo (Subject): 7-28 aayat – Allah Taala ne jahannum mein jaane waalon ki
saza aur emaan waalon ki jaza ka zikr kiya
i. Sijjeen mein in logon ke quality yeh
hai: 1.Jo hadh se guzar jaata hai
2. Jo badamal hai
3. Jab use humari aayat sunayee jaati hai to kehte hai ke yeh agle
waqton ki kahaniyan hai darasal unke dilon per zang per gaye hai
(Nabi ne kaha ke Zang ko saaf karna yani Allah ko kasrat se yaad
karna aur kasrat Namaz pado)
ii. Aur inhe apne Rabb ke deedar se mehroom rakha jaayega
iii. Aur Beshak naik log ke amaal illiyeen mein rakhe honge jo unchi masnaton
per baithe honge aur unke chehron per khushhaali ki raunak hogi
iv. Unko nafeez tareen turban sharab pilayee jaayegi jis per musk ki mohar lagi
hogi (yahi se Raheek-ul-Maktoum ka naam liya gaya hai)
v. Allah ne insaan ko ek direction de raha hai ke jannaton ko hasil karne
mein ek dusron se compete kare

Quran Notes
| 19
c) Khatima (Conclusion): 29-36 aayat – Kaafir jo duniya mein emaan lane waalon
ka Mazak udaate the aakhirat mein inki saza ka zikr
i. Jab inke paas (mushrikeen) se guzar te the to aankh mara karte the aur jab
apne gharwaalon mein palat the to magan rehte the
ii. Aur kehte the ke yeh behke hue log hai

Points:
1. Muamolat ki Taleem – Hukook-ul-Ibaad (Bande)
2. Aakhirat ko jhutlaane waale amaal/sifat
a. Jo shaks hadh se guzar jaane waala hai
b. Jo shaks badaamili karta hai
c. Jab isper humari aayatein tilawat ki jaati hai to kehta hai ye to pehle logon ki
kahaniyan hai
3. Jannati log wo honge jo duniya mein acche amaal mein logon se aage badna chahte hai
4. Marne ke baad naam-e-amaal ka daftar do tarah ka hoga
a. Sijjeen: Badkaaron ka naam-e-amaal ka daftar (zameen ke neeche se neeche rakhi
jaati hai)
b. Illiyeen: Naik logon ka Naam-e-amaal ka daftar (Saaton aasman ke uper rakhi
jaati hai)

19. Surah#108 – Al-Kauther (1-3 aayat)


Nabi ke bete Qasim ke jaane ke baat ek laute ek bete jo rehgaye the wo Haz. Abdullah
the aur jab Haz. Abdullah ke rooh khabz karli gaye tab Abu Lahab ne khushiyan manate
hue pure Makkah mein Kehne laga ke Mohammed Abtar hogaye hai. Isi maayosi ke
dauran Allah ne yeh surah nazil kiya.
Points

1.Aye Nabi humne aapko Kauther (ek well hai jahan Allah ke
Rasool
Paani pilaayenge) aata kardiya hai
2.Namaz pado aur Qurbani do
Quran mein choti surah 3 hai
3.Aapke dushman ko Allah jadkata kardega
 Surah Al-Kauther
 Surah Al-Asr
 Surah Al-Nasr

Quran mein Nabi ke liye


` khaas dedicated surah 4 hai:

 Surah Adh-Dhua
 Surah Al-Nashra
 Surah Al-Kauther
 Surah Al-Nasr

Quran Notes
| 20
Important Points

(5th NABAWI)

37. Surah#90 Al-Balad (1 -20)


Structure
a) Tamhid (1 – 7): Sar zameen-e-Haram aur Nabi-e- Ismail a.s. ki ibtedahi taariq aur
Allah ka Fazal-e-Ahsaan bataaya gaya.
b) Mauzo/Khatima (8 – 20): Munkareen-e-Haq ko daawat.
1. Yeh surah Balad-e-Makkah ki qasam se shuru hota hai. Jahan kaha gaya hai ke “Aye
Nabi (SAW) yeh shaher ne aapko halaal kardiya hai kyun ke yahan mushrikeen-e-Makkah
unhe sataaya jaaraha tha, unke qatl ki sazish ki jaarahi thi aur unper zulm kiye jaarahe
the. Yahan Allah (SWT) ke Fazal aur Ahsanat bhi bataaya gaya.
2. Yahan Aqhlaaq-e-Urooj ko Dushwarghaz ghaati se compare kiya gaya hai. Phir insaan
ne dushwargaz ghaati per chalna pasand nahi kiya.
Kya hai Dushwargaz ghaati kya hai:

a) Kisi gardan ko gulaami se azaad karaana


b) Faaqeh ke din kisi qareebi yateem aur miskeen ko khaana khilaane
c) Aadmi unlog mein shaamil hojaaye jo emaan laaye aur ek dusre ko sabr aur
khal-ke- Khuda par rahem ki talqeen karein
Inn dono baton ka connection yeh hai ke farishtein sirf inhi ke paas kyu aarahe hai aur
Makkah ke naami aur daulatmand (Eg. Waleed bin Mughera) ke paas kyun nahi aarahe
hai, agar koi Allah ke nazdeeq hota hai to sirf maal aur daulat se nahi balki amal se hota
hai, yeh to sirf ek aazmaaish hai jisse pata lagta hai ke kaun Aqhlaaq-e-Urooj aur Aqhlaaq-
e-pasti ki taraf jaata hai yeh bataaya gaya hai.

38. Surah#86 At-Tariq (1 – 17)


Structure
a) Tamhid (1 - 7): Insaan ko apne khilqat par ghaur karne ka hukum diya gaya.
b) Mauzo (8 – 14): Qiyamat ke din insaan na khud ki madad kar sakega na dusron ki.

Quran Notes
| 21
c) Khatima (15 – 17): Nabi (SAW) ko tasalli aur yeh hukum diya gaya ke kaafiron ko unke
haal par chordein.
Yeh surah pura aakhirat ke baarein mein hai. Is ke bhi wahi mauzo hai jo Surah Qaaf mein
hai. Yeh surah mein insaan ki khilqat ke baarein mein zikr kiya gaya hai. Jahan bataya gaya
hai ke insaan ke upper do nigehbaan maujood hai isse yeh pata chalta hai ke insaan ko duniya
mein ba-maksad (Allah ki ibaadat ke liye) bheja gaya hai na ke kisi khel-tamashe ke liye.

Points:
1. Akhirat ke din na insaan apni khud ki madad karega na kisi aur ki madad karega.

39. Surah#72 Al-Jinn (1 -28)


Structure
a) Tamhid (1 – 15): Yeh bataaya gaya ke Jinno ke ek giron ne Quran sunkar kya asar liya
b) Mauzo/Khatima (16 – 28): Nabi (SAW) ke zariye mushrikeen ke aiteraazat ka jawab.
Nabi (SAW) ek martaba Taif ki ek market (Souq Okaz) mein apne chand sahaba ke saat Fajr
ki namaaz mein Quran ki tilawat ki aur yeh saara waaqia jinno ke giron ne ghaur se suna aur
sunkar emaan le aate hai.
Taif ke Market hai:

a) Souq Okaz
b) Souq Majannah
c) Souq Zulmajaaz

Yeh saara waaqia tab pesh aaya jab yeh jinn hidayat ki talash mein the, yeh kehte hai ke pehle
hum aasmaano mein sun-bun kiya karte the par ab wahan pehra sakt hogaya jiska koi mauka
hi baakhi na rehta agar koi jaata bhi to koi sitaare ko unke peeche chordiya jaata hai. Jisse
do cheez ho sakti hai pehli ya to Allah is Khaum per azaab bhejne waala hai dusri ya to Allah
is Khaum per rehnumaayi ka raasta bhejne waala hai. Yeh jinn usi ki talash mein the tab yeh
saara waaqia pesh aaya.
Points (Nasiyat)
1. Agar log raah-e-raaz par saabit khadmo se chalenge to Allah unhe khub sehraab karke
aazmaayega aur naymathein ataa karega
2. Jo apne Rabb ke zikr (Quraan) se muh modega Allah usko sakt azaab mein mubtalah
karega.

40. Surah#31 Luqman (1- 34)


Structure
a) Tamhid (1-12): Quran se kaun log hidayat paaienge aur is daawat ko manne aur
na- manne waalo ka anjam.
b) Mauzo (13-32):
Quran Notes
| 22
i. Haz.Luqmaan ki apne bete ko nasiyat
ii. Nabi-e-kareem (SAW) ki zubaan se mushrikeen ko daawat
c) Khatima (33-34): Saare insaano ko Allah Se darne aur aakhirat ki fikr karne ki daawat di
gayi jahan koi kisi ke kaam na aayega.
Is surah mein Hikmat (wisdom) waale hakeem ka zikr aaya hai. Yeh Sudan mein ek shahr
aata hai Noiba (jo Sudan aur Egypt ke border mein lagta hai) ke rehne waale shaks hai. Yeh
koi Nabi na the bas Allah ne unhe Hikmat ataa farmaayee.

[Case: kahan jaata hai ilm aur Hikmat musalmaano ke khoye hue khazaane hai isse jis bartan
se behtein mile use lapak kar lelo].
Waaqia: Saad bin Abi Waqqas ki maa ne ahad karliya ke wo khaana nahi khaayegi jab tak ke
wo palat kar unke baap-daada ke din pe na aajaye. Jis Quran mein bataya jaraha tha ke apne
maa-baap ki etaat karo aur wahi ise maanne se mana karahe the. Jisse sahaba-ikraam ke
beech ek confusion aane laga ke baat maane to kiski maane. Aur yahi baat lekar sahaba Allah
ke Rasoolullah ke paas aarahe the. Tabi Allah ne Surah Luqman ko nazil kiya aur bataya ke
Beshak waalidein ke kuch Hukook hai aur har ek Hukook ki ek limit hai aur har ek Hukook
Allah ke Hukook ke baad aati hai.
Isiliye Hakeem Luqman ki unke bete ko nasiyat dene waali baat bataayi jaa rahi hai. Aulaad
ko bataaya jaaraha hai ke maa-baap ka kya Hukook hai aur waalidein ko bataaya jaaraha hai
ke naik maa-baap kaisa hona chaahiye. Aur ek baap apne marte waqt apne bete ko jhut nasiyat
nahi de sakta.

Notes:
1. Yeh kitab-e-Hakeem ki aayat hai aur yeh hidayat (sirf Muttaqeen ya Mohsineen haasil
karsakta hai) aur rehmat hai Mohsineen ke liye
[Waaqia: Hadees-e-Gibrael – Ek baar Nabi (SAW) apne Ashaab ke saat baithe the to
Gibrael a.s. aaker unse kuch sawaal karte hai:
a) Islam kya hai?
b) Emaan kya hai? (6 article of faith)
c) Ahsaan kya hai? (Ahsaan hassan se aata hai – aadmi ibaadat is qadr se pade ke wo
Allah ko dekh raha hai)
2. Yahi wo log hai jo namaaz qayam rakhte hai (akhemus-salah (4))
Mohsineen kaun hai?
1) Jo namaaz qayam karte hai (Akheemus-Salah ke 4 points)
2) Jo zakat detein hai
3) Aur inka aakhirat pe yaqeen (jis cheez ka darr hota hai) hota hai
Aakhirat ke din aadmi hil nahi sakta in 5 sawaal ke jawab diye baghair:
i. Jo Waqt mila tha usko kahan istemal kiya tha?
ii. Jo Jawani mili thi us roz tumne kya kiya?
iii. Maal kaise kamaaya?
iv. Jo maal kamaaya usko kahan par kharch kiya?
Quran Notes
| 23
v. Jo ilm mila usper kitna amal kiya?
3. Ab yahi log hai Allah ke raah-e-raaz par hai aur yahi log hai jo Falah (Namaz, Zakat,
Aakhirat per yaqeen) paane waale hain.
4. Aur insaano mein kuch log aise bhi hai jo kalamein dil fareb (lahuwal hadheef) khareed
ke laata taaki logon ko Allah ke raaste se ilm ke baghair bhatka dein aur is raaste ki dawat
ko Mazak mein udaade (Eg.Nazar bin Haris) aise logon ke liye sakt zalil karne waala
azaab hai.
5. Jo log emaan laaye aur naik amal karein unke liye naymat bhari jannat hai jismein wo
humesha rahenge aur dardnak azaab hai unke liye jo ghamand se rukh phairta hai.
6. Mushrikeen ko baat bataya jaa raha hai:
i. Humne aasmaan aur zameen banaaya aur mewe ugaaye
ii. Bataao tumahre maabuto kya kiya
7. Humne Luqman ko Hikmat ataa ki thi ke wo Allah ka Shukrguzar ho aur jo koi shukr kare
unke liye shukr mufeed ho aur kufr kare to haqeeqat mein Allah beniyaas aur apne aap
Mahmood hai
8. Bete ko nasiyat di:
i. Beta Allah ke saat kisi ko shareek na karna, shirk sab se bada zulm hai.
[Eg: Phir ye haqeeqat hai ke Allah ne insaan ko apne waalidayn ka haq pehchaan
ne ki taakit ki uski maa ne pareshaani uthakar pet mein rakha aur uska dudh
chodane ke liye do-saal lage. Isiliye humne (Allah) use nasiyat di ke mera shukr
karo aur apne waalidayn ka shukr bajaa laao aakhir tumhein meri taraf palatna
hai aur agar tujhper dabaao daale ke mere saat kisi aise ko shareek kare jise tu
nahi jaanta to unki baat hargees na maanna aur duniya mein unke saat naik
sulook karte ja par peharwi uski kar jisne mere saamne ruju karta gaya].
ii. Koi cheez raai ke baarabar bhi kyun na ho chahe zameen ya aasmaano per ho
Allah use dhoondh kar nikal laayega
iii. Namaaz qayam karo, naiki ka hukum do, badi se manaa karo aur jo musibat is
raaste mein aajaaye uspar sabr karo.
iv. Aur logon se muh phair ke baat na kiya karo
v. Aur zameen pe akad ka na chala karo
[Eg: Jung-e-Ahud mein jab Nabi (SAW) ne apni talwar nikal kar pucha ke kaun hai
ke iska haq adaa karega aur Abu-Dujana naam ke shaks ko di jo sar par laal- patti
bandkar aur akad kar jung pe chale gaye jisse Nabi ne kaha ke Allah ise pasand
nahi karta.]
vi. Aur apni awaaz ko passt rakh (Eg: donkey ka diya gaya)
9. Pairwi us cheez pe mat kiya karo jis pe tumhare baap-dada kiya karte hai unhe
bhadakti hui aag mein daal diya jaayega
10. Jisne apne aap ko mukammal Allah ke saamne jhukaa diya hai aur wo mohseen ho to
usne ek mazboot sahara thaam liya hai
11. Allah keh rahe hai ke wo thodi muddad insaan ko duniya mein maze karne de rahe hai
phir unko bebaz karke kheechkar mere paas palatna hai
12. Zameen ke saare darakth qalam banjaaye aur saare samundar siyahi banjaaye to wo
bhi Allah ki Hamd khatam nahi hogi
Quran Notes
| 24
13. Duniya tumhe dhoke mein na daale aur yeh dhokebaaz tumhe Allah se dhoka na dene
paaye
14. Beshak Allah zabardast aur Hakeem hai
Imp Points - Allah ke Ahkamat:
1. Waalidain ka Hukook bataaya gaya aur kaise unka ahteraam kare
2. Agar wo shirk karne ke liye kahe to use hargees na maane.
3. Yeh duniya ki cheez tumhein dhoke mein na daale aur dhokebaaz tumhein
Allah se dhoka na dene paaye.
Wo 5 cheezein jiska Ilm Allah ke siwa kisi aur ke paas nahi hai:

1. Baarish kahan hogi, kaise hogi aur kab hogi iska ilm se Allah ke paas hai
2. Maa ki peton mein kya palraha hai
3. Koi shaks yeh nahi jaanta kal wo kya kamaayi karne waala hai
4. Koi yeh nahi jaanta ki uski maut kab aane waali hai
5. Qayamat ki gadi kab aayegi

41. Surah#88 Al-Ghashiya (1 -26)


Yeh Surahs (Ghasiya aur Zariyat) yahan se Quran ke usloob Nabi (SAW) aksar yeh surah ki
change hoga yahan Quran ek naya turn lega as a Milestone tilawat har Jummah aur Eiddein
(yahan aakhirat ki baat secondary aur duniya ko ujhadne ki ki namaaz mein karte the: 1st
baat primary hogi). rakat mein Surah Alaa aur dusri
rakat mein Surah Ghashiya
Structure
a) Tamhid (1 – 16): Qayamat pe emaan lane aur na-laane waalon ka anjaam.
b) Mauzo (17 – 20): Ye bataaya gaya naiki aur badi dono ek sa nahi hoti.
c) Khatima (21 – 26): Nabi (saw) ko talqeen ki gayi ke aapka farz sirf logon tak haq pahucha
dena hai.

Notes:
1. Kya tumhein khabar pahuchi qayamat ke din ki
Fail: Jo cheez karijaaye bagair
(Hadheef yahan ek khabar yani information ko kehtain hai)
kisi shahur ke (automatic)
2. Kuch chehrein khasiyat se khaufzada honge
3. Unki kaifiyat yeh hai ki unhe: Amal: Jiske peeche aapki neeyat
a. Unhe peene ke liye khaulta paani hoga hoti hai aur phir use sahi
b. Khaane ke liye sukhi kaante-daar jhaadiya hogi tareeka se aapko ise karna hai
4. Dusri taraf wo log honge jo khush aur khurram honge
a. Kyun ki duniya mein unhone khauf ki halat se
Zindagi guzaari, Aakhirat ki fikr thi
b. Oonchi muqaam ki jannat mein honge
c. Aur wahan koi buri baat nahi sunenge
d. Oonchi masnate, chasmein behtein honge saari naymathon ka manzar bataya
gaya hai.
Quran Notes
| 25
5. Kya yeh log Ooton (ship of desert) ko nahi dekhtein ke use kaise banaya gaya hai.
6. Aasmaano ko, pahadon ko, zameeno ko nahi dekha kaise banaye gaye
7. Phir Nabi se kehte hai ke Aap bas nasiyat kiye jaao aur unhein ab apne haal par chordon
8. Jo shaks muh pherega aur inkaar karega use Allah sakt azaab dega aur phir tumhein palat
kar humare paas hi aana hai.
[Waaqia: Jab Allah ke Rasool do-teen din ke bhuke te aur wo masjid-e-Nabawi jaa
pahunche wahan Haz.Abu Bakr Siddiq aur Haz.Umar ko paaya unhein bhi bhuk ki shiddat
ne waha le aaya. Phir Nabi unhein Ansaari ke baagh mein lejaate hai aur thanda paani aur
khajoor dete hai aur kehte hai ke iska bhi unko hisab milega]
Imp Points:
1. Nabi (SAW) ko nasiyat di gayi ke aapka kaam hai un tak nasiyat pahucha dena.

42. Surah#51 Az-Zariyat (1 - 60)


Yahan bataya gaya hai ke dekho pehle qaumon ko kaise ujhaada gaya hai.

Structure
a) Tamhid (1 – 23): Fitrat ke manazir bataakar Munkareen ko gaur karne ki daawat .
b) Mauzo (24– 46): i) Haz.Ibrahim a.s. ke bacche ki Bashaarat
ii) Qaum-e-loot, Firhaun, Aadh, Samood aur Qaum-e-Nooh per azaab ka
zikr karke daraaya gaya.
c) Khatima (47 – 60): Pure surah ke maznoon ko samet kar Nabi (SAW) ko tasalli

Notes:
1. Qasam hai mukhtalif aasman mein bannewaale shaklon ki
2. Qatl hojaaye kharrasoon (Qhaumon ki Tabaahi ke Qualities)
a. Jo qiyaas aur gumaan per hukum lagate hai
b. Jo jahalat (ilm ka opposite) mein garg hai
c. Jo ghaflat mein madhosh hai
3. Muttaqeen log us roz baaghon aur chashmon mein honge jo kuch unka Rabb unhein
dega wo le rahe honge kyun ki Muttaqeen/Jannat mein jaane waalon ke Qualities:
a. wo us din aane se pehle Mohsineen the
b. aur raaton ko kam hi sote the
c. Raat ke aakhri pehron mein maafi maanga karte the. [Zikr: Subhan Allahi
Rabbil alameen]
d. aur unke maalon mein haq tha saahilon aur mehroomon ke liye
4. Aasmaano aur zameenon pe aapka risq likh chuka hai aur tawaakkal rakhe Allah pe
5. Phir Farishtein unhe dhi-ilm (Gentle, polite, shafaqat karna) betein (Isaaq a.s jo dusri
biwi Haz.Sara se hai) ki Bashaarat dete hai.
6. Aur phir Farishtein azaab ke baarein mein bhi baat batate hai ke
a. Qaum-e-Loot pe paki hui meethi ke baarish ka azaab aaya hai kyun ki wo duniya
ko targee di waqt ke Rasool pe aur Allah ki taalimat pe (Loot a.s (Haz.Ibrahim ke
Quran Notes
| 26
bhatije hai) bheje gaye)
b. Phir Moosa a.s ko jab Firhaun ke paas bheja to wo gumaan se bola yeh Jaadugar
hai ya majnoon hai phir unhe samundar phek diya (Moosa a.s bheje gaye)
c. Phir Qaum-e-Aadh per ek aise hawa bheji jo jis kisi per guzri use bhosida kar
diya (Hud a.s bheje gaye)
d. Phir Qaum-e-Samood per ek zalzale ne jakad liya
e. Quam-e-Nuh kyun ki wo faasir log the
7. Fa firro ilallah- bas daudon apne Rabb ki taraf (ans .to Fa aina tazaboon)
8. Jab kabhi pehle qaumon ke paas koi Nabi bheja gaya hai unhein bhi yahi kaha gaya
hai saaher hai ya majnoon
9. Inse rukh phair lo aur nasiyat karte raho kyun ki nasiyat emaan laane waalon pe naafe
hai
10. Allah hi khud Razzak aur Quwat waala hai
11. Unlogon ke liye bhi azaab tayyar hai jo inse pehle qaumon ke liye bheja gaya hai
12. Aakhir to tabahi hai kufr karne waalon ke liye us roz jiska unhe khauf dilaya jaaraha
hai.

Imp Points:
1. Fa firro ilallah- bas daudon apne Rabb ki taraf
2. Wa ma khalaqtul Jinna wal inssa illa li yaabudun - Maine (allah) Jinn aur Insano ko
is liye paida kiya hai k wo sirf meri (allah) ki Ibadat kare

Quran Notes
| 27

Anda mungkin juga menyukai